2 Chronicles 35 (UGV3)

1 Phir Yūsiyāh ne Rab kī tāzīm meṅ Fasah kī Īd manāī. Pahle mahīne ke 14weṅ din Fasah kā lelā zabah kiyā gayā. 2 Bādshāh ne imāmoṅ ko kām par lagā kar un kī hauslā-afzāī kī ki wuh Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat achchhī tarah anjām deṅ. 3 Lāwiyoṅ ko tamām Isrāīliyoṅ ko sharīat kī tālīm dene kī zimmedārī dī gaī thī, aur sāth sāth unheṅ Rab kī ḳhidmat ke lie maḳhsūs kiyā gayā thā. Un se Yūsiyāh ne kahā,“Muqaddas sandūq ko us imārat meṅ rakheṅ jo Isrāīl ke bādshāh Dāūd ke beṭe Sulemān ne tāmīr kiyā. Use apne kandhoṅ par uṭhā kar idhar-udhar le jāne kī zarūrat nahīṅ hai balki ab se apnā waqt Rab apne Ḳhudā aur us kī qaum Isrāīl kī ḳhidmat meṅ sarf kareṅ. 4 Un ḳhāndānī gurohoṅ ke mutābiq ḳhidmat ke lie taiyār raheṅ jin kī tartīb Dāūd Bādshāh aur us ke beṭe Sulemān ne likh kar muqarrar kī thī. 5 Phir maqdis meṅ us jagah khaṛe ho jāeṅ jo āp ke ḳhāndānī guroh ke lie muqarrar hai aur un ḳhāndānoṅ kī madad kareṅ jo qurbāniyāṅ chaṛhāne ke lie āte haiṅ aur jin kī ḳhidmat karne kī zimmedārī āp ko dī gaī hai. 6 Apne āp ko ḳhidmat ke lie maḳhsūs kareṅ aur Fasah ke lele zabah karke apne hamwatanoṅ ke lie is tarah taiyār kareṅ jis tarah Rab ne Mūsā kī mārifat hukm diyā thā.” 7 Īd kī ḳhushī meṅ Yūsiyāh ne īd manāne wāloṅ ko apnī milkiyat meṅ se 30,000 bheṛ-bakriyoṅ ke bachche die. Yih jānwar Fasah kī qurbānī ke taur par chaṛhāe gae jabki bādshāh kī taraf se 3,000 bail dīgar qurbāniyoṅ ke lie istemāl hue. 8 Is ke alāwā bādshāh ke afsaroṅ ne bhī apnī ḳhushī se qaum, imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ko jānwar die. Allāh ke ghar ke sab se ālā afsaroṅ Ḳhilqiyāh, Zakariyāh aur Yihiyel ne dīgar imāmoṅ ko Fasah kī qurbānī ke lie 2,600 bheṛ-bakriyoṅ ke bachche die, nīz 300 bail. 9 Isī tarah Lāwiyoṅ ke rāhnumāoṅ ne dīgar Lāwiyoṅ ko Fasah kī qurbānī ke lie 5,000 bheṛ-bakriyoṅ ke bachche die, nīz 500 bail. Un meṅ se tīn bhāī banām Kūnaniyāh, Samāyāh aur Nataniyel the jabki dūsroṅ ke nām Hasbiyāh, Ya'iyel aur Yūzabad the. 10 Jab har ek ḳhidmat ke lie taiyār thā to imām apnī apnī jagah par aur Lāwī apne apne gurohoṅ ke mutābiq khaṛe ho gae jis tarah bādshāh ne hidāyat dī thī. 11 Lāwiyoṅ ne Fasah ke leloṅ ko zabah karke un kī khāleṅ utārīṅ jabki imāmoṅ ne Lāwiyoṅ se jānwaroṅ kā ḳhūn le kar qurbāngāh par chhiṛkā. 12 Jo kuchh bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke lie muqarrar thā use qaum ke muḳhtalif ḳhāndānoṅ ke lie ek taraf rakh diyā gayā tāki wuh use bād meṅ Rab ko qurbānī ke taur par pesh kar sakeṅ, jis tarah Mūsā kī sharīat meṅ likhā hai. Bailoṅ ke sāth bhī aisā hī kiyā gayā. 13 Fasah ke leloṅ ko hidāyāt ke mutābiq āg par bhūnā gayā jabki bāqī gosht ko muḳhtalif qism kī degoṅ meṅ ubālā gayā. Jyoṅ hī gosht pak gayā to Lāwiyoṅ ne use jaldī se hāzirīn meṅ taqsīm kiyā. 14 Is ke bād unhoṅ ne apne aur imāmoṅ ke lie Fasah ke lele taiyār kie, kyoṅki Hārūn kī aulād yānī imām bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur charbī ko chaṛhāne meṅ rāt tak masrūf rahe. 15 Īd ke pūre daurān Āsaf ke ḳhāndān ke gulūkār apnī apnī jagah par khaṛe rahe, jis tarah Dāūd, Āsaf, Haimān aur bādshāh ke ġhaibbīn Yadūtūn ne hidāyat dī thī. Darbān bhī Rab ke ghar ke darwāzoṅ par musalsal khaṛe rahe. Unheṅ apnī jaghoṅ ko chhoṛne kī zarūrat bhī nahīṅ thī, kyoṅki bāqī Lāwiyoṅ ne un ke lie bhī Fasah ke lele taiyār kar rakhe. 16 Yoṅ us din Yūsiyāh ke hukm par qurbāniyoṅ ke pūre intazām ko tartīb diyā gayā tāki āindā Fasah kī Īd manāī jāe aur bhasm hone wālī qurbāniyāṅ Rab kī qurbāngāh par pesh kī jāeṅ. 17 Yarūshalam meṅ jamā hue Isrāīliyoṅ ne Fasah kī Īd aur Beḳhamīrī Roṭī kī Īd ek hafte ke daurān manāī. 18 Fasah kī Īd Isrāīl meṅ Samuel Nabī ke zamāne se le kar us waqt tak is tarah nahīṅ manāī gaī thī. Isrāīl ke kisī bhī bādshāh ne use yoṅ nahīṅ manāyā thā jis tarah Yūsiyāh ne use us waqt imāmoṅ, Lāwiyoṅ, Yarūshalam aur tamām Yahūdāh aur Isrāīl se āe hue logoṅ ke sāth mil kar manāī. 19 Yūsiyāh Bādshāh kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ pahlī dafā Rab kī tāzīm meṅ aisī īd manāī gaī. 20 Rab ke ghar kī bahālī kī takmīl ke bād ek din Misr kā bādshāh Nikoh Dariyā-e-Furāt par ke shahr Karkimīs ke lie rawānā huā tāki wahāṅ dushman se laṛe. Lekin rāste meṅ Yūsiyāh us kā muqābalā karne ke lie niklā. 21 Nikoh ne apne qāsidoṅ ko Yūsiyāh ke pās bhej kar use ittalā dī, “Ai Yahūdāh ke bādshāh, merā āp se kyā wāstā? Is waqt maiṅ āp par hamlā karne ke lie nahīṅ niklā balki us shāhī ḳhāndān par jis ke sāth merā jhagaṛā hai. Allāh ne farmāyā hai ki maiṅ jaldī karūṅ. Wuh to mere sāth hai. Chunāṅche us kā muqābalā karne se bāz āeṅ, warnā wuh āp ko halāk kar degā.” 22 Lekin Yūsiyāh bāz na āyā balki laṛne ke lie taiyār huā. Us ne Nikoh kī bāt na mānī go Allāh ne use us kī mārifat āgāh kiyā thā. Chunāṅche wuh bhes badal kar Firaun se laṛne ke lie Majiddo ke maidān meṅ pahuṅchā. 23 Jab laṛāī chhiṛ gaī to Yūsiyāh tīroṅ se zaḳhmī huā, aur us ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, “Mujhe yahāṅ se le jāo, kyoṅki maiṅ saḳht zaḳhmī ho gayā hūṅ.” 24 Logoṅ ne use us ke apne rath par se uṭhā kar us ke ek aur rath meṅ rakhā jo use Yarūshalam le gayā. Lekin us ne wafāt pāī, aur use apne bāpdādā ke ḳhāndānī qabristān meṅ dafn kiyā gayā. Pūre Yahūdāh aur Yarūshalam ne us kā mātam kiyā. 25 Yarmiyāh ne Yūsiyāh kī yād meṅ mātamī gīt likhe, aur āj tak gīt gāne wāle mard-o-ḳhawātīn Yūsiyāh kī yād meṅ mātamī gīt gāte haiṅ, yih pakkā dastūr ban gayā hai. Yih gīt ‘Nohā kī Kitāb’ meṅ darj haiṅ. 26 26-27 Bāqī jo kuchh shurū se le kar āḳhir tak Yūsiyāh kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh-o-Isrāīl’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. Wahāṅ us ke nek kāmoṅ kā zikr hai aur yih ki us ne kis tarah sharīat ke ahkām par amal kiyā.

In Other Versions

2 Chronicles 35 in the ANGEFD

2 Chronicles 35 in the ANTPNG2D

2 Chronicles 35 in the AS21

2 Chronicles 35 in the BAGH

2 Chronicles 35 in the BBPNG

2 Chronicles 35 in the BBT1E

2 Chronicles 35 in the BDS

2 Chronicles 35 in the BEV

2 Chronicles 35 in the BHAD

2 Chronicles 35 in the BIB

2 Chronicles 35 in the BLPT

2 Chronicles 35 in the BNT

2 Chronicles 35 in the BNTABOOT

2 Chronicles 35 in the BNTLV

2 Chronicles 35 in the BOATCB

2 Chronicles 35 in the BOATCB2

2 Chronicles 35 in the BOBCV

2 Chronicles 35 in the BOCNT

2 Chronicles 35 in the BOECS

2 Chronicles 35 in the BOGWICC

2 Chronicles 35 in the BOHCB

2 Chronicles 35 in the BOHCV

2 Chronicles 35 in the BOHLNT

2 Chronicles 35 in the BOHNTLTAL

2 Chronicles 35 in the BOICB

2 Chronicles 35 in the BOILNTAP

2 Chronicles 35 in the BOITCV

2 Chronicles 35 in the BOKCV

2 Chronicles 35 in the BOKCV2

2 Chronicles 35 in the BOKHWOG

2 Chronicles 35 in the BOKSSV

2 Chronicles 35 in the BOLCB

2 Chronicles 35 in the BOLCB2

2 Chronicles 35 in the BOMCV

2 Chronicles 35 in the BONAV

2 Chronicles 35 in the BONCB

2 Chronicles 35 in the BONLT

2 Chronicles 35 in the BONUT2

2 Chronicles 35 in the BOPLNT

2 Chronicles 35 in the BOSCB

2 Chronicles 35 in the BOSNC

2 Chronicles 35 in the BOTLNT

2 Chronicles 35 in the BOVCB

2 Chronicles 35 in the BOYCB

2 Chronicles 35 in the BPBB

2 Chronicles 35 in the BPH

2 Chronicles 35 in the BSB

2 Chronicles 35 in the CCB

2 Chronicles 35 in the CUV

2 Chronicles 35 in the CUVS

2 Chronicles 35 in the DBT

2 Chronicles 35 in the DGDNT

2 Chronicles 35 in the DHNT

2 Chronicles 35 in the DNT

2 Chronicles 35 in the ELBE

2 Chronicles 35 in the EMTV

2 Chronicles 35 in the ESV

2 Chronicles 35 in the FBV

2 Chronicles 35 in the FEB

2 Chronicles 35 in the GGMNT

2 Chronicles 35 in the GNT

2 Chronicles 35 in the HARY

2 Chronicles 35 in the HNT

2 Chronicles 35 in the IRVA

2 Chronicles 35 in the IRVB

2 Chronicles 35 in the IRVG

2 Chronicles 35 in the IRVH

2 Chronicles 35 in the IRVK

2 Chronicles 35 in the IRVM

2 Chronicles 35 in the IRVM2

2 Chronicles 35 in the IRVO

2 Chronicles 35 in the IRVP

2 Chronicles 35 in the IRVT

2 Chronicles 35 in the IRVT2

2 Chronicles 35 in the IRVU

2 Chronicles 35 in the ISVN

2 Chronicles 35 in the JSNT

2 Chronicles 35 in the KAPI

2 Chronicles 35 in the KBT1ETNIK

2 Chronicles 35 in the KBV

2 Chronicles 35 in the KJV

2 Chronicles 35 in the KNFD

2 Chronicles 35 in the LBA

2 Chronicles 35 in the LBLA

2 Chronicles 35 in the LNT

2 Chronicles 35 in the LSV

2 Chronicles 35 in the MAAL

2 Chronicles 35 in the MBV

2 Chronicles 35 in the MBV2

2 Chronicles 35 in the MHNT

2 Chronicles 35 in the MKNFD

2 Chronicles 35 in the MNG

2 Chronicles 35 in the MNT

2 Chronicles 35 in the MNT2

2 Chronicles 35 in the MRS1T

2 Chronicles 35 in the NAA

2 Chronicles 35 in the NASB

2 Chronicles 35 in the NBLA

2 Chronicles 35 in the NBS

2 Chronicles 35 in the NBVTP

2 Chronicles 35 in the NET2

2 Chronicles 35 in the NIV11

2 Chronicles 35 in the NNT

2 Chronicles 35 in the NNT2

2 Chronicles 35 in the NNT3

2 Chronicles 35 in the PDDPT

2 Chronicles 35 in the PFNT

2 Chronicles 35 in the RMNT

2 Chronicles 35 in the SBIAS

2 Chronicles 35 in the SBIBS

2 Chronicles 35 in the SBIBS2

2 Chronicles 35 in the SBICS

2 Chronicles 35 in the SBIDS

2 Chronicles 35 in the SBIGS

2 Chronicles 35 in the SBIHS

2 Chronicles 35 in the SBIIS

2 Chronicles 35 in the SBIIS2

2 Chronicles 35 in the SBIIS3

2 Chronicles 35 in the SBIKS

2 Chronicles 35 in the SBIKS2

2 Chronicles 35 in the SBIMS

2 Chronicles 35 in the SBIOS

2 Chronicles 35 in the SBIPS

2 Chronicles 35 in the SBISS

2 Chronicles 35 in the SBITS

2 Chronicles 35 in the SBITS2

2 Chronicles 35 in the SBITS3

2 Chronicles 35 in the SBITS4

2 Chronicles 35 in the SBIUS

2 Chronicles 35 in the SBIVS

2 Chronicles 35 in the SBT

2 Chronicles 35 in the SBT1E

2 Chronicles 35 in the SCHL

2 Chronicles 35 in the SNT

2 Chronicles 35 in the SUSU

2 Chronicles 35 in the SUSU2

2 Chronicles 35 in the SYNO

2 Chronicles 35 in the TBIAOTANT

2 Chronicles 35 in the TBT1E

2 Chronicles 35 in the TBT1E2

2 Chronicles 35 in the TFTIP

2 Chronicles 35 in the TFTU

2 Chronicles 35 in the TGNTATF3T

2 Chronicles 35 in the THAI

2 Chronicles 35 in the TNFD

2 Chronicles 35 in the TNT

2 Chronicles 35 in the TNTIK

2 Chronicles 35 in the TNTIL

2 Chronicles 35 in the TNTIN

2 Chronicles 35 in the TNTIP

2 Chronicles 35 in the TNTIZ

2 Chronicles 35 in the TOMA

2 Chronicles 35 in the TTENT

2 Chronicles 35 in the UBG

2 Chronicles 35 in the UGV

2 Chronicles 35 in the UGV2

2 Chronicles 35 in the VBL

2 Chronicles 35 in the VDCC

2 Chronicles 35 in the YALU

2 Chronicles 35 in the YAPE

2 Chronicles 35 in the YBVTP

2 Chronicles 35 in the ZBP