Ezra 2 (UGV3)
1 Zail meṅ Yahūdāh ke un logoṅ kī fahrist hai jo jilāwatanī se wāpas āe. Bābal kā bādshāh Nabūkadnazzar unheṅ qaid karke Bābal le gayā thā, lekin ab wuh Yarūshalam aur Yahūdāh ke un shahroṅ meṅ phir jā base jahāṅ un ke ḳhāndān pahle rahte the. 2 Un ke rāhnumā Zarubbābal, Yashua, Nahmiyāh, Sirāyāh, Rālāyāh, Mardakī, Bilshān, Misfār, Bigwī, Rahūm aur Bānā the. Zail kī fahrist meṅ wāpas āe hue ḳhāndānoṅ ke mard bayān kie gae haiṅ. 3 Parūs kā ḳhāndān: 2,172, 4 Safatiyāh kā ḳhāndān: 372, 5 Araḳh kā ḳhāndān: 775, 6 Pakhat-moāb kā ḳhāndān yānī Yashua aur Yoāb kī aulād: 2,812, 7 Ailām kā ḳhāndān: 1,254, 8 Zattū kā ḳhāndān: 945, 9 Zakkī kā ḳhāndān: 760, 10 Bānī kā ḳhāndān: 642, 11 Babī kā ḳhāndān: 623, 12 Azjād kā ḳhāndān: 1,222, 13 Adūniqām kā ḳhāndān: 666, 14 Bigwī kā ḳhāndān: 2,056, 15 Adīn kā ḳhāndān: 454, 16 Atīr kā ḳhāndān yānī Hizqiyāh kī aulād: 98, 17 Bazī kā ḳhāndān: 323, 18 Yūrā kā ḳhāndān: 112, 19 Hāshūm kā ḳhāndān: 223, 20 Jibbār kā ḳhāndān: 95, 21 Bait-laham ke bāshinde: 123, 22 Natūfā ke 56 bāshinde, 23 Anatot ke bāshinde: 128, 24 Azmāwat ke bāshinde: 42, 25 Qiriyat-yārīm, Kafīrā aur Bairot ke bāshinde: 743, 26 Rāmā aur Jibā ke bāshinde: 621, 27 Mikmās ke bāshinde: 122, 28 Baitel aur Aī ke bāshinde: 223, 29 Nabū ke bāshinde: 52, 30 Majbīs ke bāshinde: 156, 31 Dūsre Ailām ke bāshinde: 1,254, 32 Hārim ke bāshinde: 320, 33 Lūd, Hādīd aur Onūs ke bāshinde: 725, 34 Yarīhū ke bāshinde: 345, 35 Sanā'āh ke bāshinde: 3,630. 36 Zail ke imām jilāwatanī se wāpas āe.Yadāyāh kā ḳhāndān jo Yashua kī nasl kā thā: 973, 37 Immer kā ḳhāndān: 1,052, 38 Fashhūr kā ḳhāndān: 1,247, 39 Hārim kā ḳhāndān: 1,017. 40 Zail ke Lāwī jilāwatanī se wāpas āe. Yashua aur Qadmiyel kā ḳhāndān yānī Hūdāwiyāh kī aulād: 74, 41 Gulūkār: Āsaf ke ḳhāndān ke 128 ādmī, 42 Rab ke ghar ke darbān: Sallūm, Atīr, Talmūn, Aqqūb, Ḳhatītā aur Sobī ke ḳhāndānoṅ ke 139 ādmī. 43 Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe.Zīhā, Hasūfā, Tabbāot, 44 Qarūs, Siyāhā, Fadūn, 45 Libānā, Hajābā, Aqqūb, 46 Hajāb, Shalmī, Hanān, 47 Jiddel, Jahar, Riyāyāh, 48 Razīn, Naqūdā, Jazzām, 49 Uzzā, Fāsih, Basī, 50 Asnā, Maūnīm, Nafūsīm, 51 Baqbūq, Haqūfā, Harhūr, 52 Bazlūt, Mahīdā, Harshā, 53 Barqūs, Sīsarā, Tāmah, 54 Naziyāh aur Ḳhatīfā. 55 Sulemān ke ḳhādimoṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe.Sūtī, Sūfirat, Farūdā, 56 Yālā, Darqūn, Jiddel, 57 Safatiyāh, Ḳhattīl, Fūkirat-zabāym aur Amī. 58 Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ aur Sulemān ke ḳhādimoṅ ke ḳhāndānoṅ meṅ se wāpas āe hue mardoṅ kī tādād 392 thī. 59 59-60 Wāpas āe hue ḳhāndānoṅ Dilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke 652 mard sābit na kar sake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal-milah, Tal-harshā, Karūb, Addūn aur Immer ke rahne wāle the. 61 61-62 Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) 63 Yahūdāh ke gawarnar ne hukm diyā ki in tīn ḳhāndānoṅ ke imām filhāl qurbāniyoṅ kā wuh hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke lie muqarrar hai. Jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīm nāmī qurā ḍāl kar muāmalā hal kare. 64 Kul 42,360 Isrāīlī apne watan lauṭ āe, 65 nīz un ke 7,337 ġhulām aur launḍiyāṅ aur 200 gulūkār jin meṅ mard-o-ḳhawātīn shāmil the. 66 Isrāīliyoṅ ke pās 736 ghoṛe, 245 ḳhachchar, 67 435 ūṅṭ aur 6,720 gadhe the. 68 Jab wuh Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ke pās pahuṅche to kuchh ḳhāndānī sarparastoṅ ne apnī ḳhushī se hadiye die tāki Allāh kā ghar nae sire se us jagah tāmīr kiyā jā sake jahāṅ pahle thā. 69 Har ek ne utnā de diyā jitnā de sakā. Us waqt sone ke kul 61,000 sikke, chāṅdī ke 2,800 kilogrām aur imāmoṅ ke 100 libās jamā hue. 70 Imām, Lāwī, gulūkār, Rab ke ghar ke darbān aur ḳhidmatgār, aur awām ke kuchh log apnī apnī ābāī ābādiyoṅ meṅ dubārā jā base. Yoṅ tamām Isrāīlī dubārā apne apne shahroṅ meṅ rahne lage.