1 Chronicles 2 (UGV3)
1 Isrāīl ke bārah beṭe Rūbin, Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār, Zabūlūn, 2 Dān, Yūsuf, Binyamīn, Naftālī, Jad aur Āshar the. 3 Yahūdāh kī shādī Kanānī aurat se huī jo Sua kī beṭī thī. Un ke tīn beṭe Er, Onān aur Selā paidā hue. Yahūdāh kā pahlauṭhā Er Rab ke nazdīk sharīr thā, is lie us ne use marne diyā. 4 Yahūdāh ke mazīd do beṭe us kī bahū Tamr se paidā hue. Un ke nām Fāras aur Zārah the. Yoṅ Yahūdāh ke kul pāṅch beṭe the. 5 Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the. 6 Zārah ke pāṅch beṭe Zimrī, Aitān, Haimān, Kalkūl aur Dārā the. 7 Karmī bin Zimrī kā beṭā wuhī Akar yānī Akan thā jis ne us lūṭe hue māl meṅ se kuchh liyā jo Rab ke lie maḳhsūs thā. 8 Aitān ke beṭe kā nām Azariyāh thā. 9 Hasron ke tīn beṭe Yarahmiyel, Rām aur Kalūbī yānī Kālib the. 10 Rām ke hāṅ Ammīnadāb aur Ammīnadāb ke hāṅ Yahūdāh ke qabīle kā sardār Nahson paidā huā. 11 Nahson Salmon kā aur Salmon Boaz kā bāp thā. 12 Boaz Obed kā aur Obed Yassī kā bāp thā. 13 Baṛe se le kar chhoṭe tak Yassī ke beṭe Iliyāb, Abīnadāb, Simā, 14 Nataniyel, Raddī, 15 Ozam aur Dāūd the. Kul sāt bhāī the. 16 Un kī do bahneṅ Zarūyāh aur Abījel thīṅ. Zarūyāh ke tīn beṭe Abīshai, Yoāb aur Asāhel the. 17 Abījel ke ek beṭā Amāsā paidā huā. Bāp Yatar Ismāīlī thā. 18 Kālib bin Hasron kī bīwī Azūbā ke hāṅ beṭī banām Yarīot paidā huī. Yarīot ke beṭe Yashar, Sobāb aur Ardūn the. 19 Azūbā ke wafāt pāne par Kālib ne Ifrāt se shādī kī. Un ke beṭā Hūr paidā huā. 20 Hūr Ūrī kā aur Ūrī Bazliyel kā bāp thā. 21 60 sāl kī umr meṅ Kālib ke bāp Hasron ne dubārā shādī kī. Bīwī Jiliyād ke bāp Makīr kī beṭī thī. Is rishte se beṭā Sajūb paidā huā. 22 22-23 Sajūb kā beṭā wuh Yāīr thā jis kī Jiliyād ke ilāqe meṅ 23 bastiyāṅ banām ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’ thīṅ. Lekin bād meṅ Jasūr aur Shām ke faujiyoṅ ne un par qabzā kar liyā. Us waqt unheṅ Qanāt bhī gird-o-nawāh ke ilāqe samet hāsil huā. Un dinoṅ meṅ kul 60 ābādiyāṅ un ke hāth meṅ ā gaīṅ. In ke tamām bāshinde Jiliyād ke bāp Makīr kī aulād the. 24 Hasron jis kī bīwī Abiyāh thī faut huā to Kālib aur Ifrātā ke hāṅ beṭā Ashhūr paidā huā. Bād meṅ Ashhūr Taqua Shahr kā bānī ban gayā. 25 Hasron ke pahlauṭhe Yarahmiyel ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Rām, Būnā, Oran, Ozam aur Aḳhiyāh the. 26 Yarahmiyel kī dūsrī bīwī Atārā kā ek beṭā Onām thā. 27 Yarahmiyel ke pahlauṭhe Rām ke beṭe Māz, Yamīn aur Eqar the. 28 Onām ke do beṭe Sammī aur Yadā the. Sammī ke do beṭe Nadab aur Abīsūr the. 29 Abīsūr kī bīwī Abīḳhail ke do beṭe Aḳhbān aur Molid paidā hue. 30 Nadab ke do beṭe Silad aur Affāym the. Silad beaulād mar gayā, 31 lekin Affāym ke hāṅ beṭā Yisaī paidā huā. Yisaī Sīsān kā aur Sīsān Aḳhlī kā bāp thā. 32 Sammī ke bhāī Yadā ke do beṭe Yatar aur Yūnatan the. Yatar beaulād mar gayā, 33 lekin Yūnatan ke do beṭe Falat aur Zāzā paidā hue. Sab Yarahmiyel kī aulād the. 34 34-35 Sīsān ke beṭe nahīṅ the balki beṭiyāṅ. Ek beṭī kī shādī us ne apne Misrī ġhulām Yarḳhā se karwāī. Un ke beṭā Attī paidā huā. 36 Attī ke hāṅ Nātan paidā huā aur Nātan ke Zabad, 37 Zabad ke Iflāl, Iflāl ke Obed, 38 Obed ke Yāhū, Yāhū ke Azariyāh, 39 Azariyāh ke Ḳhalis, Ḳhalis ke Iliyāsā, 40 Iliyāsā ke Sismī, Sismī ke Sallūm, 41 Sallūm ke Yaqamiyāh aur Yaqamiyāh ke Ilīsamā. 42 Zail meṅ Yarahmiyel ke bhāī Kālib kī aulād hai: Us kā pahlauṭhā Mesā Zīf kā bāp thā aur dūsrā beṭā Maresā Habrūn kā bāp. 43 Habrūn ke chār beṭe Qorah, Taffuah, Raqam aur Samā the. 44 Samā ke beṭe Raḳham ke hāṅ Yurqiyām paidā huā. Raqam Sammī kā bāp thā, 45 Sammī Maūn kā aur Maūn Bait-sūr kā. 46 Kālib kī dāshtā Aifā ke beṭe Hārān, Mauzā aur Jāziz paidā hue. Hārān ke beṭe kā nām Jāziz thā. 47 Yahdī ke beṭe Rajam, Yūtām, Jesān, Falat, Aifā aur Shāf the. 48 Kālib kī dūsrī dāshtā Mākā ke beṭe Shibar, Tirhanā, 49 Shāf (Madmannā kā bāp) aur Siwā (Makbenā aur Jibiyā kā bāp) paidā hue. Kālib kī ek beṭī bhī thī jis kā nām Aksā thā. 50 Sab Kālib kī aulād the.Ifrātā ke pahlauṭhe Hūr ke beṭe Qiriyat-yārīm kā bāp Sobal, 51 Bait-laham kā bāp Salmā aur Bait-jādir kā bāp Ḳhārif the. 52 Qiriyat-yārīm ke bāp Sobal se yih gharāne nikle: Harāī, Mānahat kā ādhā hissā 53 aur Qiriyat-yārīm ke ḳhāndān Uttarī, Fūtī, Sumātī aur Misrāī. In se Sur'ātī aur Istālī nikle haiṅ. 54 Salmā se zail ke gharāne nikle: Bait-laham ke bāshinde, Natūfātī, Atarāt-bait-yoāb, Mānahat kā ādhā hissā, Sur'ī 55 aur Yābīz meṅ ābād munshiyoṅ ke ḳhāndān Tir'ātī, Sim'ātī aur Sūkātī. Yih sab Qīnī the jo Raikābiyoṅ ke bāp Hammat se nikle the.
In Other Versions
1 Chronicles 2 in the ANTPNG2D
1 Chronicles 2 in the BNTABOOT
1 Chronicles 2 in the BOHNTLTAL
1 Chronicles 2 in the BOILNTAP
1 Chronicles 2 in the KBT1ETNIK
1 Chronicles 2 in the TBIAOTANT