Jeremiah 29 (UGV3)

1 Ek din Yarmiyāh Nabī ne Yarūshalam se ek ḳhat Mulk-e-Bābal bhejā. Yih ḳhat un bache hue buzurgoṅ, imāmoṅ, nabiyoṅ aur bāqī Isrāīliyoṅ ke nām likhā thā jinheṅ Nabūkadnazzar Bādshāh jilāwatan karke Bābal le gayā thā. 2 Un meṅ Yahūyākīn Bādshāh, us kī māṅ aur darbārī, aur Yahūdāh aur Yarūshalam ke buzurg, kārīgar aur lohār shāmil the. 3 Yih ḳhat Iliyāsā bin Sāfan aur Jamariyāh bin Ḳhilqiyāh ke hāth Bābal pahuṅchā jinheṅ Yahūdāh ke bādshāh Sidqiyāh ne Bābal meṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ke pās bhejā thā. Ḳhat meṅ likhā thā, 4 “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Ai tamām jilāwatano jinheṅ maiṅ Yarūshalam se nikāl kar Bābal le gayā hūṅ, dhyān se suno! 5 Bābal meṅ ghar banā kar un meṅ basne lago. Bāġh lagā kar un kā phal khāo. 6 Shādī karke beṭe-beṭiyāṅ paidā karo. Apne beṭe-beṭiyoṅ kī shādī karāo tāki un ke bhī bachche paidā ho jāeṅ. Dhyān do ki Mulk-e-Bābal meṅ tumhārī tādād kam na ho jāe balki baṛh jāe. 7 Us shahr kī salāmatī ke tālib raho jis meṅ maiṅ tumheṅ jilāwatan karke le gayā hūṅ. Rab se us ke lie duā karo! Kyoṅki tumhārī salāmatī usī kī salāmatī par munhasir hai.’ 8 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Ḳhabardār! Tumhāre darmiyān rahne wāle nabī aur qismat kā hāl batāne wāle tumheṅ fareb na deṅ. Un ḳhāboṅ par tawajjuh mat denā jo yih deḳhte haiṅ.’ 9 Rab farmātā hai, ‘Yih merā nām le kar tumheṅ jhūṭī peshgoiyāṅ sunāte haiṅ, go maiṅ ne unheṅ nahīṅ bhejā.’ 10 Kyoṅki Rab farmātā hai, ‘Tumheṅ Bābal meṅ rahte hue kul 70 sāl guzar jāeṅge. Lekin is ke bād maiṅ tumhārī taraf rujū karūṅga, maiṅ apnā purfazl wādā pūrā karke tumheṅ wāpas lāūṅgā.’ 11 Kyoṅki Rab farmātā hai, ‘Maiṅ un mansūboṅ se ḳhūb wāqif hūṅ jo maiṅ ne tumhāre lie bāndhe haiṅ. Yih mansūbe tumheṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchāeṅge balki tumhārī salāmatī kā bāis hoṅge, tumheṅ ummīd dilā kar ek achchhā mustaqbil farāham kareṅge. 12 Us waqt tum mujhe pukāroge, tum ā kar mujh se duā karoge to maiṅ tumhārī sunūṅgā. 13 Tum mujhe talāsh karke pā loge. Kyoṅki agar tum pūre dil se mujhe ḍhūnḍo 14 to maiṅ hone dūṅgā ki tum mujhe pāo.’ Yih Rab kā farmān hai. ‘Phir maiṅ tumheṅ bahāl karke un tamām qaumoṅ aur maqāmoṅ se jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne tumheṅ muntashir kar diyā thā. Aur maiṅ tumheṅ us mulk meṅ wāpas lāūṅgā jis se maiṅ ne tumheṅ nikāl kar jilāwatan kar diyā thā.’ Yih Rab kā farmān hai. 15 Tumhārā dāwā hai ki Rab ne yahāṅ Bābal meṅ bhī hamāre lie nabī barpā kie haiṅ. 16 16-17 Lekin Rab kā jawāb suno! Dāūd ke taḳht par baiṭhne wāle bādshāh aur Yarūshalam meṅ bache hue tamām bāshindoṅ ke bāre meṅ Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Tumhāre jitne bhāī jilāwatanī se bach gae haiṅ un ke ḳhilāf maiṅ talwār, kāl aur mohlak bīmāriyāṅ bhej dūṅgā. Maiṅ unheṅ gale hue anjīroṅ kī mānind banā dūṅgā, jo ḳharāb hone kī wajah se khāe nahīṅ jāeṅge. 18 Maiṅ talwār, kāl aur mohlak bīmāriyoṅ se un kā yoṅ tāqqub karūṅga ki duniyā ke tamām mamālik un kī hālat dekh kar ghabrā jāeṅge. Jis qaum meṅ bhī maiṅ unheṅ muntashir karūṅga wahāṅ logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. Kisī par lānat bhejte waqt log kaheṅge ki use Yahūdāh ke bāshindoṅ kā-sā anjām nasīb ho. Har jagah wuh mazāq aur ruswāī kā nishānā ban jāeṅge. 19 Kyoṅ ? Is lie ki unhoṅ ne merī na sunī, go maiṅ apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ ke zariye bār bār unheṅ paiġhāmāt bhejtā rahā. Lekin tum ne bhī merī na sunī.’ Yih Rab kā farmān hai. 20 Ab Rab kā farmān suno, tum sab jo jilāwatan ho chuke ho, jinheṅ maiṅ Yarūshalam se nikāl kar Bābal bhej chukā hūṅ. 21 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Aḳhiyab bin Qaulāyāh aur Sidqiyāh bin Māsiyāh merā nām le kar tumheṅ jhūṭī peshgoiyāṅ sunāte haiṅ. Is lie maiṅ unheṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ke hāth meṅ dūṅgā jo unheṅ tere deḳhte deḳhte sazā-e-maut degā. 22 Un kā anjām ibratangez misāl ban jāegā. Kisī par lānat bhejte waqt Yahūdāh ke jilāwatan kaheṅge, “Rab tere sāth Sidqiyāh aur Aḳhiyab kā-sā sulūk kare jinheṅ Shāh-e-Bābal ne āg meṅ bhūn liyā!” 23 Kyoṅki unhoṅ ne Isrāīl meṅ bedīn harkateṅ kī haiṅ. Apne paṛosiyoṅ kī bīwiyoṅ ke sāth zinā karne ke sāth sāth unhoṅ ne merā nām le kar aise jhūṭe paiġhām sunāe haiṅ jo maiṅ ne unheṅ sunāne ko nahīṅ kahā thā. Mujhe is kā pūrā ilm hai, aur maiṅ is kā gawāh hūṅ.’ Yih Rab kā farmān hai.” 24 Rab ne farmāyā, “Bābal ke rahne wāle Samāyāh Naḳhlāmī ko ittalā de, 25 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki tū ne apnī hī taraf se imām Safaniyāh bin Māsiyāh ko ḳhat bhejā. Dīgar imāmoṅ aur Yarūshalam ke bāqī tamām bāshindoṅ ko bhī is kī kāpiyāṅ mil gaīṅ. Ḳhat meṅ likhā thā, 26 ‘Rab ne āp ko Yahoyadā kī jagah apne ghar kī dekh-bhāl karne kī zimmedārī dī hai. Āp kī zimmedāriyoṅ meṅ yih bhī shāmil hai ki har dīwāne aur nabuwwat karne wāle ko kāṭh meṅ ḍāl kar us kī gardan meṅ lohe kī zanjīreṅ ḍāleṅ. 27 To phir āp ne Anatot ke rahne wāle Yarmiyāh ke ḳhilāf qadam kyoṅ nahīṅ uṭhāyā jo āp ke darmiyān nabuwwat kartā rahtā hai? 28 Kyoṅki us ne hameṅ jo Bābal meṅ haiṅ ḳhat bhej kar mashwarā diyā hai ki der lagegī, is lie ghar banā kar un meṅ basne lago, bāġh lagā kar un kā phal khāo.’” 29 Jab Safaniyāh ko Samāyāh kā ḳhat mil gayā to us ne Yarmiyāh ko sab kuchh sunāyā. 30 Tab Yarmiyāh par Rab kā kalām nāzil huā, 31 “Tamām jilāwatanoṅ ko ḳhat bhej kar likh de, ‘Rab Samāyāh Naḳhlāmī ke bāre meṅ farmātā hai ki go maiṅ ne Samāyāh ko nahīṅ bhejā to bhī us ne tumheṅ peshgoiyāṅ sunā kar jhūṭ par bharosā rakhne par āmādā kiyā hai. 32 Chunāṅche Rab farmātā hai ki maiṅ Samāyāh Naḳhlāmī ko us kī aulād samet sazā dūṅgā. Is qaum meṅ us kī nasl ḳhatm ho jāegī, aur wuh ḳhud un achchhī chīzoṅ se lutfandoz nahīṅ hogā jo maiṅ apnī qaum ko farāham karūṅga. Kyoṅki us ne Rab se sarkash hone kā mashwarā diyā hai.’”

In Other Versions

Jeremiah 29 in the ANGEFD

Jeremiah 29 in the ANTPNG2D

Jeremiah 29 in the AS21

Jeremiah 29 in the BAGH

Jeremiah 29 in the BBPNG

Jeremiah 29 in the BBT1E

Jeremiah 29 in the BDS

Jeremiah 29 in the BEV

Jeremiah 29 in the BHAD

Jeremiah 29 in the BIB

Jeremiah 29 in the BLPT

Jeremiah 29 in the BNT

Jeremiah 29 in the BNTABOOT

Jeremiah 29 in the BNTLV

Jeremiah 29 in the BOATCB

Jeremiah 29 in the BOATCB2

Jeremiah 29 in the BOBCV

Jeremiah 29 in the BOCNT

Jeremiah 29 in the BOECS

Jeremiah 29 in the BOGWICC

Jeremiah 29 in the BOHCB

Jeremiah 29 in the BOHCV

Jeremiah 29 in the BOHLNT

Jeremiah 29 in the BOHNTLTAL

Jeremiah 29 in the BOICB

Jeremiah 29 in the BOILNTAP

Jeremiah 29 in the BOITCV

Jeremiah 29 in the BOKCV

Jeremiah 29 in the BOKCV2

Jeremiah 29 in the BOKHWOG

Jeremiah 29 in the BOKSSV

Jeremiah 29 in the BOLCB

Jeremiah 29 in the BOLCB2

Jeremiah 29 in the BOMCV

Jeremiah 29 in the BONAV

Jeremiah 29 in the BONCB

Jeremiah 29 in the BONLT

Jeremiah 29 in the BONUT2

Jeremiah 29 in the BOPLNT

Jeremiah 29 in the BOSCB

Jeremiah 29 in the BOSNC

Jeremiah 29 in the BOTLNT

Jeremiah 29 in the BOVCB

Jeremiah 29 in the BOYCB

Jeremiah 29 in the BPBB

Jeremiah 29 in the BPH

Jeremiah 29 in the BSB

Jeremiah 29 in the CCB

Jeremiah 29 in the CUV

Jeremiah 29 in the CUVS

Jeremiah 29 in the DBT

Jeremiah 29 in the DGDNT

Jeremiah 29 in the DHNT

Jeremiah 29 in the DNT

Jeremiah 29 in the ELBE

Jeremiah 29 in the EMTV

Jeremiah 29 in the ESV

Jeremiah 29 in the FBV

Jeremiah 29 in the FEB

Jeremiah 29 in the GGMNT

Jeremiah 29 in the GNT

Jeremiah 29 in the HARY

Jeremiah 29 in the HNT

Jeremiah 29 in the IRVA

Jeremiah 29 in the IRVB

Jeremiah 29 in the IRVG

Jeremiah 29 in the IRVH

Jeremiah 29 in the IRVK

Jeremiah 29 in the IRVM

Jeremiah 29 in the IRVM2

Jeremiah 29 in the IRVO

Jeremiah 29 in the IRVP

Jeremiah 29 in the IRVT

Jeremiah 29 in the IRVT2

Jeremiah 29 in the IRVU

Jeremiah 29 in the ISVN

Jeremiah 29 in the JSNT

Jeremiah 29 in the KAPI

Jeremiah 29 in the KBT1ETNIK

Jeremiah 29 in the KBV

Jeremiah 29 in the KJV

Jeremiah 29 in the KNFD

Jeremiah 29 in the LBA

Jeremiah 29 in the LBLA

Jeremiah 29 in the LNT

Jeremiah 29 in the LSV

Jeremiah 29 in the MAAL

Jeremiah 29 in the MBV

Jeremiah 29 in the MBV2

Jeremiah 29 in the MHNT

Jeremiah 29 in the MKNFD

Jeremiah 29 in the MNG

Jeremiah 29 in the MNT

Jeremiah 29 in the MNT2

Jeremiah 29 in the MRS1T

Jeremiah 29 in the NAA

Jeremiah 29 in the NASB

Jeremiah 29 in the NBLA

Jeremiah 29 in the NBS

Jeremiah 29 in the NBVTP

Jeremiah 29 in the NET2

Jeremiah 29 in the NIV11

Jeremiah 29 in the NNT

Jeremiah 29 in the NNT2

Jeremiah 29 in the NNT3

Jeremiah 29 in the PDDPT

Jeremiah 29 in the PFNT

Jeremiah 29 in the RMNT

Jeremiah 29 in the SBIAS

Jeremiah 29 in the SBIBS

Jeremiah 29 in the SBIBS2

Jeremiah 29 in the SBICS

Jeremiah 29 in the SBIDS

Jeremiah 29 in the SBIGS

Jeremiah 29 in the SBIHS

Jeremiah 29 in the SBIIS

Jeremiah 29 in the SBIIS2

Jeremiah 29 in the SBIIS3

Jeremiah 29 in the SBIKS

Jeremiah 29 in the SBIKS2

Jeremiah 29 in the SBIMS

Jeremiah 29 in the SBIOS

Jeremiah 29 in the SBIPS

Jeremiah 29 in the SBISS

Jeremiah 29 in the SBITS

Jeremiah 29 in the SBITS2

Jeremiah 29 in the SBITS3

Jeremiah 29 in the SBITS4

Jeremiah 29 in the SBIUS

Jeremiah 29 in the SBIVS

Jeremiah 29 in the SBT

Jeremiah 29 in the SBT1E

Jeremiah 29 in the SCHL

Jeremiah 29 in the SNT

Jeremiah 29 in the SUSU

Jeremiah 29 in the SUSU2

Jeremiah 29 in the SYNO

Jeremiah 29 in the TBIAOTANT

Jeremiah 29 in the TBT1E

Jeremiah 29 in the TBT1E2

Jeremiah 29 in the TFTIP

Jeremiah 29 in the TFTU

Jeremiah 29 in the TGNTATF3T

Jeremiah 29 in the THAI

Jeremiah 29 in the TNFD

Jeremiah 29 in the TNT

Jeremiah 29 in the TNTIK

Jeremiah 29 in the TNTIL

Jeremiah 29 in the TNTIN

Jeremiah 29 in the TNTIP

Jeremiah 29 in the TNTIZ

Jeremiah 29 in the TOMA

Jeremiah 29 in the TTENT

Jeremiah 29 in the UBG

Jeremiah 29 in the UGV

Jeremiah 29 in the UGV2

Jeremiah 29 in the VBL

Jeremiah 29 in the VDCC

Jeremiah 29 in the YALU

Jeremiah 29 in the YAPE

Jeremiah 29 in the YBVTP

Jeremiah 29 in the ZBP