1 Kings 14 (UGV3)

1 Ek din Yarubiyām kā beṭā Abiyāh bahut bīmār huā. 2 Tab Yarubiyām ne apnī bīwī se kahā, “Jā kar apnā bhes badleṅ tāki koī na pahchāne ki āp merī bīwī haiṅ. Phir Sailā jāeṅ. Wahāṅ Aḳhiyāh Nabī rahtā hai jis ne mujhe ittalā dī thī ki maiṅ is qaum kā bādshāh ban jāūṅgā. 3 Us ke pās das roṭiyāṅ, kuchh biskuṭ aur shahd kā martabān le jāeṅ. Wuh ādmī āp ko zarūr batā degā ki laṛke ke sāth kyā ho jāegā.” 4 Chunāṅche Yarubiyām kī bīwī apnā bhes badal kar rawānā huī aur chalte chalte Sailā meṅ Aḳhiyāh ke ghar pahuṅch gaī. Aḳhiyāh umrrasīdā hone ke bāis dekh nahīṅ saktā thā. 5 Lekin Rab ne use āgāh kar diyā, “Yarubiyām kī bīwī tujh se milne ā rahī hai tāki apne bīmār beṭe ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kare. Lekin wuh apnā bhes badal kar āegī tāki use pahchānā na jāe.” Phir Rab ne nabī ko batāyā ki use kyā jawāb denā hai. 6 Jab Aḳhiyāh ne aurat ke qadmoṅ kī āhaṭ sunī to bolā, “Yarubiyām kī bīwī, andar āeṅ! Rūp bharne kī kyā zarūrat? Mujhe āp ko burī ḳhabar pahuṅchānī hai. 7 Jāeṅ, Yarubiyām ko Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī taraf se paiġhām deṅ, ‘Maiṅ ne tujhe logoṅ meṅ se chun kar khaṛā kiyā aur apnī qaum Isrāīl par bādshāh banā diyā. 8 Maiṅ ne bādshāhī ko Dāūd ke gharāne se chhīn kar tujhe de diyā. Lekin afsos, tū mere ḳhādim Dāūd kī tarah zindagī nahīṅ guzārtā jo mere ahkām ke tābe rah kar pūre dil se merī pairawī kartā rahā aur hameshā wuh kuchh kartā thā jo mujhe pasand thā. 9 Jo tujh se pahle the un kī nisbat tū ne kahīṅ zyādā badī kī, kyoṅki tū ne but ḍhāl kar apne lie dīgar mābūd banāe haiṅ aur yoṅ mujhe taish dilāyā. Chūṅki tū ne apnā muṅh mujh se pher liyā 10 is lie maiṅ tere ḳhāndān ko musībat meṅ ḍāl dūṅgā. Isrāīl meṅ maiṅ Yarubiyām ke tamām mardoṅ ko halāk kar dūṅgā, ḳhāh wuh bachche hoṅ yā bāliġh. Jis tarah gobar ko jhāṛū de kar dūr kiyā jātā hai usī tarah Yarubiyām ke gharāne kā nām-o-nishān miṭ jāegā. 11 Tum meṅ se jo shahr meṅ mareṅge unheṅ kutte khā jāeṅge, aur jo khule maidān meṅ mareṅge unheṅ parinde chaṭ kar jāeṅge. Kyoṅki yih Rab kā farmān hai.’” 12 Phir Aḳhiyāh ne Yarubiyām kī bīwī se kahā, “Āp apne ghar wāpas chalī jāeṅ. Jyoṅ hī āp shahr meṅ dāḳhil hoṅgī laṛkā faut ho jāegā. 13 Pūrā Isrāīl us kā mātam karke use dafn karegā. Wuh āp ke ḳhāndān kā wāhid fard hogā jise sahīh taur se dafnāyā jāegā. Kyoṅki Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne sirf usī meṅ kuchh pāyā jo use pasand thā. 14 Rab Isrāīl par ek bādshāh muqarrar karegā jo Yarubiyām ke ḳhāndān ko halāk karegā. Āj hī se yih silsilā shurū ho jāegā. 15 Rab Isrāīl ko bhī sazā degā, kyoṅki wuh Yasīrat Dewī ke khambe banā kar un kī pūjā karte haiṅ. Chūṅki wuh Rab ko taish dilāte rahe haiṅ, is lie wuh unheṅ māregā, aur wuh pānī meṅ sarkanḍe kī tarah hil jāeṅge. Rab unheṅ is achchhe mulk se ukhāṛ kar Dariyā-e-Furāt ke pār muntashir kar degā. 16 Yoṅ wuh Isrāīl ko un gunāhoṅ ke bāis tark karegā jo Yarubiyām ne kie aur Isrāīl ko karne par uksāyā hai.” 17 Yarubiyām kī bīwī Tirzā meṅ apne ghar wāpas chalī gaī. Aur ghar ke darwāze meṅ dāḳhil hote hī us kā beṭā mar gayā. 18 Tamām Isrāīl ne use dafnā kar us kā mātam kiyā. Sab kuchh waise huā jaise Rab ne apne ḳhādim Aḳhiyāh Nabī kī mārifat farmāyā thā. 19 Bāqī jo kuchh Yarubiyām kī zindagī ke bāre meṅ likhā hai wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us kitāb meṅ paṛhā jā saktā hai ki wuh kis tarah hukūmat kartā thā aur us ne kaun kaun-sī jangeṅ kīṅ. 20 Yarubiyām 22 sāl bādshāh rahā. Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā Nadab taḳhtnashīn huā. 21 Yahūdāh meṅ Rahubiyām bin Sulemān hukūmat kartā thā. Us kī māṅ Nāmā Ammonī thī. 41 sāl kī umr meṅ wuh taḳhtnashīn huā aur 17 sāl bādshāh rahā. Us kā dārul-hukūmat Yarūshalam thā, wuh shahr jise Rab ne tamām Isrāīlī qabīloṅ meṅ se chun liyā tāki us meṅ apnā nām qāym kare. 22 Lekin Yahūdāh ke bāshinde bhī aisī harkateṅ karte the jo Rab ko nāpasand thīṅ. Apne gunāhoṅ se wuh use taish dilāte rahe, kyoṅki un ke yih gunāh un ke bāpdādā ke gunāhoṅ se kahīṅ zyādā sangīn the. 23 Unhoṅ ne bhī ūṅchī jaghoṅ par mandir banāe. Har ūṅchī pahāṛī par aur har ghane daraḳht ke sāy meṅ unhoṅ ne maḳhsūs patthar yā Yasīrat Dewī ke khambe khaṛe kie, 24 yahāṅ tak ki mandiroṅ meṅ jismfarosh mard aur aurateṅ the. Ġharz, unhoṅ ne un qaumoṅ ke tamām ghinaune rasm-o-riwāj apnā lie jin ko Rab ne Isrāīliyoṅ ke āge āge nikāl diyā thā. 25 Rahubiyām Bādshāh kī hukūmat ke pāṅchweṅ sāl meṅ Misr ke bādshāh Sīsaq ne Yarūshalam par hamlā karke 26 Rab ke ghar aur shāhī mahal ke tamām ḳhazāne lūṭ lie. Sone kī wuh ḍhāleṅ bhī chhīn lī gaīṅ jo Sulemān ne banwāī thīṅ. 27 In kī jagah Rahubiyām ne pītal kī ḍhāleṅ banwāīṅ aur unheṅ un muhāfizoṅ ke afsaroṅ ke sapurd kiyā jo shāhī mahal ke darwāze kī pahrādārī karte the. 28 Jab bhī bādshāh Rab ke ghar meṅ jātā tab muhāfiz yih ḍhāleṅ uṭhā kar sāth le jāte. Is ke bād wuh unheṅ pahredāroṅ ke kamre meṅ wāpas le jāte the. 29 Bāqī jo kuchh Rahubiyām Bādshāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 30 Donoṅ bādshāhoṅ Rahubiyām aur Yarubiyām ke jīte-jī un ke darmiyān jang jārī rahī. 31 Jab Rahubiyām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Us kī māṅ Nāmā Ammonī thī. Phir Rahubiyām kā beṭā Abiyāh taḳhtnashīn huā.

In Other Versions

1 Kings 14 in the ANGEFD

1 Kings 14 in the ANTPNG2D

1 Kings 14 in the AS21

1 Kings 14 in the BAGH

1 Kings 14 in the BBPNG

1 Kings 14 in the BBT1E

1 Kings 14 in the BDS

1 Kings 14 in the BEV

1 Kings 14 in the BHAD

1 Kings 14 in the BIB

1 Kings 14 in the BLPT

1 Kings 14 in the BNT

1 Kings 14 in the BNTABOOT

1 Kings 14 in the BNTLV

1 Kings 14 in the BOATCB

1 Kings 14 in the BOATCB2

1 Kings 14 in the BOBCV

1 Kings 14 in the BOCNT

1 Kings 14 in the BOECS

1 Kings 14 in the BOGWICC

1 Kings 14 in the BOHCB

1 Kings 14 in the BOHCV

1 Kings 14 in the BOHLNT

1 Kings 14 in the BOHNTLTAL

1 Kings 14 in the BOICB

1 Kings 14 in the BOILNTAP

1 Kings 14 in the BOITCV

1 Kings 14 in the BOKCV

1 Kings 14 in the BOKCV2

1 Kings 14 in the BOKHWOG

1 Kings 14 in the BOKSSV

1 Kings 14 in the BOLCB

1 Kings 14 in the BOLCB2

1 Kings 14 in the BOMCV

1 Kings 14 in the BONAV

1 Kings 14 in the BONCB

1 Kings 14 in the BONLT

1 Kings 14 in the BONUT2

1 Kings 14 in the BOPLNT

1 Kings 14 in the BOSCB

1 Kings 14 in the BOSNC

1 Kings 14 in the BOTLNT

1 Kings 14 in the BOVCB

1 Kings 14 in the BOYCB

1 Kings 14 in the BPBB

1 Kings 14 in the BPH

1 Kings 14 in the BSB

1 Kings 14 in the CCB

1 Kings 14 in the CUV

1 Kings 14 in the CUVS

1 Kings 14 in the DBT

1 Kings 14 in the DGDNT

1 Kings 14 in the DHNT

1 Kings 14 in the DNT

1 Kings 14 in the ELBE

1 Kings 14 in the EMTV

1 Kings 14 in the ESV

1 Kings 14 in the FBV

1 Kings 14 in the FEB

1 Kings 14 in the GGMNT

1 Kings 14 in the GNT

1 Kings 14 in the HARY

1 Kings 14 in the HNT

1 Kings 14 in the IRVA

1 Kings 14 in the IRVB

1 Kings 14 in the IRVG

1 Kings 14 in the IRVH

1 Kings 14 in the IRVK

1 Kings 14 in the IRVM

1 Kings 14 in the IRVM2

1 Kings 14 in the IRVO

1 Kings 14 in the IRVP

1 Kings 14 in the IRVT

1 Kings 14 in the IRVT2

1 Kings 14 in the IRVU

1 Kings 14 in the ISVN

1 Kings 14 in the JSNT

1 Kings 14 in the KAPI

1 Kings 14 in the KBT1ETNIK

1 Kings 14 in the KBV

1 Kings 14 in the KJV

1 Kings 14 in the KNFD

1 Kings 14 in the LBA

1 Kings 14 in the LBLA

1 Kings 14 in the LNT

1 Kings 14 in the LSV

1 Kings 14 in the MAAL

1 Kings 14 in the MBV

1 Kings 14 in the MBV2

1 Kings 14 in the MHNT

1 Kings 14 in the MKNFD

1 Kings 14 in the MNG

1 Kings 14 in the MNT

1 Kings 14 in the MNT2

1 Kings 14 in the MRS1T

1 Kings 14 in the NAA

1 Kings 14 in the NASB

1 Kings 14 in the NBLA

1 Kings 14 in the NBS

1 Kings 14 in the NBVTP

1 Kings 14 in the NET2

1 Kings 14 in the NIV11

1 Kings 14 in the NNT

1 Kings 14 in the NNT2

1 Kings 14 in the NNT3

1 Kings 14 in the PDDPT

1 Kings 14 in the PFNT

1 Kings 14 in the RMNT

1 Kings 14 in the SBIAS

1 Kings 14 in the SBIBS

1 Kings 14 in the SBIBS2

1 Kings 14 in the SBICS

1 Kings 14 in the SBIDS

1 Kings 14 in the SBIGS

1 Kings 14 in the SBIHS

1 Kings 14 in the SBIIS

1 Kings 14 in the SBIIS2

1 Kings 14 in the SBIIS3

1 Kings 14 in the SBIKS

1 Kings 14 in the SBIKS2

1 Kings 14 in the SBIMS

1 Kings 14 in the SBIOS

1 Kings 14 in the SBIPS

1 Kings 14 in the SBISS

1 Kings 14 in the SBITS

1 Kings 14 in the SBITS2

1 Kings 14 in the SBITS3

1 Kings 14 in the SBITS4

1 Kings 14 in the SBIUS

1 Kings 14 in the SBIVS

1 Kings 14 in the SBT

1 Kings 14 in the SBT1E

1 Kings 14 in the SCHL

1 Kings 14 in the SNT

1 Kings 14 in the SUSU

1 Kings 14 in the SUSU2

1 Kings 14 in the SYNO

1 Kings 14 in the TBIAOTANT

1 Kings 14 in the TBT1E

1 Kings 14 in the TBT1E2

1 Kings 14 in the TFTIP

1 Kings 14 in the TFTU

1 Kings 14 in the TGNTATF3T

1 Kings 14 in the THAI

1 Kings 14 in the TNFD

1 Kings 14 in the TNT

1 Kings 14 in the TNTIK

1 Kings 14 in the TNTIL

1 Kings 14 in the TNTIN

1 Kings 14 in the TNTIP

1 Kings 14 in the TNTIZ

1 Kings 14 in the TOMA

1 Kings 14 in the TTENT

1 Kings 14 in the UBG

1 Kings 14 in the UGV

1 Kings 14 in the UGV2

1 Kings 14 in the VBL

1 Kings 14 in the VDCC

1 Kings 14 in the YALU

1 Kings 14 in the YAPE

1 Kings 14 in the YBVTP

1 Kings 14 in the ZBP