Nehemiah 12 (UGV3)

1 Darj-e-zail un imāmoṅ aur Lāwiyoṅ kī fahrist hai jo Zarubbābal bin Siyāltiyel aur Yashua ke sāth jilāwatanī se wāpas āe.Imām:Sirāyāh, Yarmiyāh, Azrā, 2 Amariyāh, Mallūk, Hattūsh, 3 Sakaniyāh, Rahūm, Marīmot, 4 Iddū, Jinnatūn, Abiyāh, 5 Miyāmīn, Muadiyāh, Biljā, 6 Samāyāh, Yūyārīb, Yadāyāh, 7 Sallū, Amūq, Ḳhilqiyāh, aur Yadāyāh. Yih Yashua ke zamāne meṅ imāmoṅ aur un ke bhāiyoṅ ke rāhnumā the. 8 Lāwī:Yashua, Binnūī, Qadmiyel, Saribiyāh, Yahūdāh aur Mattaniyāh. Mattaniyāh apne bhāiyoṅ ke sāth Rab ke ghar meṅ hamd-o-sanā ke gīt gāne meṅ rāhnumāī kartā thā. 9 Baqbūqiyāh aur Unnī apne bhāiyoṅ ke sāth ibādat ke daurān un ke muqābil khaṛe hote the. 10 Imām-e-āzam Yashua kī aulād:Yashua Yūyaqīm kā bāp thā, Yūyaqīm Iliyāsib kā, Iliyāsib Yoyadā kā, 11 Yoyadā Yūnatan kā, Yūnatan Yaddū kā. 12 Jab Yūyaqīm imām-e-āzam thā to zail ke imām apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the.Sirāyāh ke ḳhāndān kā Mirāyāh,Yarmiyāh ke ḳhāndān kā Hananiyāh, 13 Azrā ke ḳhāndān kā Masullām,Amariyāh ke ḳhāndān kā Yūhanān, 14 Mallūk ke ḳhāndān kā Yūnatan,Sabaniyāh ke ḳhāndān kā Yūsuf, 15 Hārim ke ḳhāndān kā Adnā,Mirāyot ke ḳhāndān kā Ḳhilqī, 16 Iddū ke ḳhāndān kā Zakariyāh,Jinnatūn ke ḳhāndān kā Masullām, 17 Abiyāh ke ḳhāndān kā Zikrī,Minyamīn ke ḳhāndān kā ek ādmī,Muadiyāh ke ḳhāndān kā Filtī, 18 Biljā ke ḳhāndān kā Sammua,Samāyāh ke ḳhāndān kā Yahūnatan, 19 Yūyārīb ke ḳhāndān kā Mattanī,Yadāyāh ke ḳhāndān kā Uzzī, 20 Sallī ke ḳhāndān kā Qallī,Amūq ke ḳhāndān kā Ibar, 21 Ḳhilqiyāh ke ḳhāndān kā Hasbiyāh,Yadāyāh ke ḳhāndān kā Nataniyel. 22 Jab Iliyāsib, Yoyadā, Yūhanān aur Yaddū imām-e-āzam the to Lāwī ke sarparastoṅ kī fahrist taiyār kī gaī aur isī tarah Fāras ke bādshāh Dārā ke zamāne meṅ imāmoṅ ke ḳhāndānī sarparastoṅ kī fahrist. 23 Lāwī ke ḳhāndānī sarparastoṅ ke nām imām-e-āzam Yūhanān bin Iliyāsib ke zamāne tak tārīḳh kī kitāb meṅ darj kie gae. 24 24-25 Lāwī ke ḳhāndānī sarparast Hasbiyāh, Saribiyāh, Yashua, Binnūī aur Qadmiyel ḳhidmat ke un gurohoṅ kī rāhnumāī karte the jo Rab ke ghar meṅ hamd-o-sanā ke gīt gāte the. Un ke muqābil Mattaniyāh, Baqbūqiyāh aur Abadiyāh apne gurohoṅ ke sāth khaṛe hote the. Gīt gāte waqt kabhī yih guroh aur kabhī us ke muqābil kā guroh gātā thā. Sab kuchh us tartīb se huā jo mard-e-Ḳhudā Dāūd ne muqarrar kī thī.Masullām, Talmūn aur Aqqūb darbān the jo Rab ke ghar ke darwāzoṅ ke sāth wāqe godāmoṅ kī pahrādārī karte the. 26 Yih ādmī imām-e-āzam Yūyaqīm bin Yashua bin Yūsadaq, Nahmiyāh Gawarnar aur sharīat ke ālim Azrā Imām ke zamāne meṅ apnī ḳhidmat saranjām dete the. 27 Fasīl kī maḳhsūsiyat ke lie pūre mulk ke Lāwiyoṅ ko Yarūshalam bulāyā gayā tāki wuh ḳhushī manāne meṅ madad karke hamd-o-sanā ke gīt gāeṅ aur jhāṅjh, sitār aur sarod bajāeṅ. 28 Gulūkār Yarūshalam ke gird-o-nawāh se, Natūfātiyoṅ ke dehāt, 29 Bait-jiljāl aur Jibā aur Azmāwat ke ilāqe se āe. Kyoṅki gulūkāroṅ ne apnī apnī ābādiyāṅ Yarūshalam ke irdgird banāī thīṅ. 30 Pahle imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne apne āp ko jashn ke lie pāk-sāf kiyā, phir unhoṅ ne ām logoṅ, darwāzoṅ aur fasīl ko bhī pāk-sāf kar diyā. 31 Is ke bād maiṅ ne Yahūdāh ke qabīle ke buzurgoṅ ko fasīl par chaṛhnī diyā aur gulūkāroṅ ko shukrguzārī ke do baṛe gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. Pahlā guroh fasīl par chalte chalte junūb meṅ wāqe Kachre ke Darwāze kī taraf baṛh gayā. 32 In gulūkāroṅ ke pīchhe Hūsāyāh Yahūdāh ke ādhe buzurgoṅ ke sāth chalā 33 jabki in ke pīchhe Azariyāh, Azrā, Masullām, 34 Yahūdāh, Binyamīn, Samāyāh aur Yarmiyāh chale. 35 Āḳhirī guroh imām the jo turam bajāte rahe. In ke pīchhe zail ke mausīqār āe: Zakariyāh bin Yūnatan bin Samāyāh bin Mattaniyāh bin Mīkāyāh bin Zakkūr bin Āsaf 36 aur us ke bhāī Samāyāh, Azarel, Milalī, Jilalī, Māī, Nataniyel, Yahūdāh aur Hanānī. Yih ādmī mard-e-Ḳhudā Dāūd ke sāz bajāte rahe. Sharīat ke ālim Azrā ne julūs kī rāhnumāī kī. 37 Chashme ke Darwāze ke pās ā kar wuh sīdhe us sīṛhī par chaṛh gae jo Yarūshalam ke us hisse tak pahuṅchātī hai jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. Phir Dāūd ke mahal ke pīchhe se guzar kar wuh shahr ke maġhrib meṅ wāqe Pānī ke Darwāze tak pahuṅch gae. 38 Shukrguzārī kā dūsrā guroh fasīl par chalte chalte shimāl meṅ wāqe Tanūroṅ ke Burj aur ‘Moṭī Dīwār’ kī taraf baṛh gayā, aur maiṅ bāqī logoṅ ke sāth us ke pīchhe ho liyā. 39 Ham Ifrāīm ke Darwāze, Yasānā ke Darwāze, Machhlī ke Darwāze, Hananel ke Burj, Miyā Burj aur Bheṛ ke Darwāze se ho kar Muhāfizoṅ ke Darwāze tak pahuṅch gae jahāṅ ham ruk gae. 40 Phir shukrguzārī ke donoṅ guroh Rab ke ghar ke pās khaṛe ho gae. Maiṅ bhī buzurgoṅ ke ādhe hisse 41 aur zail ke turam bajāne wāle imāmoṅ ke sāth Rab ke ghar ke sahan meṅ khaṛā huā: Iliyāqīm, Māsiyāh, Minyamīn, Mīkāyāh, Iliyuainī, Zakariyāh aur Hananiyāh. 42 Māsiyāh, Samāyāh, Iliyazar, Uzzī, Yūhanān, Malkiyāh, Ailām aur Azar bhī hamāre sāth the. Gulūkār Izraḳhiyāh kī rāhnumāī meṅ hamd-o-sanā ke gīt gāte rahe. 43 Us din zabah kī baṛī baṛī qurbāniyāṅ pesh kī gaīṅ, kyoṅki Allāh ne ham sab ko bāl-bachchoṅ samet baṛī ḳhushī dilāī thī. Ḳhushiyoṅ kā itnā shor mach gayā ki us kī āwāz dūr-darāz ilāqoṅ tak pahuṅch gaī. 44 Us waqt kuchh ādmiyoṅ ko un godāmoṅ ke nigarān banāyā gayā jin meṅ hadiye, fasloṅ kā pahlā phal aur paidāwār kā daswāṅ hissā mahfūz rakhā jātā thā. Un meṅ shahroṅ kī fasloṅ kā wuh hissā jamā karnā thā jo sharīat ne imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke lie muqarrar kiyā thā. Kyoṅki Yahūdāh ke bāshinde ḳhidmat karne wāle imāmoṅ aur Lāwiyoṅ se ḳhush the 45 jo apne Ḳhudā kī ḳhidmat tahārat ke rasm-o-riwāj samet achchhī tarah anjām dete the. Rab ke ghar ke gulūkār aur darbān bhī Dāūd aur us ke beṭe Sulemān kī hidāyāt ke mutābiq hī ḳhidmat karte the. 46 Kyoṅki Dāūd aur Āsaf ke zamāne se hī gulūkāroṅ ke līḍar Allāh kī hamd-o-sanā ke gītoṅ meṅ rāhnumāī karte the. 47 Chunāṅche Zarubbābal aur Nahmiyāh ke dinoṅ meṅ tamām Isrāīl Rab ke ghar ke gulūkāroṅ aur darbānoṅ kī rozānā zarūriyāt pūrī kartā thā. Lāwiyoṅ ko wuh hissā diyā jātā jo un ke lie maḳhsūs thā, aur Lāwī us meṅ se imāmoṅ ko wuh hissā diyā karte the jo un ke lie maḳhsūs thā.

In Other Versions

Nehemiah 12 in the ANGEFD

Nehemiah 12 in the ANTPNG2D

Nehemiah 12 in the AS21

Nehemiah 12 in the BAGH

Nehemiah 12 in the BBPNG

Nehemiah 12 in the BBT1E

Nehemiah 12 in the BDS

Nehemiah 12 in the BEV

Nehemiah 12 in the BHAD

Nehemiah 12 in the BIB

Nehemiah 12 in the BLPT

Nehemiah 12 in the BNT

Nehemiah 12 in the BNTABOOT

Nehemiah 12 in the BNTLV

Nehemiah 12 in the BOATCB

Nehemiah 12 in the BOATCB2

Nehemiah 12 in the BOBCV

Nehemiah 12 in the BOCNT

Nehemiah 12 in the BOECS

Nehemiah 12 in the BOGWICC

Nehemiah 12 in the BOHCB

Nehemiah 12 in the BOHCV

Nehemiah 12 in the BOHLNT

Nehemiah 12 in the BOHNTLTAL

Nehemiah 12 in the BOICB

Nehemiah 12 in the BOILNTAP

Nehemiah 12 in the BOITCV

Nehemiah 12 in the BOKCV

Nehemiah 12 in the BOKCV2

Nehemiah 12 in the BOKHWOG

Nehemiah 12 in the BOKSSV

Nehemiah 12 in the BOLCB

Nehemiah 12 in the BOLCB2

Nehemiah 12 in the BOMCV

Nehemiah 12 in the BONAV

Nehemiah 12 in the BONCB

Nehemiah 12 in the BONLT

Nehemiah 12 in the BONUT2

Nehemiah 12 in the BOPLNT

Nehemiah 12 in the BOSCB

Nehemiah 12 in the BOSNC

Nehemiah 12 in the BOTLNT

Nehemiah 12 in the BOVCB

Nehemiah 12 in the BOYCB

Nehemiah 12 in the BPBB

Nehemiah 12 in the BPH

Nehemiah 12 in the BSB

Nehemiah 12 in the CCB

Nehemiah 12 in the CUV

Nehemiah 12 in the CUVS

Nehemiah 12 in the DBT

Nehemiah 12 in the DGDNT

Nehemiah 12 in the DHNT

Nehemiah 12 in the DNT

Nehemiah 12 in the ELBE

Nehemiah 12 in the EMTV

Nehemiah 12 in the ESV

Nehemiah 12 in the FBV

Nehemiah 12 in the FEB

Nehemiah 12 in the GGMNT

Nehemiah 12 in the GNT

Nehemiah 12 in the HARY

Nehemiah 12 in the HNT

Nehemiah 12 in the IRVA

Nehemiah 12 in the IRVB

Nehemiah 12 in the IRVG

Nehemiah 12 in the IRVH

Nehemiah 12 in the IRVK

Nehemiah 12 in the IRVM

Nehemiah 12 in the IRVM2

Nehemiah 12 in the IRVO

Nehemiah 12 in the IRVP

Nehemiah 12 in the IRVT

Nehemiah 12 in the IRVT2

Nehemiah 12 in the IRVU

Nehemiah 12 in the ISVN

Nehemiah 12 in the JSNT

Nehemiah 12 in the KAPI

Nehemiah 12 in the KBT1ETNIK

Nehemiah 12 in the KBV

Nehemiah 12 in the KJV

Nehemiah 12 in the KNFD

Nehemiah 12 in the LBA

Nehemiah 12 in the LBLA

Nehemiah 12 in the LNT

Nehemiah 12 in the LSV

Nehemiah 12 in the MAAL

Nehemiah 12 in the MBV

Nehemiah 12 in the MBV2

Nehemiah 12 in the MHNT

Nehemiah 12 in the MKNFD

Nehemiah 12 in the MNG

Nehemiah 12 in the MNT

Nehemiah 12 in the MNT2

Nehemiah 12 in the MRS1T

Nehemiah 12 in the NAA

Nehemiah 12 in the NASB

Nehemiah 12 in the NBLA

Nehemiah 12 in the NBS

Nehemiah 12 in the NBVTP

Nehemiah 12 in the NET2

Nehemiah 12 in the NIV11

Nehemiah 12 in the NNT

Nehemiah 12 in the NNT2

Nehemiah 12 in the NNT3

Nehemiah 12 in the PDDPT

Nehemiah 12 in the PFNT

Nehemiah 12 in the RMNT

Nehemiah 12 in the SBIAS

Nehemiah 12 in the SBIBS

Nehemiah 12 in the SBIBS2

Nehemiah 12 in the SBICS

Nehemiah 12 in the SBIDS

Nehemiah 12 in the SBIGS

Nehemiah 12 in the SBIHS

Nehemiah 12 in the SBIIS

Nehemiah 12 in the SBIIS2

Nehemiah 12 in the SBIIS3

Nehemiah 12 in the SBIKS

Nehemiah 12 in the SBIKS2

Nehemiah 12 in the SBIMS

Nehemiah 12 in the SBIOS

Nehemiah 12 in the SBIPS

Nehemiah 12 in the SBISS

Nehemiah 12 in the SBITS

Nehemiah 12 in the SBITS2

Nehemiah 12 in the SBITS3

Nehemiah 12 in the SBITS4

Nehemiah 12 in the SBIUS

Nehemiah 12 in the SBIVS

Nehemiah 12 in the SBT

Nehemiah 12 in the SBT1E

Nehemiah 12 in the SCHL

Nehemiah 12 in the SNT

Nehemiah 12 in the SUSU

Nehemiah 12 in the SUSU2

Nehemiah 12 in the SYNO

Nehemiah 12 in the TBIAOTANT

Nehemiah 12 in the TBT1E

Nehemiah 12 in the TBT1E2

Nehemiah 12 in the TFTIP

Nehemiah 12 in the TFTU

Nehemiah 12 in the TGNTATF3T

Nehemiah 12 in the THAI

Nehemiah 12 in the TNFD

Nehemiah 12 in the TNT

Nehemiah 12 in the TNTIK

Nehemiah 12 in the TNTIL

Nehemiah 12 in the TNTIN

Nehemiah 12 in the TNTIP

Nehemiah 12 in the TNTIZ

Nehemiah 12 in the TOMA

Nehemiah 12 in the TTENT

Nehemiah 12 in the UBG

Nehemiah 12 in the UGV

Nehemiah 12 in the UGV2

Nehemiah 12 in the VBL

Nehemiah 12 in the VDCC

Nehemiah 12 in the YALU

Nehemiah 12 in the YAPE

Nehemiah 12 in the YBVTP

Nehemiah 12 in the ZBP