Deuteronomy 31 (UGV3)

1 Mūsā ne jā kar tamām Isrāīliyoṅ se mazīd kahā, 2 “Ab maiṅ 120 sāl kā ho chukā hūṅ. Merā chalnā-phirnā mushkil ho gayā hai. Aur waise bhī Rab ne mujhe batāyā hai, ‘Tū Dariyā-e-Yardan ko pār nahīṅ karegā.’ 3 Rab terā Ḳhudā ḳhud tere āge āge jā kar Yardan ko pār karegā. Wuhī tere āge āge in qaumoṅ ko tabāh karegā tāki tū un ke mulk par qabzā kar sake. Dariyā ko pār karte waqt Yashua tere āge chalegā jis tarah Rab ne farmāyā hai. 4 Rab wahāṅ ke logoṅ ko bilkul usī tarah tabāh karegā jis tarah wuh Amoriyoṅ ko un ke bādshāhoṅ Sīhon aur Oj samet tabāh kar chukā hai. 5 Rab tumheṅ un par ġhālib āne degā. Us waqt tumheṅ un ke sāth waisā sulūk karnā hai jaisā maiṅ ne tumheṅ batāyā hai. 6 Mazbūt aur diler ho. Un se ḳhauf na khāo, kyoṅki Rab terā Ḳhudā tere sāth chaltā hai. Wuh tujhe kabhī nahīṅ chhoṛegā, tujhe kabhī tark nahīṅ karegā.” 7 Is ke bād Mūsā ne tamām Isrāīliyoṅ ke sāmne Yashua ko bulāyā aur us se kahā, “Mazbūt aur diler ho, kyoṅki tū is qaum ko us mulk meṅ le jāegā jis kā wādā Rab ne qasam khā kar un ke bāpdādā se kiyā thā. Lāzim hai ki tū hī use taqsīm karke har qabīle ko us kā maurūsī ilāqā de. 8 Rab ḳhud tere āge āge chalte hue tere sāth hogā. Wuh tujhe kabhī nahīṅ chhoṛegā, tujhe kabhī nahīṅ tark karegā. Ḳhauf na khānā, na ghabrānā.” 9 Mūsā ne yih pūrī sharīat likh kar Isrāīl ke tamām buzurgoṅ aur Lāwī ke qabīle ke un imāmoṅ ke sapurd kī jo safr karte waqt ahd kā sandūq uṭhā kar le chalte the. Us ne un se kahā, 10 10-11 “Har sāt sāl ke bād is sharīat kī tilāwat karnā, yānī bahālī ke sāl meṅ jab tamām qarz mansūḳh kie jāte haiṅ. Tilāwat us waqt karnā hai jab Isrāīlī Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd ke lie Rab apne Ḳhudā ke sāmne us jagah hāzir hoṅge jo wuh maqdis ke lie chunegā. 12 Tamām logoṅ ko mardoṅ, auratoṅ, bachchoṅ aur pardesiyoṅ samet wahāṅ jamā karnā tāki wuh sun kar sīkheṅ, Rab tumhāre Ḳhudā kā ḳhauf māneṅ aur ehtiyāt se is sharīat kī bātoṅ par amal kareṅ. 13 Lāzim hai ki un kī aulād jo is sharīat se nāwāqif hai ise sune aur sīkhe tāki umr-bhar us mulk meṅ Rab tumhāre Ḳhudā kā ḳhauf māne jis par tum Dariyā-e-Yardan ko pār karke qabzā karoge.” 14 Rab ne Mūsā se kahā, “Ab terī maut qarīb hai. Yashua ko bulā kar us ke sāth mulāqāt ke ḳhaime meṅ hāzir ho jā. Wahāṅ maiṅ use us kī zimmedāriyāṅ sauṅpūṅgā.”Mūsā aur Yashua ā kar ḳhaime meṅ hāzir hue 15 to Rab ḳhaime ke darwāze par bādal ke satūn meṅ zāhir huā. 16 Us ne Mūsā se kahā, “Tū jald hī mar kar apne bāpdādā se jā milegā. Lekin yih qaum mulk meṅ dāḳhil hone par zinā karke us ke ajnabī dewatāoṅ kī pairawī karne lag jāegī. Wuh mujhe tark karke wuh ahd toṛ degī jo maiṅ ne un ke sāth bāndhā hai. 17 Phir merā ġhazab un par bhaṛkegā. Maiṅ unheṅ chhoṛ kar apnā chehrā un se chhupā lūṅgā. Tab unheṅ kachchā chabā liyā jāegā aur bahut sārī haibatnāk musībateṅ un par āeṅgī. Us waqt wuh kaheṅge, ‘Kyā yih musībateṅ is wajah se ham par nahīṅ āīṅ ki Rab hamāre sāth nahīṅ hai?’ 18 Aur aisā hī hogā. Maiṅ zarūr apnā chehrā un se chhupāe rakhūṅgā, kyoṅki dīgar mābūdoṅ ke pīchhe chalne se unhoṅ ne ek nihāyat sharīr qadam uṭhāyā hogā. 19 Ab zail kā gīt likh kar Isrāīliyoṅ ko yoṅ sikhāo ki wuh zabānī yād rahe aur mere lie un ke ḳhilāf gawāhī diyā kare. 20 Kyoṅki maiṅ unheṅ us mulk meṅ le jā rahā hūṅ jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un ke bāpdādā se kiyā thā, us mulk meṅ jis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Wahāṅ itnī ḳhurāk hogī ki un kī bhūk jātī rahegī aur wuh moṭe ho jāeṅge. Lekin phir wuh dīgar mābūdoṅ ke pīchhe lag jāeṅge aur un kī ḳhidmat kareṅge. Wuh mujhe radd kareṅge aur merā ahd toṛeṅge. 21 Natīje meṅ un par bahut sārī haibatnāk musībateṅ āeṅgī. Phir yih gīt jo un kī aulād ko yād rahegā un ke ḳhilāf gawāhī degā. Kyoṅki go maiṅ unheṅ us mulk meṅ le jā rahā hūṅ jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un se kiyā thā to bhī maiṅ jāntā hūṅ ki wuh ab tak kis tarah kī soch rakhte haiṅ.” 22 Mūsā ne usī din yih gīt likh kar Isrāīliyoṅ ko sikhāyā. 23 Phir Rab ne Yashua bin Nūn se kahā, “Mazbūt aur diler ho, kyoṅki tū Isrāīliyoṅ ko us mulk meṅ le jāegā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un se kiyā thā. Maiṅ ḳhud tere sāth hūṅgā.” 24 Jab Mūsā ne pūrī sharīat ko kitāb meṅ likh liyā 25 to wuh un Lāwiyoṅ se muḳhātib huā jo safr karte waqt ahd kā sandūq uṭhā kar le jāte the. 26 “Sharīat kī yih kitāb le kar Rab apne Ḳhudā ke ahd ke sandūq ke pās rakhnā. Wahāṅ wuh paṛī rahe aur tere ḳhilāf gawāhī detī rahe. 27 Kyoṅki maiṅ ḳhūb jāntā hūṅ ki tū kitnā sarkash aur haṭdharm hai. Merī maujūdagī meṅ bhī tum ne kitnī dafā Rab se sarkashī kī. To phir mere marne ke bād tum kyā kuchh nahīṅ karoge! 28 Ab mere sāmne apne qabīloṅ ke tamām buzurgoṅ aur nigahbānoṅ ko jamā karo tāki wuh ḳhud merī yih bāteṅ suneṅ aur āsmān aur zamīn un ke ḳhilāf gawāh hoṅ. 29 Kyoṅki mujhe mālūm hai ki merī maut ke bād tum zarūr bigaṛ jāoge aur us rāste se haṭ jāoge jis par chalne kī maiṅ ne tumheṅ tākīd kī hai. Āḳhirkār tum par musībat āegī, kyoṅki tum wuh kuchh karoge jo Rab ko burā lagtā hai, tum apne hāthoṅ ke kām se use ġhussā dilāoge.” 30 Phir Mūsā ne Isrāīl kī tamām jamāt ke sāmne yih gīt shurū se le kar āḳhir tak pesh kiyā,

In Other Versions

Deuteronomy 31 in the ANGEFD

Deuteronomy 31 in the ANTPNG2D

Deuteronomy 31 in the AS21

Deuteronomy 31 in the BAGH

Deuteronomy 31 in the BBPNG

Deuteronomy 31 in the BBT1E

Deuteronomy 31 in the BDS

Deuteronomy 31 in the BEV

Deuteronomy 31 in the BHAD

Deuteronomy 31 in the BIB

Deuteronomy 31 in the BLPT

Deuteronomy 31 in the BNT

Deuteronomy 31 in the BNTABOOT

Deuteronomy 31 in the BNTLV

Deuteronomy 31 in the BOATCB

Deuteronomy 31 in the BOATCB2

Deuteronomy 31 in the BOBCV

Deuteronomy 31 in the BOCNT

Deuteronomy 31 in the BOECS

Deuteronomy 31 in the BOGWICC

Deuteronomy 31 in the BOHCB

Deuteronomy 31 in the BOHCV

Deuteronomy 31 in the BOHLNT

Deuteronomy 31 in the BOHNTLTAL

Deuteronomy 31 in the BOICB

Deuteronomy 31 in the BOILNTAP

Deuteronomy 31 in the BOITCV

Deuteronomy 31 in the BOKCV

Deuteronomy 31 in the BOKCV2

Deuteronomy 31 in the BOKHWOG

Deuteronomy 31 in the BOKSSV

Deuteronomy 31 in the BOLCB

Deuteronomy 31 in the BOLCB2

Deuteronomy 31 in the BOMCV

Deuteronomy 31 in the BONAV

Deuteronomy 31 in the BONCB

Deuteronomy 31 in the BONLT

Deuteronomy 31 in the BONUT2

Deuteronomy 31 in the BOPLNT

Deuteronomy 31 in the BOSCB

Deuteronomy 31 in the BOSNC

Deuteronomy 31 in the BOTLNT

Deuteronomy 31 in the BOVCB

Deuteronomy 31 in the BOYCB

Deuteronomy 31 in the BPBB

Deuteronomy 31 in the BPH

Deuteronomy 31 in the BSB

Deuteronomy 31 in the CCB

Deuteronomy 31 in the CUV

Deuteronomy 31 in the CUVS

Deuteronomy 31 in the DBT

Deuteronomy 31 in the DGDNT

Deuteronomy 31 in the DHNT

Deuteronomy 31 in the DNT

Deuteronomy 31 in the ELBE

Deuteronomy 31 in the EMTV

Deuteronomy 31 in the ESV

Deuteronomy 31 in the FBV

Deuteronomy 31 in the FEB

Deuteronomy 31 in the GGMNT

Deuteronomy 31 in the GNT

Deuteronomy 31 in the HARY

Deuteronomy 31 in the HNT

Deuteronomy 31 in the IRVA

Deuteronomy 31 in the IRVB

Deuteronomy 31 in the IRVG

Deuteronomy 31 in the IRVH

Deuteronomy 31 in the IRVK

Deuteronomy 31 in the IRVM

Deuteronomy 31 in the IRVM2

Deuteronomy 31 in the IRVO

Deuteronomy 31 in the IRVP

Deuteronomy 31 in the IRVT

Deuteronomy 31 in the IRVT2

Deuteronomy 31 in the IRVU

Deuteronomy 31 in the ISVN

Deuteronomy 31 in the JSNT

Deuteronomy 31 in the KAPI

Deuteronomy 31 in the KBT1ETNIK

Deuteronomy 31 in the KBV

Deuteronomy 31 in the KJV

Deuteronomy 31 in the KNFD

Deuteronomy 31 in the LBA

Deuteronomy 31 in the LBLA

Deuteronomy 31 in the LNT

Deuteronomy 31 in the LSV

Deuteronomy 31 in the MAAL

Deuteronomy 31 in the MBV

Deuteronomy 31 in the MBV2

Deuteronomy 31 in the MHNT

Deuteronomy 31 in the MKNFD

Deuteronomy 31 in the MNG

Deuteronomy 31 in the MNT

Deuteronomy 31 in the MNT2

Deuteronomy 31 in the MRS1T

Deuteronomy 31 in the NAA

Deuteronomy 31 in the NASB

Deuteronomy 31 in the NBLA

Deuteronomy 31 in the NBS

Deuteronomy 31 in the NBVTP

Deuteronomy 31 in the NET2

Deuteronomy 31 in the NIV11

Deuteronomy 31 in the NNT

Deuteronomy 31 in the NNT2

Deuteronomy 31 in the NNT3

Deuteronomy 31 in the PDDPT

Deuteronomy 31 in the PFNT

Deuteronomy 31 in the RMNT

Deuteronomy 31 in the SBIAS

Deuteronomy 31 in the SBIBS

Deuteronomy 31 in the SBIBS2

Deuteronomy 31 in the SBICS

Deuteronomy 31 in the SBIDS

Deuteronomy 31 in the SBIGS

Deuteronomy 31 in the SBIHS

Deuteronomy 31 in the SBIIS

Deuteronomy 31 in the SBIIS2

Deuteronomy 31 in the SBIIS3

Deuteronomy 31 in the SBIKS

Deuteronomy 31 in the SBIKS2

Deuteronomy 31 in the SBIMS

Deuteronomy 31 in the SBIOS

Deuteronomy 31 in the SBIPS

Deuteronomy 31 in the SBISS

Deuteronomy 31 in the SBITS

Deuteronomy 31 in the SBITS2

Deuteronomy 31 in the SBITS3

Deuteronomy 31 in the SBITS4

Deuteronomy 31 in the SBIUS

Deuteronomy 31 in the SBIVS

Deuteronomy 31 in the SBT

Deuteronomy 31 in the SBT1E

Deuteronomy 31 in the SCHL

Deuteronomy 31 in the SNT

Deuteronomy 31 in the SUSU

Deuteronomy 31 in the SUSU2

Deuteronomy 31 in the SYNO

Deuteronomy 31 in the TBIAOTANT

Deuteronomy 31 in the TBT1E

Deuteronomy 31 in the TBT1E2

Deuteronomy 31 in the TFTIP

Deuteronomy 31 in the TFTU

Deuteronomy 31 in the TGNTATF3T

Deuteronomy 31 in the THAI

Deuteronomy 31 in the TNFD

Deuteronomy 31 in the TNT

Deuteronomy 31 in the TNTIK

Deuteronomy 31 in the TNTIL

Deuteronomy 31 in the TNTIN

Deuteronomy 31 in the TNTIP

Deuteronomy 31 in the TNTIZ

Deuteronomy 31 in the TOMA

Deuteronomy 31 in the TTENT

Deuteronomy 31 in the UBG

Deuteronomy 31 in the UGV

Deuteronomy 31 in the UGV2

Deuteronomy 31 in the VBL

Deuteronomy 31 in the VDCC

Deuteronomy 31 in the YALU

Deuteronomy 31 in the YAPE

Deuteronomy 31 in the YBVTP

Deuteronomy 31 in the ZBP