1 Kings 16 (UGV3)

1 Ek din Rab ne Yāhū bin Hanānī ko Bāshā ke pās bhej kar farmāyā, 2 “Pahle tū kuchh nahīṅ thā, lekin maiṅ ne tujhe ḳhāk meṅ se uṭhā kar apnī qaum Isrāīl kā hukmrān banā diyā. To bhī tū ne Yarubiyām ke namūne par chal kar merī qaum Isrāīl ko gunāh karne par uksāyā aur mujhe taish dilāyā hai. 3 Is lie maiṅ tere gharāne ke sāth wuhī kuchh karūṅga jo Yarubiyām bin Nabāt ke gharāne ke sāth kiyā thā. Bāshā kī pūrī nasl halāk ho jāegī. 4 Ḳhāndān ke jo afrād shahr meṅ mareṅge unheṅ kutte khā jāeṅge, aur jo khule maidān meṅ mareṅge unheṅ parinde chaṭ kar jāeṅge.” 5 Bāqī jo kuchh Bāshā kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. 6 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Tirzā meṅ dafn kiyā gayā. Phir us kā beṭā Ailā taḳhtnashīn huā. 7 Rab kī sazā kā jo paiġhām Hanānī ke beṭe Yāhū Nabī ne Bāshā aur us ke ḳhāndān ko sunāyā us kī do wujūhāt thīṅ. Pahle, Bāshā ne Yarubiyām ke ḳhāndān kī tarah wuh kuchh kiyā jo Rab ko nāpasand thā aur use taish dilāyā. Dūsre, us ne Yarubiyām ke pūre ḳhāndān ko halāk kar diyā thā. 8 Ailā bin Bāshā Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke 26weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat ke do sāl ke daurān us kā dārul-hukūmat Tirzā rahā. 9 Ailā kā ek afsar banām Zimrī thā. Zimrī rathoṅ ke ādhe hisse par muqarrar thā. Ab wuh bādshāh ke ḳhilāf sāzisheṅ karne lagā. Ek din Ailā Tirzā meṅ mahal ke inchārj Arzā ke ghar meṅ baiṭhā mai pī rahā thā. Jab nashe meṅ dhut huā 10 to Zimrī ne andar jā kar use mār ḍālā. Phir wuh ḳhud taḳht par baiṭh gayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ huā. 11 Taḳht par baiṭhte hī Zimrī ne Bāshā ke pūre ḳhāndān ko halāk kar diyā. Us ne kisī bhī mard ko zindā na chhoṛā, ḳhāh wuh dūr kā rishtedār thā, ḳhāh dost. 12 Yoṅ wuhī kuchh huā jo Rab ne Yāhū Nabī kī mārifat Bāshā ko farmāyā thā. 13 Kyoṅki Bāshā aur us ke beṭe Ailā se sangīn gunāh sarzad hue the, aur sāth sāth unhoṅ ne Isrāīl ko bhī yih karne par uksāyā thā. Apne bātil dewatāoṅ se unhoṅ ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ko taish dilāyā thā. 14 Bāqī jo kuchh Ailā kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 15 Zimrī Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Lekin Tirzā meṅ us kī hukūmat sirf sāt din tak qāym rahī. Us waqt Isrāīlī fauj Filistī shahr Jibbatūn kā muhāsarā kar rahī thī. 16 Jab fauj meṅ ḳhabar phail gaī ki Zimrī ne bādshāh ke ḳhilāf sāzish karke use qatl kiyā hai to tamām Isrāīliyoṅ ne lashkargāh meṅ ā kar usī din apne kamānḍar Umrī ko bādshāh banā diyā. 17 Tab Umrī tamām faujiyoṅ ke sāth Jibbatūn ko chhoṛ kar Tirzā kā muhāsarā karne lagā. 18 Jab Zimrī ko patā chalā ki shahr dūsroṅ ke qabze meṅ ā gayā hai to us ne mahal ke burj meṅ jā kar use āg lagāī. Yoṅ wuh jal kar mar gayā. 19 Is tarah use bhī munāsib sazā mil gaī, kyoṅki us ne bhī wuh kuchh kiyā thā jo Rab ko nāpasand thā. Yarubiyām ke namūne par chal kar us ne wuh tamām gunāh kie jo Yarubiyām ne kie aur Isrāīl ko karne par uksāyā thā. 20 Jo kuchh Zimrī kī hukūmat ke daurān huā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. 21 Zimrī kī maut ke bād Isrāīlī do firqoṅ meṅ baṭ gae. Ek firqā Tibnī bin Jīnat ko bādshāh banānā chāhtā thā, dūsrā Umrī ko. 22 Lekin Umrī kā firqā Tibnī ke firqe kī nisbat zyādā tāqatwar niklā. Chunāṅche Tibnī mar gayā aur Umrī pūrī qaum par bādshāh ban gayā. 23 Umrī Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke 31weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 12 sāl thā. Pahle chhih sāl dārul-hukūmat Tirzā rahā. 24 Is ke bād us ne ek ādmī banām Samar ko chāṅdī ke 6,000 sikke de kar us se Sāmariya Pahāṛī ḳharīd lī aur wahāṅ apnā nayā dārul-hukūmat tāmīr kiyā. Pahle mālik Samar kī yād meṅ us ne shahr kā nām Sāmariya rakhā. 25 Lekin Umrī ne bhī wuhī kuchh kiyā jo Rab ko nāpasand thā, balki us ne māzī ke bādshāhoṅ kī nisbat zyādā badī kī. 26 Us ne Yarubiyām bin Nabāt ke namūne par chal kar wuh tamām gunāh kie jo Yarubiyām ne kie aur Isrāīl ko karne par uksāyā thā. Natīje meṅ Isrāīlī Rab apne Ḳhudā ko apne bātil dewatāoṅ se taish dilāte rahe. 27 Bāqī jo kuchh Umrī kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kī gaī haiṅ. 28 Jab Umrī mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Sāmariya meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Aḳhiyab taḳhtnashīn huā. 29 Aḳhiyab bin Umrī Yahūdāh ke bādshāh Āsā ke 38weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 22 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Sāmariya rahā. 30 Aḳhiyab ne bhī aise kām kie jo Rab ko nāpasand the, balki māzī ke bādshāhoṅ kī nisbat us ke gunāh zyādā sangīn the. 31 Yarubiyām ke namūne par chalnā us ke lie kāfī nahīṅ thā balki us ne is se baṛh kar Saidā ke bādshāh Itbāl kī beṭī Īzabil se shādī bhī kī. Natīje meṅ wuh us ke dewatā Bāl ke sāmne jhuk kar us kī pūjā karne lagā. 32 Sāmariya meṅ us ne Bāl kā mandir tāmīr kiyā aur dewatā ke lie qurbāngāh banā kar us meṅ rakh diyā. 33 Aḳhiyab ne Yasīrat Dewī kā but bhī banwā diyā. Yoṅ us ne apne ghinaune kāmoṅ se māzī ke tamām Isrāīlī bādshāhoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā Rab Isrāīl ke Ḳhudā ko taish dilāyā. 34 Aḳhiyab kī hukūmat ke daurān Baitel ke rahne wāle Hiyel ne Yarīhū Shahr ko nae sire se tāmīr kiyā. Jab us kī buniyād rakhī gaī to us kā sab se baṛā beṭā Abīrām mar gayā, aur jab us ne shahr ke darwāze lagā die to us ke sab se chhoṭe beṭe Sajūb ko apnī jān denī paṛī. Yoṅ Rab kī wuh bāt pūrī huī jo us ne Yashua bin Nūn kī mārifat farmāī thī.

In Other Versions

1 Kings 16 in the ANGEFD

1 Kings 16 in the ANTPNG2D

1 Kings 16 in the AS21

1 Kings 16 in the BAGH

1 Kings 16 in the BBPNG

1 Kings 16 in the BBT1E

1 Kings 16 in the BDS

1 Kings 16 in the BEV

1 Kings 16 in the BHAD

1 Kings 16 in the BIB

1 Kings 16 in the BLPT

1 Kings 16 in the BNT

1 Kings 16 in the BNTABOOT

1 Kings 16 in the BNTLV

1 Kings 16 in the BOATCB

1 Kings 16 in the BOATCB2

1 Kings 16 in the BOBCV

1 Kings 16 in the BOCNT

1 Kings 16 in the BOECS

1 Kings 16 in the BOGWICC

1 Kings 16 in the BOHCB

1 Kings 16 in the BOHCV

1 Kings 16 in the BOHLNT

1 Kings 16 in the BOHNTLTAL

1 Kings 16 in the BOICB

1 Kings 16 in the BOILNTAP

1 Kings 16 in the BOITCV

1 Kings 16 in the BOKCV

1 Kings 16 in the BOKCV2

1 Kings 16 in the BOKHWOG

1 Kings 16 in the BOKSSV

1 Kings 16 in the BOLCB

1 Kings 16 in the BOLCB2

1 Kings 16 in the BOMCV

1 Kings 16 in the BONAV

1 Kings 16 in the BONCB

1 Kings 16 in the BONLT

1 Kings 16 in the BONUT2

1 Kings 16 in the BOPLNT

1 Kings 16 in the BOSCB

1 Kings 16 in the BOSNC

1 Kings 16 in the BOTLNT

1 Kings 16 in the BOVCB

1 Kings 16 in the BOYCB

1 Kings 16 in the BPBB

1 Kings 16 in the BPH

1 Kings 16 in the BSB

1 Kings 16 in the CCB

1 Kings 16 in the CUV

1 Kings 16 in the CUVS

1 Kings 16 in the DBT

1 Kings 16 in the DGDNT

1 Kings 16 in the DHNT

1 Kings 16 in the DNT

1 Kings 16 in the ELBE

1 Kings 16 in the EMTV

1 Kings 16 in the ESV

1 Kings 16 in the FBV

1 Kings 16 in the FEB

1 Kings 16 in the GGMNT

1 Kings 16 in the GNT

1 Kings 16 in the HARY

1 Kings 16 in the HNT

1 Kings 16 in the IRVA

1 Kings 16 in the IRVB

1 Kings 16 in the IRVG

1 Kings 16 in the IRVH

1 Kings 16 in the IRVK

1 Kings 16 in the IRVM

1 Kings 16 in the IRVM2

1 Kings 16 in the IRVO

1 Kings 16 in the IRVP

1 Kings 16 in the IRVT

1 Kings 16 in the IRVT2

1 Kings 16 in the IRVU

1 Kings 16 in the ISVN

1 Kings 16 in the JSNT

1 Kings 16 in the KAPI

1 Kings 16 in the KBT1ETNIK

1 Kings 16 in the KBV

1 Kings 16 in the KJV

1 Kings 16 in the KNFD

1 Kings 16 in the LBA

1 Kings 16 in the LBLA

1 Kings 16 in the LNT

1 Kings 16 in the LSV

1 Kings 16 in the MAAL

1 Kings 16 in the MBV

1 Kings 16 in the MBV2

1 Kings 16 in the MHNT

1 Kings 16 in the MKNFD

1 Kings 16 in the MNG

1 Kings 16 in the MNT

1 Kings 16 in the MNT2

1 Kings 16 in the MRS1T

1 Kings 16 in the NAA

1 Kings 16 in the NASB

1 Kings 16 in the NBLA

1 Kings 16 in the NBS

1 Kings 16 in the NBVTP

1 Kings 16 in the NET2

1 Kings 16 in the NIV11

1 Kings 16 in the NNT

1 Kings 16 in the NNT2

1 Kings 16 in the NNT3

1 Kings 16 in the PDDPT

1 Kings 16 in the PFNT

1 Kings 16 in the RMNT

1 Kings 16 in the SBIAS

1 Kings 16 in the SBIBS

1 Kings 16 in the SBIBS2

1 Kings 16 in the SBICS

1 Kings 16 in the SBIDS

1 Kings 16 in the SBIGS

1 Kings 16 in the SBIHS

1 Kings 16 in the SBIIS

1 Kings 16 in the SBIIS2

1 Kings 16 in the SBIIS3

1 Kings 16 in the SBIKS

1 Kings 16 in the SBIKS2

1 Kings 16 in the SBIMS

1 Kings 16 in the SBIOS

1 Kings 16 in the SBIPS

1 Kings 16 in the SBISS

1 Kings 16 in the SBITS

1 Kings 16 in the SBITS2

1 Kings 16 in the SBITS3

1 Kings 16 in the SBITS4

1 Kings 16 in the SBIUS

1 Kings 16 in the SBIVS

1 Kings 16 in the SBT

1 Kings 16 in the SBT1E

1 Kings 16 in the SCHL

1 Kings 16 in the SNT

1 Kings 16 in the SUSU

1 Kings 16 in the SUSU2

1 Kings 16 in the SYNO

1 Kings 16 in the TBIAOTANT

1 Kings 16 in the TBT1E

1 Kings 16 in the TBT1E2

1 Kings 16 in the TFTIP

1 Kings 16 in the TFTU

1 Kings 16 in the TGNTATF3T

1 Kings 16 in the THAI

1 Kings 16 in the TNFD

1 Kings 16 in the TNT

1 Kings 16 in the TNTIK

1 Kings 16 in the TNTIL

1 Kings 16 in the TNTIN

1 Kings 16 in the TNTIP

1 Kings 16 in the TNTIZ

1 Kings 16 in the TOMA

1 Kings 16 in the TTENT

1 Kings 16 in the UBG

1 Kings 16 in the UGV

1 Kings 16 in the UGV2

1 Kings 16 in the VBL

1 Kings 16 in the VDCC

1 Kings 16 in the YALU

1 Kings 16 in the YAPE

1 Kings 16 in the YBVTP

1 Kings 16 in the ZBP