Ezra 8 (UGV3)
1 Darj-e-zail un ḳhāndānī sarparastoṅ kī fahrist hai jo Artaḳhshastā Bādshāh kī hukūmat ke daurān mere sāth Bābal se Yarūshalam ke lie rawānā hue. Har ḳhāndān ke mardoṅ kī tādād bhī darj hai: 2 2-3 Fīnhās ke ḳhāndān kā Jairsom,Itamar ke ḳhāndān kā Dānyāl,Dāūd ke ḳhāndān kā Hattūsh bin Sakaniyāh,Parūs ke ḳhāndān kā Zakariyāh. 150 mard us ke sāth nasabnāme meṅ darj the. 4 Pakhat-moāb ke ḳhāndān kā Ilīhuainī bin Zaraḳhiyāh 200 mardoṅ ke sāth, 5 Zattū ke ḳhāndān kā Sakaniyāh bin Yahziyel 300 mardoṅ ke sāth, 6 Adīn ke ḳhāndān kā Abad bin Yūnatan 50 mardoṅ ke sāth, 7 Ailām ke ḳhāndān kā Yasāyāh bin Ataliyāh 70 mardoṅ ke sāth, 8 Safatiyāh ke ḳhāndān kā Zabadiyāh bin Mīkāel 80 mardoṅ ke sāth, 9 Yoāb ke ḳhāndān kā Abadiyāh bin Yihiyel 218 mardoṅ ke sāth, 10 Bānī ke ḳhāndān kā Salūmīt bin Yūsifiyāh 160 mardoṅ ke sāth, 11 Babī ke ḳhāndān kā Zakariyāh bin Babī 28 mardoṅ ke sāth, 12 Azjād ke ḳhāndān kā Yūhanān bin Haqqātān 110 mardoṅ ke sāth, 13 Adūniqām ke ḳhāndān ke āḳhirī log Ilīfalat, Ya'iyel aur Samāyāh 60 mardoṅ ke sāth, 14 Bigwī kā ḳhāndān kā Ūtī aur Zabūd 70 mardoṅ ke sāth. 15 Maiṅ yānī Azrā ne mazkūrā logoṅ ko us nahar ke pās jamā kiyā jo Ahāwā kī taraf bahtī hai. Wahāṅ ham ḳhaime lagā kar tīn din ṭhahre rahe. Is daurān mujhe patā chalā ki go ām log aur imām ā gae haiṅ lekin ek bhī Lāwī hāzir nahīṅ hai. 16 Chunāṅche maiṅ ne Iliyazar, Ariyel, Samāyāh, Ilnātan, Yarīb, Ilnātan, Nātan, Zakariyāh aur Masullām ko apne pās bulā liyā. Yih sab ḳhāndānī sarparast the jabki sharīat ke do ustād banām Yūyārīb aur Ilnātan bhī sāth the. 17 Maiṅ ne unheṅ Lāwiyoṅ kī ābādī Kāsifiyāh ke buzurg Iddū ke pās bhej kar wuh kuchh batāyā jo unheṅ Iddū, us ke bhāiyoṅ aur Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ko batānā thā tāki wuh hamāre Ḳhudā ke ghar ke lie ḳhidmatgār bhejeṅ. 18 Allāh kā shafīq hāth ham par thā, is lie unhoṅ ne hameṅ Mahlī bin Lāwī bin Isrāīl ke ḳhāndān kā samajhdār ādmī Saribiyāh bhej diyā. Saribiyāh apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth pahuṅchā. Kul 18 mard the. 19 In ke alāwā Mirārī ke ḳhāndān ke Hasbiyāh aur Yasāyāh ko bhī un ke beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth hamāre pās bhejā gayā. Kul 20 mard the. 20 Un ke sāth Rab ke ghar ke 220 ḳhidmatgār the. In ke tamām nām nasabnāme meṅ darj the. Dāūd aur us ke mulāzimoṅ ne un ke bāpdādā ko Lāwiyoṅ kī ḳhidmat karne kī zimmedārī dī thī. 21 Wahīṅ Ahāwā kī nahar ke pās hī maiṅ ne elān kiyā ki ham sab rozā rakh kar apne āp ko apne Ḳhudā ke sāmne past kareṅ aur duā kareṅ ki wuh hameṅ hamāre bāl-bachchoṅ aur sāmān ke sāth salāmatī se Yarūshalam pahuṅchāe. 22 Kyoṅki hamāre sāth faujī aur ghuṛsawār nahīṅ the jo hameṅ rāste meṅ ḍākuoṅ se mahfūz rakhte. Bāt yih thī ki maiṅ shahanshāh se yih māṅgne se sharm mahsūs kar rahā thā, kyoṅki ham ne use batāyā thā, “Hamāre Ḳhudā kā shafīq hāth har ek par ṭhahartā hai jo us kā tālib rahtā hai. Lekin jo bhī use tark kare us par us kā saḳht ġhazab nāzil hotā hai.” 23 Chunāṅche ham ne rozā rakh kar apne Ḳhudā se iltamās kī ki wuh hamārī hifāzat kare, aur us ne hamārī sunī. 24 Phir maiṅ ne imāmoṅ ke 12 rāhnumāoṅ ko chun liyā, nīz Saribiyāh, Hasbiyāh aur mazīd 10 Lāwiyoṅ ko. 25 Un kī maujūdagī meṅ maiṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī tamām sāmān tol liyā jo shahanshāh, us ke mushīroṅ aur afsaroṅ aur wahāṅ ke tamām Isrāīliyoṅ ne hamāre Ḳhudā ke ghar ke lie atā kiyā thā. 26 Maiṅ ne tol kar zail kā sāmān un ke hawāle kar diyā: taqrīban 22,000 kilogrām chāṅdī, chāṅdī kā kuchh sāmān jis kā kul wazn takrīban 3,400 kilogrām thā, 3,400 kilogrām sonā, 27 sone ke 20 pyāle jin kā kul wazn taqrīban sāṛhe 8 kilogrām thā, aur pītal ke do pālish kie hue pyāle jo sone ke pyāloṅ jaise qīmtī the. 28 Maiṅ ne ādmiyoṅ se kahā, “Āp aur yih tamām chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs haiṅ. Logoṅ ne apnī ḳhushī se yih sonā-chāṅdī Rab āp ke bāpdādā ke Ḳhudā ke lie qurbān kī hai. 29 Sab kuchh ehtiyāt se mahfūz rakheṅ, aur jab āp Yarūshalam pahuṅcheṅge to ise Rab ke ghar ke ḳhazāne tak pahuṅchā kar rāhnumā imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur ḳhāndānī sarparastoṅ kī maujūdagī meṅ dubārā tolnā.” 30 Phir imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī sāmān le kar use Yarūshalam meṅ hamāre Ḳhudā ke ghar meṅ pahuṅchāne ke lie mahfūz rakhā. 31 Ham pahle mahīne ke 12weṅ din Ahāwā nahar se Yarūshalam ke lie rawānā hue. Allāh kā shafīq hāth ham par thā, aur us ne hameṅ rāste meṅ dushmanoṅ aur ḍākuoṅ se mahfūz rakhā. 32 Ham Yarūshalam pahuṅche to pahle tīn din ārām kiyā. 33 Chauthe din ham ne apne Ḳhudā ke ghar meṅ sonā-chāṅdī aur bāqī maḳhsūs sāmān tol kar imām Marīmot bin Ūriyāh ke hawāle kar diyā. Us waqt Iliyazar bin Fīnhās aur do Lāwī banām Yūzabad bin Yashua aur Nauadiyāh bin Binnūī us ke sāth the. 34 Har chīz ginī aur tolī gaī, phir us kā pūrā wazn fahrist meṅ darj kiyā gayā. 35 Is ke bād jilāwatanī se wāpas āe hue tamām logoṅ ne Isrāīl ke Ḳhudā ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. Is nāte se unhoṅ ne pūre Isrāīl ke lie 12 bail, 96 menḍhe, bheṛ ke 77 bachche aur gunāh kī qurbānī ke 12 bakre qurbān kie. 36 Musāfiroṅ ne Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnaroṅ aur hākimoṅ ko shahanshāh kī hidāyāt pahuṅchāīṅ. In ko paṛh kar unhoṅ ne Isrāīlī qaum aur Allāh ke ghar kī himāyat kī.