2 Chronicles 20 (UGV3)

1 Kuchh der ke bād Moābī, Ammonī aur kuchh Maūnī Yahūsafat se jang karne ke lie nikle. 2 Ek qāsid ne ā kar bādshāh ko ittalā dī, “Mulk-e-Adom se ek baṛī fauj āp se laṛne ke lie ā rahī hai. Wuh Bahīrā-e-Murdār ke dūsre kināre se baṛhtī baṛhtī is waqt Hassūn-tamr pahuṅch chukī hai.” (Hassūn Ain-jadī kā dūsrā nām hai.) 3 Yih sun kar Yahūsafat ghabrā gayā. Us ne Rab se rāhnumāī māṅgne kā faislā karke elān kiyā ki tamām Yahūdāh rozā rakhe. 4 Yahūdāh ke tamām shahroṅ se log Yarūshalam āe tāki mil kar madad ke lie Rab se duā māṅgeṅ. 5 Wuh Rab ke ghar ke nae sahan meṅ jamā hue aur Yahūsafat ne sāmne ā kar 6 duā kī,“Ai Rab, hamāre bāpdādā ke Ḳhudā! Tū hī āsmān par taḳhtnashīn Ḳhudā hai, aur tū hī duniyā ke tamām mamālik par hukūmat kartā hai. Tere hāth meṅ qudrat aur tāqat hai. Koī bhī terā muqābalā nahīṅ kar saktā. 7 Ai hamāre Ḳhudā, tū ne is mulk ke purāne bāshindoṅ ko apnī qaum Isrāīl ke āge se nikāl diyā. Ibrāhīm terā dost thā, aur us kī aulād ko tū ne yih mulk hameshā ke lie de diyā. 8 Is meṅ terī qaum ābād huī. Tere nām kī tāzīm meṅ maqdis banā kar unhoṅ ne kahā, 9 ‘Jab bhī āfat ham par āe to ham yahāṅ tere huzūr ā sakeṅge, chāhe jang, wabā, kāl yā koī aur sazā ho. Agar ham us waqt is ghar ke sāmne khaṛe ho kar madad ke lie tujhe pukāreṅ to tū hamārī sun kar hameṅ bachāegā, kyoṅki is imārat par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.’ 10 Ab Ammon, Moāb aur pahāṛī mulk Saīr kī harkatoṅ ko deḳh! Jab Isrāīl Misr se niklā to tū ne use in qaumoṅ par hamlā karne aur in ke ilāqe meṅ se guzarne kī ijāzat na dī. Isrāīl ko mutabādil rāstā iḳhtiyār karnā paṛā, kyoṅki use inheṅ halāk karne kī ijāzat na milī. 11 Ab dhyān de ki yih badle meṅ kyā kar rahe haiṅ. Yih hameṅ us maurūsī zamīn se nikālnā chāhte haiṅ jo tū ne hameṅ dī thī. 12 Ai hamāre Ḳhudā, kyā tū un kī adālat nahīṅ karegā? Ham to is baṛī fauj ke muqābale meṅ bebas haiṅ. Is ke hamle se bachne kā rāstā hameṅ nazar nahīṅ ātā, lekin hamārī āṅkheṅ madad ke lie tujh par lagī haiṅ.” 13 Yahūdāh ke tamām mard, aurateṅ aur bachche wahāṅ Rab ke huzūr khaṛe rahe. 14 Tab Rab kā Rūh ek Lāwī banām Yahziyel par nāzil huā jab wuh jamāt ke darmiyān khaṛā thā. Yih ādmī Āsaf ke ḳhāndān kā thā, aur us kā pūrā nām Yahziyel bin Zakariyāh bin Bināyāh bin Ya'iyel bin Mattaniyāh thā. 15 Us ne kahā, “Yahūdāh aur Yarūshalam ke logo, merī bāt suneṅ! Ai bādshāh, āp bhī is par dhyān deṅ. Rab farmātā hai ki ḍaro mat, aur is baṛī fauj ko dekh kar mat ghabrānā. Kyoṅki yih jang tumhārā nahīṅ balki merā muāmalā hai. 16 Kal un ke muqābale ke lie niklo. Us waqt wuh Darrā-e-Sīs se ho kar tumhārī taraf baṛh rahe hoṅge. Tumhārā un se muqābalā us wādī ke sire par hogā jahāṅ Yaruel kā Registān shurū hotā hai. 17 Lekin tumheṅ laṛne kī zarūrat nahīṅ hogī. Bas dushman ke āmne-sāmne khaṛe ho kar ruk jāo aur dekho ki Rab kis tarah tumheṅ chhuṭkārā degā. Lihāzā mat ḍaro, ai Yahūdāh aur Yarūshalam, aur dahshat mat khāo. Kal un kā sāmnā karne ke lie niklo, kyoṅki Rab tumhāre sāth hogā.” 18 Yih sun kar Yahūsafat muṅh ke bal jhuk gayā. Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām logoṅ ne bhī aundhe muṅh jhuk kar Rab kī parastish kī. 19 Phir Qihāt aur Qorah ke ḳhāndānoṅ ke kuchh Lāwī khaṛe ho kar buland āwāz se Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī hamd-o-sanā karne lage. 20 Agle din subah-sawere Yahūdāh kī fauj Taqua ke Registān ke lie rawānā huī. Nikalte waqt Yahūsafat ne un ke sāmne khaṛe ho kar kahā, “Yahūdāh aur Yarūshalam ke mardo, merī bāt suneṅ! Rab apne Ḳhudā par bharosā rakheṅ to āp qāym raheṅge. Us ke nabiyoṅ kī bātoṅ kā yaqīn kareṅ to āp ko kāmyābī hāsil hogī.” 21 Logoṅ se mashwarā karke Yahūsafat ne kuchh mardoṅ ko Rab kī tāzīm meṅ gīt gāne ke lie muqarrar kiyā. Muqaddas libās pahne hue wuh fauj ke āge āge chal kar hamd-o-sanā kā yih gīt gāte rahe, “Rab kī satāish karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.” 22 Us waqt Rab hamlā-āwar fauj ke muḳhālifoṅ ko khaṛā kar chukā thā. Ab jab Yahūdāh ke mard hamd ke gīt gāne lage to wuh tāk meṅ se nikal kar baṛhtī huī fauj par ṭūṭ paṛe aur use shikast dī. 23 Phir Ammoniyoṅ aur Moābiyoṅ ne mil kar pahāṛī mulk Saīr ke mardoṅ par hamlā kiyā tāki unheṅ mukammal taur par ḳhatm kar deṅ. Jab yih halāk hue to Ammonī aur Moābī ek dūsre ko maut ke ghāṭ utārne lage. 24 Yahūdāh ke faujiyoṅ ko is kā ilm nahīṅ thā. Chalte chalte wuh us maqām tak pahuṅch gae jahāṅ se registān nazar ātā hai. Wahāṅ wuh dushman ko talāsh karne lage, lekin lāsheṅ hī lāsheṅ zamīn par bikhrī nazar āīṅ. Ek bhī dushman nahīṅ bachā thā. 25 Yahūsafat aur us ke logoṅ ke lie sirf dushman ko lūṭne kā kām bāqī rah gayā thā. Kasrat ke jānwar, qism qism kā sāmān, kapṛe aur kaī qīmtī chīzeṅ thīṅ. Itnā sāmān thā ki wuh use ek waqt meṅ uṭhā kar apne sāth le jā nahīṅ sakte the. Sārā māl jamā karne meṅ tīn din lage. 26 Chauthe din wuh qarīb kī ek wādī meṅ jamā hue tāki Rab kī tārīf kareṅ. Us waqt se wādī kā nām ‘Tārīf kī Wādī’ paṛ gayā. 27 Is ke bād Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām mard Yahūsafat kī rāhnumāī meṅ ḳhushī manāte hue Yarūshalam wāpas āe. Kyoṅki Rab ne unheṅ dushman kī shikast se ḳhushī kā sunahrā mauqā atā kiyā thā. 28 Sitār, sarod aur turam bajāte hue wuh Yarūshalam meṅ dāḳhil hue aur Rab ke ghar ke pās jā pahuṅche. 29 Jab irdgird ke mamālik ne sunā ki kis tarah Rab Isrāīl ke dushmanoṅ se laṛā hai to un meṅ Allāh kī dahshat phail gaī. 30 Us waqt se Yahūsafat sukūn se hukūmat kar sakā, kyoṅki Allāh ne use chāroṅ taraf ke mamālik ke hamloṅ se mahfūz rakhā thā. 31 Yahūsafat 35 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 25 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Azūbā bint Silhī thī. 32 Wuh apne bāp Āsā ke namūne par chaltā aur wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā. 33 Lekin us ne bhī ūṅche maqāmoṅ ke mandiroṅ ko ḳhatm na kiyā, aur logoṅ ke dil apne bāpdādā ke Ḳhudā kī taraf māyl na hue. 34 Bāqī jo kuchh Yahūsafat kī hukūmat ke daurān huā wuh shurū se le kar āḳhir tak Yāhū bin Hanānī kī tārīḳh meṅ bayān kiyā gayā hai. Bād meṅ sab kuchh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj kiyā gayā. 35 Bād meṅ Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafat ne Isrāīl ke bādshāh Aḳhaziyāh se ittahād kiyā, go us kā rawaiyā bedīnī kā thā. 36 Donoṅ ne mil kar tijāratī jahāzoṅ kā aisā beṛā banwāyā jo Tarsīs tak pahuṅch sake. Jab yih jahāz bandargāh Asyūn-jābar meṅ taiyār hue 37 to Maresā kā rahne wālā Iliyazar bin Dūdāwāhū ne Yahūsafat ke ḳhilāf peshgoī kī, “Chūṅki āp Aḳhaziyāh ke sāth muttahid ho gae haiṅ is lie Rab āp kā kām tabāh kar degā!” Aur wāqaī, yih jahāz kabhī apnī manzil-e-maqsūd Tarsīs tak pahuṅch na sake, kyoṅki wuh pahle hī ṭukṛe ṭukṛe ho gae.

In Other Versions

2 Chronicles 20 in the ANGEFD

2 Chronicles 20 in the ANTPNG2D

2 Chronicles 20 in the AS21

2 Chronicles 20 in the BAGH

2 Chronicles 20 in the BBPNG

2 Chronicles 20 in the BBT1E

2 Chronicles 20 in the BDS

2 Chronicles 20 in the BEV

2 Chronicles 20 in the BHAD

2 Chronicles 20 in the BIB

2 Chronicles 20 in the BLPT

2 Chronicles 20 in the BNT

2 Chronicles 20 in the BNTABOOT

2 Chronicles 20 in the BNTLV

2 Chronicles 20 in the BOATCB

2 Chronicles 20 in the BOATCB2

2 Chronicles 20 in the BOBCV

2 Chronicles 20 in the BOCNT

2 Chronicles 20 in the BOECS

2 Chronicles 20 in the BOGWICC

2 Chronicles 20 in the BOHCB

2 Chronicles 20 in the BOHCV

2 Chronicles 20 in the BOHLNT

2 Chronicles 20 in the BOHNTLTAL

2 Chronicles 20 in the BOICB

2 Chronicles 20 in the BOILNTAP

2 Chronicles 20 in the BOITCV

2 Chronicles 20 in the BOKCV

2 Chronicles 20 in the BOKCV2

2 Chronicles 20 in the BOKHWOG

2 Chronicles 20 in the BOKSSV

2 Chronicles 20 in the BOLCB

2 Chronicles 20 in the BOLCB2

2 Chronicles 20 in the BOMCV

2 Chronicles 20 in the BONAV

2 Chronicles 20 in the BONCB

2 Chronicles 20 in the BONLT

2 Chronicles 20 in the BONUT2

2 Chronicles 20 in the BOPLNT

2 Chronicles 20 in the BOSCB

2 Chronicles 20 in the BOSNC

2 Chronicles 20 in the BOTLNT

2 Chronicles 20 in the BOVCB

2 Chronicles 20 in the BOYCB

2 Chronicles 20 in the BPBB

2 Chronicles 20 in the BPH

2 Chronicles 20 in the BSB

2 Chronicles 20 in the CCB

2 Chronicles 20 in the CUV

2 Chronicles 20 in the CUVS

2 Chronicles 20 in the DBT

2 Chronicles 20 in the DGDNT

2 Chronicles 20 in the DHNT

2 Chronicles 20 in the DNT

2 Chronicles 20 in the ELBE

2 Chronicles 20 in the EMTV

2 Chronicles 20 in the ESV

2 Chronicles 20 in the FBV

2 Chronicles 20 in the FEB

2 Chronicles 20 in the GGMNT

2 Chronicles 20 in the GNT

2 Chronicles 20 in the HARY

2 Chronicles 20 in the HNT

2 Chronicles 20 in the IRVA

2 Chronicles 20 in the IRVB

2 Chronicles 20 in the IRVG

2 Chronicles 20 in the IRVH

2 Chronicles 20 in the IRVK

2 Chronicles 20 in the IRVM

2 Chronicles 20 in the IRVM2

2 Chronicles 20 in the IRVO

2 Chronicles 20 in the IRVP

2 Chronicles 20 in the IRVT

2 Chronicles 20 in the IRVT2

2 Chronicles 20 in the IRVU

2 Chronicles 20 in the ISVN

2 Chronicles 20 in the JSNT

2 Chronicles 20 in the KAPI

2 Chronicles 20 in the KBT1ETNIK

2 Chronicles 20 in the KBV

2 Chronicles 20 in the KJV

2 Chronicles 20 in the KNFD

2 Chronicles 20 in the LBA

2 Chronicles 20 in the LBLA

2 Chronicles 20 in the LNT

2 Chronicles 20 in the LSV

2 Chronicles 20 in the MAAL

2 Chronicles 20 in the MBV

2 Chronicles 20 in the MBV2

2 Chronicles 20 in the MHNT

2 Chronicles 20 in the MKNFD

2 Chronicles 20 in the MNG

2 Chronicles 20 in the MNT

2 Chronicles 20 in the MNT2

2 Chronicles 20 in the MRS1T

2 Chronicles 20 in the NAA

2 Chronicles 20 in the NASB

2 Chronicles 20 in the NBLA

2 Chronicles 20 in the NBS

2 Chronicles 20 in the NBVTP

2 Chronicles 20 in the NET2

2 Chronicles 20 in the NIV11

2 Chronicles 20 in the NNT

2 Chronicles 20 in the NNT2

2 Chronicles 20 in the NNT3

2 Chronicles 20 in the PDDPT

2 Chronicles 20 in the PFNT

2 Chronicles 20 in the RMNT

2 Chronicles 20 in the SBIAS

2 Chronicles 20 in the SBIBS

2 Chronicles 20 in the SBIBS2

2 Chronicles 20 in the SBICS

2 Chronicles 20 in the SBIDS

2 Chronicles 20 in the SBIGS

2 Chronicles 20 in the SBIHS

2 Chronicles 20 in the SBIIS

2 Chronicles 20 in the SBIIS2

2 Chronicles 20 in the SBIIS3

2 Chronicles 20 in the SBIKS

2 Chronicles 20 in the SBIKS2

2 Chronicles 20 in the SBIMS

2 Chronicles 20 in the SBIOS

2 Chronicles 20 in the SBIPS

2 Chronicles 20 in the SBISS

2 Chronicles 20 in the SBITS

2 Chronicles 20 in the SBITS2

2 Chronicles 20 in the SBITS3

2 Chronicles 20 in the SBITS4

2 Chronicles 20 in the SBIUS

2 Chronicles 20 in the SBIVS

2 Chronicles 20 in the SBT

2 Chronicles 20 in the SBT1E

2 Chronicles 20 in the SCHL

2 Chronicles 20 in the SNT

2 Chronicles 20 in the SUSU

2 Chronicles 20 in the SUSU2

2 Chronicles 20 in the SYNO

2 Chronicles 20 in the TBIAOTANT

2 Chronicles 20 in the TBT1E

2 Chronicles 20 in the TBT1E2

2 Chronicles 20 in the TFTIP

2 Chronicles 20 in the TFTU

2 Chronicles 20 in the TGNTATF3T

2 Chronicles 20 in the THAI

2 Chronicles 20 in the TNFD

2 Chronicles 20 in the TNT

2 Chronicles 20 in the TNTIK

2 Chronicles 20 in the TNTIL

2 Chronicles 20 in the TNTIN

2 Chronicles 20 in the TNTIP

2 Chronicles 20 in the TNTIZ

2 Chronicles 20 in the TOMA

2 Chronicles 20 in the TTENT

2 Chronicles 20 in the UBG

2 Chronicles 20 in the UGV

2 Chronicles 20 in the UGV2

2 Chronicles 20 in the VBL

2 Chronicles 20 in the VDCC

2 Chronicles 20 in the YALU

2 Chronicles 20 in the YAPE

2 Chronicles 20 in the YBVTP

2 Chronicles 20 in the ZBP