1 Samuel 25 (UGV3)

1 Un dinoṅ meṅ Samuel faut huā. Tamām Isrāīl Rāmā meṅ janāze ke lie jamā huā. Us kā mātam karte hue unhoṅ ne use us kī ḳhāndānī qabr meṅ dafn kiyā.Un dinoṅ meṅ Dāūd Dasht-e-Fārān meṅ chalā gayā. 2 2-4 Maūn meṅ Kālib ke ḳhāndān kā ek ādmī rahtā thā jis kā nām Nābāl thā. Wuh nihāyat amīr thā. Karmil ke qarīb us kī 3,000 bheṛeṅ aur 1,000 bakriyāṅ thīṅ. Bīwī kā nām Abījel thā. Wuh zahīn bhī thī aur ḳhūbsūrat bhī. Us ke muqābale meṅ Nābāl saḳhtmizāj aur kamīnā thā. Ek din Nābāl apnī bheṛoṅ ke bāl katarne ke lie Karmil āyā.Jab Dāūd ko ḳhabar milī 5 to us ne 10 jawānoṅ ko bhej kar kahā, “Karmil jā kar Nābāl se mileṅ aur use merā salām deṅ. 6 Use batānā, ‘Allāh āp ko tawīl zindagī atā kare. Āp kī, āp ke ḳhāndān kī aur āp kī tamām milkiyat kī salāmatī ho. 7 Sunā hai ki bheṛoṅ ke bāl katarne kā waqt ā gayā hai. Karmil meṅ āp ke charwāhe hameshā hamāre sāth rahe. Us pūre arse meṅ na unheṅ hamārī taraf se koī nuqsān pahuṅchā, na koī chīz chorī huī. 8 Apne logoṅ se ḳhud pūchh leṅ! Wuh is kī tasdīq kareṅge. Āj āp ḳhushī manā rahe haiṅ, is lie mere jawānoṅ par mehrbānī kareṅ. Jo kuchh āp ḳhushī se de sakte haiṅ wuh unheṅ aur apne beṭe Dāūd ko de deṅ.’” 9 Dāūd ke ādmī Nābāl ke pās gae. Use Dāūd kā salām de kar unhoṅ ne us kā paiġhām diyā aur phir jawāb kā intazār kiyā. 10 Lekin Nābāl ne karaḳht lahje meṅ kahā, “Yih Dāūd kaun hai? Kaun hai Yassī kā beṭā? Ājkal bahut-se aise ġhulām haiṅ jo apne mālik se bhāge hue haiṅ. 11 Maiṅ apnī roṭī, apnā pānī aur katarne wāloṅ ke lie zabah kiyā gayā gosht le kar aise āwārā phirne wāloṅ ko kyoṅ de dūṅ? Kyā patā hai ki yih kahāṅ se āe haiṅ.” 12 Dāūd ke ādmī chale gae aur Dāūd ko sab kuchh batā diyā. 13 Tab Dāūd ne hukm diyā, “Apnī talwāreṅ bāndh lo!” Sab ne apnī talwāreṅ bāndh līṅ. Us ne bhī aisā kiyā aur phir 400 afrād ke sāth Karmil ke lie rawānā huā. Bāqī 200 mard sāmān ke pās rahe. 14 Itne meṅ Nābāl ke ek naukar ne us kī bīwī ko ittalā dī, “Dāūd ne registān meṅ se apne qāsidoṅ ko Nābāl ke pās bhejā tāki use mubārakbād deṅ. Lekin us ne jawāb meṅ garaj kar unheṅ gāliyāṅ dī haiṅ, 15 hālāṅki un logoṅ kā hamāre sāth sulūk hameshā achchhā rahā hai. Ham aksar rewaṛoṅ ko charāne ke lie un ke qarīb phirte rahe, to bhī unhoṅ ne hameṅ kabhī nuqsān na pahuṅchāyā, na koī chīz chorī kī. 16 Jab bhī ham un ke qarīb the to wuh din rāt chārdīwārī kī tarah hamārī hifāzat karte rahe. 17 Ab soch leṅ ki kyā kiyā jāe! Kyoṅki hamārā mālik aur us ke tamām ghar wāle baṛe ḳhatre meṅ haiṅ. Wuh ḳhud itnā sharīr hai ki us se bāt karne kā koī fāydā nahīṅ.” 18 Jitnī jaldī ho sakā Abījel ne kuchh sāmān ikaṭṭhā kiyā jis meṅ 200 roṭiyāṅ, mai kī do mashkeṅ, khāne ke lie taiyār kī gaī pāṅch bheṛeṅ, bhune hue anāj ke sāṛhe 27 kilogrām, kishmish kī 100 aur anjīr kī 200 ṭikkiyāṅ shāmil thīṅ. Sab kuchh gadhoṅ par lād kar 19 us ne apne naukaroṅ ko hukm diyā, “Mere āge nikal jāo, maiṅ tumhāre pīchhe pīchhe āūṅgī.” Apne shauhar ko us ne kuchh na batāyā. 20 Jab Abījel pahāṛ kī āṛ meṅ utarne lagī to Dāūd apne ādmiyoṅ samet us kī taraf baṛhte hue nazar āyā. Phir un kī mulāqāt huī. 21 Dāūd to abhī tak baṛe ġhusse meṅ thā, kyoṅki wuh soch rahā thā, “Is ādmī kī madad karne kā kyā fāydā thā! Ham registān meṅ us ke rewaṛoṅ kī hifāzat karte rahe aur us kī koī bhī chīz gum na hone dī. To bhī us ne hamārī nekī ke jawāb meṅ hamārī be'izzatī kī hai. 22 Allāh mujhe saḳht sazā de agar maiṅ kal subah tak us ke ek ādmī ko bhī zindā chhoṛ dūṅ!” 23 23-24 Dāūd ko dekh kar Abījel jaldī se gadhe par se utar kar us ke sāmne muṅh ke bal jhuk gaī. Us ne kahā, “Mere āqā, mujhe hī qusūrwār ṭhahrāeṅ. Mehrbānī karke apnī ḳhādimā ko bolne deṅ aur us kī bāt suneṅ. 25 Mere mālik us sharīr ādmī Nābāl par zyādā dhyān na deṅ. Us ke nām kā matlab ahmaq hai aur wuh hai hī ahmaq. Afsos, merī un ādmiyoṅ se mulāqāt nahīṅ huī jo āp ne hamāre pās bheje the. 26 Lekin Rab kī aur āp kī hayāt kī qasam, Rab ne āp ko apne hāthoṅ se badlā lene aur qātil banane se bachāyā hai. Aur Allāh kare ki jo bhī āp se dushmanī rakhte aur āp ko nuqsān pahuṅchānā chāhte haiṅ unheṅ Nābāl kī-sī sazā mil jāe. 27 Ab guzārish hai ki jo barkat hameṅ milī hai us meṅ āp bhī sharīk hoṅ. Jo chīzeṅ āp kī ḳhādimā lāī hai unheṅ qabūl karke un jawānoṅ meṅ taqsīm kar deṅ jo mere āqā ke pīchhe ho lie haiṅ. 28 Jo bhī ġhaltī huī hai apnī ḳhādimā ko muāf kījie. Rab zarūr mere āqā kā gharānā hameshā tak qāym rakhegā, kyoṅki āp Rab ke dushmanoṅ se laṛte haiṅ. Wuh āp ko jīte-jī ġhaltiyāṅ karne se bachāe rakhe. 29 Jab koī āp kā tāqqub karke āp ko mār dene kī koshish kare to Rab āp kā Ḳhudā āp kī jān jāndāroṅ kī thailī meṅ mahfūz rakhegā. Lekin āp ke dushmanoṅ kī jān wuh falāḳhan ke patthar kī tarah dūr phaiṅk kar halāk kar degā. 30 Jab Rab apne tamām wāde pūre karke āp ko Isrāīl kā bādshāh banā degā 31 to koī aisī bāt sāmne nahīṅ āegī jo ṭhokar kā bāis ho. Mere āqā kā zamīr sāf hogā, kyoṅki āp badlā le kar qātil nahīṅ bane hoṅge. Guzārish hai ki jab Rab āp ko kāmyābī de to apnī ḳhādimā ko bhī yād kareṅ.” 32 Dāūd bahut ḳhush huā. “Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī tārīf ho jis ne āj āp ko mujh se milne ke lie bhej diyā. 33 Āp kī basīrat mubārak hai! Āp mubārak haiṅ, kyoṅki āp ne mujhe is din apne hāthoṅ se badlā le kar qātil banane se rok diyā hai. 34 Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī qasam jis ne mujhe āp ko nuqsān pahuṅchāne se rok diyā, kal subah Nābāl ke tamām ādmī halāk hote agar āp itnī jaldī se mujh se milne na ātīṅ.” 35 Dāūd ne Abījel kī peshkardā chīzeṅ qabūl karke use ruḳhsat kiyā aur kahā, “Salāmatī se jāeṅ. Maiṅ ne āp kī sunī aur āp kī bāt manzūr kar lī hai.” 36 Jab Abījel apne ghar pahuṅchī to dekhā ki bahut raunaq hai, kyoṅki Nābāl bādshāh kī-sī ziyāfat karke ḳhushiyāṅ manā rahā thā. Chūṅki wuh nashe meṅ dhut thā is lie Abījel ne use us waqt kuchh na batāyā. 37 Aglī subah jab Nābāl hosh meṅ ā gayā to Abījel ne use sab kuchh kah sunāyā. Yih sunte hī Nābāl ko daurā paṛ gayā, aur wuh patthar-sā ban gayā. 38 Das din ke bād Rab ne use marne diyā. 39 Jab Dāūd ko Nābāl kī maut kī ḳhabar mil gaī to wuh pukārā, “Rab kī tārīf ho jis ne mere lie Nābāl se laṛ kar merī be'izzatī kā badlā liyā hai. Us kī mehrbānī hai ki maiṅ ġhalat kām karne se bach gayā hūṅ jabki Nābāl kī burāī us ke apne sar par ā gaī hai.”Kuchh der ke bād Dāūd ne apne logoṅ ko Abījel ke pās bhejā tāki wuh Dāūd kī us ke sāth shādī kī darḳhāst pesh kareṅ. 40 Chunāṅche us ke mulāzim Karmil meṅ Abījel ke pās jā kar bole, “Dāūd ne hameṅ shādī kā paiġhām de kar bhejā hai.” 41 Abījel khaṛī huī, phir muṅh ke bal jhuk kar bolī, “Maiṅ un kī ḳhidmat meṅ hāzir hūṅ. Maiṅ apne mālik ke ḳhādimoṅ ke pāṅw dhone tak taiyār hūṅ.” 42 Wuh jaldī se taiyār huī aur gadhe par baiṭh kar Dāūd ke mulāzimoṅ ke sāth rawānā huī. Pāṅch naukarāniyāṅ us ke sāth chalī gaīṅ. Yoṅ Abījel Dāūd kī bīwī ban gaī. 43 Ab Dāūd kī do bīwiyāṅ thīṅ, kyoṅki pahle us kī shādī Aḳhīnūsam se huī thī jo Yazrael se thī. 44 Jahāṅ tak Sāūl kī beṭī Mīkal kā tālluq thā Sāūl ne use Dāūd se le kar us kī dubārā shādī Faltiyel bin Lais se karwāī thī jo Jallīm kā rahne wālā thā.

In Other Versions

1 Samuel 25 in the ANGEFD

1 Samuel 25 in the ANTPNG2D

1 Samuel 25 in the AS21

1 Samuel 25 in the BAGH

1 Samuel 25 in the BBPNG

1 Samuel 25 in the BBT1E

1 Samuel 25 in the BDS

1 Samuel 25 in the BEV

1 Samuel 25 in the BHAD

1 Samuel 25 in the BIB

1 Samuel 25 in the BLPT

1 Samuel 25 in the BNT

1 Samuel 25 in the BNTABOOT

1 Samuel 25 in the BNTLV

1 Samuel 25 in the BOATCB

1 Samuel 25 in the BOATCB2

1 Samuel 25 in the BOBCV

1 Samuel 25 in the BOCNT

1 Samuel 25 in the BOECS

1 Samuel 25 in the BOGWICC

1 Samuel 25 in the BOHCB

1 Samuel 25 in the BOHCV

1 Samuel 25 in the BOHLNT

1 Samuel 25 in the BOHNTLTAL

1 Samuel 25 in the BOICB

1 Samuel 25 in the BOILNTAP

1 Samuel 25 in the BOITCV

1 Samuel 25 in the BOKCV

1 Samuel 25 in the BOKCV2

1 Samuel 25 in the BOKHWOG

1 Samuel 25 in the BOKSSV

1 Samuel 25 in the BOLCB

1 Samuel 25 in the BOLCB2

1 Samuel 25 in the BOMCV

1 Samuel 25 in the BONAV

1 Samuel 25 in the BONCB

1 Samuel 25 in the BONLT

1 Samuel 25 in the BONUT2

1 Samuel 25 in the BOPLNT

1 Samuel 25 in the BOSCB

1 Samuel 25 in the BOSNC

1 Samuel 25 in the BOTLNT

1 Samuel 25 in the BOVCB

1 Samuel 25 in the BOYCB

1 Samuel 25 in the BPBB

1 Samuel 25 in the BPH

1 Samuel 25 in the BSB

1 Samuel 25 in the CCB

1 Samuel 25 in the CUV

1 Samuel 25 in the CUVS

1 Samuel 25 in the DBT

1 Samuel 25 in the DGDNT

1 Samuel 25 in the DHNT

1 Samuel 25 in the DNT

1 Samuel 25 in the ELBE

1 Samuel 25 in the EMTV

1 Samuel 25 in the ESV

1 Samuel 25 in the FBV

1 Samuel 25 in the FEB

1 Samuel 25 in the GGMNT

1 Samuel 25 in the GNT

1 Samuel 25 in the HARY

1 Samuel 25 in the HNT

1 Samuel 25 in the IRVA

1 Samuel 25 in the IRVB

1 Samuel 25 in the IRVG

1 Samuel 25 in the IRVH

1 Samuel 25 in the IRVK

1 Samuel 25 in the IRVM

1 Samuel 25 in the IRVM2

1 Samuel 25 in the IRVO

1 Samuel 25 in the IRVP

1 Samuel 25 in the IRVT

1 Samuel 25 in the IRVT2

1 Samuel 25 in the IRVU

1 Samuel 25 in the ISVN

1 Samuel 25 in the JSNT

1 Samuel 25 in the KAPI

1 Samuel 25 in the KBT1ETNIK

1 Samuel 25 in the KBV

1 Samuel 25 in the KJV

1 Samuel 25 in the KNFD

1 Samuel 25 in the LBA

1 Samuel 25 in the LBLA

1 Samuel 25 in the LNT

1 Samuel 25 in the LSV

1 Samuel 25 in the MAAL

1 Samuel 25 in the MBV

1 Samuel 25 in the MBV2

1 Samuel 25 in the MHNT

1 Samuel 25 in the MKNFD

1 Samuel 25 in the MNG

1 Samuel 25 in the MNT

1 Samuel 25 in the MNT2

1 Samuel 25 in the MRS1T

1 Samuel 25 in the NAA

1 Samuel 25 in the NASB

1 Samuel 25 in the NBLA

1 Samuel 25 in the NBS

1 Samuel 25 in the NBVTP

1 Samuel 25 in the NET2

1 Samuel 25 in the NIV11

1 Samuel 25 in the NNT

1 Samuel 25 in the NNT2

1 Samuel 25 in the NNT3

1 Samuel 25 in the PDDPT

1 Samuel 25 in the PFNT

1 Samuel 25 in the RMNT

1 Samuel 25 in the SBIAS

1 Samuel 25 in the SBIBS

1 Samuel 25 in the SBIBS2

1 Samuel 25 in the SBICS

1 Samuel 25 in the SBIDS

1 Samuel 25 in the SBIGS

1 Samuel 25 in the SBIHS

1 Samuel 25 in the SBIIS

1 Samuel 25 in the SBIIS2

1 Samuel 25 in the SBIIS3

1 Samuel 25 in the SBIKS

1 Samuel 25 in the SBIKS2

1 Samuel 25 in the SBIMS

1 Samuel 25 in the SBIOS

1 Samuel 25 in the SBIPS

1 Samuel 25 in the SBISS

1 Samuel 25 in the SBITS

1 Samuel 25 in the SBITS2

1 Samuel 25 in the SBITS3

1 Samuel 25 in the SBITS4

1 Samuel 25 in the SBIUS

1 Samuel 25 in the SBIVS

1 Samuel 25 in the SBT

1 Samuel 25 in the SBT1E

1 Samuel 25 in the SCHL

1 Samuel 25 in the SNT

1 Samuel 25 in the SUSU

1 Samuel 25 in the SUSU2

1 Samuel 25 in the SYNO

1 Samuel 25 in the TBIAOTANT

1 Samuel 25 in the TBT1E

1 Samuel 25 in the TBT1E2

1 Samuel 25 in the TFTIP

1 Samuel 25 in the TFTU

1 Samuel 25 in the TGNTATF3T

1 Samuel 25 in the THAI

1 Samuel 25 in the TNFD

1 Samuel 25 in the TNT

1 Samuel 25 in the TNTIK

1 Samuel 25 in the TNTIL

1 Samuel 25 in the TNTIN

1 Samuel 25 in the TNTIP

1 Samuel 25 in the TNTIZ

1 Samuel 25 in the TOMA

1 Samuel 25 in the TTENT

1 Samuel 25 in the UBG

1 Samuel 25 in the UGV

1 Samuel 25 in the UGV2

1 Samuel 25 in the VBL

1 Samuel 25 in the VDCC

1 Samuel 25 in the YALU

1 Samuel 25 in the YAPE

1 Samuel 25 in the YBVTP

1 Samuel 25 in the ZBP