1 Kings 10 (UGV3)

1 Sulemān kī shohrat Sabā kī malikā tak pahuṅch gaī. Jab us ne us ke bāre meṅ sunā aur yih bhī ki us ne Rab ke nām ke lie kyā kuchh kiyā hai to wuh Sulemān se milne ke lie rawānā huī tāki use mushkil paheliyāṅ pesh karke us kī dānishmandī jāṅch le. 2 Wuh nihāyat baṛe qāfile ke sāth Yarūshalam pahuṅchī jis ke ūṅṭ balsān, kasrat ke sone aur qīmtī jawāhar se lade hue the.Malikā kī Sulemān se mulāqāt huī to us ne us se wuh tamām mushkil sawālāt pūchhe jo us ke zahan meṅ the. 3 Sulemān us ke har sawāl kā jawāb de sakā. Koī bhī bāt itnī pechīdā nahīṅ thī ki bādshāh us kā matlab malikā ko batā na saktā. 4 Sabā kī malikā Sulemān kī wasī hikmat aur us ke nae mahal se bahut muta'assir huī. 5 Us ne bādshāh kī mezoṅ par ke muḳhtalif khāne dekhe aur yih ki us ke afsar kis tartīb se us par biṭhāe jāte the. Us ne bairoṅ kī ḳhidmat, un kī shāndār wardiyoṅ aur sāqiyoṅ par bhī ġhaur kiyā. Jab us ne in bātoṅ ke alāwā bhasm hone wālī wuh qurbāniyāṅ bhī dekhīṅ jo Sulemān Rab ke ghar meṅ chaṛhātā thā to malikā hakkā-bakkā rah gaī. 6 Wuh bol uṭhī, “Wāqaī, jo kuchh maiṅ ne apne mulk meṅ āp ke shāhkāroṅ aur hikmat ke bāre meṅ sunā thā wuh durust hai. 7 Jab tak maiṅ ne ḳhud ā kar yih sab kuchh apnī āṅkhoṅ se na dekhā mujhe yaqīn nahīṅ ātā thā. Balki haqīqat meṅ mujhe āp ke bāre meṅ ādhā bhī nahīṅ batāyā gayā thā. Āp kī hikmat aur daulat un riporṭoṅ se kahīṅ zyādā hai jo mujh tak pahuṅchī thīṅ. 8 Āp ke log kitne mubārak haiṅ! Āp ke afsar kitne mubārak haiṅ jo musalsal āp ke sāmne khaṛe rahte aur āp kī dānish bharī bāteṅ sunte haiṅ! 9 Rab āp ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ne āp ko pasand karke Isrāīl ke taḳht par biṭhāyā hai. Rab Isrāīl se abadī muhabbat rakhtā hai, isī lie us ne āp ko bādshāh banā diyā hai tāki insāf aur rāstbāzī qāym rakheṅ.” 10 Phir malikā ne Sulemān ko taqrīban 4,000 kilogrām sonā, bahut zyādā balsān aur jawāhar die. Bād meṅ kabhī bhī utnā balsān Isrāīl meṅ nahīṅ lāyā gayā jitnā us waqt Sabā kī malikā lāī. 11 Hīrām ke jahāz Ofīr se na sirf sonā lāe balki unhoṅ ne qīmtī lakaṛī aur jawāhar bhī baṛī miqdār meṅ Isrāīl tak pahuṅchāe. 12 Jitnī qīmtī lakaṛī un dinoṅ meṅ darāmad huī utnī āj tak kabhī Yahūdāh meṅ nahīṅ lāī gaī. Is lakaṛī se bādshāh ne Rab ke ghar aur apne mahal ke lie kaṭahre banwāe. Yih mausīqāroṅ ke sarod aur sitār banāne ke lie bhī istemāl huī. 13 Sulemān Bādshāh ne apnī taraf se Sabā kī malikā ko bahut-se tohfe die. Nīz, jo kuchh bhī malikā chāhtī thī yā us ne māṅgā wuh use diyā gayā. Phir wuh apne naukar-chākaroṅ aur afsaroṅ ke hamrāh apne watan wāpas chalī gaī. 14 Jo sonā Sulemān ko sālānā miltā thā us kā wazn taqrīban 23,000 kilogrām thā. 15 Is meṅ wuh ṭaiks shāmil nahīṅ the jo use saudāgaroṅ, tājiroṅ, Arab bādshāhoṅ aur ziloṅ ke afsaroṅ se milte the. 16 16-17 Sulemān Bādshāh ne 200 baṛī aur 300 chhoṭī ḍhāleṅ banwāīṅ. Un par sonā manḍhā gayā. Har baṛī ḍhāl ke lie taqrīban 7 kilogrām sonā istemāl huā aur har chhoṭī ḍhāl ke lie taqrīban sāṛhe 3 kilogrām. Sulemān ne unheṅ ‘Lubnān kā Jangal’ nāmī mahal meṅ mahfūz rakhā. 18 In ke alāwā bādshāh ne hāthīdāṅt se ārāstā ek baṛā taḳht banwāyā jis par ḳhālis sonā chaṛhāyā gayā. 19 19-20 Taḳht kī pusht kā ūpar kā hissā gol thā, aur us ke har bāzū ke sāth sherbabar kā mujassamā thā. Taḳht kuchh ūṅchā thā, aur bādshāh chhih pāe wālī sīṛhī par chaṛh kar us par baiṭhtā thā. Dāīṅ aur bāīṅ taraf har pāe par sherbabar kā mujassamā thā. Is qism kā taḳht kisī aur saltanat meṅ nahīṅ pāyā jātā thā. 21 Sulemān ke tamām pyāle sone ke the, balki ‘Lubnān kā Jangal’ nāmī mahal meṅ tamām bartan ḳhālis sone ke the. Koī bhī chīz chāṅdī kī nahīṅ thī, kyoṅki Sulemān ke zamāne meṅ chāṅdī kī koī qadar nahīṅ thī. 22 Bādshāh ke apne bahrī jahāz the jo Hīrām ke jahāzoṅ ke sāth mil kar muḳhtalif jaghoṅ par jāte the. Har tīn sāl ke bād wuh sone-chāṅdī, hāthīdāṅt, bandaroṅ aur moroṅ se lade hue wāpas āte the. 23 Sulemān kī daulat aur hikmat duniyā ke tamām bādshāhoṅ se kahīṅ zyādā thī. 24 Pūrī duniyā us se milne kī koshish kartī rahī tāki wuh hikmat sun le jo Allāh ne us ke dil meṅ ḍāl dī thī. 25 Sāl basāl jo bhī Sulemān ke darbār meṅ ātā wuh koī na koī tohfā lātā. Yoṅ use sone-chāṅdī ke bartan, qīmtī libās, hathiyār, balsān, ghoṛe aur ḳhachchar milte rahe. 26 Sulemān ke 1,400 rath aur 12,000 ghoṛe the. Kuchh us ne rathoṅ ke lie maḳhsūs kie gae shahroṅ meṅ aur kuchh Yarūshalam meṅ apne pās rakhe. 27 Bādshāh kī sargarmiyoṅ ke bāis chāṅdī patthar jaisī ām ho gaī aur deodār kī qīmtī lakaṛī Yahūdāh ke maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe kī anjīr-tūt kī sastī lakaṛī jaisī ām ho gaī. 28 Bādshāh apne ghoṛe Misr aur que yānī Kilikiyā se darāmad kartā thā. Us ke tājir in jaghoṅ par jā kar unheṅ ḳharīd lāte the. 29 Bādshāh ke rath Misr se darāmad hote the. Har rath kī qīmat chāṅdī ke 600 sikke aur har ghoṛe kī qīmat chāṅdī ke 150 sikke thī. Sulemān ke tājir yih ghoṛe barāmad karte hue tamām Hittī aur Arāmī bādshāhoṅ tak bhī pahuṅchāte the.

In Other Versions

1 Kings 10 in the ANGEFD

1 Kings 10 in the ANTPNG2D

1 Kings 10 in the AS21

1 Kings 10 in the BAGH

1 Kings 10 in the BBPNG

1 Kings 10 in the BBT1E

1 Kings 10 in the BDS

1 Kings 10 in the BEV

1 Kings 10 in the BHAD

1 Kings 10 in the BIB

1 Kings 10 in the BLPT

1 Kings 10 in the BNT

1 Kings 10 in the BNTABOOT

1 Kings 10 in the BNTLV

1 Kings 10 in the BOATCB

1 Kings 10 in the BOATCB2

1 Kings 10 in the BOBCV

1 Kings 10 in the BOCNT

1 Kings 10 in the BOECS

1 Kings 10 in the BOGWICC

1 Kings 10 in the BOHCB

1 Kings 10 in the BOHCV

1 Kings 10 in the BOHLNT

1 Kings 10 in the BOHNTLTAL

1 Kings 10 in the BOICB

1 Kings 10 in the BOILNTAP

1 Kings 10 in the BOITCV

1 Kings 10 in the BOKCV

1 Kings 10 in the BOKCV2

1 Kings 10 in the BOKHWOG

1 Kings 10 in the BOKSSV

1 Kings 10 in the BOLCB

1 Kings 10 in the BOLCB2

1 Kings 10 in the BOMCV

1 Kings 10 in the BONAV

1 Kings 10 in the BONCB

1 Kings 10 in the BONLT

1 Kings 10 in the BONUT2

1 Kings 10 in the BOPLNT

1 Kings 10 in the BOSCB

1 Kings 10 in the BOSNC

1 Kings 10 in the BOTLNT

1 Kings 10 in the BOVCB

1 Kings 10 in the BOYCB

1 Kings 10 in the BPBB

1 Kings 10 in the BPH

1 Kings 10 in the BSB

1 Kings 10 in the CCB

1 Kings 10 in the CUV

1 Kings 10 in the CUVS

1 Kings 10 in the DBT

1 Kings 10 in the DGDNT

1 Kings 10 in the DHNT

1 Kings 10 in the DNT

1 Kings 10 in the ELBE

1 Kings 10 in the EMTV

1 Kings 10 in the ESV

1 Kings 10 in the FBV

1 Kings 10 in the FEB

1 Kings 10 in the GGMNT

1 Kings 10 in the GNT

1 Kings 10 in the HARY

1 Kings 10 in the HNT

1 Kings 10 in the IRVA

1 Kings 10 in the IRVB

1 Kings 10 in the IRVG

1 Kings 10 in the IRVH

1 Kings 10 in the IRVK

1 Kings 10 in the IRVM

1 Kings 10 in the IRVM2

1 Kings 10 in the IRVO

1 Kings 10 in the IRVP

1 Kings 10 in the IRVT

1 Kings 10 in the IRVT2

1 Kings 10 in the IRVU

1 Kings 10 in the ISVN

1 Kings 10 in the JSNT

1 Kings 10 in the KAPI

1 Kings 10 in the KBT1ETNIK

1 Kings 10 in the KBV

1 Kings 10 in the KJV

1 Kings 10 in the KNFD

1 Kings 10 in the LBA

1 Kings 10 in the LBLA

1 Kings 10 in the LNT

1 Kings 10 in the LSV

1 Kings 10 in the MAAL

1 Kings 10 in the MBV

1 Kings 10 in the MBV2

1 Kings 10 in the MHNT

1 Kings 10 in the MKNFD

1 Kings 10 in the MNG

1 Kings 10 in the MNT

1 Kings 10 in the MNT2

1 Kings 10 in the MRS1T

1 Kings 10 in the NAA

1 Kings 10 in the NASB

1 Kings 10 in the NBLA

1 Kings 10 in the NBS

1 Kings 10 in the NBVTP

1 Kings 10 in the NET2

1 Kings 10 in the NIV11

1 Kings 10 in the NNT

1 Kings 10 in the NNT2

1 Kings 10 in the NNT3

1 Kings 10 in the PDDPT

1 Kings 10 in the PFNT

1 Kings 10 in the RMNT

1 Kings 10 in the SBIAS

1 Kings 10 in the SBIBS

1 Kings 10 in the SBIBS2

1 Kings 10 in the SBICS

1 Kings 10 in the SBIDS

1 Kings 10 in the SBIGS

1 Kings 10 in the SBIHS

1 Kings 10 in the SBIIS

1 Kings 10 in the SBIIS2

1 Kings 10 in the SBIIS3

1 Kings 10 in the SBIKS

1 Kings 10 in the SBIKS2

1 Kings 10 in the SBIMS

1 Kings 10 in the SBIOS

1 Kings 10 in the SBIPS

1 Kings 10 in the SBISS

1 Kings 10 in the SBITS

1 Kings 10 in the SBITS2

1 Kings 10 in the SBITS3

1 Kings 10 in the SBITS4

1 Kings 10 in the SBIUS

1 Kings 10 in the SBIVS

1 Kings 10 in the SBT

1 Kings 10 in the SBT1E

1 Kings 10 in the SCHL

1 Kings 10 in the SNT

1 Kings 10 in the SUSU

1 Kings 10 in the SUSU2

1 Kings 10 in the SYNO

1 Kings 10 in the TBIAOTANT

1 Kings 10 in the TBT1E

1 Kings 10 in the TBT1E2

1 Kings 10 in the TFTIP

1 Kings 10 in the TFTU

1 Kings 10 in the TGNTATF3T

1 Kings 10 in the THAI

1 Kings 10 in the TNFD

1 Kings 10 in the TNT

1 Kings 10 in the TNTIK

1 Kings 10 in the TNTIL

1 Kings 10 in the TNTIN

1 Kings 10 in the TNTIP

1 Kings 10 in the TNTIZ

1 Kings 10 in the TOMA

1 Kings 10 in the TTENT

1 Kings 10 in the UBG

1 Kings 10 in the UGV

1 Kings 10 in the UGV2

1 Kings 10 in the VBL

1 Kings 10 in the VDCC

1 Kings 10 in the YALU

1 Kings 10 in the YAPE

1 Kings 10 in the YBVTP

1 Kings 10 in the ZBP