Jeremiah 7 (UGV3)

1 Rab Yarmiyāh se hamkalām huā, 2 “Rab ke ghar ke sahan ke darwāze par khaṛā ho kar elān kar ki ai Yahūdāh ke tamām bāshindo, Rab kā kalām suno! Jitne bhī Rab kī parastish karne ke lie in darwāzoṅ meṅ dāḳhil hote haiṅ wuh sab tawajjuh deṅ! 3 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki apnī zindagī aur chāl-chalan durust karo to maiṅ āindā bhī tumheṅ is maqām par basne dūṅgā. 4 Un ke farebdeh alfāz par etamād mat karo jo kahte haiṅ, ‘Yahāṅ ham mahfūz haiṅ kyoṅki yih Rab kā ghar, Rab kā ghar, Rab kā ghar hai.’ 5 Suno, shart to yih hai ki tum apnī zindagī aur chāl-chalan durust karo aur ek dūsre ke sāth insāf kā sulūk karo, 6 ki tum pardesī, yatīm aur bewā par zulm na karo, is jagah bequsūr kā ḳhūn na bahāo aur ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag kar apne āp ko nuqsān na pahuṅchāo. 7 Agar tum aisā karo to maiṅ āindā bhī tumheṅ is jagah basne dūṅgā, us mulk meṅ jo maiṅ ne tumhāre bāpdādā ko hameshā ke lie baḳhsh diyā thā. 8 Lekin afsos, tum farebdeh alfāz par bharosā rakhte ho jo fuzūl hī haiṅ. 9 Tum chor, qātil aur zinākār ho. Nīz tum jhūṭī qasam khāte, Bāl Dewatā ke huzūr baḳhūr jalāte aur ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag jāte ho, aise dewatāoṅ ke pīchhe jin se tum pahle wāqif nahīṅ the. 10 Lekin sāth sāth tum yahāṅ mere huzūr bhī āte ho. Jis makān par mere hī nām kā ṭhappā lagā hai usī meṅ tum khaṛe ho kar kahte ho, ‘Ham mahfūz haiṅ.’ Tum Rab ke ghar meṅ ibādat karne ke sāth sāth kis tarah yih tamām ghinaunī harkateṅ jārī rakh sakte ho?” 11 Rab farmātā hai, “Kyā tumhāre nazdīk yih makān jis par mere hī nām kā ṭhappā lagā hai ḍākuoṅ kā aḍḍā ban gayā hai? Ḳhabardār! Yih sab kuchh mujhe bhī nazar ātā hai. 12 Sailā Shahr kā chakkar lagāo jahāṅ maiṅ ne pahle apnā nām basāyā thā. Mālūm karo ki maiṅ ne apnī qaum Isrāīl kī bedīnī ke sabab se us shahr ke sāth kyā kiyā.” 13 Rab farmātā hai, “Tum yih sharīr harkateṅ karte rahe, aur maiṅ bār bār tum se hamkalām hotā rahā, lekin tum ne merī na sunī. Maiṅ tumheṅ bulātā rahā, lekin tum jawāb dene ke lie taiyār na hue. 14 Is lie ab maiṅ is ghar ke sāth wuh kuchh karūṅga jo maiṅ ne Sailā ke sāth kiyā thā, go is par mere hī nām kā ṭhappā lagā hai, yih wuh makān hai jis par tum etamād rakhte ho aur jise maiṅ ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko atā kiyā thā. 15 Maiṅ tumheṅ apne huzūr se nikāl dūṅgā, bilkul usī tarah jis tarah maiṅ ne tumhāre tamām bhāiyoṅ yānī Isrāīl kī aulād ko nikāl diyā thā. 16 Ai Yarmiyāh, is qaum ke lie duā mat kar. Is ke lie na iltijā kar, na minnat. In logoṅ kī ḳhātir mujhe tang na kar, kyoṅki maiṅ terī nahīṅ sunūṅgā. 17 Kyā tujhe wuh kuchh nazar nahīṅ ā rahā jo yih Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ kar rahe haiṅ? 18 Aur sab is meṅ mulawwas haiṅ. Bachche lakaṛī chun kar ḍher banāte haiṅ, phir bāp use āg lagāte haiṅ jabki aurateṅ āṭā gūṅdh gūṅdh kar āg par āsmān kī malikā nāmī dewī ke lie ṭikkiyāṅ pakātī haiṅ. Mujhe tang karne ke lie wuh ajnabī mābūdoṅ ko mai kī nazareṅ bhī pesh karte haiṅ. 19 Lekin haqīqat meṅ yih mujhe utnā tang nahīṅ kar rahe jitnā apne āp ko. Aisī harkatoṅ se wuh apnī hī ruswāī kar rahe haiṅ.” 20 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Merā qahr aur ġhazab is maqām par, insān-o-haiwān par, khule maidān ke daraḳhtoṅ par aur zamīn kī paidāwār par nāzil hogā. Sab kuchh nazar-e-ātish ho jāegā, aur koī use bujhā nahīṅ sakegā.” 21 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ko mujhe pesh na karo, balki un kā gosht dīgar qurbāniyoṅ samet ḳhud khā lo. 22 Kyoṅki jis din maiṅ tumhāre bāpdādā ko Misr se nikāl lāyā us din maiṅ ne unheṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur dīgar qurbāniyāṅ chaṛhāne kā hukm na diyā. 23 Maiṅ ne unheṅ sirf yih hukm diyā ki merī suno! Tab hī maiṅ tumhārā Ḳhudā hūṅgā aur tum merī qaum hoge. Pūre taur par us rāh par chalte raho jo maiṅ tumheṅ dikhātā hūṅ. Tab hī tumhārī ḳhair hogī. 24 Lekin unhoṅ ne merī na sunī, na dhyān diyā balki apne sharīr dil kī zid ke mutābiq zindagī guzārne lage. Unhoṅ ne merī taraf rujū na kiyā balki apnā muṅh mujh se pher liyā. 25 Jab se tumhāre bāpdādā Misr se nikal āe āj tak maiṅ roz baroz aur bār bār apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ ko tumhāre pās bhejtā rahā. 26 To bhī unhoṅ ne na merī sunī, na tawajjuh dī. Wuh bazid rahe balki apne bāpdādā kī nisbat zyādā bure the. 27 Ai Yarmiyāh, tū unheṅ yih tamām bāteṅ batāegā, lekin wuh terī nahīṅ suneṅge. Tū unheṅ bulāegā, lekin wuh jawāb nahīṅ deṅge. 28 Tab tū unheṅ batāegā, ‘Is qaum ne na Rab apne Ḳhudā kī āwāz sunī, na us kī tarbiyat qabūl kī. Diyānatdārī ḳhatm ho kar un ke muṅh se miṭ gaī hai.’ 29 Apne bāloṅ ko kāṭ kar phaiṅk de! Jā, banjar ṭīloṅ par mātam kā gīt gā, kyoṅki yih nasl Rab ke ġhazab kā nishānā ban gaī hai, aur us ne ise radd karke chhoṛ diyā hai.” 30 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Jo kuchh Yahūdāh ke bāshindoṅ ne kiyā wuh mujhe bahut burā lagtā hai. Unhoṅ ne apne ghinaune butoṅ ko mere nām ke lie maḳhsūs ghar meṅ rakh kar us kī behurmatī kī hai. 31 Sāth sāth unhoṅ ne Wādī-e-Bin-hinnūm meṅ wāqe Tūfat kī ūṅchī jagheṅ tāmīr kīṅ tāki apne beṭe-beṭiyoṅ ko jalā kar qurbān kareṅ. Maiṅ ne kabhī bhī aisī rasm adā karne kā hukm nahīṅ diyā balki is kā ḳhayāl mere zahan meṅ āyā tak nahīṅ. 32 Chunāṅche Rab kā kalām suno! Wuh din āne wāle haiṅ jab yih maqām ‘Tūfat’ yā ‘Wādī-e-Bin-hinnūm’ nahīṅ kahlāegā balki ‘Qatl-o-Ġhārat kī Wādī.’ Us waqt log Tūfat meṅ itnī lāsheṅ dafnāeṅge ki āḳhirkār ḳhālī jagah nahīṅ rahegī. 33 Tab is qaum kī lāsheṅ parindoṅ aur janglī jānwaroṅ kī ḳhurāk ban jāeṅgī, aur koī nahīṅ hogā jo unheṅ bhagā de. 34 Maiṅ Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ ḳhushī-o-shādmānī kī āwāzeṅ ḳhatm kar dūṅgā, dūlhā dulhan kī āwāzeṅ band ho jāeṅgī. Kyoṅki mulk wīrān-o-sunsān ho jāegā.”

In Other Versions

Jeremiah 7 in the ANGEFD

Jeremiah 7 in the ANTPNG2D

Jeremiah 7 in the AS21

Jeremiah 7 in the BAGH

Jeremiah 7 in the BBPNG

Jeremiah 7 in the BBT1E

Jeremiah 7 in the BDS

Jeremiah 7 in the BEV

Jeremiah 7 in the BHAD

Jeremiah 7 in the BIB

Jeremiah 7 in the BLPT

Jeremiah 7 in the BNT

Jeremiah 7 in the BNTABOOT

Jeremiah 7 in the BNTLV

Jeremiah 7 in the BOATCB

Jeremiah 7 in the BOATCB2

Jeremiah 7 in the BOBCV

Jeremiah 7 in the BOCNT

Jeremiah 7 in the BOECS

Jeremiah 7 in the BOGWICC

Jeremiah 7 in the BOHCB

Jeremiah 7 in the BOHCV

Jeremiah 7 in the BOHLNT

Jeremiah 7 in the BOHNTLTAL

Jeremiah 7 in the BOICB

Jeremiah 7 in the BOILNTAP

Jeremiah 7 in the BOITCV

Jeremiah 7 in the BOKCV

Jeremiah 7 in the BOKCV2

Jeremiah 7 in the BOKHWOG

Jeremiah 7 in the BOKSSV

Jeremiah 7 in the BOLCB

Jeremiah 7 in the BOLCB2

Jeremiah 7 in the BOMCV

Jeremiah 7 in the BONAV

Jeremiah 7 in the BONCB

Jeremiah 7 in the BONLT

Jeremiah 7 in the BONUT2

Jeremiah 7 in the BOPLNT

Jeremiah 7 in the BOSCB

Jeremiah 7 in the BOSNC

Jeremiah 7 in the BOTLNT

Jeremiah 7 in the BOVCB

Jeremiah 7 in the BOYCB

Jeremiah 7 in the BPBB

Jeremiah 7 in the BPH

Jeremiah 7 in the BSB

Jeremiah 7 in the CCB

Jeremiah 7 in the CUV

Jeremiah 7 in the CUVS

Jeremiah 7 in the DBT

Jeremiah 7 in the DGDNT

Jeremiah 7 in the DHNT

Jeremiah 7 in the DNT

Jeremiah 7 in the ELBE

Jeremiah 7 in the EMTV

Jeremiah 7 in the ESV

Jeremiah 7 in the FBV

Jeremiah 7 in the FEB

Jeremiah 7 in the GGMNT

Jeremiah 7 in the GNT

Jeremiah 7 in the HARY

Jeremiah 7 in the HNT

Jeremiah 7 in the IRVA

Jeremiah 7 in the IRVB

Jeremiah 7 in the IRVG

Jeremiah 7 in the IRVH

Jeremiah 7 in the IRVK

Jeremiah 7 in the IRVM

Jeremiah 7 in the IRVM2

Jeremiah 7 in the IRVO

Jeremiah 7 in the IRVP

Jeremiah 7 in the IRVT

Jeremiah 7 in the IRVT2

Jeremiah 7 in the IRVU

Jeremiah 7 in the ISVN

Jeremiah 7 in the JSNT

Jeremiah 7 in the KAPI

Jeremiah 7 in the KBT1ETNIK

Jeremiah 7 in the KBV

Jeremiah 7 in the KJV

Jeremiah 7 in the KNFD

Jeremiah 7 in the LBA

Jeremiah 7 in the LBLA

Jeremiah 7 in the LNT

Jeremiah 7 in the LSV

Jeremiah 7 in the MAAL

Jeremiah 7 in the MBV

Jeremiah 7 in the MBV2

Jeremiah 7 in the MHNT

Jeremiah 7 in the MKNFD

Jeremiah 7 in the MNG

Jeremiah 7 in the MNT

Jeremiah 7 in the MNT2

Jeremiah 7 in the MRS1T

Jeremiah 7 in the NAA

Jeremiah 7 in the NASB

Jeremiah 7 in the NBLA

Jeremiah 7 in the NBS

Jeremiah 7 in the NBVTP

Jeremiah 7 in the NET2

Jeremiah 7 in the NIV11

Jeremiah 7 in the NNT

Jeremiah 7 in the NNT2

Jeremiah 7 in the NNT3

Jeremiah 7 in the PDDPT

Jeremiah 7 in the PFNT

Jeremiah 7 in the RMNT

Jeremiah 7 in the SBIAS

Jeremiah 7 in the SBIBS

Jeremiah 7 in the SBIBS2

Jeremiah 7 in the SBICS

Jeremiah 7 in the SBIDS

Jeremiah 7 in the SBIGS

Jeremiah 7 in the SBIHS

Jeremiah 7 in the SBIIS

Jeremiah 7 in the SBIIS2

Jeremiah 7 in the SBIIS3

Jeremiah 7 in the SBIKS

Jeremiah 7 in the SBIKS2

Jeremiah 7 in the SBIMS

Jeremiah 7 in the SBIOS

Jeremiah 7 in the SBIPS

Jeremiah 7 in the SBISS

Jeremiah 7 in the SBITS

Jeremiah 7 in the SBITS2

Jeremiah 7 in the SBITS3

Jeremiah 7 in the SBITS4

Jeremiah 7 in the SBIUS

Jeremiah 7 in the SBIVS

Jeremiah 7 in the SBT

Jeremiah 7 in the SBT1E

Jeremiah 7 in the SCHL

Jeremiah 7 in the SNT

Jeremiah 7 in the SUSU

Jeremiah 7 in the SUSU2

Jeremiah 7 in the SYNO

Jeremiah 7 in the TBIAOTANT

Jeremiah 7 in the TBT1E

Jeremiah 7 in the TBT1E2

Jeremiah 7 in the TFTIP

Jeremiah 7 in the TFTU

Jeremiah 7 in the TGNTATF3T

Jeremiah 7 in the THAI

Jeremiah 7 in the TNFD

Jeremiah 7 in the TNT

Jeremiah 7 in the TNTIK

Jeremiah 7 in the TNTIL

Jeremiah 7 in the TNTIN

Jeremiah 7 in the TNTIP

Jeremiah 7 in the TNTIZ

Jeremiah 7 in the TOMA

Jeremiah 7 in the TTENT

Jeremiah 7 in the UBG

Jeremiah 7 in the UGV

Jeremiah 7 in the UGV2

Jeremiah 7 in the VBL

Jeremiah 7 in the VDCC

Jeremiah 7 in the YALU

Jeremiah 7 in the YAPE

Jeremiah 7 in the YBVTP

Jeremiah 7 in the ZBP