Judges 3 (UGV3)

1 Rab ne kaī ek qaumoṅ ko Mulk-e-Kanān meṅ rahne diyā tāki un tamām Isrāīliyoṅ ko āzmāe jo ḳhud Kanān kī jangoṅ meṅ sharīk nahīṅ hue the. 2 Nīz, wuh naī nasl ko jang karnā sikhānā chāhtā thā, kyoṅki wuh jang karne se nāwāqif thī. Zail kī qaumeṅ Kanān meṅ rah gaī thīṅ: 3 Filistī un ke pāṅch hukmrānoṅ samet, tamām Kanānī, Saidānī aur Lubnān ke pahāṛī ilāqe meṅ rahne wāle Hiwwī jo Bāl-harmūn Pahāṛ se le kar Labo-hamāt tak ābād the. 4 Un se Rab Isrāīliyoṅ ko āzmānā chāhtā thā. Wuh deḳhnā chāhtā thā ki kyā yih mere un ahkām par amal karte haiṅ yā nahīṅ jo maiṅ ne Mūsā kī mārifat un ke bāpdādā ko die the. 5 Chunāṅche Isrāīlī Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Farizziyoṅ, Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke darmiyān hī ābād ho gae. 6 Na sirf yih balki wuh in qaumoṅ se apne beṭe-beṭiyoṅ kā rishtā bāndh kar un ke dewatāoṅ kī pūjā bhī karne lage. 7 Isrāīliyoṅ ne aisī harkateṅ kīṅ jo Rab kī nazar meṅ burī thīṅ. Rab ko bhūl kar unhoṅ ne Bāl Dewatā aur Yasīrat Dewī kī ḳhidmat kī. 8 Tab Rab kā ġhazab un par nāzil huā, aur us ne unheṅ Masoputāmiyā ke bādshāh Kūshan-ris'ataim ke hawāle kar diyā. Isrāīlī āṭh sāl tak Kūshan ke ġhulām rahe. 9 Lekin jab unhoṅ ne madad ke lie Rab ko pukārā to us ne un ke lie ek najātdahindā barpā kiyā. Kālib ke chhoṭe bhāī Ġhutniyel bin Qanaz ne unheṅ dushman ke hāth se bachāyā. 10 Us waqt Ġhutniyel par Rab kā Rūh nāzil huā, aur wuh Isrāīl kā qāzī ban gayā. Jab wuh jang karne ke lie niklā to Rab ne Masoputāmiyā ke bādshāh Kūshan-ris'ataim ko us ke hawāle kar diyā, aur wuh us par ġhālib ā gayā. 11 Tab mulk meṅ chālīs sāl tak amn-o-amān qāym rahā. Lekin jab Ġhutniyel bin Qanaz faut huā 12 to Isrāīlī dubārā wuh kuchh karne lage jo Rab kī nazar meṅ burā thā. Is lie us ne Moāb ke bādshāh Ijlūn ko Isrāīl par ġhālib āne diyā. 13 Ijlūn ne Ammoniyoṅ aur Amālīqiyoṅ ke sāth mil kar Isrāīliyoṅ se jang kī aur unheṅ shikast dī. Us ne Khajūroṅ ke Shahr par qabzā kiyā, 14 aur Isrāīl 18 sāl tak us kī ġhulāmī meṅ rahā. 15 Isrāīliyoṅ ne dubārā madad ke lie Rab ko pukārā, aur dubārā us ne unheṅ najātdahindā atā kiyā yānī Binyamīn ke qabīle kā Ahūd bin Jīrā jo bāeṅ hāth se kām karne kā ādī thā. Isī shaḳhs ko Isrāīliyoṅ ne Ijlūn Bādshāh ke pās bhej diyā tāki wuh use ḳharāj ke paise adā kare. 16 Ahūd ne apne lie ek dodhārī talwār banā lī jo taqrīban ḍeṛh fuṭ lambī thī. Jāte waqt us ne use apnī kamr ke dāīṅ taraf bāndh kar apne libās meṅ chhupā liyā. 17 Jab wuh Ijlūn ke darbār meṅ pahuṅch gayā to us ne Moāb ke bādshāh ko ḳharāj pesh kiyā. Ijlūn bahut moṭā ādmī thā. 18 Phir Ahūd ne un ādmiyoṅ ko ruḳhsat kar diyā jinhoṅ ne us ke sāth ḳharāj uṭhā kar use darbār tak pahuṅchāyā thā. 19 19-20 Ahūd bhī wahāṅ se rawānā huā, lekin Jiljāl ke butoṅ ke qarīb wuh muṛ kar Ijlūn ke pās wāpas gayā.Ijlūn bālāḳhāne meṅ baiṭhā thā jo zyādā ṭhanḍā thā aur us ke zātī istemāl ke lie maḳhsūs thā. Ahūd ne andar jā kar bādshāh se kahā, “Merī āp ke lie ḳhufiyā ḳhabar hai.” Bādshāh ne kahā, “Ḳhāmosh!” Bāqī tamām hāzirīn kamre se chale gae to Ahūd ne kahā, “Jo ḳhabar mere pās āp ke lie hai wuh Allāh kī taraf se hai!” Yih sun kar Ijlūn khaṛā hone lagā, 21 lekin Ahūd ne usī lamhe apne bāeṅ hāth se kamr ke dāīṅ taraf bandhī huī talwār ko pakaṛ kar use miyān se nikālā aur Ijlūn ke peṭ meṅ dhaṅsā diyā. 22 Talwār itnī dhaṅs gaī ki us kā dastā bhī charbī meṅ ġhāyb ho gayā aur us kī nok ṭāṅgoṅ meṅ se niklī. Talwār ko us meṅ chhoṛ kar 23 Ahūd ne kamre ke darwāzoṅ ko band karke kunḍī lagāī aur sāth wāle kamre meṅ se nikal kar chalā gayā. 24 Thoṛī der ke bād bādshāh ke naukaroṅ ne ā kar dekhā ki darwāzoṅ par kunḍī lagī hai. Unhoṅ ne ek dūsre se kahā, “Wuh hājat rafā kar rahe hoṅge,” 25 is lie kuchh der ke lie ṭhahre. Lekin darwāzā na khulā. Intazār karte karte wuh thak gae. Lekin besūd, bādshāh ne darwāzā na kholā. Āḳhirkār unhoṅ ne chābī ḍhūnḍ kar darwāzoṅ ko khol diyā aur dekhā ki mālik kī lāsh farsh par paṛī huī hai. 26 Naukaroṅ ke jhijakne kī wajah se Ahūd bach niklā aur Jiljāl ke butoṅ se guzar kar saīrā pahuṅch gayā jahāṅ wuh mahfūz thā. 27 Wahāṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ us ne narsingā phūṅk diyā tāki Isrāīlī laṛne ke lie jamā ho jāeṅ. Wuh ikaṭṭhe hue aur us kī rāhnumāī meṅ Wādī-e-Yardan meṅ utar gae. 28 Ahūd bolā, “Mere pīchhe ho leṅ, kyoṅki Allāh ne āp ke dushman Moāb ko āp ke hawāle kar diyā hai.” Chunāṅche wuh us ke pīchhe pīchhe wādī meṅ utar gae. Pahle unhoṅ ne Dariyā-e-Yardan ke kam-gahre maqāmoṅ par qabzā karke kisī ko dariyā pār karne na diyā. 29 Us waqt unhoṅ ne Moāb ke 10,000 tāqatwar aur jang karne ke qābil ādmiyoṅ ko mār ḍālā. Ek bhī na bachā. 30 Us din Isrāīl ne Moāb ko zer kar diyā, aur 80 sāl tak mulk meṅ amn-o-amān qāym rahā. 31 Ahūd ke daur ke bād Isrāīl kā ek aur najātdahindā ubhar āyā, Shamjar bin Anāt. Us ne bail ke āṅkus se 600 Filistiyoṅ ko mār ḍālā.

In Other Versions

Judges 3 in the ANGEFD

Judges 3 in the ANTPNG2D

Judges 3 in the AS21

Judges 3 in the BAGH

Judges 3 in the BBPNG

Judges 3 in the BBT1E

Judges 3 in the BDS

Judges 3 in the BEV

Judges 3 in the BHAD

Judges 3 in the BIB

Judges 3 in the BLPT

Judges 3 in the BNT

Judges 3 in the BNTABOOT

Judges 3 in the BNTLV

Judges 3 in the BOATCB

Judges 3 in the BOATCB2

Judges 3 in the BOBCV

Judges 3 in the BOCNT

Judges 3 in the BOECS

Judges 3 in the BOGWICC

Judges 3 in the BOHCB

Judges 3 in the BOHCV

Judges 3 in the BOHLNT

Judges 3 in the BOHNTLTAL

Judges 3 in the BOICB

Judges 3 in the BOILNTAP

Judges 3 in the BOITCV

Judges 3 in the BOKCV

Judges 3 in the BOKCV2

Judges 3 in the BOKHWOG

Judges 3 in the BOKSSV

Judges 3 in the BOLCB

Judges 3 in the BOLCB2

Judges 3 in the BOMCV

Judges 3 in the BONAV

Judges 3 in the BONCB

Judges 3 in the BONLT

Judges 3 in the BONUT2

Judges 3 in the BOPLNT

Judges 3 in the BOSCB

Judges 3 in the BOSNC

Judges 3 in the BOTLNT

Judges 3 in the BOVCB

Judges 3 in the BOYCB

Judges 3 in the BPBB

Judges 3 in the BPH

Judges 3 in the BSB

Judges 3 in the CCB

Judges 3 in the CUV

Judges 3 in the CUVS

Judges 3 in the DBT

Judges 3 in the DGDNT

Judges 3 in the DHNT

Judges 3 in the DNT

Judges 3 in the ELBE

Judges 3 in the EMTV

Judges 3 in the ESV

Judges 3 in the FBV

Judges 3 in the FEB

Judges 3 in the GGMNT

Judges 3 in the GNT

Judges 3 in the HARY

Judges 3 in the HNT

Judges 3 in the IRVA

Judges 3 in the IRVB

Judges 3 in the IRVG

Judges 3 in the IRVH

Judges 3 in the IRVK

Judges 3 in the IRVM

Judges 3 in the IRVM2

Judges 3 in the IRVO

Judges 3 in the IRVP

Judges 3 in the IRVT

Judges 3 in the IRVT2

Judges 3 in the IRVU

Judges 3 in the ISVN

Judges 3 in the JSNT

Judges 3 in the KAPI

Judges 3 in the KBT1ETNIK

Judges 3 in the KBV

Judges 3 in the KJV

Judges 3 in the KNFD

Judges 3 in the LBA

Judges 3 in the LBLA

Judges 3 in the LNT

Judges 3 in the LSV

Judges 3 in the MAAL

Judges 3 in the MBV

Judges 3 in the MBV2

Judges 3 in the MHNT

Judges 3 in the MKNFD

Judges 3 in the MNG

Judges 3 in the MNT

Judges 3 in the MNT2

Judges 3 in the MRS1T

Judges 3 in the NAA

Judges 3 in the NASB

Judges 3 in the NBLA

Judges 3 in the NBS

Judges 3 in the NBVTP

Judges 3 in the NET2

Judges 3 in the NIV11

Judges 3 in the NNT

Judges 3 in the NNT2

Judges 3 in the NNT3

Judges 3 in the PDDPT

Judges 3 in the PFNT

Judges 3 in the RMNT

Judges 3 in the SBIAS

Judges 3 in the SBIBS

Judges 3 in the SBIBS2

Judges 3 in the SBICS

Judges 3 in the SBIDS

Judges 3 in the SBIGS

Judges 3 in the SBIHS

Judges 3 in the SBIIS

Judges 3 in the SBIIS2

Judges 3 in the SBIIS3

Judges 3 in the SBIKS

Judges 3 in the SBIKS2

Judges 3 in the SBIMS

Judges 3 in the SBIOS

Judges 3 in the SBIPS

Judges 3 in the SBISS

Judges 3 in the SBITS

Judges 3 in the SBITS2

Judges 3 in the SBITS3

Judges 3 in the SBITS4

Judges 3 in the SBIUS

Judges 3 in the SBIVS

Judges 3 in the SBT

Judges 3 in the SBT1E

Judges 3 in the SCHL

Judges 3 in the SNT

Judges 3 in the SUSU

Judges 3 in the SUSU2

Judges 3 in the SYNO

Judges 3 in the TBIAOTANT

Judges 3 in the TBT1E

Judges 3 in the TBT1E2

Judges 3 in the TFTIP

Judges 3 in the TFTU

Judges 3 in the TGNTATF3T

Judges 3 in the THAI

Judges 3 in the TNFD

Judges 3 in the TNT

Judges 3 in the TNTIK

Judges 3 in the TNTIL

Judges 3 in the TNTIN

Judges 3 in the TNTIP

Judges 3 in the TNTIZ

Judges 3 in the TOMA

Judges 3 in the TTENT

Judges 3 in the UBG

Judges 3 in the UGV

Judges 3 in the UGV2

Judges 3 in the VBL

Judges 3 in the VDCC

Judges 3 in the YALU

Judges 3 in the YAPE

Judges 3 in the YBVTP

Judges 3 in the ZBP