Numbers 11 (UGV3)

1 Ek din log ḳhūb shikāyat karne lage. Jab yih shikāyateṅ Rab tak pahuṅchīṅ to use ġhussā āyā aur us kī āg un ke darmiyān bhaṛak uṭhī. Jalte jalte us ne ḳhaimāgāh kā ek kinārā bhasm kar diyā. 2 Log madad ke lie Mūsā ke pās ā kar chillāne lage to us ne Rab se duā kī, aur āg bujh gaī. 3 Us maqām kā nām Taberā yānī Jalnā paṛ gayā, kyoṅki Rab kī āg un ke darmiyān jal uṭhī thī. 4 Isrāīliyoṅ ke sāth jo ajnabī safr kar rahe the wuh gosht khāne kī shadīd ārzū karne lage. Tab Isrāīlī bhī ro paṛe aur kahne lage, “Kaun hameṅ gosht khilāegā? 5 Misr meṅ ham machhlī muft khā sakte the. Hāy, wahāṅ ke khīre, tarbūz, gandane, pyāz aur lahsan kitne achchhe the! 6 Lekin ab to hamārī jān sūkh gaī hai. Yahāṅ bas man hī man nazar ātā rahtā hai.” 7 Man dhanie ke dānoṅ kī mānind thā, aur us kā rang gūgal ke gūṅd kī mānind thā. 8 8-9 Rāt ke waqt wuh ḳhaimāgāh meṅ os ke sāth zamīn par girtā thā. Subah ke waqt log idhar-udhar ghūmte-phirte hue use jamā karte the. Phir wuh use chakkī meṅ pīs kar yā ukhlī meṅ kūṭ kar ubālte yā roṭī banāte the. Us kā zāyqā aisī roṭī kā-sā thā jis meṅ zaitūn kā tel ḍālā gayā ho. 10 Tamām ḳhāndān apne apne ḳhaime ke darwāze par rone lage to Rab ko shadīd ġhussā āyā. Un kā shor Mūsā ko bhī bahut burā lagā. 11 Us ne Rab se pūchhā, “Tū ne apne ḳhādim ke sāth itnā burā sulūk kyoṅ kiyā? Maiṅ ne kis kām se tujhe itnā nārāz kiyā ki tū ne in tamām logoṅ kā bojh mujh par ḍāl diyā? 12 Kyā maiṅ ne hāmilā ho kar is pūrī qaum ko janm diyā ki tū mujh se kahtā hai, ‘Ise us tarah uṭhā kar le chalnā jis tarah āyā shīrḳhār bachche ko uṭhā kar har jagah sāth lie phirtī hai. Isī tarah ise us mulk meṅ le jānā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar in ke bāpdādā se kiyā hai.’ 13 Ai Allāh, maiṅ in tamām logoṅ ko kahāṅ se gosht muhaiyā karūṅ? Wuh mere sāmne rote rahte haiṅ ki hameṅ khāne ke lie gosht do. 14 Maiṅ akelā in tamām logoṅ kī zimmedārī nahīṅ uṭhā saktā. Yih bojh mere lie had se zyādā bhārī hai. 15 Agar tū is par isrār kare to phir behtar hai ki abhī mujhe mār de tāki maiṅ apnī tabāhī na dekhūṅ.” 16 Jawāb meṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Mere pās Isrāīl ke 70 buzurg jamā kar. Sirf aise log chun jin ke bāre meṅ tujhe mālūm hai ki wuh logoṅ ke buzurg aur nigahbān haiṅ. Unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke pās le ā. Wahāṅ wuh tere sāth khaṛe ho jāeṅ, 17 to maiṅ utar kar tere sāth hamkalām hūṅgā. Us waqt maiṅ us Rūh meṅ se kuchh lūṅgā jo maiṅ ne tujh par nāzil kiyā thā aur use un par nāzil karūṅga. Tab wuh qaum kā bojh uṭhāne meṅ terī madad kareṅge aur tū is meṅ akelā nahīṅ rahegā. 18 Logoṅ ko batānā, ‘Apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas karo, kyoṅki kal tum gosht khāoge. Rab ne tumhārī sunī jab tum ro paṛe ki kaun hameṅ gosht khilāegā, Misr meṅ hamārī hālat behtar thī. Ab Rab tumheṅ gosht muhaiyā karegā aur tum use khāoge. 19 Tum use na sirf ek, do yā pāṅch din khāoge balki 10 yā 20 din se bhī zyādā arse tak. 20 Tum ek pūrā mahīnā ḳhūb gosht khāoge, yahāṅ tak ki wuh tumhārī nāk se niklegā aur tumheṅ us se ghin āegī. Aur yih is sabab se hogā ki tum ne Rab ko jo tumhāre darmiyān hai radd kiyā aur rote rote us ke sāmne kahā ki ham kyoṅ Misr se nikle.’” 21 Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar qaum ke paidal chalne wāle gine jāeṅ to chhih lākh haiṅ. Tū kis tarah hameṅ ek māh tak gosht muhaiyā karegā? 22 Kyā gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ ko itnī miqdār meṅ zabah kiyā jā saktā hai ki kāfī ho? Agar samundar kī tamām machhliyāṅ un ke lie pakaṛī jāeṅ to kyā kāfī hoṅgī?” 23 Rab ne kahā, “Kyā Rab kā iḳhtiyār kam hai? Ab tū ḳhud dekh legā ki merī bāteṅ durust haiṅ ki nahīṅ.” 24 Chunāṅche Mūsā ne wahāṅ se nikal kar logoṅ ko Rab kī yih bāteṅ batāīṅ. Us ne un ke buzurgoṅ meṅ se 70 ko chun kar unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke irdgird khaṛā kar diyā. 25 Tab Rab bādal meṅ utar kar Mūsā se hamkalām huā. Jo Rūh us ne Mūsā par nāzil kiyā thā us meṅ se us ne kuchh le kar un 70 buzurgoṅ par nāzil kiyā. Jab Rūh un par āyā to wuh nabuwwat karne lage. Lekin aisā phir kabhī na huā. 26 Ab aisā huā ki in sattar buzurgoṅ meṅ se do ḳhaimāgāh meṅ rah gae the. Un ke nām Ildād aur medād the. Unheṅ chunā to gayā thā lekin wuh mulāqāt ke ḳhaime ke pās nahīṅ āe the. Is ke bāwujūd Rūh un par bhī nāzil huā aur wuh ḳhaimāgāh meṅ nabuwwat karne lage. 27 Ek naujawān bhāg kar Mūsā ke pās āyā aur kahā, “Ildād aur medād ḳhaimāgāh meṅ hī nabuwwat kar rahe haiṅ.” 28 Yashua bin Nūn jo jawānī se Mūsā kā madadgār thā bol uṭhā, “Mūsā mere āqā, unheṅ rok deṅ!” 29 Lekin Mūsā ne jawāb diyā, “Kyā tū merī ḳhātir ġhairat khā rahā hai? Kāsh Rab ke tamām log nabī hote aur wuh un sab par apnā Rūh nāzil kartā!” 30 Phir Mūsā aur Isrāīl ke buzurg ḳhaimāgāh meṅ wāpas āe. 31 Tab Rab kī taraf se zordār hawā chalne lagī jis ne samundar ko pār karne wāle baṭeroṅ ke ġhol dhakel kar ḳhaimāgāh ke irdgird zamīn par phaiṅk die. Un ke ġhol tīn fuṭ ūṅche aur ḳhaimāgāh ke chāroṅ taraf 30 kilomīṭar tak paṛe rahe. 32 Us pūre din aur rāt aur agle pūre din log nikal kar baṭereṅ jamā karte rahe. Har ek ne kam az kam das baṛī ṭokriyāṅ bhar līṅ. Phir unhoṅ ne un kā gosht ḳhaime ke irdgird zamīn par phailā diyā tāki wuh ḳhushk ho jāe. 33 Lekin gosht ke pahle ṭukṛe abhī muṅh meṅ the ki Rab kā ġhazab un par ān paṛā, aur us ne un meṅ saḳht wabā phailne dī. 34 Chunāṅche maqām kā nām Qabrot-hattāwā yānī ‘Lālach kī Qabreṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ unhoṅ ne un logoṅ ko dafn kiyā jo gosht ke lālach meṅ ā gae the. 35 Is ke bād Isrāīlī Qabrot-hattāwā se rawānā ho kar Hasīrāt pahuṅch gae. Wahāṅ wuh ḳhaimāzan hue.

In Other Versions

Numbers 11 in the ANGEFD

Numbers 11 in the ANTPNG2D

Numbers 11 in the AS21

Numbers 11 in the BAGH

Numbers 11 in the BBPNG

Numbers 11 in the BBT1E

Numbers 11 in the BDS

Numbers 11 in the BEV

Numbers 11 in the BHAD

Numbers 11 in the BIB

Numbers 11 in the BLPT

Numbers 11 in the BNT

Numbers 11 in the BNTABOOT

Numbers 11 in the BNTLV

Numbers 11 in the BOATCB

Numbers 11 in the BOATCB2

Numbers 11 in the BOBCV

Numbers 11 in the BOCNT

Numbers 11 in the BOECS

Numbers 11 in the BOGWICC

Numbers 11 in the BOHCB

Numbers 11 in the BOHCV

Numbers 11 in the BOHLNT

Numbers 11 in the BOHNTLTAL

Numbers 11 in the BOICB

Numbers 11 in the BOILNTAP

Numbers 11 in the BOITCV

Numbers 11 in the BOKCV

Numbers 11 in the BOKCV2

Numbers 11 in the BOKHWOG

Numbers 11 in the BOKSSV

Numbers 11 in the BOLCB

Numbers 11 in the BOLCB2

Numbers 11 in the BOMCV

Numbers 11 in the BONAV

Numbers 11 in the BONCB

Numbers 11 in the BONLT

Numbers 11 in the BONUT2

Numbers 11 in the BOPLNT

Numbers 11 in the BOSCB

Numbers 11 in the BOSNC

Numbers 11 in the BOTLNT

Numbers 11 in the BOVCB

Numbers 11 in the BOYCB

Numbers 11 in the BPBB

Numbers 11 in the BPH

Numbers 11 in the BSB

Numbers 11 in the CCB

Numbers 11 in the CUV

Numbers 11 in the CUVS

Numbers 11 in the DBT

Numbers 11 in the DGDNT

Numbers 11 in the DHNT

Numbers 11 in the DNT

Numbers 11 in the ELBE

Numbers 11 in the EMTV

Numbers 11 in the ESV

Numbers 11 in the FBV

Numbers 11 in the FEB

Numbers 11 in the GGMNT

Numbers 11 in the GNT

Numbers 11 in the HARY

Numbers 11 in the HNT

Numbers 11 in the IRVA

Numbers 11 in the IRVB

Numbers 11 in the IRVG

Numbers 11 in the IRVH

Numbers 11 in the IRVK

Numbers 11 in the IRVM

Numbers 11 in the IRVM2

Numbers 11 in the IRVO

Numbers 11 in the IRVP

Numbers 11 in the IRVT

Numbers 11 in the IRVT2

Numbers 11 in the IRVU

Numbers 11 in the ISVN

Numbers 11 in the JSNT

Numbers 11 in the KAPI

Numbers 11 in the KBT1ETNIK

Numbers 11 in the KBV

Numbers 11 in the KJV

Numbers 11 in the KNFD

Numbers 11 in the LBA

Numbers 11 in the LBLA

Numbers 11 in the LNT

Numbers 11 in the LSV

Numbers 11 in the MAAL

Numbers 11 in the MBV

Numbers 11 in the MBV2

Numbers 11 in the MHNT

Numbers 11 in the MKNFD

Numbers 11 in the MNG

Numbers 11 in the MNT

Numbers 11 in the MNT2

Numbers 11 in the MRS1T

Numbers 11 in the NAA

Numbers 11 in the NASB

Numbers 11 in the NBLA

Numbers 11 in the NBS

Numbers 11 in the NBVTP

Numbers 11 in the NET2

Numbers 11 in the NIV11

Numbers 11 in the NNT

Numbers 11 in the NNT2

Numbers 11 in the NNT3

Numbers 11 in the PDDPT

Numbers 11 in the PFNT

Numbers 11 in the RMNT

Numbers 11 in the SBIAS

Numbers 11 in the SBIBS

Numbers 11 in the SBIBS2

Numbers 11 in the SBICS

Numbers 11 in the SBIDS

Numbers 11 in the SBIGS

Numbers 11 in the SBIHS

Numbers 11 in the SBIIS

Numbers 11 in the SBIIS2

Numbers 11 in the SBIIS3

Numbers 11 in the SBIKS

Numbers 11 in the SBIKS2

Numbers 11 in the SBIMS

Numbers 11 in the SBIOS

Numbers 11 in the SBIPS

Numbers 11 in the SBISS

Numbers 11 in the SBITS

Numbers 11 in the SBITS2

Numbers 11 in the SBITS3

Numbers 11 in the SBITS4

Numbers 11 in the SBIUS

Numbers 11 in the SBIVS

Numbers 11 in the SBT

Numbers 11 in the SBT1E

Numbers 11 in the SCHL

Numbers 11 in the SNT

Numbers 11 in the SUSU

Numbers 11 in the SUSU2

Numbers 11 in the SYNO

Numbers 11 in the TBIAOTANT

Numbers 11 in the TBT1E

Numbers 11 in the TBT1E2

Numbers 11 in the TFTIP

Numbers 11 in the TFTU

Numbers 11 in the TGNTATF3T

Numbers 11 in the THAI

Numbers 11 in the TNFD

Numbers 11 in the TNT

Numbers 11 in the TNTIK

Numbers 11 in the TNTIL

Numbers 11 in the TNTIN

Numbers 11 in the TNTIP

Numbers 11 in the TNTIZ

Numbers 11 in the TOMA

Numbers 11 in the TTENT

Numbers 11 in the UBG

Numbers 11 in the UGV

Numbers 11 in the UGV2

Numbers 11 in the VBL

Numbers 11 in the VDCC

Numbers 11 in the YALU

Numbers 11 in the YAPE

Numbers 11 in the YBVTP

Numbers 11 in the ZBP