Colossians 4 (UGV3)
1 Māliko, apne ġhulāmoṅ ke sāth munsifānā aur jāyz sulūk kareṅ. Āp to jānte haiṅ ki āsmān par āp kā bhī mālik hai. 2 Duā meṅ lage raheṅ. Aur duā karte waqt shukrguzārī ke sāth jāgte raheṅ. 3 Sāth sāth hamāre lie bhī duā kareṅ tāki Allāh hamāre lie kalām sunāne kā darwāzā khole aur ham Masīh kā rāz pesh kar sakeṅ. Āḳhir maiṅ isī rāz kī wajah se qaid meṅ hūṅ. 4 Duā kareṅ ki maiṅ ise yoṅ pesh karūṅ jis tarah karnā chāhie, ki ise sāf samjhā jā sake. 5 Jo ab tak īmān na lāe hoṅ un ke sāth dānishmandānā sulūk kareṅ. Is silsile meṅ har mauqe se fāydā uṭhāeṅ. 6 Āp kī guftgū har waqt mehrbān ho, aisī ki mazā āe aur āp har ek ko munāsib jawāb de sakeṅ. 7 Jahāṅ tak merā tālluq hai hamārā azīz bhāī Tuḳhikus āp ko sab kuchh batā degā. Wuh ek wafādār ḳhādim aur Ḳhudāwand meṅ hamḳhidmat rahā hai. 8 Maiṅ ne use ḳhāskar is lie āp ke pās bhej diyā tāki āp ko hamārā hāl mālūm ho jāe aur wuh āp kī hauslā-afzāī kare. 9 Wuh hamāre wafādār aur azīz bhāī Unesimus ke sāth āp ke pās ā rahā hai, wuhī jo āp kī jamāt se hai. Donoṅ āp ko wuh sab kuchh sunā deṅge jo yahāṅ ho rahā hai. 10 Aristarḳhus jo mere sāth qaid meṅ hai āp ko salām kahtā hai aur isī tarah Barnabās kā kazan Marqus bhī. (Āp ko us ke bāre meṅ hidāyāt dī gaī haiṅ. Jab wuh āp ke pās āe to use ḳhushāmdīd kahnā.) 11 Īsā jo Yūstus kahlātā hai bhī āp ko salām kahtā hai. Un meṅ se jo mere sāth Allāh kī bādshāhī meṅ ḳhidmat kar rahe haiṅ sirf yih tīn mard Yahūdī haiṅ. Aur yih mere lie tasallī kā bāis rahe haiṅ. 12 Masīh Īsā kā ḳhādim Ipafrās bhī jo āp kī jamāt se hai salām kahtā hai. Wuh har waqt baṛī jidd-o-jahd ke sāth āp ke lie duā kartā hai. Us kī ḳhās duā yih hai ki āp mazbūtī ke sāth khaṛe raheṅ, ki āp bāliġh Masīhī ban kar har bāt meṅ Allāh kī marzī ke mutābiq chaleṅ. 13 Maiṅ ḳhud is kī tasdīq kar saktā hūṅ ki us ne āp ke lie saḳht mehnat kī hai balki Laudīkiyā aur Hiyarāpulis kī jamātoṅ ke lie bhī. 14 Hamāre azīz ḍākṭar Lūqā aur Demās āp ko salām kahte haiṅ. 15 Merā salām Laudīkiyā kī jamāt ko denā aur isī tarah Numfās ko us jamāt samet jo us ke ghar meṅ jamā hotī hai. 16 Yih paṛhne ke bād dhyān deṅ ki Laudīkiyā kī jamāt meṅ bhī yih ḳhat paṛhā jāe aur āp Laudīkiyā kā ḳhat bhī paṛheṅ. 17 Arḳhippus ko batā denā, ḳhabardār ki āp wuh ḳhidmat takmīl tak pahuṅchāeṅ jo āp ko Ḳhudāwand meṅ sauṅpī gaī hai. 18 Maiṅ apne hāth se yih alfāz likh rahā hūṅ. Merī yānī Paulus kī taraf se salām. Merī zanjīreṅ mat bhūlnā! Allāh kā fazl āp ke sāth hotā rahe.