Ezekiel 40 (UGV3)

1 Hamārī jilāwatanī ke 25weṅ sāl meṅ Rab kā hāth mujh par ā ṭhahrā aur wuh mujhe Yarūshalam le gayā. Mahīne kā daswāṅ din thā. Us waqt Yarūshalam ko dushman ke qabze meṅ āe 14 sāl ho gae the. 2 Ilāhī royāoṅ meṅ Allāh ne mujhe Mulk-e-Isrāīl ke ek nihāyat buland pahāṛ par pahuṅchāyā. Pahāṛ ke junūb meṅ mujhe ek shahr-sā nazar āyā. 3 Allāh mujhe shahr ke qarīb le gayā to maiṅ ne shahr ke darwāze meṅ khaṛe ek ādmī ko dekhā jo pītal kā banā huā lag rahā thā. Us ke hāth meṅ katān kī rassī aur fītā thā. 4 Us ne mujh se kahā, “Ai ādamzād, dhyān se dekh, ġhaur se sun! Jo kuchh bhī maiṅ tujhe dikhāūṅgā, us par tawajjuh de. Kyoṅki tujhe isī lie yahāṅ lāyā gayā hai ki maiṅ tujhe yih dikhāūṅ. Jo kuchh bhī tū dekhe use Isrāīlī qaum ko sunā de!” 5 Maiṅ ne dekhā ki Rab ke ghar kā sahan chārdīwārī se ghirā huā hai. Jo fītā mere rāhnumā ke hāth meṅ thā us kī lambāī sāṛhe 10 fuṭ thī. Is ke zariye us ne chārdīwārī ko nāp liyā. Dīwār kī moṭāī aur ūṅchāī donoṅ sāṛhe das das fuṭ thī. 6 Phir merā rāhnumā mashriqī darwāze ke pās pahuṅchāne wālī sīṛhī par chaṛh kar darwāze kī dahlīz par ruk gayā. Jab us ne us kī paimāish kī to us kī gahrāī sāṛhe 10 fuṭ niklī. 7 Jab wuh darwāze meṅ khaṛā huā to dāīṅ aur bāīṅ taraf pahredāroṅ ke tīn tīn kamre nazar āe. Har kamre kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe das das fuṭ thī. Kamroṅ ke darmiyān kī dīwār paune nau fuṭ moṭī thī. In kamroṅ ke bād ek aur dahlīz thī jo sāṛhe 10 fuṭ gahrī thī. Us par se guzar kar ham darwāze se mulhiq ek barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. 8 Mere rāhnumā ne barāmde kī paimāish kī 9 to patā chalā ki us kī lambāī 14 fuṭ hai. Darwāze ke satūn-numā bāzū sāṛhe tīn tīn fuṭ moṭe the. Barāmde kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. 10 Pahredāroṅ ke mazkūrā kamre sab ek jaise baṛe the, aur un ke darmiyān wālī dīwāreṅ sab ek jaisī moṭī thīṅ. 11 Is ke bād us ne darwāze kī guzargāh kī chauṛāī nāpī. Yih mil milā kar paune 23 fuṭ thī, albattā jab kiwāṛ khule the to un ke darmiyān kā fāsilā sāṛhe 17 fuṭ thā. 12 Pahredāroṅ ke har kamre ke sāmne ek chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī 21 inch thī jabki har kamre kī lambāī aur ūṅchāī sāṛhe das das fuṭ thī. 13 Phir mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo in kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā. Mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 14 Sahan meṅ darwāze se mulhiq wuh barāmdā thā jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Us kī chauṛāī 33 fuṭ thī. 15 Jo bāhar se darwāze meṅ dāḳhil hotā thā wuh sāṛhe 87 fuṭ ke bād hī sahan meṅ pahuṅchtā thā. 16 Pahredāroṅ ke tamām kamroṅ meṅ chhoṭī khiṛkiyāṅ thīṅ. Kuchh bairūnī dīwār meṅ thīṅ, kuchh kamroṅ ke darmiyān kī dīwāroṅ meṅ. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ meṅ khajūr ke daraḳht munaqqash the. 17 Phir merā rāhnumā darwāze meṅ se guzar kar mujhe Rab ke ghar ke bairūnī sahan meṅ lāyā. Chārdīwārī ke sāth sāth 30 kamre banāe gae the jin ke sāmne patthar kā farsh thā. 18 Yih farsh chārdīwārī ke sāth sāth thā. Jahāṅ darwāzoṅ kī guzargāheṅ thīṅ wahāṅ farsh un kī dīwāroṅ se lagtā thā. Jitnā lambā in guzargāhoṅ kā wuh hissā thā jo sahan meṅ thā utnā hī chauṛā farsh bhī thā. Yih farsh andarūnī sahan kī nisbat nīchā thā. 19 Bairūnī aur andarūnī sahnoṅ ke darmiyān bhī darwāzā thā. Yih bairūnī darwāze ke muqābil thā. Jab mere rāhnumā ne donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā nāpā to mālūm huā ki 175 fuṭ hai. 20 Is ke bād us ne chārdīwārī ke shimālī darwāze kī paimāish kī. 21 Is darwāze meṅ bhī dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn kamre the jo mashriqī darwāze ke kamroṅ jitne baṛe the. Us meṅ se guzar kar ham wahāṅ bhī darwāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Us kī aur us ke satūn-numā bāzuoṅ kī lambāī aur chauṛāī utnī hī thī jitnī mashriqī darwāze ke barāmde aur us ke satūn-numā bāzuoṅ kī thī. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 22 Darwāze se mulhiq barāmdā, khiṛkiyāṅ aur kandā kie gae khajūr ke daraḳht usī tarah banāe gae the jis tarah mashriqī darwāze meṅ. Bāhar ek sīṛhī darwāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. Mashriqī darwāze kī tarah shimālī darwāze ke andarūnī sire ke sāth ek barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā. 23 Mashriqī darwāze kī tarah is darwāze ke muqābil bhī andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā darwāzā thā. Donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā. 24 Is ke bād merā rāhnumā mujhe bāhar le gayā. Chalte chalte ham junūbī chārdīwārī ke pās pahuṅche. Wahāṅ bhī darwāzā nazar āyā. Us meṅ se guzar kar ham wahāṅ bhī darwāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Yih barāmdā darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ samet dīgar darwāzoṅ ke barāmde jitnā baṛā thā. 25 Darwāze aur barāmde kī khiṛkiyāṅ bhī dīgar khiṛkiyoṅ kī mānind thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab us ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 26 Bāhar ek sīṛhī darwāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. Dīgar darwāzoṅ kī tarah junūbī darwāze ke andarūnī sire ke sāth barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā. Barāmde ke donoṅ satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. 27 Is darwāze ke muqābil bhī andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā darwāzā thā. Donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā. 28 Phir merā rāhnumā junūbī darwāze meṅ se guzar kar mujhe andarūnī sahan meṅ lāyā. Jab us ne wahāṅ kā darwāzā nāpā to mālūm huā ki wuh bairūnī darwāzoṅ kī mānind hai. 29 29-30 Pahredāroṅ ke kamre, barāmdā aur us ke satūn-numā bāzū sab paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Is darwāze aur is ke sāth mulhiq barāmde meṅ bhī khiṛkiyāṅ thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamre meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 31 Lekin us ke barāmde kā ruḳh bairūnī sahan kī taraf thā. Us meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. 32 Is ke bād merā rāhnumā mujhe mashriqī darwāze se ho kar andarūnī sahan meṅ lāyā. Jab us ne yih darwāzā nāpā to mālūm huā ki yih bhī dīgar darwāzoṅ jitnā baṛā hai. 33 Pahredāroṅ ke kamre, darwāze ke satūn-numā bāzū aur barāmdā paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Yahāṅ bhī darwāze aur barāmde meṅ khiṛkiyāṅ lagī thīṅ. Guzargāh kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī. 34 Is darwāze ke barāmde kā ruḳh bhī bairūnī sahan kī taraf thā. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. Barāmde meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the. 35 Phir merā rāhnumā mujhe shimālī darwāze ke pās lāyā. Us kī paimāish karne par mālūm huā ki yih bhī dīgar darwāzoṅ jitnā baṛā hai. 36 Pahredāroṅ ke kamre, satūn-numā bāzū, barāmdā aur dīwāroṅ meṅ khiṛkiyāṅ bhī dūsre darwāzoṅ kī mānind thīṅ. Guzargāh kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī. 37 Us ke barāmde kā ruḳh bhī bairūnī sahan kī taraf thā. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. Us meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the. 38 Andarūnī shimālī darwāze ke barāmde meṅ darwāzā thā jis meṅ se guzar kar insān us kamre meṅ dāḳhil hotā thā jahāṅ un zabah kie hue jānwaroṅ ko dhoyā jātā thā jinheṅ bhasm karnā hotā thā. 39 Barāmde meṅ chār mezeṅ thīṅ, kamre ke donoṅ taraf do do mezeṅ. In mezoṅ par un jānwaroṅ ko zabah kiyā jātā thā jo bhasm hone wālī qurbāniyoṅ, gunāh kī qurbāniyoṅ aur qusūr kī qurbāniyoṅ ke lie maḳhsūs the. 40 Is barāmde se bāhar mazīd chār aisī mezeṅ thīṅ, do ek taraf aur do dūsrī taraf. 41 Mil milā kar āṭh mezeṅ thīṅ jin par qurbāniyoṅ ke jānwar zabah kie jāte the. Chār barāmde ke andar aur chār us se bāhar ke sahan meṅ thīṅ. 42 Barāmde kī chār mezeṅ tarāshe hue patthar se banāī gaī thīṅ. Har ek kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe 31 inch aur ūṅchāī 21 inch thī. Un par wuh tamām ālāt paṛe the jo jānwaroṅ ko bhasm hone wālī qurbānī aur bāqī qurbāniyoṅ ke lie taiyār karne ke lie darkār the. 43 Jānwaroṅ kā gosht in mezoṅ par rakhā jātā thā. Irdgird kī dīwāroṅ meṅ tīn tīn inch lambī hukeṅ lagī thīṅ. 44 Phir ham andarūnī sahan meṅ dāḳhil hue. Wahāṅ shimālī darwāze ke sāth ek kamrā mulhiq thā jo andarūnī sahan kī taraf khulā thā aur jis kā ruḳh junūb kī taraf thā. Junūbī darwāze ke sāth bhī aisā kamrā thā. Us kā ruḳh shimāl kī taraf thā. 45 Mere rāhnumā ne mujh se kahā, “Jis kamre kā ruḳh junūb kī taraf hai wuh un imāmoṅ ke lie hai jo Rab ke ghar kī dekh-bhāl karte haiṅ, 46 jabki jis kamre kā ruḳh shimāl kī taraf hai wuh un imāmoṅ ke lie hai jo qurbāngāh kī dekh-bhāl karte haiṅ. Tamām imām Sadoq kī aulād haiṅ. Lāwī ke qabīle meṅ se sirf unhīṅ ko Rab ke huzūr ā kar us kī ḳhidmat karne kī ijāzat hai.” 47 Mere rāhnumā ne andarūnī sahan kī paimāish kī. Us kī lambāī aur chauṛāī paune do do sau fuṭ thī. Qurbāngāh is sahan meṅ Rab ke ghar ke sāmne hī thī. 48 Phir us ne mujhe Rab ke ghar ke barāmde meṅ le jā kar darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ kī paimāish kī. Mālūm huā ki yih paune 9 fuṭ moṭe haiṅ. Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 24 fuṭ thī jabki dāeṅ bāeṅ kī dīwāroṅ kī lambāī sawā pāṅch pāṅch fuṭ thī. 49 Chunāṅche barāmde kī pūrī chauṛāī 35 aur lambāī 21 fuṭ thī. Us meṅ dāḳhil hone ke lie das qadamchoṅ wālī sīṛhī banāī gaī thī. Darwāze ke donoṅ satūn-numā bāzuoṅ ke sāth sāth ek ek satūn khaṛā kiyā gayā thā.

In Other Versions

Ezekiel 40 in the ANGEFD

Ezekiel 40 in the ANTPNG2D

Ezekiel 40 in the AS21

Ezekiel 40 in the BAGH

Ezekiel 40 in the BBPNG

Ezekiel 40 in the BBT1E

Ezekiel 40 in the BDS

Ezekiel 40 in the BEV

Ezekiel 40 in the BHAD

Ezekiel 40 in the BIB

Ezekiel 40 in the BLPT

Ezekiel 40 in the BNT

Ezekiel 40 in the BNTABOOT

Ezekiel 40 in the BNTLV

Ezekiel 40 in the BOATCB

Ezekiel 40 in the BOATCB2

Ezekiel 40 in the BOBCV

Ezekiel 40 in the BOCNT

Ezekiel 40 in the BOECS

Ezekiel 40 in the BOGWICC

Ezekiel 40 in the BOHCB

Ezekiel 40 in the BOHCV

Ezekiel 40 in the BOHLNT

Ezekiel 40 in the BOHNTLTAL

Ezekiel 40 in the BOICB

Ezekiel 40 in the BOILNTAP

Ezekiel 40 in the BOITCV

Ezekiel 40 in the BOKCV

Ezekiel 40 in the BOKCV2

Ezekiel 40 in the BOKHWOG

Ezekiel 40 in the BOKSSV

Ezekiel 40 in the BOLCB

Ezekiel 40 in the BOLCB2

Ezekiel 40 in the BOMCV

Ezekiel 40 in the BONAV

Ezekiel 40 in the BONCB

Ezekiel 40 in the BONLT

Ezekiel 40 in the BONUT2

Ezekiel 40 in the BOPLNT

Ezekiel 40 in the BOSCB

Ezekiel 40 in the BOSNC

Ezekiel 40 in the BOTLNT

Ezekiel 40 in the BOVCB

Ezekiel 40 in the BOYCB

Ezekiel 40 in the BPBB

Ezekiel 40 in the BPH

Ezekiel 40 in the BSB

Ezekiel 40 in the CCB

Ezekiel 40 in the CUV

Ezekiel 40 in the CUVS

Ezekiel 40 in the DBT

Ezekiel 40 in the DGDNT

Ezekiel 40 in the DHNT

Ezekiel 40 in the DNT

Ezekiel 40 in the ELBE

Ezekiel 40 in the EMTV

Ezekiel 40 in the ESV

Ezekiel 40 in the FBV

Ezekiel 40 in the FEB

Ezekiel 40 in the GGMNT

Ezekiel 40 in the GNT

Ezekiel 40 in the HARY

Ezekiel 40 in the HNT

Ezekiel 40 in the IRVA

Ezekiel 40 in the IRVB

Ezekiel 40 in the IRVG

Ezekiel 40 in the IRVH

Ezekiel 40 in the IRVK

Ezekiel 40 in the IRVM

Ezekiel 40 in the IRVM2

Ezekiel 40 in the IRVO

Ezekiel 40 in the IRVP

Ezekiel 40 in the IRVT

Ezekiel 40 in the IRVT2

Ezekiel 40 in the IRVU

Ezekiel 40 in the ISVN

Ezekiel 40 in the JSNT

Ezekiel 40 in the KAPI

Ezekiel 40 in the KBT1ETNIK

Ezekiel 40 in the KBV

Ezekiel 40 in the KJV

Ezekiel 40 in the KNFD

Ezekiel 40 in the LBA

Ezekiel 40 in the LBLA

Ezekiel 40 in the LNT

Ezekiel 40 in the LSV

Ezekiel 40 in the MAAL

Ezekiel 40 in the MBV

Ezekiel 40 in the MBV2

Ezekiel 40 in the MHNT

Ezekiel 40 in the MKNFD

Ezekiel 40 in the MNG

Ezekiel 40 in the MNT

Ezekiel 40 in the MNT2

Ezekiel 40 in the MRS1T

Ezekiel 40 in the NAA

Ezekiel 40 in the NASB

Ezekiel 40 in the NBLA

Ezekiel 40 in the NBS

Ezekiel 40 in the NBVTP

Ezekiel 40 in the NET2

Ezekiel 40 in the NIV11

Ezekiel 40 in the NNT

Ezekiel 40 in the NNT2

Ezekiel 40 in the NNT3

Ezekiel 40 in the PDDPT

Ezekiel 40 in the PFNT

Ezekiel 40 in the RMNT

Ezekiel 40 in the SBIAS

Ezekiel 40 in the SBIBS

Ezekiel 40 in the SBIBS2

Ezekiel 40 in the SBICS

Ezekiel 40 in the SBIDS

Ezekiel 40 in the SBIGS

Ezekiel 40 in the SBIHS

Ezekiel 40 in the SBIIS

Ezekiel 40 in the SBIIS2

Ezekiel 40 in the SBIIS3

Ezekiel 40 in the SBIKS

Ezekiel 40 in the SBIKS2

Ezekiel 40 in the SBIMS

Ezekiel 40 in the SBIOS

Ezekiel 40 in the SBIPS

Ezekiel 40 in the SBISS

Ezekiel 40 in the SBITS

Ezekiel 40 in the SBITS2

Ezekiel 40 in the SBITS3

Ezekiel 40 in the SBITS4

Ezekiel 40 in the SBIUS

Ezekiel 40 in the SBIVS

Ezekiel 40 in the SBT

Ezekiel 40 in the SBT1E

Ezekiel 40 in the SCHL

Ezekiel 40 in the SNT

Ezekiel 40 in the SUSU

Ezekiel 40 in the SUSU2

Ezekiel 40 in the SYNO

Ezekiel 40 in the TBIAOTANT

Ezekiel 40 in the TBT1E

Ezekiel 40 in the TBT1E2

Ezekiel 40 in the TFTIP

Ezekiel 40 in the TFTU

Ezekiel 40 in the TGNTATF3T

Ezekiel 40 in the THAI

Ezekiel 40 in the TNFD

Ezekiel 40 in the TNT

Ezekiel 40 in the TNTIK

Ezekiel 40 in the TNTIL

Ezekiel 40 in the TNTIN

Ezekiel 40 in the TNTIP

Ezekiel 40 in the TNTIZ

Ezekiel 40 in the TOMA

Ezekiel 40 in the TTENT

Ezekiel 40 in the UBG

Ezekiel 40 in the UGV

Ezekiel 40 in the UGV2

Ezekiel 40 in the VBL

Ezekiel 40 in the VDCC

Ezekiel 40 in the YALU

Ezekiel 40 in the YAPE

Ezekiel 40 in the YBVTP

Ezekiel 40 in the ZBP