Leviticus 23 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki yih merī, Rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamā karnā hai. 3 Hafte meṅ chhih din kām karnā, lekin sātwāṅ din har tarah se ārām kā din hai. Us din muqaddas ijtimā ho. Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ kām na karnā. Yih din Rab ke lie maḳhsūs Sabat hai. 4 Yih Rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamā karnā hai. 5 Fasah kī Īd pahle mahīne ke chaudhweṅ din shurū hotī hai. Us din sūraj ke ġhurūb hone par Rab kī ḳhushī manāī jāe. 6 Agle din Rab kī yād meṅ Beḳhamīrī Roṭī kī Īd shurū hotī hai. Sāt din tak tumhārī roṭī meṅ ḳhamīr na ho. 7 In sāt dinoṅ ke pahle din muqaddas ijtimā ho aur log apnā har kām chhoṛeṅ. 8 In sāt dinoṅ meṅ rozānā Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karo. Sātweṅ din bhī muqaddas ijtimā ho aur log apnā har kām chhoṛeṅ.” 9 Rab ne Mūsā se kahā, 10 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā aur wahāṅ anāj kī fasal kāṭoge to tumheṅ imām ko pahlā pūlā denā hai. 11 Itwār ko imām yih pūlā Rab ke sāmne hilāe tāki tum manzūr ho jāo. 12 Us din bheṛ kā ek yaksālā beaib bachchā bhī Rab ko pesh karnā. Use qurbāngāh par bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhānā. 13 Sāth hī ġhallā kī nazar ke lie tel se milāyā gayā 3 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā. Jalne wālī yih qurbānī Rab ko pasand hai. Is ke alāwā mai kī nazar ke lie ek liṭar mai bhī pesh karnā. 14 Pahle yih sab kuchh karo, phir hī tumheṅ naī fasal ke anāj se khāne kī ijāzat hogī, ḳhāh wuh bhunā huā ho, ḳhāh kachchā yā roṭī kī sūrat meṅ pakāyā gayā ho. Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ aisā hī karnā hai. Yih usūl abad tak qāym rahe. 15 Jis din tum ne anāj kā pūlā pesh kiyā us din se pūre sāt hafte gino. 16 Pachāsweṅ din yānī sātweṅ Itwār ko Rab ko nae anāj kī qurbānī chaṛhānā. 17 Har gharāne kī taraf se Rab ko hilāne wālī qurbānī ke taur par do roṭiyāṅ pesh kī jāeṅ. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Un meṅ ḳhamīr ḍāl kar pakānā hai. Yih fasal kī pahlī paidāwār kī qurbānī haiṅ. 18 In roṭiyoṅ ke sāth ek jawān bail, do menḍhe aur bheṛ ke sāt beaib aur yaksālā bachche pesh karo. Unheṅ Rab ke huzūr bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhānā. Is ke alāwā ġhallā kī nazar aur mai kī nazar bhī pesh karnī hai. Jalne wālī is qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. 19 Phir gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā aur salāmatī kī qurbānī ke lie do yaksālā bheṛ ke bachche chaṛhāo. 20 Imām bheṛ ke yih do bachche mazkūrā roṭiyoṅ samet hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. Yih Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ aur qurbāniyoṅ meṅ se imām kā hissā haiṅ. 21 Usī din logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamā karo. Koī bhī kām na karnā. Yih usūl abad tak qāym rahe, aur ise har jagah mānanā hai. 22 Kaṭāī ke waqt apnī fasal pūre taur par na kāṭnā balki khet ke kināroṅ par kuchh chhoṛ denā. Is tarah jo kuchh kaṭāī karte waqt khet meṅ bach jāe use chhoṛnā. Bachā huā anāj ġharīboṅ aur pardesiyoṅ ke lie chhoṛ denā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.” 23 Rab ne Mūsā se kahā, 24 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki sātweṅ mahīne kā pahlā din ārām kā din hai. Us din muqaddas ijtimā ho jis par yād dilāne ke lie narsingā phūṅkā jāe. 25 Koī bhī kām na karnā. Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karnā.” 26 Rab ne Mūsā se kahā, 27 “Sātweṅ mahīne kā daswāṅ din Kaffārā kā din hai. Us din muqaddas ijtimā ho. Apnī jān ko dukh denā aur Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karnā. 28 Us din kām na karnā, kyoṅki yih Kaffārā kā din hai, jab Rab tumhāre Ḳhudā ke sāmne tumhārā kaffārā diyā jātā hai. 29 Jo us din apnī jān ko dukh nahīṅ detā use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe. 30 Jo us din kām kartā hai use maiṅ us kī qaum meṅ se nikāl kar halāk karūṅga. 31 Koī bhī kām na karnā. Yih usūl abad tak qāym rahe, aur ise har jagah mānanā hai. 32 Yih din ārām kā ḳhās din hai jis meṅ tumheṅ apnī jān ko dukh denā hai. Ise mahīne ke naweṅ din kī shām se le kar aglī shām tak manānā.” 33 Rab ne Mūsā se kahā, 34 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ din Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd shurū hotī hai. Is kā daurāniyā sāt din hai. 35 Pahle din muqaddas ijtimā ho. Is din koī kām na karnā. 36 In sāt dinoṅ ke daurān Rab ko jalne wālī qurbāniyāṅ pesh karnā. Āṭhweṅ din muqaddas ijtimā ho. Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karo. Is ḳhās ijtimā ke din bhī kām nahīṅ karnā hai. 37 Yih Rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ muqaddas ijtimā karnā hai tāki Rab ko rozmarrā kī matlūbā jalne wālī qurbāniyāṅ aur mai kī nazareṅ pesh kī jāeṅ yānī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ, ġhallā kī nazareṅ, zabah kī qurbāniyāṅ aur mai kī nazareṅ. 38 Yih qurbāniyāṅ un qurbāniyoṅ ke alāwā haiṅ jo Sabat ke din chaṛhāī jātī haiṅ aur jo tum ne hadiye ke taur par yā mannat mān kar yā apnī dilī ḳhushī se pesh kī haiṅ. 39 Chunāṅche sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ din fasal kī kaṭāī ke iḳhtitām par Rab kī yih īd yānī Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāo. Ise sāt din manānā. Pahlā aur āḳhirī din ārām ke din haiṅ. 40 Pahle din apne lie daraḳhtoṅ ke behtarīn phal, khajūr kī ḍāliyāṅ aur ghane daraḳhtoṅ aur safedā kī shāḳheṅ toṛnā. Sāt din tak Rab apne Ḳhudā ke sāmne ḳhushī manāo. 41 Har sāl sātweṅ mahīne meṅ Rab kī ḳhushī meṅ yih īd manānā. Yih usūl abad tak qāym rahe. 42 Īd ke hafte ke daurān jhoṅpṛiyoṅ meṅ rahnā. Tamām mulk meṅ ābād Isrāīlī aisā kareṅ. 43 Phir tumhārī aulād jānegī ki Isrāīliyoṅ ko Misr se nikālte waqt maiṅ ne unheṅ jhoṅpṛiyoṅ meṅ basāyā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.” 44 Mūsā ne Isrāīliyoṅ ko Rab kī īdoṅ ke bāre meṅ yih bāteṅ batāīṅ.

In Other Versions

Leviticus 23 in the ANGEFD

Leviticus 23 in the ANTPNG2D

Leviticus 23 in the AS21

Leviticus 23 in the BAGH

Leviticus 23 in the BBPNG

Leviticus 23 in the BBT1E

Leviticus 23 in the BDS

Leviticus 23 in the BEV

Leviticus 23 in the BHAD

Leviticus 23 in the BIB

Leviticus 23 in the BLPT

Leviticus 23 in the BNT

Leviticus 23 in the BNTABOOT

Leviticus 23 in the BNTLV

Leviticus 23 in the BOATCB

Leviticus 23 in the BOATCB2

Leviticus 23 in the BOBCV

Leviticus 23 in the BOCNT

Leviticus 23 in the BOECS

Leviticus 23 in the BOGWICC

Leviticus 23 in the BOHCB

Leviticus 23 in the BOHCV

Leviticus 23 in the BOHLNT

Leviticus 23 in the BOHNTLTAL

Leviticus 23 in the BOICB

Leviticus 23 in the BOILNTAP

Leviticus 23 in the BOITCV

Leviticus 23 in the BOKCV

Leviticus 23 in the BOKCV2

Leviticus 23 in the BOKHWOG

Leviticus 23 in the BOKSSV

Leviticus 23 in the BOLCB

Leviticus 23 in the BOLCB2

Leviticus 23 in the BOMCV

Leviticus 23 in the BONAV

Leviticus 23 in the BONCB

Leviticus 23 in the BONLT

Leviticus 23 in the BONUT2

Leviticus 23 in the BOPLNT

Leviticus 23 in the BOSCB

Leviticus 23 in the BOSNC

Leviticus 23 in the BOTLNT

Leviticus 23 in the BOVCB

Leviticus 23 in the BOYCB

Leviticus 23 in the BPBB

Leviticus 23 in the BPH

Leviticus 23 in the BSB

Leviticus 23 in the CCB

Leviticus 23 in the CUV

Leviticus 23 in the CUVS

Leviticus 23 in the DBT

Leviticus 23 in the DGDNT

Leviticus 23 in the DHNT

Leviticus 23 in the DNT

Leviticus 23 in the ELBE

Leviticus 23 in the EMTV

Leviticus 23 in the ESV

Leviticus 23 in the FBV

Leviticus 23 in the FEB

Leviticus 23 in the GGMNT

Leviticus 23 in the GNT

Leviticus 23 in the HARY

Leviticus 23 in the HNT

Leviticus 23 in the IRVA

Leviticus 23 in the IRVB

Leviticus 23 in the IRVG

Leviticus 23 in the IRVH

Leviticus 23 in the IRVK

Leviticus 23 in the IRVM

Leviticus 23 in the IRVM2

Leviticus 23 in the IRVO

Leviticus 23 in the IRVP

Leviticus 23 in the IRVT

Leviticus 23 in the IRVT2

Leviticus 23 in the IRVU

Leviticus 23 in the ISVN

Leviticus 23 in the JSNT

Leviticus 23 in the KAPI

Leviticus 23 in the KBT1ETNIK

Leviticus 23 in the KBV

Leviticus 23 in the KJV

Leviticus 23 in the KNFD

Leviticus 23 in the LBA

Leviticus 23 in the LBLA

Leviticus 23 in the LNT

Leviticus 23 in the LSV

Leviticus 23 in the MAAL

Leviticus 23 in the MBV

Leviticus 23 in the MBV2

Leviticus 23 in the MHNT

Leviticus 23 in the MKNFD

Leviticus 23 in the MNG

Leviticus 23 in the MNT

Leviticus 23 in the MNT2

Leviticus 23 in the MRS1T

Leviticus 23 in the NAA

Leviticus 23 in the NASB

Leviticus 23 in the NBLA

Leviticus 23 in the NBS

Leviticus 23 in the NBVTP

Leviticus 23 in the NET2

Leviticus 23 in the NIV11

Leviticus 23 in the NNT

Leviticus 23 in the NNT2

Leviticus 23 in the NNT3

Leviticus 23 in the PDDPT

Leviticus 23 in the PFNT

Leviticus 23 in the RMNT

Leviticus 23 in the SBIAS

Leviticus 23 in the SBIBS

Leviticus 23 in the SBIBS2

Leviticus 23 in the SBICS

Leviticus 23 in the SBIDS

Leviticus 23 in the SBIGS

Leviticus 23 in the SBIHS

Leviticus 23 in the SBIIS

Leviticus 23 in the SBIIS2

Leviticus 23 in the SBIIS3

Leviticus 23 in the SBIKS

Leviticus 23 in the SBIKS2

Leviticus 23 in the SBIMS

Leviticus 23 in the SBIOS

Leviticus 23 in the SBIPS

Leviticus 23 in the SBISS

Leviticus 23 in the SBITS

Leviticus 23 in the SBITS2

Leviticus 23 in the SBITS3

Leviticus 23 in the SBITS4

Leviticus 23 in the SBIUS

Leviticus 23 in the SBIVS

Leviticus 23 in the SBT

Leviticus 23 in the SBT1E

Leviticus 23 in the SCHL

Leviticus 23 in the SNT

Leviticus 23 in the SUSU

Leviticus 23 in the SUSU2

Leviticus 23 in the SYNO

Leviticus 23 in the TBIAOTANT

Leviticus 23 in the TBT1E

Leviticus 23 in the TBT1E2

Leviticus 23 in the TFTIP

Leviticus 23 in the TFTU

Leviticus 23 in the TGNTATF3T

Leviticus 23 in the THAI

Leviticus 23 in the TNFD

Leviticus 23 in the TNT

Leviticus 23 in the TNTIK

Leviticus 23 in the TNTIL

Leviticus 23 in the TNTIN

Leviticus 23 in the TNTIP

Leviticus 23 in the TNTIZ

Leviticus 23 in the TOMA

Leviticus 23 in the TTENT

Leviticus 23 in the UBG

Leviticus 23 in the UGV

Leviticus 23 in the UGV2

Leviticus 23 in the VBL

Leviticus 23 in the VDCC

Leviticus 23 in the YALU

Leviticus 23 in the YAPE

Leviticus 23 in the YBVTP

Leviticus 23 in the ZBP