Judges 18 (UGV3)

1 Un dinoṅ meṅ Isrāīl kā bādshāh nahīṅ thā. Aur ab tak Dān ke qabīle ko apnā koī qabāylī ilāqā nahīṅ milā thā, is lie us ke log kahīṅ ābād hone kī talāsh meṅ rahe. 2 Unhoṅ ne apne ḳhāndānoṅ meṅ se Sur'ā aur Istāl ke pāṅch tajrabākār faujiyoṅ ko chun kar unheṅ mulk kī taftīsh karne ke lie bhej diyā. Yih mard Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ se guzar kar Mīkāh ke ghar ke pās pahuṅch gae. Jab wuh wahāṅ rāt ke lie ṭhahre hue the 3 to unhoṅ ne dekhā ki jawān Lāwī Bait-laham kī bolī boltā hai. Us ke pās jā kar unhoṅ ne pūchhā, “Kaun āp ko yahāṅ lāyā hai? Āp yahāṅ kyā karte haiṅ? Aur āp kā is ghar meṅ rahne kā kyā maqsad hai?” 4 Lāwī ne unheṅ apnī kahānī sunāī, “Mīkāh ne mujhe naukarī de kar apnā imām banā liyā hai.” 5 Phir unhoṅ ne us se guzārish kī, “Allāh se dariyāft kareṅ ki kyā hamāre safr kā maqsad pūrā ho jāegā yā nahīṅ?” 6 Lāwī ne unheṅ tasallī dī, “Salāmatī se āge baṛheṅ. Āp ke safr kā maqsad Rab ko qabūl hai, aur wuh āp ke sāth hai.” 7 Tab yih pāṅch ādmī āge nikle aur safr karte karte Lais pahuṅch gae. Unhoṅ ne dekhā ki wahāṅ ke log Saidāniyoṅ kī tarah pursukūn aur befikr zindagī guzār rahe haiṅ. Koī nahīṅ thā jo unheṅ dabātā yā un par zulm kartā. Yih bhī mālūm huā ki agar un par hamlā kiyā jāe to un kā ittahādī shahr Saidā un se itnī dūr hai ki un kī madad nahīṅ kar sakegā, aur qarīb koī ittahādī nahīṅ hai jo un kā sāth de. 8 Wuh pāṅch jāsūs Sur'ā aur Istāl wāpas chale gae. Jab wahāṅ pahuṅche to dūsroṅ ne pūchhā, “Safr kaisā rahā?” 9 Jāsūsoṅ ne jawāb meṅ kahā, “Āeṅ, ham jang ke lie nikleṅ! Hameṅ ek behtarīn ilāqā mil gayā hai. Āp kyoṅ jhijak rahe haiṅ? Jaldī kareṅ, ham nikleṅ aur us mulk par qabzā kar leṅ! 10 Wahāṅ ke log befikr haiṅ aur hamle kī tawaqqo hī nahīṅ karte. Aur zamīn wasī aur zarḳhez hai, us meṅ kisī bhī chīz kī kamī nahīṅ hai. Allāh āp ko wuh mulk dene kā irādā rakhtā hai.” 11 Dān ke qabīle ke 600 musallah ādmī Sur'ā aur Istāl se rawānā hue. 12 Rāste meṅ unhoṅ ne apnī lashkargāh Yahūdāh ke shahr Qiriyat-yārīm ke qarīb lagāī. Is lie yih jagah āj tak Mahane-dān yānī Dān kī Ḳhaimāgāh kahlātī hai. 13 Wahāṅ se wuh Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ dāḳhil hue aur chalte chalte Mīkāh ke ghar pahuṅch gae. 14 Jin pāṅch mardoṅ ne Lais kī taftīsh kī thī unhoṅ ne apne sāthiyoṅ se kahā, “Kyā āp ko mālūm hai ki in gharoṅ meṅ ek afod, ek tarāshā aur ḍhālā huā but aur dīgar kaī but haiṅ? Ab soch leṅ ki kyā kiyā jāe.” 15 Pāṅchoṅ ne Mīkāh ke ghar meṅ dāḳhil ho kar jawān Lāwī ko salām kiyā 16 jabki bāqī 600 musallah mard geṭ par khaṛe rahe. 17 Jab Lāwī bāhar khaṛe mardoṅ ke pās gayā to in pāṅchoṅ ne andar ghus kar tarāshā aur ḍhālā huā but, afod aur bāqī but chhīn lie. 18 Yih dekh kar Lāwī chīḳhne lagā, “Kyā kar rahe ho!” 19 Unhoṅ ne kahā, “Chup! Koī bāt na karo balki hamāre sāth jā kar hamāre bāp aur imām bano. Hamāre sāth jāoge to pūre qabīle ke imām banoge. Kyā yih ek hī ḳhāndān kī ḳhidmat karne se kahīṅ behtar nahīṅ hogā?” 20 Yih sun kar imām ḳhush huā. Wuh afod, tarāshā huā but aur bāqī butoṅ ko le kar musāfiroṅ meṅ sharīk ho gayā. 21 Phir Dān ke mard rawānā hue. Un ke bāl-bachche, maweshī aur qīmtī māl-o-matā un ke āge āge thā. 22 Jab Mīkāh ko bāt kā patā chalā to wuh apne paṛosiyoṅ ko jamā karke un ke pīchhe dauṛā. Itne meṅ Dān ke log ghar se dūr nikal chuke the. 23 Jab wuh sāmne nazar āe to Mīkāh aur us ke sāthiyoṅ ne chīḳhte-chillāte unheṅ rukne ko kahā. Dān ke mardoṅ ne pīchhe dekh kar Mīkāh se kahā, “Kyā bāt hai? Apne in logoṅ ko bulā kar kyoṅ le āe ho?” 24 Mīkāh ne jawāb diyā, “Tum logoṅ ne mere butoṅ ko chhīn liyā go maiṅ ne unheṅ ḳhud banwāyā hai. Mere imām ko bhī sāth le gae ho. Mere pās kuchh nahīṅ rahā to ab tum pūchhte ho ki kyā bāt hai?” 25 Dān ke afrād bole, “Ḳhāmosh! Ḳhabardār, hamāre kuchh log tezmizāj haiṅ. Aisā na ho ki wuh ġhusse meṅ ā kar tum ko tumhāre ḳhāndān samet mār ḍāleṅ.” 26 Yih kah kar unhoṅ ne apnā safr jārī rakhā. Mīkāh ne jān liyā ki maiṅ apne thoṛe ādmiyoṅ ke sāth un kā muqābalā nahīṅ kar sakūṅgā, is lie wuh muṛ kar apne ghar wāpas chalā gayā. 27 Us ke but Dān ke qabze meṅ rahe, aur imām bhī un meṅ ṭik gayā.Phir wuh Lais ke ilāqe meṅ dāḳhil hue jis ke bāshinde pursukūn aur befikr zindagī guzār rahe the. Dān ke faujī un par ṭūṭ paṛe aur sab ko talwār se qatl karke shahr ko bhasm kar diyā. 28 Kisī ne bhī un kī madad na kī, kyoṅki Saidā bahut dūr thā, aur qarīb koī ittahādī nahīṅ thā jo un kā sāth detā. Yih shahr Bait-rahob kī Wādī meṅ thā. Dān ke afrād shahr ko az sar-e-nau tāmīr karke us meṅ ābād hue. 29 Aur unhoṅ ne us kā nām apne qabīle ke bānī ke nām par Dān rakhā. (Dān Isrāīl kā beṭā thā.) 30 Wahāṅ unhoṅ ne tarāshā huā but rakh kar pūjā ke intazām par Yūnatan muqarrar kiyā jo Mūsā ke beṭe Jairsom kī aulād meṅ se thā. Jab Yūnatan faut huā to us kī aulād qaum kī jilāwatanī tak Dān ke qabīle meṅ yihī ḳhidmat kartī rahī. 31 Mīkāh kā banwāyā huā but tab tak Dān meṅ rahā jab tak Allāh kā ghar Sailā meṅ thā.

In Other Versions

Judges 18 in the ANGEFD

Judges 18 in the ANTPNG2D

Judges 18 in the AS21

Judges 18 in the BAGH

Judges 18 in the BBPNG

Judges 18 in the BBT1E

Judges 18 in the BDS

Judges 18 in the BEV

Judges 18 in the BHAD

Judges 18 in the BIB

Judges 18 in the BLPT

Judges 18 in the BNT

Judges 18 in the BNTABOOT

Judges 18 in the BNTLV

Judges 18 in the BOATCB

Judges 18 in the BOATCB2

Judges 18 in the BOBCV

Judges 18 in the BOCNT

Judges 18 in the BOECS

Judges 18 in the BOGWICC

Judges 18 in the BOHCB

Judges 18 in the BOHCV

Judges 18 in the BOHLNT

Judges 18 in the BOHNTLTAL

Judges 18 in the BOICB

Judges 18 in the BOILNTAP

Judges 18 in the BOITCV

Judges 18 in the BOKCV

Judges 18 in the BOKCV2

Judges 18 in the BOKHWOG

Judges 18 in the BOKSSV

Judges 18 in the BOLCB

Judges 18 in the BOLCB2

Judges 18 in the BOMCV

Judges 18 in the BONAV

Judges 18 in the BONCB

Judges 18 in the BONLT

Judges 18 in the BONUT2

Judges 18 in the BOPLNT

Judges 18 in the BOSCB

Judges 18 in the BOSNC

Judges 18 in the BOTLNT

Judges 18 in the BOVCB

Judges 18 in the BOYCB

Judges 18 in the BPBB

Judges 18 in the BPH

Judges 18 in the BSB

Judges 18 in the CCB

Judges 18 in the CUV

Judges 18 in the CUVS

Judges 18 in the DBT

Judges 18 in the DGDNT

Judges 18 in the DHNT

Judges 18 in the DNT

Judges 18 in the ELBE

Judges 18 in the EMTV

Judges 18 in the ESV

Judges 18 in the FBV

Judges 18 in the FEB

Judges 18 in the GGMNT

Judges 18 in the GNT

Judges 18 in the HARY

Judges 18 in the HNT

Judges 18 in the IRVA

Judges 18 in the IRVB

Judges 18 in the IRVG

Judges 18 in the IRVH

Judges 18 in the IRVK

Judges 18 in the IRVM

Judges 18 in the IRVM2

Judges 18 in the IRVO

Judges 18 in the IRVP

Judges 18 in the IRVT

Judges 18 in the IRVT2

Judges 18 in the IRVU

Judges 18 in the ISVN

Judges 18 in the JSNT

Judges 18 in the KAPI

Judges 18 in the KBT1ETNIK

Judges 18 in the KBV

Judges 18 in the KJV

Judges 18 in the KNFD

Judges 18 in the LBA

Judges 18 in the LBLA

Judges 18 in the LNT

Judges 18 in the LSV

Judges 18 in the MAAL

Judges 18 in the MBV

Judges 18 in the MBV2

Judges 18 in the MHNT

Judges 18 in the MKNFD

Judges 18 in the MNG

Judges 18 in the MNT

Judges 18 in the MNT2

Judges 18 in the MRS1T

Judges 18 in the NAA

Judges 18 in the NASB

Judges 18 in the NBLA

Judges 18 in the NBS

Judges 18 in the NBVTP

Judges 18 in the NET2

Judges 18 in the NIV11

Judges 18 in the NNT

Judges 18 in the NNT2

Judges 18 in the NNT3

Judges 18 in the PDDPT

Judges 18 in the PFNT

Judges 18 in the RMNT

Judges 18 in the SBIAS

Judges 18 in the SBIBS

Judges 18 in the SBIBS2

Judges 18 in the SBICS

Judges 18 in the SBIDS

Judges 18 in the SBIGS

Judges 18 in the SBIHS

Judges 18 in the SBIIS

Judges 18 in the SBIIS2

Judges 18 in the SBIIS3

Judges 18 in the SBIKS

Judges 18 in the SBIKS2

Judges 18 in the SBIMS

Judges 18 in the SBIOS

Judges 18 in the SBIPS

Judges 18 in the SBISS

Judges 18 in the SBITS

Judges 18 in the SBITS2

Judges 18 in the SBITS3

Judges 18 in the SBITS4

Judges 18 in the SBIUS

Judges 18 in the SBIVS

Judges 18 in the SBT

Judges 18 in the SBT1E

Judges 18 in the SCHL

Judges 18 in the SNT

Judges 18 in the SUSU

Judges 18 in the SUSU2

Judges 18 in the SYNO

Judges 18 in the TBIAOTANT

Judges 18 in the TBT1E

Judges 18 in the TBT1E2

Judges 18 in the TFTIP

Judges 18 in the TFTU

Judges 18 in the TGNTATF3T

Judges 18 in the THAI

Judges 18 in the TNFD

Judges 18 in the TNT

Judges 18 in the TNTIK

Judges 18 in the TNTIL

Judges 18 in the TNTIN

Judges 18 in the TNTIP

Judges 18 in the TNTIZ

Judges 18 in the TOMA

Judges 18 in the TTENT

Judges 18 in the UBG

Judges 18 in the UGV

Judges 18 in the UGV2

Judges 18 in the VBL

Judges 18 in the VDCC

Judges 18 in the YALU

Judges 18 in the YAPE

Judges 18 in the YBVTP

Judges 18 in the ZBP