Judges 7 (UGV3)

1 Subah-sawere Yarubbāl yānī Jidāūn apne tamām logoṅ ko sāth le kar harod chashme ke pās āyā. Wahāṅ unhoṅ ne apne ḍere lagāe. Midiyāniyoṅ ne apnī ḳhaimāgāh un ke shimāl meṅ Morih Pahāṛ ke dāman meṅ lagāī huī thī. 2 Rab ne Jidāūn se kahā, “Tere pās zyādā log haiṅ! Maiṅ is qism ke baṛe lashkar ko Midiyāniyoṅ par fatah nahīṅ dūṅgā, warnā Isrāīlī mere sāmne ḍīṅgeṅ mār kar kaheṅge, ‘Ham ne apnī hī tāqat se apne āp ko bachāyā hai!’ 3 Is lie lashkargāh meṅ elān kar ki jo ḍar ke māre pareshān ho wuh apne ghar wāpas chalā jāe.” Jidāūn ne yoṅ kiyā to 22,000 mard wāpas chale gae jabki 10,000 Jidāūn ke pās rahe. 4 Lekin Rab ne dubārā Jidāūn se bāt kī, “Abhī tak zyādā log haiṅ! In ke sāth utar kar chashme ke pās jā. Wahāṅ maiṅ unheṅ jāṅch kar un ko muqarrar karūṅga jinheṅ tere sāth jānā hai.” 5 Chunāṅche Jidāūn apne ādmiyoṅ ke sāth chashme ke pās utar āyā. Rab ne use hukm diyā, “Jo bhī apnā hāth pānī se bhar kar use kutte kī tarah chāṭ le use ek taraf khaṛā kar. Dūsrī taraf unheṅ khaṛā kar jo ghuṭne ṭek kar pānī pīte haiṅ.” 6 300 ādmiyoṅ ne apnā hāth pānī se bhar kar use chāṭ liyā jabki bāqī sab pīne ke lie jhuk gae. 7 Phir Rab ne Jidāūn se farmāyā, “Maiṅ in 300 chāṭne wāle ādmiyoṅ ke zariye Isrāīl ko bachā kar Midiyāniyoṅ ko tere hawāle kar dūṅgā. Bāqī tamām mardoṅ ko fāriġh kar. Wuh sab apne apne ghar wāpas chale jāeṅ.” 8 Chunāṅche Jidāūn ne bāqī tamām ādmiyoṅ ko fāriġh kar diyā. Sirf muqarrarā 300 mard rah gae. Ab yih dūsroṅ kī ḳhurāk aur narsinge apne pās rakh kar jang ke lie taiyār hue. Us waqt Midiyānī ḳhaimāgāh Isrāīliyoṅ ke nīche wādī meṅ thī. 9 Jab rāt huī to Rab Jidāūn se hamkalām huā, “Uṭh, Midiyānī ḳhaimāgāh ke pās utar kar us par hamlā kar, kyoṅki maiṅ use tere hāth meṅ de dūṅgā. 10 Lekin agar tū is se ḍartā hai to pahle apne naukar Fūrāh ke sāth utar kar 11 wuh bāteṅ sun le jo wahāṅ ke log kah rahe haiṅ. Tab un par hamlā karne kī jurrat baṛh jāegī.”Jidāūn Fūrāh ke sāth ḳhaimāgāh ke kināre ke pās utar āyā. 12 Midiyānī, Amālīqī aur mashriq ke dīgar faujī ṭiḍḍiyoṅ ke dal kī tarah wādī meṅ phaile hue the. Un ke ūṅṭ sāhil kī ret kī tarah beshumār the. 13 Jidāūn dabe pāṅw dushman ke itne qarīb pahuṅch gayā ki un kī bāteṅ sun saktā thā. Ain us waqt ek faujī dūsre ko apnā ḳhāb sunā rahā thā, “Maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā ki jau kī baṛī roṭī luṛhaktī luṛhaktī hamārī ḳhaimāgāh meṅ utar āī. Yahāṅ wuh itnī shiddat se ḳhaime se ṭakrā gaī ki ḳhaimā ulaṭ kar zamīnbos ho gayā.” 14 Dūsre ne jawāb diyā, “Is kā sirf yih matlab ho saktā hai ki Isrāīlī mard Jidāūn bin Yuās kī talwār ġhālib āegī! Allāh use Midiyāniyoṅ aur pūrī lashkargāh par fatah degā.” 15 Ḳhāb aur us kī tābīr sun kar Jidāūn ne Allāh ko sijdā kiyā. Phir us ne Isrāīlī ḳhaimāgāh meṅ wāpas ā kar elān kiyā, “Uṭheṅ! Rab ne Midiyānī lashkargāh ko tumhāre hawāle kar diyā hai.” 16 Us ne apne 300 mardoṅ ko sau sau ke tīn gurohoṅ meṅ taqsīm karke har ek ko ek narsingā aur ek ghaṛā de diyā. Har ghaṛe meṅ mashāl thī. 17 17-18 Us ne hukm diyā, “Jo kuchh maiṅ karūṅga us par ġhaur karke wuhī kuchh kareṅ. Pūrī ḳhaimāgāh ko gher leṅ aur ain wuhī kuchh kareṅ jo maiṅ karūṅga. Jab maiṅ apne sau logoṅ ke sāth ḳhaimāgāh ke kināre pahuṅchūṅgā to ham apne narsingoṅ ko bajā deṅge. Yih sunte hī āp bhī yihī kuchh kareṅ aur sāth sāth nārā lagāeṅ, ‘Rab ke lie aur Jidāūn ke lie’!” 19 Taqrīban ādhī rāt ko Jidāūn apne sau mardoṅ ke sāth Midiyānī ḳhaimāgāh ke kināre pahuṅch gayā. Thoṛī der pahle pahredār badal gae the. Achānak Isrāīliyoṅ ne apne narsingoṅ ko bajāyā aur apne ghaṛoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā. 20 Fauran sau sau ke dūsre do gurohoṅ ne bhī aisā hī kiyā. Apne dahne hāth meṅ narsingā aur bāeṅ hāth meṅ bhaṛaktī mashāl pakaṛ kar wuh nārā lagāte rahe, “Rab ke lie aur Jidāūn ke lie!” 21 Lekin wuh ḳhaimāgāh meṅ dāḳhil na hue balki wahīṅ us ke irdgird khaṛe rahe. Dushman meṅ baṛī afrā-tafrī mach gaī. Chīḳhte-chillāte sab bhāg jāne kī koshish karne lage. 22 Jidāūn ke 300 ādmī apne narsinge bajāte rahe jabki Rab ne ḳhaimāgāh meṅ aisī gaṛbaṛ paidā kī ki log ek dūsre se laṛne lage. Āḳhirkār pūrā lashkar Bait-sittā, Sarīrāt aur Abīl-mahūlā kī sarhad tak farār huā jo Tabbāt ke qarīb hai. 23 Phir Jidāūn ne Naftālī, Āshar aur pūre Manassī ke mardoṅ ko bulā liyā, aur unhoṅ ne mil kar Midiyāniyoṅ kā tāqqub kiyā. 24 Us ne apne qāsidoṅ ke zariye Ifrāīm ke pūre pahāṛī ilāqe ke bāshindoṅ ko bhī paiġhām bhej diyā, “Utar āeṅ aur Midiyāniyoṅ ko bhāg jāne se rokeṅ! Bait-bārā tak un tamām jaghoṅ par qabzā kar leṅ jahāṅ dushman Dariyā-e-Yardan ko pā-piyādā pār kar saktā hai.”Ifrāīmī mān gae. 25 Aur unhoṅ ne do Midiyānī sardāroṅ ko pakaṛ kar un ke sar qalam kar die. Sardāroṅ ke nām Oreb aur Zaeb the, aur jahāṅ unheṅ pakaṛā gayā un jaghoṅ ke nām ‘Oreb kī Chaṭān’ aur ‘Zaeb kā Angūr kā Ras Nikālne Wālā Hauz’ paṛ gayā. Is ke bād wuh dubārā Midiyāniyoṅ kā tāqqub karne lage. Dariyā-e-Yardan ko pār karne par un kī mulāqāt Jidāūn se huī, aur unhoṅ ne donoṅ sardāroṅ ke sar us ke sapurd kar die.

In Other Versions

Judges 7 in the ANGEFD

Judges 7 in the ANTPNG2D

Judges 7 in the AS21

Judges 7 in the BAGH

Judges 7 in the BBPNG

Judges 7 in the BBT1E

Judges 7 in the BDS

Judges 7 in the BEV

Judges 7 in the BHAD

Judges 7 in the BIB

Judges 7 in the BLPT

Judges 7 in the BNT

Judges 7 in the BNTABOOT

Judges 7 in the BNTLV

Judges 7 in the BOATCB

Judges 7 in the BOATCB2

Judges 7 in the BOBCV

Judges 7 in the BOCNT

Judges 7 in the BOECS

Judges 7 in the BOGWICC

Judges 7 in the BOHCB

Judges 7 in the BOHCV

Judges 7 in the BOHLNT

Judges 7 in the BOHNTLTAL

Judges 7 in the BOICB

Judges 7 in the BOILNTAP

Judges 7 in the BOITCV

Judges 7 in the BOKCV

Judges 7 in the BOKCV2

Judges 7 in the BOKHWOG

Judges 7 in the BOKSSV

Judges 7 in the BOLCB

Judges 7 in the BOLCB2

Judges 7 in the BOMCV

Judges 7 in the BONAV

Judges 7 in the BONCB

Judges 7 in the BONLT

Judges 7 in the BONUT2

Judges 7 in the BOPLNT

Judges 7 in the BOSCB

Judges 7 in the BOSNC

Judges 7 in the BOTLNT

Judges 7 in the BOVCB

Judges 7 in the BOYCB

Judges 7 in the BPBB

Judges 7 in the BPH

Judges 7 in the BSB

Judges 7 in the CCB

Judges 7 in the CUV

Judges 7 in the CUVS

Judges 7 in the DBT

Judges 7 in the DGDNT

Judges 7 in the DHNT

Judges 7 in the DNT

Judges 7 in the ELBE

Judges 7 in the EMTV

Judges 7 in the ESV

Judges 7 in the FBV

Judges 7 in the FEB

Judges 7 in the GGMNT

Judges 7 in the GNT

Judges 7 in the HARY

Judges 7 in the HNT

Judges 7 in the IRVA

Judges 7 in the IRVB

Judges 7 in the IRVG

Judges 7 in the IRVH

Judges 7 in the IRVK

Judges 7 in the IRVM

Judges 7 in the IRVM2

Judges 7 in the IRVO

Judges 7 in the IRVP

Judges 7 in the IRVT

Judges 7 in the IRVT2

Judges 7 in the IRVU

Judges 7 in the ISVN

Judges 7 in the JSNT

Judges 7 in the KAPI

Judges 7 in the KBT1ETNIK

Judges 7 in the KBV

Judges 7 in the KJV

Judges 7 in the KNFD

Judges 7 in the LBA

Judges 7 in the LBLA

Judges 7 in the LNT

Judges 7 in the LSV

Judges 7 in the MAAL

Judges 7 in the MBV

Judges 7 in the MBV2

Judges 7 in the MHNT

Judges 7 in the MKNFD

Judges 7 in the MNG

Judges 7 in the MNT

Judges 7 in the MNT2

Judges 7 in the MRS1T

Judges 7 in the NAA

Judges 7 in the NASB

Judges 7 in the NBLA

Judges 7 in the NBS

Judges 7 in the NBVTP

Judges 7 in the NET2

Judges 7 in the NIV11

Judges 7 in the NNT

Judges 7 in the NNT2

Judges 7 in the NNT3

Judges 7 in the PDDPT

Judges 7 in the PFNT

Judges 7 in the RMNT

Judges 7 in the SBIAS

Judges 7 in the SBIBS

Judges 7 in the SBIBS2

Judges 7 in the SBICS

Judges 7 in the SBIDS

Judges 7 in the SBIGS

Judges 7 in the SBIHS

Judges 7 in the SBIIS

Judges 7 in the SBIIS2

Judges 7 in the SBIIS3

Judges 7 in the SBIKS

Judges 7 in the SBIKS2

Judges 7 in the SBIMS

Judges 7 in the SBIOS

Judges 7 in the SBIPS

Judges 7 in the SBISS

Judges 7 in the SBITS

Judges 7 in the SBITS2

Judges 7 in the SBITS3

Judges 7 in the SBITS4

Judges 7 in the SBIUS

Judges 7 in the SBIVS

Judges 7 in the SBT

Judges 7 in the SBT1E

Judges 7 in the SCHL

Judges 7 in the SNT

Judges 7 in the SUSU

Judges 7 in the SUSU2

Judges 7 in the SYNO

Judges 7 in the TBIAOTANT

Judges 7 in the TBT1E

Judges 7 in the TBT1E2

Judges 7 in the TFTIP

Judges 7 in the TFTU

Judges 7 in the TGNTATF3T

Judges 7 in the THAI

Judges 7 in the TNFD

Judges 7 in the TNT

Judges 7 in the TNTIK

Judges 7 in the TNTIL

Judges 7 in the TNTIN

Judges 7 in the TNTIP

Judges 7 in the TNTIZ

Judges 7 in the TOMA

Judges 7 in the TTENT

Judges 7 in the UBG

Judges 7 in the UGV

Judges 7 in the UGV2

Judges 7 in the VBL

Judges 7 in the VDCC

Judges 7 in the YALU

Judges 7 in the YAPE

Judges 7 in the YBVTP

Judges 7 in the ZBP