Daniel 3 (UGV3)

1 Ek din Nabūkadnazzar ne sone kā mujassamā banwāyā. Us kī ūṅchāī 90 fuṭ aur chauṛāī 9 fuṭ thī. Us ne hukm diyā ki but ko sūbā Bābal ke maidān banām dūrā meṅ khaṛā kiyā jāe. 2 Phir us ne tamām sūbedāroṅ, gawarnaroṅ, muntazimoṅ, mushīroṅ, ḳhazānchiyoṅ, jajoṅ, majisṭreṭoṅ, aur sūboṅ ke dīgar tamām baṛe baṛe sarkārī mulāzimoṅ ko paiġhām bhejā ki mujassame kī maḳhsūsiyat ke lie ā kar jamā ho jāo. 3 Chunāṅche sab but kī maḳhsūsiyat ke lie jamā ho gae. Jab sab us ke sāmne khaṛe the 4 to shāhī naqīb ne buland āwāz se elān kiyā,“Ai muḳhtalif qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke logo, suno! Bādshāh farmātā hai, 5 ‘Jyoṅ hī narsingā, shahnāī, santūr, sarod, ūd, bīn aur dīgar tamām sāz bajeṅge to lāzim hai ki sab aundhe muṅh ho kar bādshāh ke khaṛe kie gae sone ke but ko sijdā kareṅ. 6 Jo bhī sijdā na kare use fauran bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā jāegā.’” 7 Chunāṅche jyoṅ hī sāz bajne lage to muḳhtalif qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke tamām log muṅh ke bal ho kar Nabūkadnazzar ke khaṛe kie gae but ko sijdā karne lage. 8 Us waqt kuchh najūmī bādshāh ke pās ā kar Yahūdiyoṅ par ilzām lagāne lage. 9 Wuh bole, “Bādshāh salāmat abad tak jīte raheṅ! 10 Ai bādshāh, āp ne farmāyā, ‘Jyoṅ hī narsingā, shahnāī, santūr, sarod, ūd, bīn aur dīgar tamām sāz bajeṅge to lāzim hai ki sab aundhe muṅh ho kar bādshāh ke khaṛe kie gae is sone ke but ko sijdā kareṅ. 11 Jo bhī sijdā na kare use bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā jāegā.’ 12 Lekin kuchh Yahūdī ādmī haiṅ jo āp kī parwā hī nahīṅ karte, hālāṅki āp ne unheṅ sūbā Bābal kī intazāmiyā par muqarrar kiyā thā. Yih ādmī banām Sadrak, Mīsak aur Abadnajū na āp ke dewatāoṅ kī pūjā karte, na sone ke us but kī parastish karte haiṅ jo āp ne khaṛā kiyā hai.” 13 Yih sun kar Nabūkadnazzar āpe se bāhar ho gayā. Us ne sīdhā Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko bulāyā. Jab pahuṅche 14 to bolā, “Ai Sadrak, Mīsak aur Abadnajū, kyā yih sahīh hai ki na tum mere dewatāoṅ kī pūjā karte, na mere khaṛe kie gae mujassame kī parastish karte ho? 15 Maiṅ tumheṅ ek āḳhirī mauqā detā hūṅ. Sāz dubārā bajeṅge to tumheṅ muṅh ke bal ho kar mere banwāe hue mujassame ko sijdā karnā hai. Agar tum aisā na karo to tumheṅ sīdhā bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā jāegā. Tab kaun-sā Ḳhudā tumheṅ mere hāth se bachā sakegā?” 16 Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ne jawāb diyā, “Ai Nabūkadnazzar, is muāmale meṅ hameṅ apnā difā karne kī zarūrat nahīṅ hai. 17 Jis Ḳhudā kī ḳhidmat ham karte haiṅ wuh hameṅ bachā saktā hai, ḳhāh hameṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ kyoṅ na phaiṅkā jāe. Ai bādshāh, wuh hameṅ zarūr āp ke hāth se bachāegā. 18 Lekin agar wuh hameṅ na bhī bachāe to bhī āp ko mālūm ho ki na ham āp ke dewatāoṅ kī pūjā kareṅge, na āp ke khaṛe kie gae sone ke mujassame kī parastish kareṅge.” 19 Yih sun kar Nabūkadnazzar āg-bagūlā ho gayā. Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ke sāmne us kā chehrā bigaṛ gayā aur us ne hukm diyā ki bhaṭṭī ko māmūl kī nisbat sāt gunā zyādā garm kiyā jāe. 20 Phir us ne kahā ki behtarīn faujiyoṅ meṅ se chand ek Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko bāndh kar bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅ. 21 Tīnoṅ ko bāndh kar bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā gayā. Un ke choġhe, pājāme aur ṭopiyāṅ utārī na gaīṅ. 22 Chūṅki bādshāh ne bhaṭṭī ko garm karne par ḳhās zor diyā thā is lie āg itnī tez huī ki jo faujī Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko le kar bhaṭṭī ke muṅh tak chaṛh gae wuh fauran nazar-e-ātish ho gae. 23 Un ke qaidī bandhī huī hālat meṅ sholāzan āg meṅ gir gae. 24 Achānak Nabūkadnazzar Bādshāh chaunk uṭhā. Us ne uchhal kar apne mushīroṅ se pūchhā, “Ham ne to tīn ādmiyoṅ ko bāndh kar bhaṭṭī meṅ phaiṅkwāyā ki nahīṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jī, ai bādshāh.” 25 Wuh bolā, “To phir yih kyā hai? Mujhe chār ādmī āg meṅ idhar-udhar phirte hue nazar ā rahe haiṅ. Na wuh bandhe hue haiṅ, na unheṅ nuqsān pahuṅch rahā hai. Chauthā ādmī dewatāoṅ kā beṭā-sā lag rahā hai.” 26 Nabūkadnazzar jaltī huī bhaṭṭī ke muṅh ke qarīb gayā aur pukārā, “Ai Sadrak, Mīsak aur Abadnajū, ai Allāh T'ālā ke bando, nikal āo! Idhar āo.” Tab Sadrak, Mīsak aur Abadnajū āg se nikal āe. 27 Sūbedār, gawarnar, muntazim aur shāhī mushīr un ke gird jamā hue to dekhā ki āg ne un ke jismoṅ ko nuqsān nahīṅ pahuṅchāyā. Bāloṅ meṅ se ek bhī jhulas nahīṅ gayā thā, na un ke libās āg se muta'assir hue the. Āg aur dhueṅ kī bū tak nahīṅ thī. 28 Tab Nabūkadnazzar bolā, “Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ne apne farishte ko bhej kar apne bandoṅ ko bachāyā. Unhoṅ ne us par bharosā rakh kar bādshāh ke hukm kī nāfarmānī kī. Apne Ḳhudā ke siwā kisī aur kī ḳhidmat yā parastish karne se pahle wuh apnī jān ko dene ke lie taiyār the. 29 Chunāṅche merā hukm suno! Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ke Ḳhudā ke ḳhilāf kufr baknā tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke afrād ke lie saḳht manā hai. Jo bhī aisā kare use ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāegā aur us ke ghar ko kachre kā ḍher banāyā jāegā. Kyoṅki koī bhī dewatā is tarah nahīṅ bachā saktā.” 30 Phir bādshāh ne tīnoṅ ādmiyoṅ ko sūbā Bābal meṅ sarfarāz kiyā.

In Other Versions

Daniel 3 in the ANGEFD

Daniel 3 in the ANTPNG2D

Daniel 3 in the AS21

Daniel 3 in the BAGH

Daniel 3 in the BBPNG

Daniel 3 in the BBT1E

Daniel 3 in the BDS

Daniel 3 in the BEV

Daniel 3 in the BHAD

Daniel 3 in the BIB

Daniel 3 in the BLPT

Daniel 3 in the BNT

Daniel 3 in the BNTABOOT

Daniel 3 in the BNTLV

Daniel 3 in the BOATCB

Daniel 3 in the BOATCB2

Daniel 3 in the BOBCV

Daniel 3 in the BOCNT

Daniel 3 in the BOECS

Daniel 3 in the BOGWICC

Daniel 3 in the BOHCB

Daniel 3 in the BOHCV

Daniel 3 in the BOHLNT

Daniel 3 in the BOHNTLTAL

Daniel 3 in the BOICB

Daniel 3 in the BOILNTAP

Daniel 3 in the BOITCV

Daniel 3 in the BOKCV

Daniel 3 in the BOKCV2

Daniel 3 in the BOKHWOG

Daniel 3 in the BOKSSV

Daniel 3 in the BOLCB

Daniel 3 in the BOLCB2

Daniel 3 in the BOMCV

Daniel 3 in the BONAV

Daniel 3 in the BONCB

Daniel 3 in the BONLT

Daniel 3 in the BONUT2

Daniel 3 in the BOPLNT

Daniel 3 in the BOSCB

Daniel 3 in the BOSNC

Daniel 3 in the BOTLNT

Daniel 3 in the BOVCB

Daniel 3 in the BOYCB

Daniel 3 in the BPBB

Daniel 3 in the BPH

Daniel 3 in the BSB

Daniel 3 in the CCB

Daniel 3 in the CUV

Daniel 3 in the CUVS

Daniel 3 in the DBT

Daniel 3 in the DGDNT

Daniel 3 in the DHNT

Daniel 3 in the DNT

Daniel 3 in the ELBE

Daniel 3 in the EMTV

Daniel 3 in the ESV

Daniel 3 in the FBV

Daniel 3 in the FEB

Daniel 3 in the GGMNT

Daniel 3 in the GNT

Daniel 3 in the HARY

Daniel 3 in the HNT

Daniel 3 in the IRVA

Daniel 3 in the IRVB

Daniel 3 in the IRVG

Daniel 3 in the IRVH

Daniel 3 in the IRVK

Daniel 3 in the IRVM

Daniel 3 in the IRVM2

Daniel 3 in the IRVO

Daniel 3 in the IRVP

Daniel 3 in the IRVT

Daniel 3 in the IRVT2

Daniel 3 in the IRVU

Daniel 3 in the ISVN

Daniel 3 in the JSNT

Daniel 3 in the KAPI

Daniel 3 in the KBT1ETNIK

Daniel 3 in the KBV

Daniel 3 in the KJV

Daniel 3 in the KNFD

Daniel 3 in the LBA

Daniel 3 in the LBLA

Daniel 3 in the LNT

Daniel 3 in the LSV

Daniel 3 in the MAAL

Daniel 3 in the MBV

Daniel 3 in the MBV2

Daniel 3 in the MHNT

Daniel 3 in the MKNFD

Daniel 3 in the MNG

Daniel 3 in the MNT

Daniel 3 in the MNT2

Daniel 3 in the MRS1T

Daniel 3 in the NAA

Daniel 3 in the NASB

Daniel 3 in the NBLA

Daniel 3 in the NBS

Daniel 3 in the NBVTP

Daniel 3 in the NET2

Daniel 3 in the NIV11

Daniel 3 in the NNT

Daniel 3 in the NNT2

Daniel 3 in the NNT3

Daniel 3 in the PDDPT

Daniel 3 in the PFNT

Daniel 3 in the RMNT

Daniel 3 in the SBIAS

Daniel 3 in the SBIBS

Daniel 3 in the SBIBS2

Daniel 3 in the SBICS

Daniel 3 in the SBIDS

Daniel 3 in the SBIGS

Daniel 3 in the SBIHS

Daniel 3 in the SBIIS

Daniel 3 in the SBIIS2

Daniel 3 in the SBIIS3

Daniel 3 in the SBIKS

Daniel 3 in the SBIKS2

Daniel 3 in the SBIMS

Daniel 3 in the SBIOS

Daniel 3 in the SBIPS

Daniel 3 in the SBISS

Daniel 3 in the SBITS

Daniel 3 in the SBITS2

Daniel 3 in the SBITS3

Daniel 3 in the SBITS4

Daniel 3 in the SBIUS

Daniel 3 in the SBIVS

Daniel 3 in the SBT

Daniel 3 in the SBT1E

Daniel 3 in the SCHL

Daniel 3 in the SNT

Daniel 3 in the SUSU

Daniel 3 in the SUSU2

Daniel 3 in the SYNO

Daniel 3 in the TBIAOTANT

Daniel 3 in the TBT1E

Daniel 3 in the TBT1E2

Daniel 3 in the TFTIP

Daniel 3 in the TFTU

Daniel 3 in the TGNTATF3T

Daniel 3 in the THAI

Daniel 3 in the TNFD

Daniel 3 in the TNT

Daniel 3 in the TNTIK

Daniel 3 in the TNTIL

Daniel 3 in the TNTIN

Daniel 3 in the TNTIP

Daniel 3 in the TNTIZ

Daniel 3 in the TOMA

Daniel 3 in the TTENT

Daniel 3 in the UBG

Daniel 3 in the UGV

Daniel 3 in the UGV2

Daniel 3 in the VBL

Daniel 3 in the VDCC

Daniel 3 in the YALU

Daniel 3 in the YAPE

Daniel 3 in the YBVTP

Daniel 3 in the ZBP