Exodus 11 (UGV3)
1 Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Ab maiṅ Firaun aur Misr par āḳhirī āfat lāne ko hūṅ. Is ke bād wuh tumheṅ jāne degā balki tumheṅ zabardastī nikāl degā. 2 Isrāīliyoṅ ko batā denā ki har mard apne paṛosī aur har aurat apnī paṛosan se sone-chāṅdī kī chīzeṅ māṅg le.” 3 (Rab ne Misriyoṅ ke dil Isrāīliyoṅ kī taraf māyl kar die the. Wuh Firaun ke ohdedāroṅ samet ḳhāskar Mūsā kī baṛī izzat karte the.) 4 Mūsā ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Āj ādhī rāt ke waqt maiṅ Misr meṅ se guzarūṅga. 5 Tab bādshāh ke pahlauṭhe se le kar chakkī pīsne wālī naukarānī ke pahlauṭhe tak Misriyoṅ kā har pahlauṭhā mar jāegā. Chaupāiyoṅ ke pahlauṭhe bhī mar jāeṅge. 6 Misr kī sarzamīn par aisā ronā pīṭnā hogā ki na māzī meṅ kabhī huā, na mustaqbil meṅ kabhī hogā. 7 Lekin Isrāīlī aur un ke jānwar bache raheṅge. Kuttā bhī un par nahīṅ bhaunkegā. Is tarah tum jān loge ki Rab Isrāīliyoṅ kī nisbat Misriyoṅ se farq sulūk kartā hai.’” 8 Mūsā ne yih kuchh Firaun ko batāyā phir kahā, “Us waqt āp ke tamām ohdedār ā kar mere sāmne jhuk jāeṅge aur minnat kareṅge, ‘Apne pairokāroṅ ke sāth chale jāeṅ.’ Tab maiṅ chalā hī jāūṅgā.” Yih kah kar Mūsā Firaun ke pās se chalā gayā. Wuh baṛe ġhusse meṅ thā. 9 Rab ne Mūsā se kahā thā, “Firaun tumhārī nahīṅ sunegā. Kyoṅki lāzim hai ki maiṅ Misr meṅ apnī qudrat kā mazīd izhār karūṅ.” 10 Go Mūsā aur Hārūn ne Firaun ke sāmne yih tamām mojize dikhāe, lekin Rab ne Firaun ko ziddī banāe rakhā, is lie us ne Isrāīliyoṅ ko mulk chhoṛne na diyā.