2 Chronicles 4 (UGV3)

1 Sulemān ne pītal kī ek qurbāngāh bhī banwāī jis kī lambāī 30 fuṭ, chauṛāī 30 fuṭ aur ūṅchāī 15 fuṭ thī. 2 Is ke bād us ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhalwāyā jis kā nām ‘Samundar’ rakhā gayā. Us kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā. 3 Hauz ke kināre ke nīche bailoṅ kī do qatāreṅ thīṅ. Fī fuṭ taqrīban 6 bail the. Bail aur hauz mil kar ḍhāle gae the. 4 Hauz ko bailoṅ ke 12 mujassamoṅ par rakhā gayā. Tīn bailoṅ kā ruḳh shimāl kī taraf, tīn kā ruḳh maġhrib kī taraf, tīn kā ruḳh junūb kī taraf aur tīn kā ruḳh mashriq kī taraf thā. Un ke pichhle hisse hauz kī taraf the, aur hauz un ke kandhoṅ par paṛā thā. 5 Hauz kā kinārā pyāle balki sosan ke phūl kī tarah bāhar kī taraf muṛā huā thā. Us kī dīwār taqrīban tīn inch moṭī thī, aur hauz meṅ pānī ke taqrīban 66,000 liṭar samā jāte the. 6 Sulemān ne 10 bāsan ḍhalwāe. Pāṅch ko Rab ke ghar ke dāeṅ hāth aur pāṅch ko us ke bāeṅ hāth khaṛā kiyā gayā. In bāsanoṅ meṅ gosht ke wuh ṭukṛe dhoe jāte jinheṅ bhasm hone wālī qurbānī ke taur par jalānā thā. Lekin ‘Samundar’ nāmī hauz imāmoṅ ke istemāl ke lie thā. Us meṅ wuh nahāte the. 7 Sulemān ne sone ke 10 shamādān muqarrarā tafsīlāt ke mutābiq banwā kar Rab ke ghar meṅ rakh die, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch ko bāīṅ taraf. 8 Das mezeṅ bhī banā kar Rab ke ghar meṅ rakhī gaīṅ, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch ko bāīṅ taraf. In chīzoṅ ke alāwā Sulemān ne chhiṛkāw ke sone ke 100 kaṭore banwāe. 9 Phir Sulemān ne wuh andarūnī sahan banwāyā jis meṅ sirf imāmoṅ ko dāḳhil hone kī ijāzat thī. Us ne baṛā sahan bhī us ke darwāzoṅ samet banwāyā. Darwāzoṅ ke kiwāṛoṅ par pītal chaṛhāyā gayā. 10 ‘Samundar’ nāmī hauz ko sahan ke junūb-mashriq meṅ rakhā gayā. 11 Hīrām ne bāsan, belche aur chhiṛkāw ke kaṭore bhī banāe. Yoṅ us ne Allāh ke ghar meṅ wuh sārā kām mukammal kiyā jis ke lie Sulemān Bādshāh ne use bulāyā thā. Us ne zail kī chīzeṅ banāīṅ: 12 do satūn,satūnoṅ par lage pyālānumā bālāī hisse,bālāī hissoṅ par lagī zanjīroṅ kā ḍizāyn, 13 zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī bālāī hissā 200 adad), 14 hathgāṛiyāṅ,in par ke pānī ke bāsan, 15 hauz banām Samundar,ise uṭhāne wāle bail ke 12 mujassame, 16 bālṭiyāṅ, belche, gosht ke kāṅṭe.Tamām sāmān jo Hīrām-abī ne Sulemān ke hukm par Rab ke ghar ke lie banāyā pītal se ḍhāl kar pālish kiyā gayā thā. 17 Bādshāh ne use Wādī-e-Yardan meṅ Sukkāt aur Zartān ke darmiyān ḍhalwāyā. Wahāṅ ek faunḍarī thī jahāṅ Hīrām ne gāre se sāṅche banā kar har chīz ḍhāl dī. 18 Is sāmān ke lie Sulemān Bādshāh ne itnā zyādā pītal istemāl kiyā ki us kā kul wazn mālūm na ho sakā. 19 Allāh ke ghar ke andar ke lie Sulemān ne darj-e-zail sāmān banwāyā:sone kī qurbāngāh,sone kī wuh mezeṅ jin par Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ paṛī rahtī thīṅ, 20 ḳhālis sone ke wuh shamādān aur charāġh jin ko qawāyd ke mutābiq Muqaddastarīn Kamre ke sāmne jalnā thā, 21 ḳhālis sone ke wuh phūl jin se shamādān ārāstā the,ḳhālis sone ke charāġh aur battī ko bujhāne ke auzār, 22 charāġh ko katarne ke ḳhālis sone ke auzār, chhiṛkāw ke ḳhālis sone ke kaṭore aur pyāle,jalte hue koele ke lie ḳhālis sone ke bartan,Muqaddastarīn Kamre aur baṛe hāl ke darwāze.

In Other Versions

2 Chronicles 4 in the ANGEFD

2 Chronicles 4 in the ANTPNG2D

2 Chronicles 4 in the AS21

2 Chronicles 4 in the BAGH

2 Chronicles 4 in the BBPNG

2 Chronicles 4 in the BBT1E

2 Chronicles 4 in the BDS

2 Chronicles 4 in the BEV

2 Chronicles 4 in the BHAD

2 Chronicles 4 in the BIB

2 Chronicles 4 in the BLPT

2 Chronicles 4 in the BNT

2 Chronicles 4 in the BNTABOOT

2 Chronicles 4 in the BNTLV

2 Chronicles 4 in the BOATCB

2 Chronicles 4 in the BOATCB2

2 Chronicles 4 in the BOBCV

2 Chronicles 4 in the BOCNT

2 Chronicles 4 in the BOECS

2 Chronicles 4 in the BOGWICC

2 Chronicles 4 in the BOHCB

2 Chronicles 4 in the BOHCV

2 Chronicles 4 in the BOHLNT

2 Chronicles 4 in the BOHNTLTAL

2 Chronicles 4 in the BOICB

2 Chronicles 4 in the BOILNTAP

2 Chronicles 4 in the BOITCV

2 Chronicles 4 in the BOKCV

2 Chronicles 4 in the BOKCV2

2 Chronicles 4 in the BOKHWOG

2 Chronicles 4 in the BOKSSV

2 Chronicles 4 in the BOLCB

2 Chronicles 4 in the BOLCB2

2 Chronicles 4 in the BOMCV

2 Chronicles 4 in the BONAV

2 Chronicles 4 in the BONCB

2 Chronicles 4 in the BONLT

2 Chronicles 4 in the BONUT2

2 Chronicles 4 in the BOPLNT

2 Chronicles 4 in the BOSCB

2 Chronicles 4 in the BOSNC

2 Chronicles 4 in the BOTLNT

2 Chronicles 4 in the BOVCB

2 Chronicles 4 in the BOYCB

2 Chronicles 4 in the BPBB

2 Chronicles 4 in the BPH

2 Chronicles 4 in the BSB

2 Chronicles 4 in the CCB

2 Chronicles 4 in the CUV

2 Chronicles 4 in the CUVS

2 Chronicles 4 in the DBT

2 Chronicles 4 in the DGDNT

2 Chronicles 4 in the DHNT

2 Chronicles 4 in the DNT

2 Chronicles 4 in the ELBE

2 Chronicles 4 in the EMTV

2 Chronicles 4 in the ESV

2 Chronicles 4 in the FBV

2 Chronicles 4 in the FEB

2 Chronicles 4 in the GGMNT

2 Chronicles 4 in the GNT

2 Chronicles 4 in the HARY

2 Chronicles 4 in the HNT

2 Chronicles 4 in the IRVA

2 Chronicles 4 in the IRVB

2 Chronicles 4 in the IRVG

2 Chronicles 4 in the IRVH

2 Chronicles 4 in the IRVK

2 Chronicles 4 in the IRVM

2 Chronicles 4 in the IRVM2

2 Chronicles 4 in the IRVO

2 Chronicles 4 in the IRVP

2 Chronicles 4 in the IRVT

2 Chronicles 4 in the IRVT2

2 Chronicles 4 in the IRVU

2 Chronicles 4 in the ISVN

2 Chronicles 4 in the JSNT

2 Chronicles 4 in the KAPI

2 Chronicles 4 in the KBT1ETNIK

2 Chronicles 4 in the KBV

2 Chronicles 4 in the KJV

2 Chronicles 4 in the KNFD

2 Chronicles 4 in the LBA

2 Chronicles 4 in the LBLA

2 Chronicles 4 in the LNT

2 Chronicles 4 in the LSV

2 Chronicles 4 in the MAAL

2 Chronicles 4 in the MBV

2 Chronicles 4 in the MBV2

2 Chronicles 4 in the MHNT

2 Chronicles 4 in the MKNFD

2 Chronicles 4 in the MNG

2 Chronicles 4 in the MNT

2 Chronicles 4 in the MNT2

2 Chronicles 4 in the MRS1T

2 Chronicles 4 in the NAA

2 Chronicles 4 in the NASB

2 Chronicles 4 in the NBLA

2 Chronicles 4 in the NBS

2 Chronicles 4 in the NBVTP

2 Chronicles 4 in the NET2

2 Chronicles 4 in the NIV11

2 Chronicles 4 in the NNT

2 Chronicles 4 in the NNT2

2 Chronicles 4 in the NNT3

2 Chronicles 4 in the PDDPT

2 Chronicles 4 in the PFNT

2 Chronicles 4 in the RMNT

2 Chronicles 4 in the SBIAS

2 Chronicles 4 in the SBIBS

2 Chronicles 4 in the SBIBS2

2 Chronicles 4 in the SBICS

2 Chronicles 4 in the SBIDS

2 Chronicles 4 in the SBIGS

2 Chronicles 4 in the SBIHS

2 Chronicles 4 in the SBIIS

2 Chronicles 4 in the SBIIS2

2 Chronicles 4 in the SBIIS3

2 Chronicles 4 in the SBIKS

2 Chronicles 4 in the SBIKS2

2 Chronicles 4 in the SBIMS

2 Chronicles 4 in the SBIOS

2 Chronicles 4 in the SBIPS

2 Chronicles 4 in the SBISS

2 Chronicles 4 in the SBITS

2 Chronicles 4 in the SBITS2

2 Chronicles 4 in the SBITS3

2 Chronicles 4 in the SBITS4

2 Chronicles 4 in the SBIUS

2 Chronicles 4 in the SBIVS

2 Chronicles 4 in the SBT

2 Chronicles 4 in the SBT1E

2 Chronicles 4 in the SCHL

2 Chronicles 4 in the SNT

2 Chronicles 4 in the SUSU

2 Chronicles 4 in the SUSU2

2 Chronicles 4 in the SYNO

2 Chronicles 4 in the TBIAOTANT

2 Chronicles 4 in the TBT1E

2 Chronicles 4 in the TBT1E2

2 Chronicles 4 in the TFTIP

2 Chronicles 4 in the TFTU

2 Chronicles 4 in the TGNTATF3T

2 Chronicles 4 in the THAI

2 Chronicles 4 in the TNFD

2 Chronicles 4 in the TNT

2 Chronicles 4 in the TNTIK

2 Chronicles 4 in the TNTIL

2 Chronicles 4 in the TNTIN

2 Chronicles 4 in the TNTIP

2 Chronicles 4 in the TNTIZ

2 Chronicles 4 in the TOMA

2 Chronicles 4 in the TTENT

2 Chronicles 4 in the UBG

2 Chronicles 4 in the UGV

2 Chronicles 4 in the UGV2

2 Chronicles 4 in the VBL

2 Chronicles 4 in the VDCC

2 Chronicles 4 in the YALU

2 Chronicles 4 in the YAPE

2 Chronicles 4 in the YBVTP

2 Chronicles 4 in the ZBP