Psalms 14 (UGV3)
1 Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.Ahmaq dil meṅ kahtā hai, “Allāh hai hī nahīṅ!” Aise log badchalan haiṅ, un kī harkateṅ qābil-e-ghin haiṅ. Ek bhī nahīṅ hai jo achchhā kām kare. 2 Rab ne āsmān se insān par nazar ḍālī tāki dekhe ki kyā koī samajhdār hai? Kyā koī Allāh kā tālib hai? 3 Afsos, sab sahīh rāh se bhaṭak gae. Sab ke sab bigaṛ gae haiṅ. Koī nahīṅ jo bhalāī kartā ho, ek bhī nahīṅ. 4 Kyā jo badī karke merī qaum ko roṭī kī tarah khā lete haiṅ un meṅ se ek ko bhī samajh nahīṅ ātī? Wuh to Rab ko pukārte hī nahīṅ. 5 Tab un par saḳht dahshat chhā gaī, kyoṅki Allāh rāstbāz kī nasl ke sāth hai. 6 Tum nāchār ke mansūboṅ ko ḳhāk meṅ milānā chāhte ho, lekin Rab ḳhud us kī panāhgāh hai. 7 Kāsh Koh-e-Siyyūn se Isrāīl kī najāt nikle! Jab Rab apnī qaum ko bahāl karegā to Yāqūb ḳhushī ke nāre lagāegā, Isrāīl bāġh bāġh hogā.