Judges 4 (UGV3)

1 Jab Ahūd faut huā to Isrāīlī dubārā aisī harkateṅ karne lage jo Rab ke nazdīk burī thīṅ. 2 2-3 Is lie Rab ne unheṅ Kanān ke bādshāh Yābīn ke hawāle kar diyā. Yābīn kā dārul-hukūmat Hasūr thā, aur us ke pās 900 lohe ke rath the. Us ke lashkar kā sardār Sīsarā thā jo Harūsat-hagoim meṅ rahtā thā. Yābīn ne 20 sāl Isrāīliyoṅ par bahut zulm kiyā, is lie unhoṅ ne madad ke lie Rab ko pukārā. 4 Un dinoṅ meṅ Daborā Nabiyā Isrāīl kī qāzī thī. Us kā shauhar Lafīdot thā, 5 aur wuh ‘Daborā ke Khajūr’ ke pās rahtī thī jo Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ Rāmā aur Baitel ke darmiyān thā. Is daraḳht ke sāy meṅ wuh Isrāīliyoṅ ke muāmalāt ke faisle kiyā kartī thī. 6 Ek din Daborā ne Baraq bin Abīnūsam ko bulāyā. Baraq Naftālī ke qabāylī ilāqe ke shahr Qādis meṅ rahtā thā. Daborā ne Baraq se kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā āp ko hukm detā hai, ‘Naftālī aur Zabūlūn ke qabīloṅ meṅ se 10,000 mardoṅ ko jamā karke un ke sāth Tabūr Pahāṛ par chaṛh jā! 7 Maiṅ Yābīn ke lashkar ke sardār Sīsarā ko us ke rathoṅ aur fauj samet tere qarīb kī Qaison Nadī ke pās khīṅch lāūṅgā. Wahāṅ maiṅ use tere hāth meṅ kar dūṅgā.’” 8 Baraq ne jawāb diyā, “Maiṅ sirf is sūrat meṅ jāūṅgā ki āp bhī sāth jāeṅ. Āp ke baġhair maiṅ nahīṅ jāūṅgā.” 9 Daborā ne kahā, “Ṭhīk hai, maiṅ zarūr āp ke sāth jāūṅgī. Lekin is sūrat meṅ āp ko Sīsarā par ġhālib āne kī izzat hāsil nahīṅ hogī balki ek aurat ko. Kyoṅki Rab Sīsarā ko ek aurat ke hawāle kar degā.”Chunāṅche Daborā Baraq ke sāth Qādis gaī. 10 Wahāṅ Baraq ne Zabūlūn aur Naftālī ke qabīloṅ ko apne pās bulā liyā. 10,000 ādmī us kī rāhnumāī meṅ Tabūr Pahāṛ par chale gae. Daborā bhī sāth gaī. 11 Un dinoṅ meṅ ek Qīnī banām Hibar ne apnā ḳhaimā Qādis ke qarīb Ailon-zānanīm meṅ lagāyā huā thā. Qīnī Mūsā ke sāle Hobāb kī aulād meṅ se thā. Lekin Hibar dūsre Qīniyoṅ se alag rahtā thā. 12 Ab Sīsarā ko ittalā dī gaī ki Baraq bin Abīnūsam fauj le kar pahāṛ Tabūr par chaṛh gayā hai. 13 Yih sun kar wuh Harūsat-hagoim se rawānā ho kar apne 900 rathoṅ aur bāqī lashkar ke sāth Qaison Nadī par pahuṅch gayā. 14 Tab Daborā ne Baraq se bāt kī, “Hamlā ke lie taiyār ho jāeṅ, kyoṅki Rab ne āj hī Sīsarā ko āp ke qābū meṅ kar diyā hai. Rab āp ke āge āge chal rahā hai.” Chunāṅche Baraq apne 10,000 ādmiyoṅ ke sāth Tabūr Pahāṛ se utar āyā. 15 Jab unhoṅ ne dushman par hamlā kiyā to Rab ne Kanāniyoṅ ke pūre lashkar meṅ rathoṅ samet afrā-tafrī paidā kar dī. Sīsarā apne rath se utar kar paidal hī farār ho gayā. 16 Baraq ke ādmiyoṅ ne bhāgne wāle faujiyoṅ aur un ke rathoṅ kā tāqqub karke un ko Harūsat-hagoim tak mārte gae. Ek bhī na bachā. 17 Itne meṅ Sīsarā paidal chal kar Qīnī ādmī Hibar kī bīwī Yāel ke ḳhaime ke pās bhāg āyā thā. Wajah yih thī ki Hasūr ke bādshāh Yābīn ke Hibar ke gharāne ke sāth achchhe tālluqāt the. 18 Yāel ḳhaime se nikal kar Sīsarā se milne gaī. Us ne kahā, “Āeṅ mere āqā, andar āeṅ aur na ḍareṅ.” Chunāṅche wuh andar ā kar leṭ gayā, aur Yāel ne us par kambal ḍāl diyā. 19 Sīsarā ne kahā, “Mujhe pyās lagī hai, kuchh pānī pilā do.” Yāel ne dūdh kā mashkīzā khol kar use pilā diyā aur use dubārā chhupā diyā. 20 Sīsarā ne darḳhāst kī, “Darwāze meṅ khaṛī ho jāo! Agar koī āe aur pūchhe ki kyā ḳhaime meṅ koī hai to bolo ki nahīṅ, koī nahīṅ hai.” 21 Yih kah kar Sīsarā gahrī nīnd so gayā, kyoṅki wuh nihāyat thakā huā thā. Tab Yāel ne meḳh aur hathoṛā pakaṛ liyā aur dabe pāṅw Sīsarā ke pās jā kar meḳh ko itne zor se us kī kanpaṭī meṅ ṭhoṅk diyā ki meḳh zamīn meṅ dhaṅs gaī aur wuh mar gayā. 22 Kuchh der ke bād Baraq Sīsarā ke tāqqub meṅ wahāṅ se guzarā. Yāel ḳhaime se nikal kar us se milne āī aur bolī, “Āeṅ, maiṅ āp ko wuh ādmī dikhātī hūṅ jise āp ḍhūnḍ rahe haiṅ.” Baraq us ke sāth ḳhaime meṅ dāḳhil huā to kyā dekhā ki Sīsarā kī lāsh zamīn par paṛī hai aur meḳh us kī kanpaṭī meṅ se guzar kar zamīn meṅ gaṛ gaī hai. 23 Us din Allāh ne Kanānī bādshāh Yābīn ko Isrāīliyoṅ ke sāmne zer kar diyā. 24 Is ke bād un kī tāqat baṛhtī gaī jabki Yābīn kamzor hotā gayā aur āḳhirkār Isrāīliyoṅ ke hāthoṅ tabāh ho gayā.

In Other Versions

Judges 4 in the ANGEFD

Judges 4 in the ANTPNG2D

Judges 4 in the AS21

Judges 4 in the BAGH

Judges 4 in the BBPNG

Judges 4 in the BBT1E

Judges 4 in the BDS

Judges 4 in the BEV

Judges 4 in the BHAD

Judges 4 in the BIB

Judges 4 in the BLPT

Judges 4 in the BNT

Judges 4 in the BNTABOOT

Judges 4 in the BNTLV

Judges 4 in the BOATCB

Judges 4 in the BOATCB2

Judges 4 in the BOBCV

Judges 4 in the BOCNT

Judges 4 in the BOECS

Judges 4 in the BOGWICC

Judges 4 in the BOHCB

Judges 4 in the BOHCV

Judges 4 in the BOHLNT

Judges 4 in the BOHNTLTAL

Judges 4 in the BOICB

Judges 4 in the BOILNTAP

Judges 4 in the BOITCV

Judges 4 in the BOKCV

Judges 4 in the BOKCV2

Judges 4 in the BOKHWOG

Judges 4 in the BOKSSV

Judges 4 in the BOLCB

Judges 4 in the BOLCB2

Judges 4 in the BOMCV

Judges 4 in the BONAV

Judges 4 in the BONCB

Judges 4 in the BONLT

Judges 4 in the BONUT2

Judges 4 in the BOPLNT

Judges 4 in the BOSCB

Judges 4 in the BOSNC

Judges 4 in the BOTLNT

Judges 4 in the BOVCB

Judges 4 in the BOYCB

Judges 4 in the BPBB

Judges 4 in the BPH

Judges 4 in the BSB

Judges 4 in the CCB

Judges 4 in the CUV

Judges 4 in the CUVS

Judges 4 in the DBT

Judges 4 in the DGDNT

Judges 4 in the DHNT

Judges 4 in the DNT

Judges 4 in the ELBE

Judges 4 in the EMTV

Judges 4 in the ESV

Judges 4 in the FBV

Judges 4 in the FEB

Judges 4 in the GGMNT

Judges 4 in the GNT

Judges 4 in the HARY

Judges 4 in the HNT

Judges 4 in the IRVA

Judges 4 in the IRVB

Judges 4 in the IRVG

Judges 4 in the IRVH

Judges 4 in the IRVK

Judges 4 in the IRVM

Judges 4 in the IRVM2

Judges 4 in the IRVO

Judges 4 in the IRVP

Judges 4 in the IRVT

Judges 4 in the IRVT2

Judges 4 in the IRVU

Judges 4 in the ISVN

Judges 4 in the JSNT

Judges 4 in the KAPI

Judges 4 in the KBT1ETNIK

Judges 4 in the KBV

Judges 4 in the KJV

Judges 4 in the KNFD

Judges 4 in the LBA

Judges 4 in the LBLA

Judges 4 in the LNT

Judges 4 in the LSV

Judges 4 in the MAAL

Judges 4 in the MBV

Judges 4 in the MBV2

Judges 4 in the MHNT

Judges 4 in the MKNFD

Judges 4 in the MNG

Judges 4 in the MNT

Judges 4 in the MNT2

Judges 4 in the MRS1T

Judges 4 in the NAA

Judges 4 in the NASB

Judges 4 in the NBLA

Judges 4 in the NBS

Judges 4 in the NBVTP

Judges 4 in the NET2

Judges 4 in the NIV11

Judges 4 in the NNT

Judges 4 in the NNT2

Judges 4 in the NNT3

Judges 4 in the PDDPT

Judges 4 in the PFNT

Judges 4 in the RMNT

Judges 4 in the SBIAS

Judges 4 in the SBIBS

Judges 4 in the SBIBS2

Judges 4 in the SBICS

Judges 4 in the SBIDS

Judges 4 in the SBIGS

Judges 4 in the SBIHS

Judges 4 in the SBIIS

Judges 4 in the SBIIS2

Judges 4 in the SBIIS3

Judges 4 in the SBIKS

Judges 4 in the SBIKS2

Judges 4 in the SBIMS

Judges 4 in the SBIOS

Judges 4 in the SBIPS

Judges 4 in the SBISS

Judges 4 in the SBITS

Judges 4 in the SBITS2

Judges 4 in the SBITS3

Judges 4 in the SBITS4

Judges 4 in the SBIUS

Judges 4 in the SBIVS

Judges 4 in the SBT

Judges 4 in the SBT1E

Judges 4 in the SCHL

Judges 4 in the SNT

Judges 4 in the SUSU

Judges 4 in the SUSU2

Judges 4 in the SYNO

Judges 4 in the TBIAOTANT

Judges 4 in the TBT1E

Judges 4 in the TBT1E2

Judges 4 in the TFTIP

Judges 4 in the TFTU

Judges 4 in the TGNTATF3T

Judges 4 in the THAI

Judges 4 in the TNFD

Judges 4 in the TNT

Judges 4 in the TNTIK

Judges 4 in the TNTIL

Judges 4 in the TNTIN

Judges 4 in the TNTIP

Judges 4 in the TNTIZ

Judges 4 in the TOMA

Judges 4 in the TTENT

Judges 4 in the UBG

Judges 4 in the UGV

Judges 4 in the UGV2

Judges 4 in the VBL

Judges 4 in the VDCC

Judges 4 in the YALU

Judges 4 in the YAPE

Judges 4 in the YBVTP

Judges 4 in the ZBP