Genesis 38 (UGV3)

1 Un dinoṅ meṅ Yahūdāh apne bhāiyoṅ ko chhoṛ kar ek ādmī ke pās rahne lagā jis kā nām Hīrā thā aur jo Adullām Shahr se thā. 2 Wahāṅ Yahūdāh kī mulāqāt ek Kanānī aurat se huī jis ke bāp kā nām Sua thā. Us ne us se shādī kī. 3 Beṭā paidā huā jis kā nām Yahūdāh ne Er rakhā. 4 Ek aur beṭā paidā huā jis kā nām bīwī ne Onān rakhā. 5 Us ke tīsrā beṭā bhī paidā huā. Us ne us kā nām Selā rakhā. Yahūdāh qazīb meṅ thā jab wuh paidā huā. 6 Yahūdāh ne apne baṛe beṭe Er kī shādī ek laṛkī se karāī jis kā nām Tamr thā. 7 Rab ke nazdīk Er sharīr thā, is lie us ne use halāk kar diyā. 8 Is par Yahūdāh ne Er ke chhoṭe bhāī Onān se kahā, “Apne baṛe bhāī kī bewā ke pās jāo aur us se shādī karo tāki tumhāre bhāī kī nasl qāym rahe.” 9 Onān ne aisā kiyā, lekin wuh jāntā thā ki jo bhī bachche paidā hoṅge wuh qānūn ke mutābiq mere baṛe bhāī ke hoṅge. Is lie jab bhī wuh Tamr se hambistar hotā to nutfā ko zamīn par girā detā, kyoṅki wuh nahīṅ chāhtā thā ki merī mārifat mere bhāī ke bachche paidā hoṅ. 10 Yih bāt Rab ko burī lagī, aur us ne use bhī sazā-e-maut dī. 11 Tab Yahūdāh ne apnī bahū Tamr se kahā, “Apne bāp ke ghar wāpas chalī jāo aur us waqt tak bewā raho jab tak merā beṭā Selā baṛā na ho jāe.” Us ne yih is lie kahā ki use ḍar thā ki kahīṅ Selā bhī apne bhāiyoṅ kī tarah mar na jāe chunāṅche Tamr apne maike chalī gaī. 12 Kāfī dinoṅ ke bād Yahūdāh kī bīwī jo Sua kī beṭī thī mar gaī. Mātam kā waqt guzar gayā to Yahūdāh apne Adullāmī dost Hīrā ke sāth Timnat gayā jahāṅ Yahūdāh kī bheṛoṅ kī pashm katrī jā rahī thī. 13 Tamr ko batāyā gayā, “Āp kā susar apnī bheṛoṅ kī pashm katarne ke lie Timnat jā rahā hai.” 14 Yih sun kar Tamr ne bewā ke kapṛe utār kar ām kapṛe pahan lie. Phir wuh apnā muṅh chādar se lapeṭ kar Ainīm Shahr ke darwāze par baiṭh gaī jo Timnat ke rāste meṅ thā. Tamr ne yih harkat is lie kī ki Yahūdāh kā beṭā Selā ab bāliġh ho chukā thā to bhī us kī us ke sāth shādī nahīṅ kī gaī thī. 15 Jab Yahūdāh wahāṅ se guzarā to us ne use dekh kar sochā ki yih kasbī hai, kyoṅki us ne apnā muṅh chhupāyā huā thā. 16 Wuh rāste se haṭ kar us ke pās gayā aur kahā, “Zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (Us ne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahū hai.) Tamr ne kahā, “Āp mujhe kyā deṅge?” 17 Us ne jawāb diyā, “Maiṅ āp ko bakrī kā bachchā bhej dūṅgā.” Tamr ne kahā, “Ṭhīk hai, lekin use bhejne tak mujhe zamānat deṅ.” 18 Us ne pūchhā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Tamr ne kahā, “Apnī muhr aur use gale meṅ laṭkāne kī ḍorī. Wuh lāṭhī bhī deṅ jo āp pakaṛe hue haiṅ.” Chunāṅche Yahūdāh use yih chīzeṅ de kar us ke sāth hambistar huā. Natīje meṅ Tamr ummīd se huī. 19 Phir Tamr uṭh kar apne ghar wāpas chalī gaī. Us ne apnī chādar utār kar dubārā bewā ke kapṛe pahan lie. 20 Yahūdāh ne apne dost Hīrā Adullāmī ke hāth bakrī kā bachchā bhej diyā tāki wuh chīzeṅ wāpas mil jāeṅ jo us ne zamānat ke taur par dī thīṅ. Lekin Hīrā ko patā na chalā ki aurat kahāṅ hai. 21 Us ne Ainīm ke bāshindoṅ se pūchhā, “Wuh kasbī kahāṅ hai jo yahāṅ saṛak par baiṭhī thī?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahāṅ aisī koī kasbī nahīṅ thī.” 22 Us ne Yahūdāh ke pās wāpas jā kar kahā, “Wuh mujhe nahīṅ milī balki wahāṅ ke rahne wāloṅ ne kahā ki yahāṅ koī aisī kasbī thī nahīṅ.” 23 Yahūdāh ne kahā, “Phir wuh zamānat kī chīzeṅ apne pās hī rakhe. Use chhoṛ do warnā log hamārā mazāq uṛāeṅge. Ham ne to pūrī koshish kī ki use bakrī kā bachchā mil jāe, lekin khoj lagāne ke bāwujūd āp ko patā na chalā ki wuh kahāṅ hai.” 24 Tīn māh ke bād Yahūdāh ko ittalā dī gaī, “Āp kī bahū Tamr ne zinā kiyā hai, aur ab wuh hāmilā hai.” Yahūdāh ne hukm diyā, “Use bāhar lā kar jalā do.” 25 Tamr ko jalāne ke lie bāhar lāyā gayā to us ne apne susar ko ḳhabar bhej dī, “Yih chīzeṅ dekheṅ. Yih us ādmī kī haiṅ jis kī mārifat maiṅ ummīd se hūṅ. Patā kareṅ ki yih muhr, us kī ḍorī aur yih lāṭhī kis kī haiṅ.” 26 Yahūdāh ne unheṅ pahchān liyā. Us ne kahā, “Maiṅ nahīṅ balki yih aurat haq par hai, kyoṅki maiṅ ne us kī apne beṭe Selā se shādī nahīṅ karāī.” Lekin bād meṅ Yahūdāh kabhī bhī Tamr se hambistar na huā. 27 Jab janm dene kā waqt āyā to mālūm huā ki juṛwāṅ bachche haiṅ. 28 Ek bachche kā hāth niklā to dāī ne use pakaṛ kar us meṅ surḳh dhāgā bāndh diyā aur kahā, “Yih pahle paidā huā.” 29 Lekin us ne apnā hāth wāpas khīṅch liyā, aur us kā bhāī pahle paidā huā. Yih dekh kar dāī bol uṭhī, “Tū kis tarah phūṭ niklā hai!” Us ne us kā nām Fāras yānī Phūṭ rakhā. 30 Phir us kā bhāī paidā huā jis ke hāth meṅ surḳh dhāgā bandhā huā thā. Us kā nām Zārah yānī Chamak rakhā gayā.

In Other Versions

Genesis 38 in the ANGEFD

Genesis 38 in the ANTPNG2D

Genesis 38 in the AS21

Genesis 38 in the BAGH

Genesis 38 in the BBPNG

Genesis 38 in the BBT1E

Genesis 38 in the BDS

Genesis 38 in the BEV

Genesis 38 in the BHAD

Genesis 38 in the BIB

Genesis 38 in the BLPT

Genesis 38 in the BNT

Genesis 38 in the BNTABOOT

Genesis 38 in the BNTLV

Genesis 38 in the BOATCB

Genesis 38 in the BOATCB2

Genesis 38 in the BOBCV

Genesis 38 in the BOCNT

Genesis 38 in the BOECS

Genesis 38 in the BOGWICC

Genesis 38 in the BOHCB

Genesis 38 in the BOHCV

Genesis 38 in the BOHLNT

Genesis 38 in the BOHNTLTAL

Genesis 38 in the BOICB

Genesis 38 in the BOILNTAP

Genesis 38 in the BOITCV

Genesis 38 in the BOKCV

Genesis 38 in the BOKCV2

Genesis 38 in the BOKHWOG

Genesis 38 in the BOKSSV

Genesis 38 in the BOLCB

Genesis 38 in the BOLCB2

Genesis 38 in the BOMCV

Genesis 38 in the BONAV

Genesis 38 in the BONCB

Genesis 38 in the BONLT

Genesis 38 in the BONUT2

Genesis 38 in the BOPLNT

Genesis 38 in the BOSCB

Genesis 38 in the BOSNC

Genesis 38 in the BOTLNT

Genesis 38 in the BOVCB

Genesis 38 in the BOYCB

Genesis 38 in the BPBB

Genesis 38 in the BPH

Genesis 38 in the BSB

Genesis 38 in the CCB

Genesis 38 in the CUV

Genesis 38 in the CUVS

Genesis 38 in the DBT

Genesis 38 in the DGDNT

Genesis 38 in the DHNT

Genesis 38 in the DNT

Genesis 38 in the ELBE

Genesis 38 in the EMTV

Genesis 38 in the ESV

Genesis 38 in the FBV

Genesis 38 in the FEB

Genesis 38 in the GGMNT

Genesis 38 in the GNT

Genesis 38 in the HARY

Genesis 38 in the HNT

Genesis 38 in the IRVA

Genesis 38 in the IRVB

Genesis 38 in the IRVG

Genesis 38 in the IRVH

Genesis 38 in the IRVK

Genesis 38 in the IRVM

Genesis 38 in the IRVM2

Genesis 38 in the IRVO

Genesis 38 in the IRVP

Genesis 38 in the IRVT

Genesis 38 in the IRVT2

Genesis 38 in the IRVU

Genesis 38 in the ISVN

Genesis 38 in the JSNT

Genesis 38 in the KAPI

Genesis 38 in the KBT1ETNIK

Genesis 38 in the KBV

Genesis 38 in the KJV

Genesis 38 in the KNFD

Genesis 38 in the LBA

Genesis 38 in the LBLA

Genesis 38 in the LNT

Genesis 38 in the LSV

Genesis 38 in the MAAL

Genesis 38 in the MBV

Genesis 38 in the MBV2

Genesis 38 in the MHNT

Genesis 38 in the MKNFD

Genesis 38 in the MNG

Genesis 38 in the MNT

Genesis 38 in the MNT2

Genesis 38 in the MRS1T

Genesis 38 in the NAA

Genesis 38 in the NASB

Genesis 38 in the NBLA

Genesis 38 in the NBS

Genesis 38 in the NBVTP

Genesis 38 in the NET2

Genesis 38 in the NIV11

Genesis 38 in the NNT

Genesis 38 in the NNT2

Genesis 38 in the NNT3

Genesis 38 in the PDDPT

Genesis 38 in the PFNT

Genesis 38 in the RMNT

Genesis 38 in the SBIAS

Genesis 38 in the SBIBS

Genesis 38 in the SBIBS2

Genesis 38 in the SBICS

Genesis 38 in the SBIDS

Genesis 38 in the SBIGS

Genesis 38 in the SBIHS

Genesis 38 in the SBIIS

Genesis 38 in the SBIIS2

Genesis 38 in the SBIIS3

Genesis 38 in the SBIKS

Genesis 38 in the SBIKS2

Genesis 38 in the SBIMS

Genesis 38 in the SBIOS

Genesis 38 in the SBIPS

Genesis 38 in the SBISS

Genesis 38 in the SBITS

Genesis 38 in the SBITS2

Genesis 38 in the SBITS3

Genesis 38 in the SBITS4

Genesis 38 in the SBIUS

Genesis 38 in the SBIVS

Genesis 38 in the SBT

Genesis 38 in the SBT1E

Genesis 38 in the SCHL

Genesis 38 in the SNT

Genesis 38 in the SUSU

Genesis 38 in the SUSU2

Genesis 38 in the SYNO

Genesis 38 in the TBIAOTANT

Genesis 38 in the TBT1E

Genesis 38 in the TBT1E2

Genesis 38 in the TFTIP

Genesis 38 in the TFTU

Genesis 38 in the TGNTATF3T

Genesis 38 in the THAI

Genesis 38 in the TNFD

Genesis 38 in the TNT

Genesis 38 in the TNTIK

Genesis 38 in the TNTIL

Genesis 38 in the TNTIN

Genesis 38 in the TNTIP

Genesis 38 in the TNTIZ

Genesis 38 in the TOMA

Genesis 38 in the TTENT

Genesis 38 in the UBG

Genesis 38 in the UGV

Genesis 38 in the UGV2

Genesis 38 in the VBL

Genesis 38 in the VDCC

Genesis 38 in the YALU

Genesis 38 in the YAPE

Genesis 38 in the YBVTP

Genesis 38 in the ZBP