1 Kings 12 (UGV3)

1 Rahubiyām Sikam gayā, kyoṅki wahāṅ tamām Isrāīlī use bādshāh muqarrar karne ke lie jamā ho gae the. 2 Yarubiyām bin Nabāt yih ḳhabar sunte hī Misr se jahāṅ us ne Sulemān Bādshāh se bhāg kar panāh lī thī Isrāīl wāpas āyā. 3 Isrāīliyoṅ ne use bulāyā tāki us ke sāth Sikam jāeṅ. Jab pahuṅchā to Isrāīl kī pūrī jamāt Yarubiyām ke sāth mil kar Rahubiyām se milne gaī. Unhoṅ ne bādshāh se kahā, 4 “Jo juā āp ke bāp ne ham par ḍāl diyā thā use uṭhānā mushkil thā, aur jo waqt aur paise hameṅ bādshāh kī ḳhidmat meṅ sarf karne the wuh nāqābil-e-bardāsht the. Ab donoṅ ko kam kar deṅ. Phir ham ḳhushī se āp kī ḳhidmat kareṅge.” 5 Rahubiyām ne jawāb diyā, “Mujhe tīn din kī muhlat deṅ, phir dubārā mere pās āeṅ.” Chunāṅche log chale gae. 6 Phir Rahubiyām Bādshāh ne un buzurgoṅ se mashwarā kiyā jo Sulemān ke jīte-jī bādshāh kī ḳhidmat karte rahe the. Us ne pūchhā, “Āp kā kyā ḳhayāl hai? Maiṅ in logoṅ ko kyā jawāb dūṅ?” 7 Buzurgoṅ ne jawāb diyā, “Hamārā mashwarā hai ki is waqt un kā ḳhādim ban kar un kī ḳhidmat kareṅ aur unheṅ narm jawāb deṅ. Agar āp aisā kareṅ to wuh hameshā āp ke wafādār ḳhādim bane raheṅge.” 8 Lekin Rahubiyām ne buzurgoṅ kā mashwarā radd karke us kī ḳhidmat meṅ hāzir un jawānoṅ se mashwarā kiyā jo us ke sāth parwān chaṛhe the. 9 Us ne pūchhā, “Maiṅ is qaum ko kyā jawāb dūṅ? Yih taqāzā kar rahe haiṅ ki maiṅ wuh juā halkā kar dūṅ jo mere bāp ne un par ḍāl diyā.” 10 Jo jawān us ke sāth parwān chaṛhe the unhoṅ ne kahā, “Achchhā, yih log taqāzā kar rahe haiṅ ki āp ke bāp kā juā halkā kiyā jāe? Unheṅ batā denā, ‘Merī chhoṭī unglī mere bāp kī kamr se zyādā moṭī hai! 11 Beshak jo juā us ne āp par ḍāl diyā use uṭhānā mushkil thā, lekin merā juā aur bhī bhārī hogā. Jahāṅ mere bāp ne āp ko koṛe lagāe wahāṅ maiṅ āp kī bichchhuoṅ se tādīb karūṅga’!” 12 Tīn din ke bād jab Yarubiyām tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Rahubiyām kā faislā sunane ke lie wāpas āyā 13 to bādshāh ne unheṅ saḳht jawāb diyā. Buzurgoṅ kā mashwarā radd karke 14 us ne unheṅ jawānoṅ kā jawāb diyā, “Beshak jo juā mere bāp ne āp par ḍāl diyā use uṭhānā mushkil thā, lekin merā juā aur bhī bhārī hogā. Jahāṅ mere bāp ne āp ko koṛe lagāe wahāṅ maiṅ āp kī bichchhuoṅ se tādīb karūṅga!” 15 Yoṅ Rab kī marzī pūrī huī ki Rahubiyām logoṅ kī bāt nahīṅ mānegā. Kyoṅki ab Rab kī wuh peshgoī pūrī huī jo Sailā ke nabī Aḳhiyāh ne Yarubiyām bin Nabāt ko batāī thī. 16 Jab Isrāīliyoṅ ne dekhā ki bādshāh hamārī bāt sunane ke lie taiyār nahīṅ hai to unhoṅ ne us se kahā, “Na hameṅ Dāūd se mīrās meṅ kuchh milegā, na Yassī ke beṭe se kuchh milne kī ummīd hai. Ai Isrāīl, sab apne apne ghar wāpas chaleṅ! Ai Dāūd, ab apnā ghar ḳhud saṅbhāl lo!” Yih kah kar wuh sab chale gae. 17 Sirf Yahūdāh ke qabīle ke shahroṅ meṅ rahne wāle Isrāīlī Rahubiyām ke taht rahe. 18 Phir Rahubiyām Bādshāh ne begāriyoṅ par muqarrar afsar Adūnīrām ko shimālī qabīloṅ ke pās bhej diyā, lekin use dekh kar tamām logoṅ ne use sangsār kiyā. Tab Rahubiyām jaldī se apne rath par sawār huā aur bhāg kar Yarūshalam pahuṅch gayā. 19 Yoṅ Isrāīl ke shimālī qabīle Dāūd ke shāhī gharāne se alag ho gae aur āj tak us kī hukūmat nahīṅ mānte. 20 Jab ḳhabar shimālī Isrāīl meṅ phailī ki Yarubiyām Misr se wāpas ā gayā hai to logoṅ ne qaumī ijlās mun'aqid karke use bulāyā aur wahāṅ use apnā bādshāh banā liyā. Sirf Yahūdāh kā qabīlā Rahubiyām aur us ke gharāne kā wafādār rahā. 21 Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām bin Sulemān ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ. 22 Lekin ain us waqt mard-e-Ḳhudā Samāyāh ko Allāh kī taraf se paiġhām milā, 23 “Yahūdāh ke bādshāh Rahubiyām bin Sulemān, Yahūdāh aur Binyamīn ke tamām afrād aur bāqī logoṅ ko ittalā de, 24 ‘Rab farmātā hai ki apne Isrāīlī bhāiyoṅ se jang mat karnā. Har ek apne apne ghar wāpas chalā jāe, kyoṅki jo kuchh huā hai wuh mere hukm par huā hai.’”Tab wuh Rab kī sun kar apne apne ghar wāpas chale gae. 25 Yarubiyām Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke shahr Sikam ko mazbūt karke wahāṅ ābād huā. Bād meṅ us ne Fanuel Shahr kī bhī qilābandī kī aur wahāṅ muntaqil huā. 26 Lekin dil meṅ andeshā rahā ki kahīṅ Isrāīl dubārā Dāūd ke gharāne ke hāth meṅ na ā jāe. 27 Us ne sochā, “Log bāqāydagī se Yarūshalam āte jāte haiṅ tāki wahāṅ Rab ke ghar meṅ apnī qurbāniyāṅ pesh kareṅ. Agar yih silsilā toṛā na jāe to āhistā āhistā un ke dil dubārā Yahūdāh ke bādshāh Rahubiyām kī taraf māyl ho jāeṅge. Āḳhirkār wuh mujhe qatl karke Rahubiyām ko apnā bādshāh banā leṅge.” 28 Apne afsaroṅ ke mashware par us ne sone ke do bachhṛe banwāe. Logoṅ ke sāmne us ne elān kiyā, “Har qurbānī ke lie Yarūshalam jānā mushkil hai! Ai Isrāīl dekh, yih tere dewatā haiṅ jo tujhe Misr se nikāl lāe.” 29 Ek but us ne junūbī shahr Baitel meṅ khaṛā kiyā aur dūsrā shimālī shahr Dān meṅ. 30 Yoṅ Yarubiyām ne Isrāīliyoṅ ko gunāh karne par uksāyā. Log Dān tak safr kiyā karte the tāki wahāṅ ke but kī pūjā kareṅ. 31 Is ke alāwā Yarubiyām ne bahut-sī ūṅchī jaghoṅ par mandir banwāe. Unheṅ saṅbhālne ke lie us ne aise log muqarrar kie jo Lāwī ke qabīle ke nahīṅ balki ām log the. 32 Us ne ek naī īd bhī rāyj kī jo Yahūdāh meṅ manāne wālī Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd kī mānind thī. Yih īd āṭhweṅ māh ke pandrahweṅ din manāī jātī thī. Baitel meṅ us ne ḳhud qurbāngāh par jā kar apne banwāe hue bachhṛoṅ ko qurbāniyāṅ pesh kīṅ, aur wahīṅ us ne apne un mandiroṅ ke imāmoṅ ko muqarrar kiyā jo us ne ūṅchī jaghoṅ par tāmīr kie the. 33 Chunāṅche Yarubiyām ke muqarrarkardā din yānī āṭhweṅ mahīne ke pandrahweṅ din Isrāīliyoṅ ne Baitel meṅ īd manāī. Tamām mehmānoṅ ke sāmne Yarubiyām qurbāngāh par chaṛh gayā tāki qurbāniyāṅ pesh kare.

In Other Versions

1 Kings 12 in the ANGEFD

1 Kings 12 in the ANTPNG2D

1 Kings 12 in the AS21

1 Kings 12 in the BAGH

1 Kings 12 in the BBPNG

1 Kings 12 in the BBT1E

1 Kings 12 in the BDS

1 Kings 12 in the BEV

1 Kings 12 in the BHAD

1 Kings 12 in the BIB

1 Kings 12 in the BLPT

1 Kings 12 in the BNT

1 Kings 12 in the BNTABOOT

1 Kings 12 in the BNTLV

1 Kings 12 in the BOATCB

1 Kings 12 in the BOATCB2

1 Kings 12 in the BOBCV

1 Kings 12 in the BOCNT

1 Kings 12 in the BOECS

1 Kings 12 in the BOGWICC

1 Kings 12 in the BOHCB

1 Kings 12 in the BOHCV

1 Kings 12 in the BOHLNT

1 Kings 12 in the BOHNTLTAL

1 Kings 12 in the BOICB

1 Kings 12 in the BOILNTAP

1 Kings 12 in the BOITCV

1 Kings 12 in the BOKCV

1 Kings 12 in the BOKCV2

1 Kings 12 in the BOKHWOG

1 Kings 12 in the BOKSSV

1 Kings 12 in the BOLCB

1 Kings 12 in the BOLCB2

1 Kings 12 in the BOMCV

1 Kings 12 in the BONAV

1 Kings 12 in the BONCB

1 Kings 12 in the BONLT

1 Kings 12 in the BONUT2

1 Kings 12 in the BOPLNT

1 Kings 12 in the BOSCB

1 Kings 12 in the BOSNC

1 Kings 12 in the BOTLNT

1 Kings 12 in the BOVCB

1 Kings 12 in the BOYCB

1 Kings 12 in the BPBB

1 Kings 12 in the BPH

1 Kings 12 in the BSB

1 Kings 12 in the CCB

1 Kings 12 in the CUV

1 Kings 12 in the CUVS

1 Kings 12 in the DBT

1 Kings 12 in the DGDNT

1 Kings 12 in the DHNT

1 Kings 12 in the DNT

1 Kings 12 in the ELBE

1 Kings 12 in the EMTV

1 Kings 12 in the ESV

1 Kings 12 in the FBV

1 Kings 12 in the FEB

1 Kings 12 in the GGMNT

1 Kings 12 in the GNT

1 Kings 12 in the HARY

1 Kings 12 in the HNT

1 Kings 12 in the IRVA

1 Kings 12 in the IRVB

1 Kings 12 in the IRVG

1 Kings 12 in the IRVH

1 Kings 12 in the IRVK

1 Kings 12 in the IRVM

1 Kings 12 in the IRVM2

1 Kings 12 in the IRVO

1 Kings 12 in the IRVP

1 Kings 12 in the IRVT

1 Kings 12 in the IRVT2

1 Kings 12 in the IRVU

1 Kings 12 in the ISVN

1 Kings 12 in the JSNT

1 Kings 12 in the KAPI

1 Kings 12 in the KBT1ETNIK

1 Kings 12 in the KBV

1 Kings 12 in the KJV

1 Kings 12 in the KNFD

1 Kings 12 in the LBA

1 Kings 12 in the LBLA

1 Kings 12 in the LNT

1 Kings 12 in the LSV

1 Kings 12 in the MAAL

1 Kings 12 in the MBV

1 Kings 12 in the MBV2

1 Kings 12 in the MHNT

1 Kings 12 in the MKNFD

1 Kings 12 in the MNG

1 Kings 12 in the MNT

1 Kings 12 in the MNT2

1 Kings 12 in the MRS1T

1 Kings 12 in the NAA

1 Kings 12 in the NASB

1 Kings 12 in the NBLA

1 Kings 12 in the NBS

1 Kings 12 in the NBVTP

1 Kings 12 in the NET2

1 Kings 12 in the NIV11

1 Kings 12 in the NNT

1 Kings 12 in the NNT2

1 Kings 12 in the NNT3

1 Kings 12 in the PDDPT

1 Kings 12 in the PFNT

1 Kings 12 in the RMNT

1 Kings 12 in the SBIAS

1 Kings 12 in the SBIBS

1 Kings 12 in the SBIBS2

1 Kings 12 in the SBICS

1 Kings 12 in the SBIDS

1 Kings 12 in the SBIGS

1 Kings 12 in the SBIHS

1 Kings 12 in the SBIIS

1 Kings 12 in the SBIIS2

1 Kings 12 in the SBIIS3

1 Kings 12 in the SBIKS

1 Kings 12 in the SBIKS2

1 Kings 12 in the SBIMS

1 Kings 12 in the SBIOS

1 Kings 12 in the SBIPS

1 Kings 12 in the SBISS

1 Kings 12 in the SBITS

1 Kings 12 in the SBITS2

1 Kings 12 in the SBITS3

1 Kings 12 in the SBITS4

1 Kings 12 in the SBIUS

1 Kings 12 in the SBIVS

1 Kings 12 in the SBT

1 Kings 12 in the SBT1E

1 Kings 12 in the SCHL

1 Kings 12 in the SNT

1 Kings 12 in the SUSU

1 Kings 12 in the SUSU2

1 Kings 12 in the SYNO

1 Kings 12 in the TBIAOTANT

1 Kings 12 in the TBT1E

1 Kings 12 in the TBT1E2

1 Kings 12 in the TFTIP

1 Kings 12 in the TFTU

1 Kings 12 in the TGNTATF3T

1 Kings 12 in the THAI

1 Kings 12 in the TNFD

1 Kings 12 in the TNT

1 Kings 12 in the TNTIK

1 Kings 12 in the TNTIL

1 Kings 12 in the TNTIN

1 Kings 12 in the TNTIP

1 Kings 12 in the TNTIZ

1 Kings 12 in the TOMA

1 Kings 12 in the TTENT

1 Kings 12 in the UBG

1 Kings 12 in the UGV

1 Kings 12 in the UGV2

1 Kings 12 in the VBL

1 Kings 12 in the VDCC

1 Kings 12 in the YALU

1 Kings 12 in the YAPE

1 Kings 12 in the YBVTP

1 Kings 12 in the ZBP