Daniel 6 (UGV3)

1 Dārā ne saltanat ke tamām sūboṅ par 120 sūbedār muta'ayyin karne kā faislā kiyā. 2 Un par tīn wazīr muqarrar the jin meṅ se ek Dānyāl thā. Gawarnar un ke sāmne jawābdeh the tāki bādshāh ko nuqsān na pahuṅche. 3 Jald hī patā chalā ki Dānyāl dūsre wazīroṅ aur sūbedāroṅ par sabqat rakhtā thā, kyoṅki wuh ġhairmāmūlī zihānat kā mālik thā. Natījatan bādshāh ne use pūrī saltanat par muqarrar karne kā irādā kiyā. 4 Jab dīgar wazīroṅ aur sūbedāroṅ ko yih bāt mālūm huī to wuh Dānyāl par ilzām lagāne kā bahānā ḍhūṅḍne lage. Lekin wuh apnī zimmedāriyoṅ ko nibhāne meṅ itnā qābil-e-etamād thā ki wuh nākām rahe. Kyoṅki na wuh rishwatkhor thā, na kisī kām meṅ sust. 5 Āḳhirkār wuh ādmī āpas meṅ kahne lage, “Is tarīqe se hameṅ Dānyāl par ilzām lagāne kā mauqā nahīṅ milegā. Lekin ek bāt hai jo ilzām kā bāis ban saktī hai yānī us ke Ḳhudā kī sharīat.” 6 Tab wuh guroh kī sūrat meṅ bādshāh ke sāmne hāzir hue aur kahne lage, “Dārā Bādshāh abad tak jīte raheṅ! 7 Saltanat ke tamām wazīr, gawarnar, sūbedār, mushīr aur muntazim āpas meṅ mashwarā karke muttafiq hue haiṅ ki agle 30 din ke daurān sab ko sirf bādshāh se duā karnī chāhie. Bādshāh ek farmān sādir kareṅ ki jo bhī kisī aur mābūd yā insān se iltijā kare use sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāegā. Dhyān denā chāhie ki sab hī is par amal kareṅ. 8 Ai bādshāh, guzārish hai ki āp yih farmān zarūr sādir kareṅ balki likh kar us kī tasdīq bhī kareṅ tāki use tabdīl na kiyā jā sake. Tab wuh Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn kā hissā ban kar mansūḳh nahīṅ kiyā jā sakegā.” 9 Dārā Bādshāh mān gayā. Us ne farmān likhwā kar us kī tasdīq kī. 10 Jab Dānyāl ko mālūm huā ki farmān sādir huā hai to wuh sīdhā apne ghar meṅ chalā gayā. Chhat par ek kamrā thā jis kī khulī khiṛkiyoṅ kā ruḳh Yarūshalam kī taraf thā. Is kamre meṅ Dānyāl rozānā tīn bār apne ghuṭne ṭek kar duā aur apne Ḳhudā kī satāish kartā thā. Ab bhī us ne yih silsilā jārī rakhā. 11 Jyoṅ hī Dānyāl apne Ḳhudā se duā aur iltijā kar rahā thā to us ke dushmanoṅ ne guroh kī sūrat meṅ ghar meṅ ghus kar use yih karte hue pāyā. 12 Tab wuh bādshāh ke pās gae aur use shāhī farmān kī yād dilāī, “Kyā āp ne farmān sādir nahīṅ kiyā thā ki agle 30 din ke daurān sab ko sirf bādshāh se duā karnī hai, aur jo kisī aur mābūd yā insān se iltijā kare use sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāegā?” Bādshāh ne jawāb diyā, “Jī, yih farmān qāym hai balki Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn kā hissā hai jo mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā.” 13 Unhoṅ ne kahā, “Ai bādshāh, Dānyāl jo Yahūdāh ke jilāwatanoṅ meṅ se hai na āp kī parwā kartā, na us farmān kī jis kī āp ne likh kar tasdīq kī. Abhī tak wuh rozānā tīn bār apne Ḳhudā se duā kartā hai.” 14 Yih sun kar bādshāh ko baṛī diqqat mahsūs huī. Pūrā din wuh sochtā rahā ki maiṅ Dānyāl ko kis tarah bachāūṅ. Sūraj ke ġhurūb hone tak wuh use chhuṛāne ke lie koshāṅ rahā. 15 Lekin āḳhirkār wuh ādmī guroh kī sūrat meṅ dubārā bādshāh ke huzūr āe aur kahne lage, “Bādshāh ko yād rahe ki Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn ke mutābiq jo bhī farmān bādshāh sādir kare use tabdīl nahīṅ kiyā jā saktā.” 16 Chunāṅche bādshāh ne hukm diyā ki Dānyāl ko pakaṛ kar sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāe. Aisā hī huā. Bādshāh bolā, “Ai Dānyāl, jis Ḳhudā kī ibādat tum bilānāġhā karte āe ho wuh tumheṅ bachāe.” 17 Phir mānd ke muṅh par patthar rakhā gayā, aur bādshāh ne apnī muhr aur apne baṛoṅ kī muhreṅ us par lagāīṅ tāki koī bhī use khol kar Dānyāl kī madad na kare. 18 Is ke bād bādshāh shāhī mahal meṅ wāpas chalā gayā aur pūrī rāt rozā rakhe hue guzārī. Na kuchh us kā dil bahlāne ke lie us ke pās lāyā gayā, na use nīnd āī. 19 Jab pau phaṭne lagī to wuh uṭh kar sheroṅ kī mānd ke pās gayā. 20 Us ke qarīb pahuṅch kar bādshāh ne ġhamgīn āwāz se pukārā, “Ai zindā Ḳhudā ke bande Dānyāl, kyā tumhāre Ḳhudā jis kī tum bilānāġhā ibādat karte rahe ho tumheṅ sheroṅ se bachā sakā?” 21 Dānyāl ne jawāb diyā, “Bādshāh abad tak jīte raheṅ! 22 Mere Ḳhudā ne apne farishte ko bhej diyā jis ne sheroṅ ke muṅh ko band kie rakhā. Unhoṅ ne mujhe koī bhī nuqsān na pahuṅchāyā, kyoṅki Allāh ke sāmne maiṅ bequsūr hūṅ. Bādshāh salāmat ke ḳhilāf bhī mujh se jurm nahīṅ huā.” 23 Yih sun kar bādshāh āpe meṅ na samāyā. Us ne Dānyāl ko mānd se nikālne kā hukm diyā. Jab use khīṅch kar nikālā gayā to mālūm huā ki use koī bhī nuqsān nahīṅ pahuṅchā. Yoṅ use Allāh par bharosā rakhne kā ajr milā. 24 Lekin jin ādmiyoṅ ne Dānyāl par ilzām lagāyā thā un kā burā anjām huā. Bādshāh ke hukm par unheṅ un ke bāl-bachchoṅ samet sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā gayā. Mānd ke farsh par girne se pahle hī sher un par jhapaṭ paṛe aur unheṅ phāṛ kar un kī haḍḍiyoṅ ko chabā liyā. 25 Phir Dārā Bādshāh ne saltanat kī tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur ahl-e-zabān ko zail kā paiġhām bhejā,“Sab kī salāmatī ho! 26 Merā farmān suno! Lāzim hai ki merī saltanat kī har jagah log Dānyāl ke Ḳhudā ke sāmne thartharāeṅ aur us kā ḳhauf māneṅ. Kyoṅki wuh zindā Ḳhudā aur abad tak qāym hai. Na kabhī us kī bādshāhī tabāh, na us kī hukūmat ḳhatm hogī. 27 Wuhī bachātā aur najāt detā hai, wuhī āsmān-o-zamīn par ilāhī nishān aur mojize dikhātā hai. Usī ne Dānyāl ko sheroṅ ke qabze se bachāyā.” 28 Chunāṅche Dānyāl ko Dārā Bādshāh aur Fāras ke bādshāh Ḳhoras ke daur-e-hukūmat meṅ bahut kāmyābī hāsil huī.

In Other Versions

Daniel 6 in the ANGEFD

Daniel 6 in the ANTPNG2D

Daniel 6 in the AS21

Daniel 6 in the BAGH

Daniel 6 in the BBPNG

Daniel 6 in the BBT1E

Daniel 6 in the BDS

Daniel 6 in the BEV

Daniel 6 in the BHAD

Daniel 6 in the BIB

Daniel 6 in the BLPT

Daniel 6 in the BNT

Daniel 6 in the BNTABOOT

Daniel 6 in the BNTLV

Daniel 6 in the BOATCB

Daniel 6 in the BOATCB2

Daniel 6 in the BOBCV

Daniel 6 in the BOCNT

Daniel 6 in the BOECS

Daniel 6 in the BOGWICC

Daniel 6 in the BOHCB

Daniel 6 in the BOHCV

Daniel 6 in the BOHLNT

Daniel 6 in the BOHNTLTAL

Daniel 6 in the BOICB

Daniel 6 in the BOILNTAP

Daniel 6 in the BOITCV

Daniel 6 in the BOKCV

Daniel 6 in the BOKCV2

Daniel 6 in the BOKHWOG

Daniel 6 in the BOKSSV

Daniel 6 in the BOLCB

Daniel 6 in the BOLCB2

Daniel 6 in the BOMCV

Daniel 6 in the BONAV

Daniel 6 in the BONCB

Daniel 6 in the BONLT

Daniel 6 in the BONUT2

Daniel 6 in the BOPLNT

Daniel 6 in the BOSCB

Daniel 6 in the BOSNC

Daniel 6 in the BOTLNT

Daniel 6 in the BOVCB

Daniel 6 in the BOYCB

Daniel 6 in the BPBB

Daniel 6 in the BPH

Daniel 6 in the BSB

Daniel 6 in the CCB

Daniel 6 in the CUV

Daniel 6 in the CUVS

Daniel 6 in the DBT

Daniel 6 in the DGDNT

Daniel 6 in the DHNT

Daniel 6 in the DNT

Daniel 6 in the ELBE

Daniel 6 in the EMTV

Daniel 6 in the ESV

Daniel 6 in the FBV

Daniel 6 in the FEB

Daniel 6 in the GGMNT

Daniel 6 in the GNT

Daniel 6 in the HARY

Daniel 6 in the HNT

Daniel 6 in the IRVA

Daniel 6 in the IRVB

Daniel 6 in the IRVG

Daniel 6 in the IRVH

Daniel 6 in the IRVK

Daniel 6 in the IRVM

Daniel 6 in the IRVM2

Daniel 6 in the IRVO

Daniel 6 in the IRVP

Daniel 6 in the IRVT

Daniel 6 in the IRVT2

Daniel 6 in the IRVU

Daniel 6 in the ISVN

Daniel 6 in the JSNT

Daniel 6 in the KAPI

Daniel 6 in the KBT1ETNIK

Daniel 6 in the KBV

Daniel 6 in the KJV

Daniel 6 in the KNFD

Daniel 6 in the LBA

Daniel 6 in the LBLA

Daniel 6 in the LNT

Daniel 6 in the LSV

Daniel 6 in the MAAL

Daniel 6 in the MBV

Daniel 6 in the MBV2

Daniel 6 in the MHNT

Daniel 6 in the MKNFD

Daniel 6 in the MNG

Daniel 6 in the MNT

Daniel 6 in the MNT2

Daniel 6 in the MRS1T

Daniel 6 in the NAA

Daniel 6 in the NASB

Daniel 6 in the NBLA

Daniel 6 in the NBS

Daniel 6 in the NBVTP

Daniel 6 in the NET2

Daniel 6 in the NIV11

Daniel 6 in the NNT

Daniel 6 in the NNT2

Daniel 6 in the NNT3

Daniel 6 in the PDDPT

Daniel 6 in the PFNT

Daniel 6 in the RMNT

Daniel 6 in the SBIAS

Daniel 6 in the SBIBS

Daniel 6 in the SBIBS2

Daniel 6 in the SBICS

Daniel 6 in the SBIDS

Daniel 6 in the SBIGS

Daniel 6 in the SBIHS

Daniel 6 in the SBIIS

Daniel 6 in the SBIIS2

Daniel 6 in the SBIIS3

Daniel 6 in the SBIKS

Daniel 6 in the SBIKS2

Daniel 6 in the SBIMS

Daniel 6 in the SBIOS

Daniel 6 in the SBIPS

Daniel 6 in the SBISS

Daniel 6 in the SBITS

Daniel 6 in the SBITS2

Daniel 6 in the SBITS3

Daniel 6 in the SBITS4

Daniel 6 in the SBIUS

Daniel 6 in the SBIVS

Daniel 6 in the SBT

Daniel 6 in the SBT1E

Daniel 6 in the SCHL

Daniel 6 in the SNT

Daniel 6 in the SUSU

Daniel 6 in the SUSU2

Daniel 6 in the SYNO

Daniel 6 in the TBIAOTANT

Daniel 6 in the TBT1E

Daniel 6 in the TBT1E2

Daniel 6 in the TFTIP

Daniel 6 in the TFTU

Daniel 6 in the TGNTATF3T

Daniel 6 in the THAI

Daniel 6 in the TNFD

Daniel 6 in the TNT

Daniel 6 in the TNTIK

Daniel 6 in the TNTIL

Daniel 6 in the TNTIN

Daniel 6 in the TNTIP

Daniel 6 in the TNTIZ

Daniel 6 in the TOMA

Daniel 6 in the TTENT

Daniel 6 in the UBG

Daniel 6 in the UGV

Daniel 6 in the UGV2

Daniel 6 in the VBL

Daniel 6 in the VDCC

Daniel 6 in the YALU

Daniel 6 in the YAPE

Daniel 6 in the YBVTP

Daniel 6 in the ZBP