Genesis 41 (UGV3)

1 Do sāl guzar gae ki ek rāt bādshāh ne ḳhāb dekhā. Wuh Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā. 2 Achānak dariyā meṅ se sāt ḳhūbsūrat aur moṭī gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charne lagīṅ. 3 Un ke bād sāt aur gāeṅ nikal āīṅ. Lekin wuh badsūrat aur dublī-patlī thīṅ. Wuh dariyā ke kināre dūsrī gāyoṅ ke pās khaṛī ho kar 4 pahlī sāt ḳhūbsūrat aur moṭī moṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ. Is ke bād Misr kā bādshāh jāg uṭhā. 5 Phir wuh dubārā so gayā. Is dafā us ne ek aur ḳhāb dekhā. Anāj ke ek paude par sāt moṭī moṭī aur achchhī achchhī bāleṅ lagī thīṅ. 6 Phir sāt aur bāleṅ phūṭ niklīṅ jo dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ. 7 Anāj kī sāt dublī-patlī bāloṅ ne sāt moṭī aur ḳhūbsūrat bāloṅ ko nigal liyā. Phir Firaun jāg uṭhā to mālūm huā ki maiṅ ne ḳhāb hī dekhā hai. 8 Subah huī to wuh pareshān thā, is lie us ne Misr ke tamām jādūgaroṅ aur ālimoṅ ko bulāyā. Us ne unheṅ apne ḳhāb sunāe, lekin koī bhī un kī tābīr na kar sakā. 9 Phir sardār sāqī ne Firaun se kahā, “Āj mujhe apnī ḳhatāeṅ yād ātī haiṅ. 10 Ek din Firaun apne ḳhādimoṅ se nārāz hue. Huzūr ne mujhe aur bekarī ke inchārj ko qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā jis par shāhī muhāfizoṅ kā kaptān muqarrar thā. 11 Ek hī rāt meṅ ham donoṅ ne muḳhtalif ḳhāb dekhe jin kā matlab farq farq thā. 12 Wahāṅ jel meṅ ek Ibrānī naujawān thā. Wuh muhāfizoṅ ke kaptān kā ġhulām thā. Ham ne use apne ḳhāb sunāe to us ne hameṅ un kā matlab batā diyā. 13 Aur jo kuchh bhī us ne batāyā sab kuchh waisā hī huā. Mujhe apnī zimmedārī wāpas mil gaī jabki bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyā gayā.” 14 Yih sun kar Firaun ne Yūsuf ko bulāyā, aur use jaldī se qaidḳhāne se lāyā gayā. Us ne shew karwā kar apne kapṛe badle aur sīdhe bādshāh ke huzūr pahuṅchā. 15 Bādshāh ne kahā, “Maiṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur yahāṅ koī nahīṅ jo us kī tābīr kar sake. Lekin sunā hai ki tū ḳhāb ko sun kar us kā matlab batā saktā hai.” 16 Yūsuf ne jawāb diyā, “Yih mere iḳhtiyār meṅ nahīṅ hai. Lekin Allāh hī bādshāh ko salāmatī kā paiġhām degā.” 17 Firaun ne Yūsuf ko apne ḳhāb sunāe, “Maiṅ ḳhāb meṅ Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā. 18 Achānak dariyā meṅ se sāt moṭī moṭī aur ḳhūbsūrat gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charne lagīṅ. 19 Is ke bād sāt aur gāeṅ niklīṅ. Wuh nihāyat badsūrat aur dublī-patlī thīṅ. Maiṅ ne itnī badsūrat gāeṅ Misr meṅ kahīṅ bhī nahīṅ dekhīṅ. 20 Dublī aur badsūrat gāeṅ pahlī moṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ. 21 Aur nigalne ke bād bhī mālūm nahīṅ hotā thā ki unhoṅ ne moṭī gāyoṅ ko khāyā hai. Wuh pahle kī tarah badsūrat hī thīṅ. Is ke bād maiṅ jāg uṭhā. 22 Phir maiṅ ne ek aur ḳhāb dekhā. Sāt moṭī aur achchhī bāleṅ ek hī paude par lagī thīṅ. 23 Is ke bād sāt aur bāleṅ niklīṅ jo ḳharāb, dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ. 24 Sāt dublī-patlī bāleṅ sāt achchhī bāloṅ ko nigal gaīṅ. Maiṅ ne yih sab kuchh apne jādūgaroṅ ko batāyā, lekin wuh is kī tābīr na kar sake.” 25 Yūsuf ne bādshāh se kahā, “Donoṅ ḳhāboṅ kā ek hī matlab hai. In se Allāh ne huzūr par zāhir kiyā hai ki wuh kyā kuchh karne ko hai. 26 Sāt achchhī gāyoṅ se murād sāt sāl haiṅ. Isī tarah sāt achchhī bāloṅ se murād bhī sāt sāl haiṅ. Donoṅ ḳhāb ek hī bāt bayān karte haiṅ. 27 Jo sāt dublī aur badsūrat gāeṅ bād meṅ nikleṅ un se murād sāt aur sāl haiṅ. Yihī sāt dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī bāloṅ kā matlab bhī hai. Wuh ek hī bāt bayān kartī haiṅ ki sāt sāl tak kāl paṛegā. 28 Yih wuhī bāt hai jo maiṅ ne huzūr se kahī ki Allāh ne huzūr par zāhir kiyā hai ki wuh kyā karegā. 29 Sāt sāl āeṅge jin ke daurān Misr ke pūre mulk meṅ kasrat se paidāwār hogī. 30 Us ke bād sāt sāl kāl paṛegā. Kāl itnā shadīd hogā ki log bhūl jāeṅge ki pahle itnī kasrat thī. Kyoṅki kāl mulk ko tabāh kar degā. 31 Kāl kī shiddat ke bāis achchhe sāloṅ kī kasrat yād hī nahīṅ rahegī. 32 Huzūr ko is lie ek hī paiġhām do muḳhtalif ḳhāboṅ kī sūrat meṅ milā ki Allāh is kā pakkā irādā rakhtā hai, aur wuh jald hī is par amal karegā. 33 Ab bādshāh kisī samajhdār aur dānishmand ādmī ko Mulk-e-Misr kā intazām sauṅpeṅ. 34 Is ke alāwā wuh aise ādmī muqarrar kareṅ jo sāt achchhe sāloṅ ke daurān har fasal kā pāṅchwāṅ hissā leṅ. 35 Wuh un achchhe sāloṅ ke daurān ḳhurāk jamā kareṅ. Bādshāh unheṅ iḳhtiyār deṅ ki wuh shahroṅ meṅ godām banā kar anāj ko mahfūz kar leṅ. 36 Yih ḳhurāk kāl ke un sāt sāloṅ ke lie maḳhsūs kī jāe jo Misr meṅ āne wāle haiṅ. Yoṅ mulk tabāh nahīṅ hogā.” 37 Yih mansūbā bādshāh aur us ke afsarān ko achchhā lagā. 38 Us ne un se kahā, “Hameṅ is kām ke lie Yūsuf se zyādā lāyq ādmī nahīṅ milegā. Us meṅ Allāh kī rūh hai.” 39 Bādshāh ne Yūsuf se kahā, “Allāh ne yih sab kuchh tujh par zāhir kiyā hai, is lie koī bhī tujh se zyādā samajhdār aur dānishmand nahīṅ hai. 40 Maiṅ tujhe apne mahal par muqarrar kartā hūṅ. Merī tamām riāyā tere tābe rahegī. Terā iḳhtiyār sirf mere iḳhtiyār se kam hogā. 41 Ab maiṅ tujhe pūre Mulk-e-Misr par hākim muqarrar kartā hūṅ.” 42 Bādshāh ne apnī unglī se wuh angūṭhī utārī jis se muhr lagātā thā aur use Yūsuf kī unglī meṅ pahnā diyā. Us ne use katān kā bārīk libās pahnāyā aur us ke gale meṅ sone kā gulūband pahnā diyā. 43 Phir us ne use apne dūsre rath meṅ sawār kiyā aur log us ke āge āge pukārte rahe, “Ghuṭne ṭeko! Ghuṭne ṭeko!”Yoṅ Yūsuf pūre Misr kā hākim banā. 44 Firaun ne us se kahā, “Maiṅ to bādshāh hūṅ, lekin terī ijāzat ke baġhair pūre mulk meṅ koī bhī apnā hāth yā pāṅw nahīṅ hilāegā.” 45 45-46 Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī.Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā. 47 Sāt achchhe sāloṅ ke daurān mulk meṅ nihāyat achchhī fasleṅ ugīṅ. 48 Yūsuf ne tamām ḳhurāk jamā karke shahroṅ meṅ mahfūz kar lī. Har shahr meṅ us ne irdgird ke khetoṅ kī paidāwār mahfūz rakhī. 49 Jamāshudā anāj samundar kī ret kī mānind bakasrat thā. Itnā anāj thā ki Yūsuf ne āḳhirkār us kī paimāish karnā chhoṛ diyā. 50 Kāl se pahle Yūsuf aur Āsanat ke do beṭe paidā hue. 51 Us ne pahle kā nām Manassī yānī ‘Jo Bhulā Detā Hai’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne merī musībat aur mere bāp kā gharānā merī yāddāsht se nikāl diyā hai.” 52 Dūsre kā nām us ne Ifrāīm yānī ‘Dugnā Phaldār’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne mujhe merī musībat ke mulk meṅ phalne-phūlne diyā hai.” 53 Sāt achchhe sāl jin meṅ kasrat kī fasleṅ ugīṅ guzar gae. 54 Phir kāl ke sāt sāl shurū hue jis tarah Yūsuf ne kahā thā. Tamām dīgar mamālik meṅ bhī kāl paṛ gayā, lekin Misr meṅ wāfir ḳhurāk pāī jātī thī. 55 Jab kāl ne tamām Misr meṅ zor pakaṛā to log chīḳh kar khāne ke lie bādshāh se minnat karne lage. Tab Firaun ne un se kahā, “Yūsuf ke pās jāo. Jo kuchh wuh tumheṅ batāegā wuhī karo.” 56 Jab kāl pūrī duniyā meṅ phail gayā to Yūsuf ne anāj ke godām khol kar Misriyoṅ ko anāj bech diyā. Kyoṅki kāl ke bāis mulk ke hālāt bahut ḳharāb ho gae the. 57 Tamām mamālik se bhī log anāj ḳharīdne ke lie Yūsuf ke pās āe, kyoṅki pūrī duniyā saḳht kāl kī girift meṅ thī.

In Other Versions

Genesis 41 in the ANGEFD

Genesis 41 in the ANTPNG2D

Genesis 41 in the AS21

Genesis 41 in the BAGH

Genesis 41 in the BBPNG

Genesis 41 in the BBT1E

Genesis 41 in the BDS

Genesis 41 in the BEV

Genesis 41 in the BHAD

Genesis 41 in the BIB

Genesis 41 in the BLPT

Genesis 41 in the BNT

Genesis 41 in the BNTABOOT

Genesis 41 in the BNTLV

Genesis 41 in the BOATCB

Genesis 41 in the BOATCB2

Genesis 41 in the BOBCV

Genesis 41 in the BOCNT

Genesis 41 in the BOECS

Genesis 41 in the BOGWICC

Genesis 41 in the BOHCB

Genesis 41 in the BOHCV

Genesis 41 in the BOHLNT

Genesis 41 in the BOHNTLTAL

Genesis 41 in the BOICB

Genesis 41 in the BOILNTAP

Genesis 41 in the BOITCV

Genesis 41 in the BOKCV

Genesis 41 in the BOKCV2

Genesis 41 in the BOKHWOG

Genesis 41 in the BOKSSV

Genesis 41 in the BOLCB

Genesis 41 in the BOLCB2

Genesis 41 in the BOMCV

Genesis 41 in the BONAV

Genesis 41 in the BONCB

Genesis 41 in the BONLT

Genesis 41 in the BONUT2

Genesis 41 in the BOPLNT

Genesis 41 in the BOSCB

Genesis 41 in the BOSNC

Genesis 41 in the BOTLNT

Genesis 41 in the BOVCB

Genesis 41 in the BOYCB

Genesis 41 in the BPBB

Genesis 41 in the BPH

Genesis 41 in the BSB

Genesis 41 in the CCB

Genesis 41 in the CUV

Genesis 41 in the CUVS

Genesis 41 in the DBT

Genesis 41 in the DGDNT

Genesis 41 in the DHNT

Genesis 41 in the DNT

Genesis 41 in the ELBE

Genesis 41 in the EMTV

Genesis 41 in the ESV

Genesis 41 in the FBV

Genesis 41 in the FEB

Genesis 41 in the GGMNT

Genesis 41 in the GNT

Genesis 41 in the HARY

Genesis 41 in the HNT

Genesis 41 in the IRVA

Genesis 41 in the IRVB

Genesis 41 in the IRVG

Genesis 41 in the IRVH

Genesis 41 in the IRVK

Genesis 41 in the IRVM

Genesis 41 in the IRVM2

Genesis 41 in the IRVO

Genesis 41 in the IRVP

Genesis 41 in the IRVT

Genesis 41 in the IRVT2

Genesis 41 in the IRVU

Genesis 41 in the ISVN

Genesis 41 in the JSNT

Genesis 41 in the KAPI

Genesis 41 in the KBT1ETNIK

Genesis 41 in the KBV

Genesis 41 in the KJV

Genesis 41 in the KNFD

Genesis 41 in the LBA

Genesis 41 in the LBLA

Genesis 41 in the LNT

Genesis 41 in the LSV

Genesis 41 in the MAAL

Genesis 41 in the MBV

Genesis 41 in the MBV2

Genesis 41 in the MHNT

Genesis 41 in the MKNFD

Genesis 41 in the MNG

Genesis 41 in the MNT

Genesis 41 in the MNT2

Genesis 41 in the MRS1T

Genesis 41 in the NAA

Genesis 41 in the NASB

Genesis 41 in the NBLA

Genesis 41 in the NBS

Genesis 41 in the NBVTP

Genesis 41 in the NET2

Genesis 41 in the NIV11

Genesis 41 in the NNT

Genesis 41 in the NNT2

Genesis 41 in the NNT3

Genesis 41 in the PDDPT

Genesis 41 in the PFNT

Genesis 41 in the RMNT

Genesis 41 in the SBIAS

Genesis 41 in the SBIBS

Genesis 41 in the SBIBS2

Genesis 41 in the SBICS

Genesis 41 in the SBIDS

Genesis 41 in the SBIGS

Genesis 41 in the SBIHS

Genesis 41 in the SBIIS

Genesis 41 in the SBIIS2

Genesis 41 in the SBIIS3

Genesis 41 in the SBIKS

Genesis 41 in the SBIKS2

Genesis 41 in the SBIMS

Genesis 41 in the SBIOS

Genesis 41 in the SBIPS

Genesis 41 in the SBISS

Genesis 41 in the SBITS

Genesis 41 in the SBITS2

Genesis 41 in the SBITS3

Genesis 41 in the SBITS4

Genesis 41 in the SBIUS

Genesis 41 in the SBIVS

Genesis 41 in the SBT

Genesis 41 in the SBT1E

Genesis 41 in the SCHL

Genesis 41 in the SNT

Genesis 41 in the SUSU

Genesis 41 in the SUSU2

Genesis 41 in the SYNO

Genesis 41 in the TBIAOTANT

Genesis 41 in the TBT1E

Genesis 41 in the TBT1E2

Genesis 41 in the TFTIP

Genesis 41 in the TFTU

Genesis 41 in the TGNTATF3T

Genesis 41 in the THAI

Genesis 41 in the TNFD

Genesis 41 in the TNT

Genesis 41 in the TNTIK

Genesis 41 in the TNTIL

Genesis 41 in the TNTIN

Genesis 41 in the TNTIP

Genesis 41 in the TNTIZ

Genesis 41 in the TOMA

Genesis 41 in the TTENT

Genesis 41 in the UBG

Genesis 41 in the UGV

Genesis 41 in the UGV2

Genesis 41 in the VBL

Genesis 41 in the VDCC

Genesis 41 in the YALU

Genesis 41 in the YAPE

Genesis 41 in the YBVTP

Genesis 41 in the ZBP