1 Kings 15 (UGV3)

1 Abiyāh Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām bin Nabāt kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 2 Wuh tīn sāl bādshāh rahā, aur us kā dārul-hukūmat Yarūshalam thā. Us kī māṅ Mākā bint Abīsalūm thī. 3 Abiyāh se wuhī gunāh sarzad hue jo us ke bāp ne kie the, aur wuh pūre dil se Rab apne Ḳhudā kā wafādār na rahā. Go wuh is meṅ apne pardādā Dāūd se farq thā 4 to bhī Rab us ke Ḳhudā ne Abiyāh kā Yarūshalam meṅ charāġh jalne diyā. Dāūd kī ḳhātir us ne use jānashīn atā kiyā aur Yarūshalam ko qāym rakhā, 5 kyoṅki Dāūd ne wuh kuchh kiyā thā jo Rab ko pasand thā. Jīte-jī wuh Rab ke ahkām ke tābe rahā, siwāe us jurm ke jab us ne Ūriyāh Hittī ke silsile meṅ ġhalat qadam uṭhāe the. 6 Rahubiyām aur Yarubiyām ke darmiyān kī jang Abiyāh kī hukūmat ke daurān bhī jārī rahī. 7 Bāqī jo kuchh Abiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 8 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. Phir us kā beṭā Āsā taḳhtnashīn huā. 9 Āsā Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām ke 20weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh ban gayā. 10 Us kī hukūmat kā daurāniyā 41 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Yarūshalam thā. Māṅ kā nām Mākā thā, aur wuh Abīsalūm kī beṭī thī. 11 Apne pardādā Dāūd kī tarah Āsā bhī wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā. 12 Us ne un jismfarosh mardoṅ aur auratoṅ ko nikāl diyā jo mandiroṅ meṅ nām-nihād ḳhidmat karte the aur un tamām butoṅ ko tabāh kar diyā jo us ke bāpdādā ne banāe the. 13 Aur go us kī māṅ bādshāh kī māṅ hone ke bāis bahut asar-o-rasūḳh rakhtī thī, tāham Āsā ne yih ohdā ḳhatm kar diyā jab māṅ ne Yasīrat Dewī kā ghinaunā khambā banwā liyā. Āsā ne yih but kaṭwā kar Wādī-e-Qidron meṅ jalā diyā. 14 Afsos ki us ne ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko dūr na kiyā. To bhī Āsā jīte-jī pūre dil se Rab kā wafādār rahā. 15 Sonā-chāṅdī aur bāqī jitnī chīzeṅ us ke bāp aur us ne Rab ke lie maḳhsūs kī thīṅ un sab ko wuh Rab ke ghar meṅ lāyā. 16 Yahūdāh ke bādshāh Āsā aur Isrāīl ke bādshāh Bāshā ke darmiyān zindagī-bhar jang jārī rahī. 17 Ek din Bāshā Bādshāh ne Yahūdāh par hamlā karke Rāmā Shahr kī qilābandī kī. Maqsad yih thā ki na koī Yahūdāh ke mulk meṅ dāḳhil ho sake, na koī wahāṅ se nikal sake. 18 Jawāb meṅ Āsā ne Shām ke bādshāh Bin-hadad ke pās wafd bhejā. Bin-hadad kā bāp Tābrimmon bin Hazyūn thā, aur us kā dārul-hukūmat Damishq thā. Āsā ne Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ kā tamām bachā huā sonā aur chāṅdī wafd ke sapurd karke Damishq ke bādshāh ko paiġhām bhejā, 19 “Merā āp ke sāth ahd hai jis tarah mere bāp kā āp ke bāp ke sāth ahd thā. Guzārish hai ki āp sone-chāṅdī kā yih tohfā qabūl karke Isrāīl ke bādshāh Bāshā ke sāth apnā ahd mansūḳh kar deṅ tāki wuh mere mulk se nikal jāe.” 20 Bin-hadad muttafiq huā. Us ne apne faujī afsaroṅ ko Isrāīl ke shahroṅ par hamlā karne ke lie bhej diyā to unhoṅ ne Aiyyūn, Dān, Abīl-bait-mākā, tamām Kinnarat aur Naftālī par qabzā kar liyā. 21 Jab Bāshā ko is kī ḳhabar milī to wuh Rāmā kī qilābandī karne se bāz āyā aur Tirzā wāpas chalā gayā. 22 Phir Āsā Bādshāh ne Yahūdāh ke tamām mardoṅ kī bhartī karke unheṅ Rāmā bhej diyā tāki wuh un tamām pattharoṅ aur shahtīroṅ ko uṭhā kar le jāeṅ jin se Bāshā Bādshāh Rāmā kī qilābandī karnā chāhtā thā. Tamām mardoṅ ko wahāṅ jānā paṛā, ek ko bhī chhuṭṭī na milī. Is sāmān se Āsā ne Binyamīn ke shahr Jibā aur Misfāh kī qilābandī kī. 23 Bāqī jo kuchh Āsā kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us meṅ us kī kāmyābiyoṅ aur us ke tāmīr kie gae shahroṅ kā zikr hai. Buṛhāpe meṅ us ke pāṅwoṅ ko bīmārī lag gaī. 24 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yahūsafat us kī jagah taḳhtnashīn huā. 25 Nadab bin Yarubiyām Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā do sāl thā. 26 Us kā tarz-e-zindagī Rab ko pasand nahīṅ thā, kyoṅki wuh apne bāp ke namūne par chaltā rahā. Jo badī Yarubiyām ne Isrāīl ko karne par uksāyā thā us se Nadab bhī dūr na huā. 27 27-28 Ek din jab Nadab Isrāīlī fauj ke sāth Filistī shahr Jibbatūn kā muhāsarā kie hue thā to Ishkār ke qabīle ke Bāshā bin Aḳhiyāh ne us ke ḳhilāf sāzish karke use mār ḍālā aur ḳhud Isrāīl kā bādshāh ban gayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke tīsre sāl meṅ huā. 29 Taḳht par baiṭhte hī Bāshā ne Yarubiyām ke pūre ḳhāndān ko marwā diyā. Us ne ek ko bhī zindā na chhoṛā. Yoṅ wuh bāt pūrī huī jo Rab ne Sailā ke rahne wāle apne ḳhādim Aḳhiyāh kī mārifat farmāī thī. 30 Kyoṅki jo gunāh Yarubiyām ne kie aur Isrāīl ko karne par uksāyā thā un se us ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ko taish dilāyā thā. 31 Bāqī jo kuchh Nadab kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 32 32-33 Bāshā bin Aḳhiyāh Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke tīsre sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 24 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Tirzā rahā. Us ke aur Yahūdāh ke bādshāh Āsā ke darmiyān zindagī-bhar jang jārī rahī. 34 Lekin wuh bhī aisā kām kartā thā jo Rab ko nāpasand thā, kyoṅki us ne Yarubiyām ke namūne par chal kar wuh gunāh jārī rakhe jo karne par Yarubiyām ne Isrāīl ko uksāyā thā.

In Other Versions

1 Kings 15 in the ANGEFD

1 Kings 15 in the ANTPNG2D

1 Kings 15 in the AS21

1 Kings 15 in the BAGH

1 Kings 15 in the BBPNG

1 Kings 15 in the BBT1E

1 Kings 15 in the BDS

1 Kings 15 in the BEV

1 Kings 15 in the BHAD

1 Kings 15 in the BIB

1 Kings 15 in the BLPT

1 Kings 15 in the BNT

1 Kings 15 in the BNTABOOT

1 Kings 15 in the BNTLV

1 Kings 15 in the BOATCB

1 Kings 15 in the BOATCB2

1 Kings 15 in the BOBCV

1 Kings 15 in the BOCNT

1 Kings 15 in the BOECS

1 Kings 15 in the BOGWICC

1 Kings 15 in the BOHCB

1 Kings 15 in the BOHCV

1 Kings 15 in the BOHLNT

1 Kings 15 in the BOHNTLTAL

1 Kings 15 in the BOICB

1 Kings 15 in the BOILNTAP

1 Kings 15 in the BOITCV

1 Kings 15 in the BOKCV

1 Kings 15 in the BOKCV2

1 Kings 15 in the BOKHWOG

1 Kings 15 in the BOKSSV

1 Kings 15 in the BOLCB

1 Kings 15 in the BOLCB2

1 Kings 15 in the BOMCV

1 Kings 15 in the BONAV

1 Kings 15 in the BONCB

1 Kings 15 in the BONLT

1 Kings 15 in the BONUT2

1 Kings 15 in the BOPLNT

1 Kings 15 in the BOSCB

1 Kings 15 in the BOSNC

1 Kings 15 in the BOTLNT

1 Kings 15 in the BOVCB

1 Kings 15 in the BOYCB

1 Kings 15 in the BPBB

1 Kings 15 in the BPH

1 Kings 15 in the BSB

1 Kings 15 in the CCB

1 Kings 15 in the CUV

1 Kings 15 in the CUVS

1 Kings 15 in the DBT

1 Kings 15 in the DGDNT

1 Kings 15 in the DHNT

1 Kings 15 in the DNT

1 Kings 15 in the ELBE

1 Kings 15 in the EMTV

1 Kings 15 in the ESV

1 Kings 15 in the FBV

1 Kings 15 in the FEB

1 Kings 15 in the GGMNT

1 Kings 15 in the GNT

1 Kings 15 in the HARY

1 Kings 15 in the HNT

1 Kings 15 in the IRVA

1 Kings 15 in the IRVB

1 Kings 15 in the IRVG

1 Kings 15 in the IRVH

1 Kings 15 in the IRVK

1 Kings 15 in the IRVM

1 Kings 15 in the IRVM2

1 Kings 15 in the IRVO

1 Kings 15 in the IRVP

1 Kings 15 in the IRVT

1 Kings 15 in the IRVT2

1 Kings 15 in the IRVU

1 Kings 15 in the ISVN

1 Kings 15 in the JSNT

1 Kings 15 in the KAPI

1 Kings 15 in the KBT1ETNIK

1 Kings 15 in the KBV

1 Kings 15 in the KJV

1 Kings 15 in the KNFD

1 Kings 15 in the LBA

1 Kings 15 in the LBLA

1 Kings 15 in the LNT

1 Kings 15 in the LSV

1 Kings 15 in the MAAL

1 Kings 15 in the MBV

1 Kings 15 in the MBV2

1 Kings 15 in the MHNT

1 Kings 15 in the MKNFD

1 Kings 15 in the MNG

1 Kings 15 in the MNT

1 Kings 15 in the MNT2

1 Kings 15 in the MRS1T

1 Kings 15 in the NAA

1 Kings 15 in the NASB

1 Kings 15 in the NBLA

1 Kings 15 in the NBS

1 Kings 15 in the NBVTP

1 Kings 15 in the NET2

1 Kings 15 in the NIV11

1 Kings 15 in the NNT

1 Kings 15 in the NNT2

1 Kings 15 in the NNT3

1 Kings 15 in the PDDPT

1 Kings 15 in the PFNT

1 Kings 15 in the RMNT

1 Kings 15 in the SBIAS

1 Kings 15 in the SBIBS

1 Kings 15 in the SBIBS2

1 Kings 15 in the SBICS

1 Kings 15 in the SBIDS

1 Kings 15 in the SBIGS

1 Kings 15 in the SBIHS

1 Kings 15 in the SBIIS

1 Kings 15 in the SBIIS2

1 Kings 15 in the SBIIS3

1 Kings 15 in the SBIKS

1 Kings 15 in the SBIKS2

1 Kings 15 in the SBIMS

1 Kings 15 in the SBIOS

1 Kings 15 in the SBIPS

1 Kings 15 in the SBISS

1 Kings 15 in the SBITS

1 Kings 15 in the SBITS2

1 Kings 15 in the SBITS3

1 Kings 15 in the SBITS4

1 Kings 15 in the SBIUS

1 Kings 15 in the SBIVS

1 Kings 15 in the SBT

1 Kings 15 in the SBT1E

1 Kings 15 in the SCHL

1 Kings 15 in the SNT

1 Kings 15 in the SUSU

1 Kings 15 in the SUSU2

1 Kings 15 in the SYNO

1 Kings 15 in the TBIAOTANT

1 Kings 15 in the TBT1E

1 Kings 15 in the TBT1E2

1 Kings 15 in the TFTIP

1 Kings 15 in the TFTU

1 Kings 15 in the TGNTATF3T

1 Kings 15 in the THAI

1 Kings 15 in the TNFD

1 Kings 15 in the TNT

1 Kings 15 in the TNTIK

1 Kings 15 in the TNTIL

1 Kings 15 in the TNTIN

1 Kings 15 in the TNTIP

1 Kings 15 in the TNTIZ

1 Kings 15 in the TOMA

1 Kings 15 in the TTENT

1 Kings 15 in the UBG

1 Kings 15 in the UGV

1 Kings 15 in the UGV2

1 Kings 15 in the VBL

1 Kings 15 in the VDCC

1 Kings 15 in the YALU

1 Kings 15 in the YAPE

1 Kings 15 in the YBVTP

1 Kings 15 in the ZBP