Deuteronomy 12 (UGV3)

1 Zail meṅ wuh ahkām aur qawānīn haiṅ jin par tumheṅ dhyān se amal karnā hogā jab tum us mulk meṅ ābād hoge jo Rab tere bāpdādā kā Ḳhudā tujhe de rahā hai tāki tū us par qabzā kare. Mulk meṅ rahte hue umr-bhar un ke tābe raho. 2 Un tamām jaghoṅ ko barbād karo jahāṅ wuh qaumeṅ jinheṅ tumheṅ nikālnā hai apne dewatāoṅ kī pūjā kartī haiṅ, ḳhāh wuh ūṅche pahāṛoṅ, pahāṛiyoṅ yā ghane daraḳhtoṅ ke sāy meṅ kyoṅ na hoṅ. 3 Un kī qurbāngāhoṅ ko ḍhā denā. Jin pattharoṅ kī pūjā wuh karte haiṅ unheṅ chaknāchūr kar denā. Yasīrat Dewī ke khambe jalā denā. Un ke dewatāoṅ ke mujassame kāṭ ḍālnā. Ġharz in jaghoṅ se un kā nām-o-nishān miṭ jāe. 4 Rab apne Ḳhudā kī parastish karne ke lie un ke tarīqe na apnānā. 5 Rab tumhārā Ḳhudā qabīloṅ meṅ se apne nām kī sukūnat ke lie ek jagah chun legā. Ibādat ke lie wahāṅ jāyā karo, 6 aur wahāṅ apnī tamām qurbāniyāṅ lā kar pesh karo, ḳhāh wuh bhasm hone wālī qurbāniyāṅ, zabah kī qurbāniyāṅ, paidāwār kā daswāṅ hissā, uṭhāne wālī qurbāniyāṅ, mannat ke hadiye, ḳhushī se pesh kī gaī qurbāniyāṅ yā maweshiyoṅ ke pahlauṭhe kyoṅ na hoṅ. 7 Wahāṅ Rab apne Ḳhudā ke huzūr apne gharānoṅ samet khānā khā kar un kāmyābiyoṅ kī ḳhushī manāo jo tujhe Rab tere Ḳhudā kī barkat ke bāis hāsil huī haiṅ. 8 Us waqt tumheṅ wuh nahīṅ karnā jo ham karte āe haiṅ. Āj tak har koī apnī marzī ke mutābiq ibādat kartā hai, 9 kyoṅki ab tak tum ārām kī us jagah nahīṅ pahuṅche jo tujhe Rab tere Ḳhudā se mīrās meṅ milnī hai. 10 Lekin jald hī tum Dariyā-e-Yardan ko pār karke us mulk meṅ ābād ho jāoge jo Rab tumhārā Ḳhudā tumheṅ mīrās meṅ de rahā hai. Us waqt wuh tumheṅ irdgird ke dushmanoṅ se bachāe rakhegā, aur tum ārām aur sukūn se zindagī guzār sakoge. 11 Tab Rab tumhārā Ḳhudā apne nām kī sukūnat ke lie ek jagah chun legā, aur tumheṅ sab kuchh jo maiṅ batāūṅgā wahāṅ lā kar pesh karnā hai, ḳhāh wuh bhasm hone wālī qurbāniyāṅ, zabah kī qurbāniyāṅ, paidāwār kā daswāṅ hissā, uṭhāne wālī qurbāniyāṅ yā mannat ke ḳhās hadiye kyoṅ na hoṅ. 12 Wahāṅ Rab ke sāmne tum, tumhāre beṭe-beṭiyāṅ, tumhāre ġhulām aur launḍiyāṅ ḳhushī manāeṅ. Apne shahroṅ meṅ ābād Lāwiyoṅ ko bhī apnī ḳhushī meṅ sharīk karo, kyoṅki un ke pās maurūsī zamīn nahīṅ hogī. 13 Ḳhabardār, apnī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ har jagah par pesh na karnā 14 balki sirf us jagah par jo Rab qabīloṅ meṅ se chunegā. Wahīṅ sab kuchh yoṅ manā jis tarah maiṅ tujhe batātā hūṅ. 15 Lekin wuh jānwar is meṅ shāmil nahīṅ haiṅ jo tū qurbānī ke taur par pesh nahīṅ karnā chāhtā balki sirf khānā chāhtā hai. Aise jānwar tū āzādī se apne tamām shahroṅ meṅ zabah karke us barkat ke mutābiq khā saktā hai jo Rab tere Ḳhudā ne tujhe dī hai. Aisā gosht hiran aur ġhazāl ke gosht kī mānind hai yānī pāk aur nāpāk donoṅ hī use khā sakte haiṅ. 16 Lekin ḳhūn na khānā. Use pānī kī tarah zamīn par unḍel kar zāe kar denā. 17 Jo bhī chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs kī gaī haiṅ unheṅ apne shahroṅ meṅ na khānā masalan anāj, angūr ke ras aur zaitūn ke tel kā daswāṅ hissā, maweshiyoṅ ke pahlauṭhe, mannat ke hadiye, ḳhushī se pesh kī gaī qurbāniyāṅ aur uṭhāne wālī qurbāniyāṅ. 18 Yih chīzeṅ sirf Rab ke huzūr khānā yānī us jagah par jise wuh maqdis ke lie chunegā. Wahīṅ tū apne beṭe-beṭiyoṅ, ġhulāmoṅ, launḍiyoṅ aur apne qabāylī ilāqe ke Lāwiyoṅ ke sāth jamā ho kar ḳhushī manā ki Rab ne hamārī mehnat ko barkat dī hai. 19 Apne mulk meṅ Lāwiyoṅ kī zarūriyāt umr-bhar pūrī karne kī fikr rakh. 20 Jab Rab terā Ḳhudā apne wāde ke mutābiq terī sarhaddeṅ baṛhā degā aur tū gosht khāne kī ḳhāhish rakhegā to jis tarah jī chāhe gosht khā sakegā. 21 Agar terā ghar us maqdis se dūr ho jise Rab terā Ḳhudā apne nām kī sukūnat ke lie chunegā to tū jis tarah jī chāhe apne shahroṅ meṅ Rab se mile hue maweshiyoṅ ko zabah karke khā saktā hai. Lekin aisā hī karnā jaisā maiṅ ne hukm diyā hai. 22 Aisā gosht hiran aur ġhazāl ke gosht kī mānind hai yānī pāk aur nāpāk donoṅ hī use khā sakte haiṅ. 23 Albattā gosht ke sāth ḳhūn na khānā, kyoṅki ḳhūn jāndār kī jān hai. Us kī jān gosht ke sāth na khānā. 24 Ḳhūn na khānā balki use zamīn par unḍel kar zāe kar denā. 25 Use na khānā tāki tujhe aur terī aulād ko kāmyābī hāsil ho, kyoṅki aisā karne se tū Rab kī nazar meṅ sahīh kām karegā. 26 Lekin jo chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ yā jo tū ne mannat mān kar us ke lie maḳhsūs kī haiṅ lāzim hai ki tū unheṅ us jagah le jāe jise Rab maqdis ke lie chunegā. 27 Wahīṅ, Rab apne Ḳhudā kī qurbāngāh par apnī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ gosht aur ḳhūn samet chaṛhā. Zabah kī qurbāniyoṅ kā ḳhūn qurbāngāh par unḍel denā, lekin un kā gosht tū khā saktā hai. 28 Jo bhī hidāyāt maiṅ tujhe de rahā hūṅ unheṅ ehtiyāt se pūrā kar. Phir tū aur terī aulād ḳhushhāl raheṅge, kyoṅki tū wuh kuchh karegā jo Rab tere Ḳhudā kī nazar meṅ achchhā aur durust hai. 29 Rab terā Ḳhudā un qaumoṅ ko miṭā degā jin kī taraf tū baṛh rahā hai. Tū unheṅ un ke mulk se nikāltā jāegā aur ḳhud us meṅ ābād ho jāegā. 30 Lekin ḳhabardār, un ke ḳhatm hone ke bād bhī un ke dewatāoṅ ke bāre meṅ mālūmāt hāsil na kar, warnā tū phaṅs jāegā. Mat kahnā ki yih qaumeṅ kis tarīqe se apne dewatāoṅ kī pūjā kartī haiṅ? Ham bhī aisā hī kareṅ. 31 Aisā mat kar! Yih qaumeṅ aise ghinaune tarīqe se pūjā kartī haiṅ jin se Rab nafrat kartā hai. Wuh apne bachchoṅ ko bhī jalā kar apne dewatāoṅ ko pesh karte haiṅ. 32 Kalām kī jo bhī bāt maiṅ tumheṅ pesh kartā hūṅ us ke tābe rah kar us par amal karo. Na kisī bāt kā izāfā karnā, na koī bāt nikālnā.

In Other Versions

Deuteronomy 12 in the ANGEFD

Deuteronomy 12 in the ANTPNG2D

Deuteronomy 12 in the AS21

Deuteronomy 12 in the BAGH

Deuteronomy 12 in the BBPNG

Deuteronomy 12 in the BBT1E

Deuteronomy 12 in the BDS

Deuteronomy 12 in the BEV

Deuteronomy 12 in the BHAD

Deuteronomy 12 in the BIB

Deuteronomy 12 in the BLPT

Deuteronomy 12 in the BNT

Deuteronomy 12 in the BNTABOOT

Deuteronomy 12 in the BNTLV

Deuteronomy 12 in the BOATCB

Deuteronomy 12 in the BOATCB2

Deuteronomy 12 in the BOBCV

Deuteronomy 12 in the BOCNT

Deuteronomy 12 in the BOECS

Deuteronomy 12 in the BOGWICC

Deuteronomy 12 in the BOHCB

Deuteronomy 12 in the BOHCV

Deuteronomy 12 in the BOHLNT

Deuteronomy 12 in the BOHNTLTAL

Deuteronomy 12 in the BOICB

Deuteronomy 12 in the BOILNTAP

Deuteronomy 12 in the BOITCV

Deuteronomy 12 in the BOKCV

Deuteronomy 12 in the BOKCV2

Deuteronomy 12 in the BOKHWOG

Deuteronomy 12 in the BOKSSV

Deuteronomy 12 in the BOLCB

Deuteronomy 12 in the BOLCB2

Deuteronomy 12 in the BOMCV

Deuteronomy 12 in the BONAV

Deuteronomy 12 in the BONCB

Deuteronomy 12 in the BONLT

Deuteronomy 12 in the BONUT2

Deuteronomy 12 in the BOPLNT

Deuteronomy 12 in the BOSCB

Deuteronomy 12 in the BOSNC

Deuteronomy 12 in the BOTLNT

Deuteronomy 12 in the BOVCB

Deuteronomy 12 in the BOYCB

Deuteronomy 12 in the BPBB

Deuteronomy 12 in the BPH

Deuteronomy 12 in the BSB

Deuteronomy 12 in the CCB

Deuteronomy 12 in the CUV

Deuteronomy 12 in the CUVS

Deuteronomy 12 in the DBT

Deuteronomy 12 in the DGDNT

Deuteronomy 12 in the DHNT

Deuteronomy 12 in the DNT

Deuteronomy 12 in the ELBE

Deuteronomy 12 in the EMTV

Deuteronomy 12 in the ESV

Deuteronomy 12 in the FBV

Deuteronomy 12 in the FEB

Deuteronomy 12 in the GGMNT

Deuteronomy 12 in the GNT

Deuteronomy 12 in the HARY

Deuteronomy 12 in the HNT

Deuteronomy 12 in the IRVA

Deuteronomy 12 in the IRVB

Deuteronomy 12 in the IRVG

Deuteronomy 12 in the IRVH

Deuteronomy 12 in the IRVK

Deuteronomy 12 in the IRVM

Deuteronomy 12 in the IRVM2

Deuteronomy 12 in the IRVO

Deuteronomy 12 in the IRVP

Deuteronomy 12 in the IRVT

Deuteronomy 12 in the IRVT2

Deuteronomy 12 in the IRVU

Deuteronomy 12 in the ISVN

Deuteronomy 12 in the JSNT

Deuteronomy 12 in the KAPI

Deuteronomy 12 in the KBT1ETNIK

Deuteronomy 12 in the KBV

Deuteronomy 12 in the KJV

Deuteronomy 12 in the KNFD

Deuteronomy 12 in the LBA

Deuteronomy 12 in the LBLA

Deuteronomy 12 in the LNT

Deuteronomy 12 in the LSV

Deuteronomy 12 in the MAAL

Deuteronomy 12 in the MBV

Deuteronomy 12 in the MBV2

Deuteronomy 12 in the MHNT

Deuteronomy 12 in the MKNFD

Deuteronomy 12 in the MNG

Deuteronomy 12 in the MNT

Deuteronomy 12 in the MNT2

Deuteronomy 12 in the MRS1T

Deuteronomy 12 in the NAA

Deuteronomy 12 in the NASB

Deuteronomy 12 in the NBLA

Deuteronomy 12 in the NBS

Deuteronomy 12 in the NBVTP

Deuteronomy 12 in the NET2

Deuteronomy 12 in the NIV11

Deuteronomy 12 in the NNT

Deuteronomy 12 in the NNT2

Deuteronomy 12 in the NNT3

Deuteronomy 12 in the PDDPT

Deuteronomy 12 in the PFNT

Deuteronomy 12 in the RMNT

Deuteronomy 12 in the SBIAS

Deuteronomy 12 in the SBIBS

Deuteronomy 12 in the SBIBS2

Deuteronomy 12 in the SBICS

Deuteronomy 12 in the SBIDS

Deuteronomy 12 in the SBIGS

Deuteronomy 12 in the SBIHS

Deuteronomy 12 in the SBIIS

Deuteronomy 12 in the SBIIS2

Deuteronomy 12 in the SBIIS3

Deuteronomy 12 in the SBIKS

Deuteronomy 12 in the SBIKS2

Deuteronomy 12 in the SBIMS

Deuteronomy 12 in the SBIOS

Deuteronomy 12 in the SBIPS

Deuteronomy 12 in the SBISS

Deuteronomy 12 in the SBITS

Deuteronomy 12 in the SBITS2

Deuteronomy 12 in the SBITS3

Deuteronomy 12 in the SBITS4

Deuteronomy 12 in the SBIUS

Deuteronomy 12 in the SBIVS

Deuteronomy 12 in the SBT

Deuteronomy 12 in the SBT1E

Deuteronomy 12 in the SCHL

Deuteronomy 12 in the SNT

Deuteronomy 12 in the SUSU

Deuteronomy 12 in the SUSU2

Deuteronomy 12 in the SYNO

Deuteronomy 12 in the TBIAOTANT

Deuteronomy 12 in the TBT1E

Deuteronomy 12 in the TBT1E2

Deuteronomy 12 in the TFTIP

Deuteronomy 12 in the TFTU

Deuteronomy 12 in the TGNTATF3T

Deuteronomy 12 in the THAI

Deuteronomy 12 in the TNFD

Deuteronomy 12 in the TNT

Deuteronomy 12 in the TNTIK

Deuteronomy 12 in the TNTIL

Deuteronomy 12 in the TNTIN

Deuteronomy 12 in the TNTIP

Deuteronomy 12 in the TNTIZ

Deuteronomy 12 in the TOMA

Deuteronomy 12 in the TTENT

Deuteronomy 12 in the UBG

Deuteronomy 12 in the UGV

Deuteronomy 12 in the UGV2

Deuteronomy 12 in the VBL

Deuteronomy 12 in the VDCC

Deuteronomy 12 in the YALU

Deuteronomy 12 in the YAPE

Deuteronomy 12 in the YBVTP

Deuteronomy 12 in the ZBP