Exodus 21 (UGV3)

1 Isrāīliyoṅ ko yih ahkām batā, 2 ‘Agar tū Ibrānī ġhulām ḳharīde to wuh chhih sāl terā ġhulām rahe. Is ke bād lāzim hai ki use āzād kar diyā jāe. Āzād hone ke lie use paise dene kī zarūrat nahīṅ hogī. 3 Agar ġhulām ġhairshādīshudā hālat meṅ mālik ke ghar āyā ho to wuh āzād ho kar akelā hī chalā jāe. Agar wuh shādīshudā hālat meṅ āyā ho to lāzim hai ki wuh apnī bīwī samet āzād ho kar jāe. 4 Agar mālik ne ġhulām kī shādī karāī aur bachche paidā hue haiṅ to us kī bīwī aur bachche mālik kī milkiyat hoṅge. Chhih sāl ke bād jab ġhulām āzād ho kar jāe to us kī bīwī aur bachche mālik hī ke pās raheṅ. 5 Agar ġhulām kahe, “Maiṅ apne mālik aur apne bīwī bachchoṅ se muhabbat rakhtā hūṅ, maiṅ āzād nahīṅ honā chāhtā” 6 to ġhulām kā mālik use Allāh ke sāmne lāe. Wuh use darwāze yā us kī chaukhaṭ ke pās le jāe aur sutālī yānī tez auzār se us ke kān kī lau chhed de. Tab wuh zindagī-bhar us kā ġhulām banā rahegā. 7 Agar koī apnī beṭī ko ġhulāmī meṅ bech ḍāle to us ke lie āzādī milne kī sharāyt mard se farq haiṅ. 8 Agar us ke mālik ne use muntaḳhab kiyā ki wuh us kī bīwī ban jāe, lekin bād meṅ wuh use pasand na āe to lāzim hai ki wuh munāsib muāwazā le kar use us ke rishtedāroṅ ko wāpas kar de. Use aurat ko ġhairmulkiyoṅ ke hāth bechne kā iḳhtiyār nahīṅ hai, kyoṅki us ne us ke sāth bewafā sulūk kiyā hai. 9 Agar launḍī kā mālik us kī apne beṭe ke sāth shādī karāe to aurat ko beṭī ke huqūq hāsil hoṅge. 10 Agar mālik ne us se shādī karke bād meṅ dūsrī aurat se bhī shādī kī to lāzim hai ki wuh pahlī ko bhī khānā aur kapṛe detā rahe. Is ke alāwā us ke sāth hambistar hone kā farz bhī adā karnā hai. 11 Agar wuh yih tīn farāyz adā na kare to use aurat ko āzād karnā paṛegā. Is sūrat meṅ use muft āzād karnā hogā. 12 Jo kisī ko jān-būjh kar itnā saḳht mārtā ho ki wuh mar jāe to use zarūr sazā-e-maut denā hai. 13 Lekin agar us ne use jān-būjh kar na mārā balki yih ittafāq se huā aur Allāh ne yih hone diyā, to mārne wālā ek aisī jagah panāh le saktā hai jo maiṅ muqarrar karūṅga. Wahāṅ use qatl kie jāne kī ijāzat nahīṅ hogī. 14 Lekin jo dīdā-dānistā aur chālākī se kisī ko mār ḍāltā hai use merī qurbāngāh se bhī chhīn kar sazā-e-maut denā hai. 15 Jo apne bāp yā apnī māṅ ko mārtā pīṭtā hai use sazā-e-maut dī jāe. 16 Jis ne kisī ko aġhwā kar liyā hai use sazā-e-maut dī jāe, chāhe wuh use ġhulām banā kar bech chukā ho yā use ab tak apne pās rakhā huā ho. 17 Jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe. 18 Ho saktā hai ki ādmī jhagaṛeṅ aur ek shaḳhs dūsre ko patthar yā mukke se itnā zaḳhmī kar de ki go wuh bach jāe wuh bistar se uṭh na saktā ho. 19 Agar bād meṅ marīz yahāṅ tak shifā pāe ki dubārā uṭh kar lāṭhī ke sahāre chal-phir sake to choṭ pahuṅchāne wāle ko sazā nahīṅ milegī. Use sirf us waqt ke lie muāwazā denā paṛegā jab tak marīz paise na kamā sake. Sāth hī use us kā pūrā ilāj karwānā hai. 20 Jo apne ġhulām yā launḍī ko lāṭhī se yoṅ māre ki wuh mar jāe use sazā dī jāe. 21 Lekin agar ġhulām yā launḍī piṭāī ke bād ek yā do din zindā rahe to mālik ko sazā na dī jāe. Kyoṅki jo raqam us ne us ke lie dī thī us kā nuqsān use ḳhud uṭhānā paṛegā. 22 Ho saktā hai ki log āpas meṅ laṛ rahe hoṅ aur laṛte laṛte kisī hāmilā aurat se yoṅ ṭakrā jāeṅ ki us kā bachchā zāe ho jāe. Agar koī aur nuqsān na huā ho to zarb pahuṅchāne wāle ko jurmānā denā paṛegā. Aurat kā shauhar yih jurmānā muqarrar kare, aur adālat meṅ is kī tasdīq ho. 23 Lekin agar us aurat ko aur nuqsān bhī pahuṅchā ho to phir zarb pahuṅchāne wāle ko is usūl ke mutābiq sazā dī jāe ki jān ke badle jān, 24 āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badle dāṅt, hāth ke badle hāth, pāṅw ke badle pāṅw, 25 jalne ke zaḳhm ke badle jalne kā zaḳhm, mār ke badle mār, kāṭ ke badle kāṭ. 26 Agar koī mālik apne ġhulām kī āṅkh par yoṅ māre ki wuh zāe ho jāe to use ġhulām ko āṅkh ke badle āzād karnā paṛegā, chāhe ġhulām mard ho yā aurat. 27 Agar mālik ke pīṭne se ġhulām kā dāṅt ṭūṭ jāe to use ġhulām ko dāṅt ke badle āzād karnā paṛegā, chāhe ġhulām mard ho yā aurat. 28 Agar koī bail kisī mard yā aurat ko aisā māre ki wuh mar jāe to us bail ko sangsār kiyā jāe. Us kā gosht khāne kī ijāzat nahīṅ hai. Is sūrat meṅ bail ke mālik ko sazā na dī jāe. 29 Lekin ho saktā hai ki mālik ko pahle āgāh kiyā gayā thā ki bail logoṅ ko mārtā hai, to bhī us ne bail ko khulā chhoṛā thā jis ke natīje meṅ us ne kisī ko mār ḍālā. Aisī sūrat meṅ na sirf bail ko balki us ke mālik ko bhī sangsār karnā hai. 30 Lekin agar faislā kiyā jāe ki wuh apnī jān kā fidyā de to jitnā muāwazā bhī muqarrar kiyā jāe use denā paṛegā. 31 Sazā meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe beṭe ko mārā jāe yā beṭī ko. 32 Lekin agar bail kisī ġhulām yā launḍī ko mār de to us kā mālik ġhulām ke mālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aur bail ko sangsār kiyā jāe. 33 Ho saktā hai ki kisī ne apne hauz ko khulā rahne diyā yā hauz banāne ke lie gaṛhā khod kar use khulā rahne diyā aur koī bail yā gadhā us meṅ gir kar mar gayā. 34 Aisī sūrat meṅ hauz kā mālik murdā jānwar ke lie paise de. Wuh jānwar ke mālik ko us kī pūrī qīmat adā kare aur murdā jānwar ḳhud le le. 35 Agar kisī kā bail kisī dūsre ke bail ko aise māre ki wuh mar jāe to donoṅ mālik zindā bail ko bech kar us ke paise āpas meṅ barābar bāṅṭ leṅ. Isī tarah wuh murdā bail ko bhī barābar taqsīm kareṅ. 36 Lekin ho saktā hai ki mālik ko mālūm thā ki merā bail dūsre jānwaroṅ par hamlā kartā hai, is ke bāwujūd us ne use āzād chhoṛ diyā thā. Aisī sūrat meṅ use murdā bail ke ewaz us ke mālik ko nayā bail denā paṛegā, aur wuh murdā bail ḳhud le le.

In Other Versions

Exodus 21 in the ANGEFD

Exodus 21 in the ANTPNG2D

Exodus 21 in the AS21

Exodus 21 in the BAGH

Exodus 21 in the BBPNG

Exodus 21 in the BBT1E

Exodus 21 in the BDS

Exodus 21 in the BEV

Exodus 21 in the BHAD

Exodus 21 in the BIB

Exodus 21 in the BLPT

Exodus 21 in the BNT

Exodus 21 in the BNTABOOT

Exodus 21 in the BNTLV

Exodus 21 in the BOATCB

Exodus 21 in the BOATCB2

Exodus 21 in the BOBCV

Exodus 21 in the BOCNT

Exodus 21 in the BOECS

Exodus 21 in the BOGWICC

Exodus 21 in the BOHCB

Exodus 21 in the BOHCV

Exodus 21 in the BOHLNT

Exodus 21 in the BOHNTLTAL

Exodus 21 in the BOICB

Exodus 21 in the BOILNTAP

Exodus 21 in the BOITCV

Exodus 21 in the BOKCV

Exodus 21 in the BOKCV2

Exodus 21 in the BOKHWOG

Exodus 21 in the BOKSSV

Exodus 21 in the BOLCB

Exodus 21 in the BOLCB2

Exodus 21 in the BOMCV

Exodus 21 in the BONAV

Exodus 21 in the BONCB

Exodus 21 in the BONLT

Exodus 21 in the BONUT2

Exodus 21 in the BOPLNT

Exodus 21 in the BOSCB

Exodus 21 in the BOSNC

Exodus 21 in the BOTLNT

Exodus 21 in the BOVCB

Exodus 21 in the BOYCB

Exodus 21 in the BPBB

Exodus 21 in the BPH

Exodus 21 in the BSB

Exodus 21 in the CCB

Exodus 21 in the CUV

Exodus 21 in the CUVS

Exodus 21 in the DBT

Exodus 21 in the DGDNT

Exodus 21 in the DHNT

Exodus 21 in the DNT

Exodus 21 in the ELBE

Exodus 21 in the EMTV

Exodus 21 in the ESV

Exodus 21 in the FBV

Exodus 21 in the FEB

Exodus 21 in the GGMNT

Exodus 21 in the GNT

Exodus 21 in the HARY

Exodus 21 in the HNT

Exodus 21 in the IRVA

Exodus 21 in the IRVB

Exodus 21 in the IRVG

Exodus 21 in the IRVH

Exodus 21 in the IRVK

Exodus 21 in the IRVM

Exodus 21 in the IRVM2

Exodus 21 in the IRVO

Exodus 21 in the IRVP

Exodus 21 in the IRVT

Exodus 21 in the IRVT2

Exodus 21 in the IRVU

Exodus 21 in the ISVN

Exodus 21 in the JSNT

Exodus 21 in the KAPI

Exodus 21 in the KBT1ETNIK

Exodus 21 in the KBV

Exodus 21 in the KJV

Exodus 21 in the KNFD

Exodus 21 in the LBA

Exodus 21 in the LBLA

Exodus 21 in the LNT

Exodus 21 in the LSV

Exodus 21 in the MAAL

Exodus 21 in the MBV

Exodus 21 in the MBV2

Exodus 21 in the MHNT

Exodus 21 in the MKNFD

Exodus 21 in the MNG

Exodus 21 in the MNT

Exodus 21 in the MNT2

Exodus 21 in the MRS1T

Exodus 21 in the NAA

Exodus 21 in the NASB

Exodus 21 in the NBLA

Exodus 21 in the NBS

Exodus 21 in the NBVTP

Exodus 21 in the NET2

Exodus 21 in the NIV11

Exodus 21 in the NNT

Exodus 21 in the NNT2

Exodus 21 in the NNT3

Exodus 21 in the PDDPT

Exodus 21 in the PFNT

Exodus 21 in the RMNT

Exodus 21 in the SBIAS

Exodus 21 in the SBIBS

Exodus 21 in the SBIBS2

Exodus 21 in the SBICS

Exodus 21 in the SBIDS

Exodus 21 in the SBIGS

Exodus 21 in the SBIHS

Exodus 21 in the SBIIS

Exodus 21 in the SBIIS2

Exodus 21 in the SBIIS3

Exodus 21 in the SBIKS

Exodus 21 in the SBIKS2

Exodus 21 in the SBIMS

Exodus 21 in the SBIOS

Exodus 21 in the SBIPS

Exodus 21 in the SBISS

Exodus 21 in the SBITS

Exodus 21 in the SBITS2

Exodus 21 in the SBITS3

Exodus 21 in the SBITS4

Exodus 21 in the SBIUS

Exodus 21 in the SBIVS

Exodus 21 in the SBT

Exodus 21 in the SBT1E

Exodus 21 in the SCHL

Exodus 21 in the SNT

Exodus 21 in the SUSU

Exodus 21 in the SUSU2

Exodus 21 in the SYNO

Exodus 21 in the TBIAOTANT

Exodus 21 in the TBT1E

Exodus 21 in the TBT1E2

Exodus 21 in the TFTIP

Exodus 21 in the TFTU

Exodus 21 in the TGNTATF3T

Exodus 21 in the THAI

Exodus 21 in the TNFD

Exodus 21 in the TNT

Exodus 21 in the TNTIK

Exodus 21 in the TNTIL

Exodus 21 in the TNTIN

Exodus 21 in the TNTIP

Exodus 21 in the TNTIZ

Exodus 21 in the TOMA

Exodus 21 in the TTENT

Exodus 21 in the UBG

Exodus 21 in the UGV

Exodus 21 in the UGV2

Exodus 21 in the VBL

Exodus 21 in the VDCC

Exodus 21 in the YALU

Exodus 21 in the YAPE

Exodus 21 in the YBVTP

Exodus 21 in the ZBP