Numbers 35 (UGV3)

1 Isrāīlī ab tak Moāb ke maidānī ilāqe meṅ Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par Yarīhū ke sāmne the. Wahāṅ Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batā de ki wuh Lāwiyoṅ ko apnī milī huī zamīnoṅ meṅ se rahne ke lie shahr deṅ. Unheṅ shahroṅ ke irdgird maweshī charāne kī zamīn bhī mile. 3 Phir Lāwiyoṅ ke pās rahne ke lie shahr aur apne jānwar charāne ke lie zamīn hogī. 4 Charāne ke lie zamīn shahr ke irdgird hogī, aur chāroṅ taraf kā fāsilā fasīloṅ se 1,500 fuṭ ho. 5 Charāne kī yih zamīn murabbā shakl kī hogī jis ke har pahlū kā fāsilā 3,000 fuṭ ho. Shahr is murabbā shakl ke bīch meṅ ho. Yih raqbā shahr ke bāshindoṅ ke lie ho tāki wuh apne maweshī charā sakeṅ. 6 6-7 Lāwiyoṅ ko kul 48 shahr denā. In meṅ se chhih panāh ke shahr muqarrar karnā. Un meṅ aise log panāh le sakeṅge jin ke hāthoṅ ġhairirādī taur par koī halāk huā ho. 8 Har qabīlā Lāwiyoṅ ko apne ilāqe ke raqbe ke mutābiq shahr de. Jis qabīle kā ilāqā baṛā hai use Lāwiyoṅ ko zyādā shahr dene haiṅ jabki jis qabīle kā ilāqā chhoṭā hai wuh Lāwiyoṅ ko kam shahr de.” 9 Phir Rab ne Mūsā se kahā, 10 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki Dariyā-e-Yardan ko pār karne ke bād 11 kuchh panāh ke shahr muqarrar karnā. Un meṅ wuh shaḳhs panāh le sakegā jis ke hāthoṅ ġhairirādī taur par koī halāk huā ho. 12 Wahāṅ wuh intaqām lene wāle se panāh le sakegā aur jamāt kī adālat ke sāmne khaṛe hone se pahle mārā nahīṅ jā sakegā. 13 Is ke lie chhih shahr chun lo. 14 Tīn Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ aur tīn Mulk-e-Kanān meṅ hoṅ. 15 Yih chhih shahr har kisī ko panāh deṅge, chāhe wuh Isrāīlī, pardesī yā un ke darmiyān rahne wālā ġhairshahrī ho. Jis se bhī ġhairirādī taur par koī halāk huā ho wuh wahāṅ panāh le saktā hai. 16 16-18 Agar kisī ne kisī ko jān-būjh kar lohe, patthar yā lakaṛī kī kisī chīz se mār ḍālā ho wuh qātil hai aur use sazā-e-maut denī hai. 19 Maqtūl kā sab se qarībī rishtedār use talāsh karke mār de. 20 20-21 Kyoṅki jo nafrat yā dushmanī ke bāis jān-būjh kar kisī ko yoṅ dhakkā de, us par koī chīz phaiṅk de yā use mukkā māre ki wuh mar jāe wuh qātil hai aur use sazā-e-maut denī hai. 22 Lekin wuh qātil nahīṅ hai jis se dushmanī ke bāis nahīṅ balki ittafāq se aur ġhairirādī taur par koī halāk huā ho, chāhe us ne use dhakkā diyā, koī chīz us par phaiṅk dī 23 yā koī patthar us par girne diyā. 24 Agar aisā huā to lāzim hai ki jamāt in hidāyāt ke mutābiq us ke aur intaqām lene wāle ke darmiyān faislā kare. 25 Agar mulzim bequsūr hai to jamāt us kī hifāzat karke use panāh ke us shahr meṅ wāpas le jāe jis meṅ us ne panāh lī hai. Wahāṅ wuh muqaddas tel se masah kie gae imām-e-āzam kī maut tak rahe. 26 Lekin agar yih shaḳhs is se pahle panāh ke shahr se nikle to wuh mahfūz nahīṅ hogā. 27 Agar us kā intaqām lene wāle se sāmnā ho jāe to intaqām lene wāle ko use mār ḍālne kī ijāzat hogī. Agar wuh aisā kare to bequsūr rahegā. 28 Panāh lene wālā imām-e-āzam kī wafāt tak panāh ke shahr meṅ rahe. Is ke bād hī wuh apne ghar wāpas jā saktā hai. 29 Yih usūl dāymī haiṅ. Jahāṅ bhī tum rahte ho tumheṅ hameshā in par amal karnā hai. 30 Jis par qatl kā ilzām lagāyā gayā ho use sirf is sūrat meṅ sazā-e-maut dī jā saktī hai ki kam az kam do gawāh hoṅ. Ek gawāh kāfī nahīṅ hai. 31 Qātil ko zarūr sazā-e-maut denā. Ḳhāh wuh is se bachne ke lie koī bhī muāwazā de use āzād na chhoṛnā balki sazā-e-maut denā. 32 Us shaḳhs se bhī paise qabūl na karnā jis se ġhairirādī taur par koī halāk huā ho aur jo is sabab se panāh ke shahr meṅ rah rahā hai. Use ijāzat nahīṅ ki wuh paise de kar panāh kā shahr chhoṛe aur apne ghar wāpas chalā jāe. Lāzim hai ki wuh is ke lie imām-e-āzam kī wafāt kā intazār kare. 33 Jis mulk meṅ tum rahte ho us kī muqaddas hālat ko nāpāk na karnā. Jab kisī ko us meṅ qatl kiyā jāe to wuh nāpāk ho jātā hai. Jab is tarah ḳhūn bahtā hai to mulk kī muqaddas hālat sirf us shaḳhs ke ḳhūn bahne se bahāl ho jātī hai jis ne yih ḳhūn bahāyā hai. Yānī mulk kā sirf qātil kī maut se hī kaffārā diyā jā saktā hai. 34 Us mulk ko nāpāk na karnā jis meṅ tum ābād ho aur jis meṅ maiṅ sukūnat kartā hūṅ. Kyoṅki maiṅ Rab hūṅ jo Isrāīliyoṅ ke darmiyān sukūnat kartā hūṅ.”

In Other Versions

Numbers 35 in the ANGEFD

Numbers 35 in the ANTPNG2D

Numbers 35 in the AS21

Numbers 35 in the BAGH

Numbers 35 in the BBPNG

Numbers 35 in the BBT1E

Numbers 35 in the BDS

Numbers 35 in the BEV

Numbers 35 in the BHAD

Numbers 35 in the BIB

Numbers 35 in the BLPT

Numbers 35 in the BNT

Numbers 35 in the BNTABOOT

Numbers 35 in the BNTLV

Numbers 35 in the BOATCB

Numbers 35 in the BOATCB2

Numbers 35 in the BOBCV

Numbers 35 in the BOCNT

Numbers 35 in the BOECS

Numbers 35 in the BOGWICC

Numbers 35 in the BOHCB

Numbers 35 in the BOHCV

Numbers 35 in the BOHLNT

Numbers 35 in the BOHNTLTAL

Numbers 35 in the BOICB

Numbers 35 in the BOILNTAP

Numbers 35 in the BOITCV

Numbers 35 in the BOKCV

Numbers 35 in the BOKCV2

Numbers 35 in the BOKHWOG

Numbers 35 in the BOKSSV

Numbers 35 in the BOLCB

Numbers 35 in the BOLCB2

Numbers 35 in the BOMCV

Numbers 35 in the BONAV

Numbers 35 in the BONCB

Numbers 35 in the BONLT

Numbers 35 in the BONUT2

Numbers 35 in the BOPLNT

Numbers 35 in the BOSCB

Numbers 35 in the BOSNC

Numbers 35 in the BOTLNT

Numbers 35 in the BOVCB

Numbers 35 in the BOYCB

Numbers 35 in the BPBB

Numbers 35 in the BPH

Numbers 35 in the BSB

Numbers 35 in the CCB

Numbers 35 in the CUV

Numbers 35 in the CUVS

Numbers 35 in the DBT

Numbers 35 in the DGDNT

Numbers 35 in the DHNT

Numbers 35 in the DNT

Numbers 35 in the ELBE

Numbers 35 in the EMTV

Numbers 35 in the ESV

Numbers 35 in the FBV

Numbers 35 in the FEB

Numbers 35 in the GGMNT

Numbers 35 in the GNT

Numbers 35 in the HARY

Numbers 35 in the HNT

Numbers 35 in the IRVA

Numbers 35 in the IRVB

Numbers 35 in the IRVG

Numbers 35 in the IRVH

Numbers 35 in the IRVK

Numbers 35 in the IRVM

Numbers 35 in the IRVM2

Numbers 35 in the IRVO

Numbers 35 in the IRVP

Numbers 35 in the IRVT

Numbers 35 in the IRVT2

Numbers 35 in the IRVU

Numbers 35 in the ISVN

Numbers 35 in the JSNT

Numbers 35 in the KAPI

Numbers 35 in the KBT1ETNIK

Numbers 35 in the KBV

Numbers 35 in the KJV

Numbers 35 in the KNFD

Numbers 35 in the LBA

Numbers 35 in the LBLA

Numbers 35 in the LNT

Numbers 35 in the LSV

Numbers 35 in the MAAL

Numbers 35 in the MBV

Numbers 35 in the MBV2

Numbers 35 in the MHNT

Numbers 35 in the MKNFD

Numbers 35 in the MNG

Numbers 35 in the MNT

Numbers 35 in the MNT2

Numbers 35 in the MRS1T

Numbers 35 in the NAA

Numbers 35 in the NASB

Numbers 35 in the NBLA

Numbers 35 in the NBS

Numbers 35 in the NBVTP

Numbers 35 in the NET2

Numbers 35 in the NIV11

Numbers 35 in the NNT

Numbers 35 in the NNT2

Numbers 35 in the NNT3

Numbers 35 in the PDDPT

Numbers 35 in the PFNT

Numbers 35 in the RMNT

Numbers 35 in the SBIAS

Numbers 35 in the SBIBS

Numbers 35 in the SBIBS2

Numbers 35 in the SBICS

Numbers 35 in the SBIDS

Numbers 35 in the SBIGS

Numbers 35 in the SBIHS

Numbers 35 in the SBIIS

Numbers 35 in the SBIIS2

Numbers 35 in the SBIIS3

Numbers 35 in the SBIKS

Numbers 35 in the SBIKS2

Numbers 35 in the SBIMS

Numbers 35 in the SBIOS

Numbers 35 in the SBIPS

Numbers 35 in the SBISS

Numbers 35 in the SBITS

Numbers 35 in the SBITS2

Numbers 35 in the SBITS3

Numbers 35 in the SBITS4

Numbers 35 in the SBIUS

Numbers 35 in the SBIVS

Numbers 35 in the SBT

Numbers 35 in the SBT1E

Numbers 35 in the SCHL

Numbers 35 in the SNT

Numbers 35 in the SUSU

Numbers 35 in the SUSU2

Numbers 35 in the SYNO

Numbers 35 in the TBIAOTANT

Numbers 35 in the TBT1E

Numbers 35 in the TBT1E2

Numbers 35 in the TFTIP

Numbers 35 in the TFTU

Numbers 35 in the TGNTATF3T

Numbers 35 in the THAI

Numbers 35 in the TNFD

Numbers 35 in the TNT

Numbers 35 in the TNTIK

Numbers 35 in the TNTIL

Numbers 35 in the TNTIN

Numbers 35 in the TNTIP

Numbers 35 in the TNTIZ

Numbers 35 in the TOMA

Numbers 35 in the TTENT

Numbers 35 in the UBG

Numbers 35 in the UGV

Numbers 35 in the UGV2

Numbers 35 in the VBL

Numbers 35 in the VDCC

Numbers 35 in the YALU

Numbers 35 in the YAPE

Numbers 35 in the YBVTP

Numbers 35 in the ZBP