Exodus 8 (UGV3)

1 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā denā ki Rab farmātā hai, ‘Merī qaum ko merī ibādat karne ke lie jāne de, 2 warnā maiṅ pūre Misr ko meṅḍakoṅ se sazā dūṅgā. 3 Dariyā-e-Nīl meṅḍakoṅ se itnā bhar jāegā ki wuh dariyā se nikal kar tere mahal, tere sone ke kamre aur tere bistar meṅ jā ghuseṅge. Wuh tere ohdedāroṅ aur terī riāyā ke gharoṅ meṅ āeṅge balki tere tanūroṅ aur āṭā gūṅdhne ke bartanoṅ meṅ bhī phudakte phireṅge. 4 Meṅḍak tujh par, terī qaum par aur tere ohdedāroṅ par chaṛh jāeṅge.’” 5 Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn ko batā denā ki wuh apnī lāṭhī ko hāth meṅ le kar use dariyāoṅ, nahroṅ aur johaṛoṅ ke ūpar uṭhāe tāki meṅḍak bāhar nikal kar Misr ke mulk meṅ phail jāeṅ.” 6 Hārūn ne Mulk-e-Misr ke pānī ke ūpar apnī lāṭhī uṭhāī to meṅḍakoṅ ke ġhol pānī se nikal kar pūre mulk par chhā gae. 7 Lekin jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā hī kiyā. Wuh bhī dariyā se meṅḍak nikāl lāe. 8 Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Rab se duā karo ki wuh mujh se aur merī qaum se meṅḍakoṅ ko dūr kare. Phir maiṅ tumhārī qaum ko jāne dūṅgā tāki wuh Rab ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ.” 9 Mūsā ne jawāb diyā, “Wuh waqt muqarrar kareṅ jab maiṅ āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ke lie duā karūṅ. Phir jo meṅḍak āp ke pās aur āp ke gharoṅ meṅ haiṅ usī waqt ḳhatm ho jāeṅge. Meṅḍak sirf dariyā meṅ pāe jāeṅge.” 10 Firaun ne kahā, “Ṭhīk hai, kal unheṅ ḳhatm karo.” Mūsā ne kahā, “Jaisā āp kahte haiṅ waisā hī hogā. Is tarah āp ko mālūm hogā ki hamāre Ḳhudā kī mānind koī nahīṅ hai. 11 Meṅḍak āp, āp ke gharoṅ, āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ko chhoṛ kar sirf dariyā meṅ rah jāeṅge.” 12 Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās se chale gae. Aur Mūsā ne Rab se minnat kī ki wuh meṅḍakoṅ ke wuh ġhol dūr kare jo us ne Firaun ke ḳhilāf bheje the. 13 Rab ne us kī duā sunī. Gharoṅ, sahnoṅ aur khetoṅ meṅ meṅḍak mar gae. 14 Logoṅ ne unheṅ jamā karke un ke ḍher lagā die. Un kī badbū pūre mulk meṅ phail gaī. 15 Lekin jab Firaun ne dekhā ki maslā hal ho gayā hai to wuh phir akaṛ gayā aur un kī na sunī. Yoṅ Rab kī bāt durust niklī. 16 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn se kahnā ki wuh apnī lāṭhī se zamīn kī gard ko māre. Jab wuh aisā karegā to pūre Misr kī gard juoṅ meṅ badal jāegī.” 17 Unhoṅ ne aisā hī kiyā. Hārūn ne apnī lāṭhī se zamīn kī gard ko mārā to pūre mulk kī gard juoṅ meṅ badal gaī. Un ke ġhol jānwaroṅ aur ādmiyoṅ par chhā gae. 18 Jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā karne kī koshish kī, lekin wuh gard se jueṅ na banā sake. Jueṅ ādmiyoṅ aur jānwaroṅ par chhā gaīṅ. 19 Jādūgaroṅ ne Firaun se kahā, “Allāh kī qudrat ne yih kiyā hai.” Lekin Firaun ne un kī na sunī. Yoṅ Rab kī bāt durust niklī. 20 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Jab Firaun subah-sawere dariyā par jāe to tū us ke rāste meṅ khaṛā ho jānā. Use kahnā ki Rab farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ. 21 Warnā maiṅ tere aur tere ohdedāroṅ ke pās, terī qaum ke pās aur tere gharoṅ meṅ kāṭne wālī makkhiyāṅ bhej dūṅgā. Misriyoṅ ke ghar makkhiyoṅ se bhar jāeṅge balki jis zamīn par wuh khaṛe haiṅ wuh bhī makkhiyoṅ se ḍhāṅkī jāegī. 22 Lekin us waqt maiṅ apnī qaum ke sāth jo Jushan meṅ rahtī hai farq sulūk karūṅga. Wahāṅ ek bhī kāṭne wālī makkhī nahīṅ hogī. Is tarah tujhe patā lagegā ki is mulk meṅ maiṅ hī Rab hūṅ. 23 Maiṅ apnī qaum aur terī qaum meṅ imtiyāz karūṅga. Kal hī merī qudrat kā izhār hogā.’” 24 Rab ne aisā hī kiyā. Kāṭne wālī makkhiyoṅ ke ġhol Firaun ke mahal, us ke ohdedāroṅ ke gharoṅ aur pūre Misr meṅ phail gae. Mulk kā satyānās ho gayā. 25 Phir Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Chalo, isī mulk meṅ apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo.” 26 Lekin Mūsā ne kahā, “Yih munāsib nahīṅ hai. Jo qurbāniyāṅ ham Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅge wuh Misriyoṅ kī nazar meṅ ghinaunī haiṅ. Agar ham yahāṅ aisā kareṅ to kyā wuh hameṅ sangsār nahīṅ kareṅge? 27 Is lie lāzim hai ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ hī Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ jis tarah us ne hameṅ hukm bhī diyā hai.” 28 Firaun ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā tāki tum registān meṅ Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo. Lekin tumheṅ zyādā dūr nahīṅ jānā hai. Aur mere lie bhī duā karnā.” 29 Mūsā ne kahā, “Ṭhīk, maiṅ jāte hī Rab se duā karūṅga. Kal hī makkhiyāṅ Firaun, us ke ohdedāroṅ aur us kī qaum se dūr ho jāeṅgī. Lekin hameṅ dubārā fareb na denā balki hameṅ jāne denā tāki ham Rab ko qurbāniyāṅ pesh kar sakeṅ.” 30 Phir Mūsā Firaun ke pās se chalā gayā aur Rab se duā kī. 31 Rab ne Mūsā kī duā sunī. Kāṭne wālī makkhiyāṅ Firaun, us ke ohdedāroṅ aur us kī qaum se dūr ho gaīṅ. Ek bhī makkhī na rahī. 32 Lekin Firaun phir akaṛ gayā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.

In Other Versions

Exodus 8 in the ANGEFD

Exodus 8 in the ANTPNG2D

Exodus 8 in the AS21

Exodus 8 in the BAGH

Exodus 8 in the BBPNG

Exodus 8 in the BBT1E

Exodus 8 in the BDS

Exodus 8 in the BEV

Exodus 8 in the BHAD

Exodus 8 in the BIB

Exodus 8 in the BLPT

Exodus 8 in the BNT

Exodus 8 in the BNTABOOT

Exodus 8 in the BNTLV

Exodus 8 in the BOATCB

Exodus 8 in the BOATCB2

Exodus 8 in the BOBCV

Exodus 8 in the BOCNT

Exodus 8 in the BOECS

Exodus 8 in the BOGWICC

Exodus 8 in the BOHCB

Exodus 8 in the BOHCV

Exodus 8 in the BOHLNT

Exodus 8 in the BOHNTLTAL

Exodus 8 in the BOICB

Exodus 8 in the BOILNTAP

Exodus 8 in the BOITCV

Exodus 8 in the BOKCV

Exodus 8 in the BOKCV2

Exodus 8 in the BOKHWOG

Exodus 8 in the BOKSSV

Exodus 8 in the BOLCB

Exodus 8 in the BOLCB2

Exodus 8 in the BOMCV

Exodus 8 in the BONAV

Exodus 8 in the BONCB

Exodus 8 in the BONLT

Exodus 8 in the BONUT2

Exodus 8 in the BOPLNT

Exodus 8 in the BOSCB

Exodus 8 in the BOSNC

Exodus 8 in the BOTLNT

Exodus 8 in the BOVCB

Exodus 8 in the BOYCB

Exodus 8 in the BPBB

Exodus 8 in the BPH

Exodus 8 in the BSB

Exodus 8 in the CCB

Exodus 8 in the CUV

Exodus 8 in the CUVS

Exodus 8 in the DBT

Exodus 8 in the DGDNT

Exodus 8 in the DHNT

Exodus 8 in the DNT

Exodus 8 in the ELBE

Exodus 8 in the EMTV

Exodus 8 in the ESV

Exodus 8 in the FBV

Exodus 8 in the FEB

Exodus 8 in the GGMNT

Exodus 8 in the GNT

Exodus 8 in the HARY

Exodus 8 in the HNT

Exodus 8 in the IRVA

Exodus 8 in the IRVB

Exodus 8 in the IRVG

Exodus 8 in the IRVH

Exodus 8 in the IRVK

Exodus 8 in the IRVM

Exodus 8 in the IRVM2

Exodus 8 in the IRVO

Exodus 8 in the IRVP

Exodus 8 in the IRVT

Exodus 8 in the IRVT2

Exodus 8 in the IRVU

Exodus 8 in the ISVN

Exodus 8 in the JSNT

Exodus 8 in the KAPI

Exodus 8 in the KBT1ETNIK

Exodus 8 in the KBV

Exodus 8 in the KJV

Exodus 8 in the KNFD

Exodus 8 in the LBA

Exodus 8 in the LBLA

Exodus 8 in the LNT

Exodus 8 in the LSV

Exodus 8 in the MAAL

Exodus 8 in the MBV

Exodus 8 in the MBV2

Exodus 8 in the MHNT

Exodus 8 in the MKNFD

Exodus 8 in the MNG

Exodus 8 in the MNT

Exodus 8 in the MNT2

Exodus 8 in the MRS1T

Exodus 8 in the NAA

Exodus 8 in the NASB

Exodus 8 in the NBLA

Exodus 8 in the NBS

Exodus 8 in the NBVTP

Exodus 8 in the NET2

Exodus 8 in the NIV11

Exodus 8 in the NNT

Exodus 8 in the NNT2

Exodus 8 in the NNT3

Exodus 8 in the PDDPT

Exodus 8 in the PFNT

Exodus 8 in the RMNT

Exodus 8 in the SBIAS

Exodus 8 in the SBIBS

Exodus 8 in the SBIBS2

Exodus 8 in the SBICS

Exodus 8 in the SBIDS

Exodus 8 in the SBIGS

Exodus 8 in the SBIHS

Exodus 8 in the SBIIS

Exodus 8 in the SBIIS2

Exodus 8 in the SBIIS3

Exodus 8 in the SBIKS

Exodus 8 in the SBIKS2

Exodus 8 in the SBIMS

Exodus 8 in the SBIOS

Exodus 8 in the SBIPS

Exodus 8 in the SBISS

Exodus 8 in the SBITS

Exodus 8 in the SBITS2

Exodus 8 in the SBITS3

Exodus 8 in the SBITS4

Exodus 8 in the SBIUS

Exodus 8 in the SBIVS

Exodus 8 in the SBT

Exodus 8 in the SBT1E

Exodus 8 in the SCHL

Exodus 8 in the SNT

Exodus 8 in the SUSU

Exodus 8 in the SUSU2

Exodus 8 in the SYNO

Exodus 8 in the TBIAOTANT

Exodus 8 in the TBT1E

Exodus 8 in the TBT1E2

Exodus 8 in the TFTIP

Exodus 8 in the TFTU

Exodus 8 in the TGNTATF3T

Exodus 8 in the THAI

Exodus 8 in the TNFD

Exodus 8 in the TNT

Exodus 8 in the TNTIK

Exodus 8 in the TNTIL

Exodus 8 in the TNTIN

Exodus 8 in the TNTIP

Exodus 8 in the TNTIZ

Exodus 8 in the TOMA

Exodus 8 in the TTENT

Exodus 8 in the UBG

Exodus 8 in the UGV

Exodus 8 in the UGV2

Exodus 8 in the VBL

Exodus 8 in the VDCC

Exodus 8 in the YALU

Exodus 8 in the YAPE

Exodus 8 in the YBVTP

Exodus 8 in the ZBP