Esther 2 (UGV3)
1 Bād meṅ jab bādshāh kā ġhussā ṭhanḍā ho gayā to malikā use dubārā yād āne lagī. Jo kuchh Washtī ne kiyā thā aur jo faislā us ke bāre meṅ huā thā wuh bhī us ke zahan meṅ ghūmtā rahā. 2 Phir us ke mulāzimoṅ ne ḳhayāl pesh kiyā, “Kyoṅ na pūrī saltanat meṅ shahanshāh ke lie ḳhūbsūrat kuṅwāriyāṅ talāsh kī jāeṅ? 3 Bādshāh apnī saltanat ke har sūbe meṅ afsar muqarrar kareṅ jo yih ḳhūbsūrat kuṅwāriyāṅ chun kar Sosan ke qile ke zanānḳhāne meṅ lāeṅ. Unheṅ zanānḳhāne ke inchārj Haijā ḳhwājāsarā kī nigarānī meṅ de diyā jāe aur un kī ḳhūbsūratī baṛhāne ke lie rang nikhārne kā har zarūrī tarīqā istemāl kiyā jāe. 4 Phir jo laṛkī bādshāh ko sab se zyādā pasand āe wuh Washtī kī jagah malikā ban jāe.”Yih mansūbā bādshāh ko achchhā lagā, aur us ne aisā hī kiyā. 5 Us waqt Sosan ke qile meṅ Binyamīn ke qabīle kā ek Yahūdī rahtā thā jis kā nām Mardakī bin Yāīr bin Simaī bin Qīs thā. 6 Mardakī kā ḳhāndān un Isrāīliyoṅ meṅ shāmil thā jin ko Bābal kā bādshāh Nabūkadnazzar Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn ke sāth jilāwatan karke apne sāth le gayā thā. 7 Mardakī ke chachā kī ek nihāyat ḳhūbsūrat beṭī banām Hadassāh thī jo Āstar bhī kahlātī thī. Us ke wālidain ke marne par Mardakī ne use le kar apnī beṭī kī haisiyat se pāl liyā thā. 8 Jab bādshāh kā hukm sādir huā to bahut-sī laṛkiyoṅ ko Sosan ke qile meṅ lā kar zanānḳhāne ke inchārj Haijā ke sapurd kar diyā gayā. Āstar bhī un laṛkiyoṅ meṅ shāmil thī. 9 Wuh Haijā ko pasand āī balki use us kī ḳhās mehrbānī hāsil huī. Ḳhwājāsarā ne jaldī jaldī banāw-singār kā silsilā shurū kiyā, khāne-pīne kā munāsib intazām karwāyā aur shāhī mahal kī sāt chunīdā naukarāniyāṅ Āstar ke hawāle kar dīṅ. Rihāish ke lie Āstar aur us kī laṛkiyoṅ ko zanānḳhāne ke sab se achchhe kamre die gae. 10 Āstar ne kisī ko nahīṅ batāyā thā ki maiṅ Yahūdī aurat hūṅ, kyoṅki Mardakī ne use hukm diyā thā ki is ke bāre meṅ ḳhāmosh rahe. 11 Har din Mardakī zanānḳhāne ke sahan se guzartā tāki Āstar ke hāl kā patā kare aur yih ki us ke sāth kyā kyā ho rahā hai. 12 12-13 Aḳhaswerus Bādshāh se milne se pahle har kuṅwārī ko bārah mahīnoṅ kā muqarrarā banāw-singār karwānā thā, chhih māh mur ke tel se aur chhih māh balsān ke tel aur rang nikhārne ke dīgar tarīqoṅ se. Jab use bādshāh ke mahal meṅ jānā thā to zanānḳhāne kī jo bhī chīz wuh apne sāth lenā chāhtī use dī jātī. 14 Shām ke waqt wuh mahal meṅ jātī aur agle din use subah ke waqt dūsre zanānḳhāne meṅ lāyā jātā jahāṅ bādshāh kī dāshtāeṅ shāshjaz ḳhwājāsarā kī nigarānī meṅ rahtī thīṅ. Is ke bād wuh phir kabhī bādshāh ke pās na ātī. Use sirf isī sūrat meṅ wāpas lāyā jātā ki wuh bādshāh ko ḳhās pasand ātī aur wuh us kā nām le kar use bulātā. 15 Hote hote Āstar bint Abīḳhail kī bārī āī. (Abīḳhail Mardakī kā chachā thā, aur Mardakī ne us kī beṭī ko lepālak banā liyā thā.) Jab Āstar se pūchhā gayā ki āp zanānḳhāne kī kyā chīzeṅ apne sāth le jānā chāhtī haiṅ to us ne sirf wuh kuchh le liyā jo Haijā ḳhwājāsarā ne us ke lie chunā. Aur jis ne bhī use dekhā us ne use sarāhā. 16 Chunāṅche use bādshāh kī hukūmat ke sātweṅ sāl ke dasweṅ mahīne banām tebat meṅ Aḳhaswerus ke pās mahal meṅ lāyā gayā. 17 Bādshāh ko Āstar dūsrī laṛkiyoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā pyārī lagī. Dīgar tamām kuṅwāriyoṅ kī nisbat use us kī ḳhās qabūliyat aur mehrbānī hāsil huī. Chunāṅche bādshāh ne us ke sar par tāj rakh kar use Washtī kī jagah malikā banā diyā. 18 Is mauqe kī ḳhushī meṅ us ne Āstar ke ezāz meṅ baṛī ziyāfat kī. Tamām shurafā aur afsaroṅ ko dāwat dī gaī. Sāth sāth sūboṅ meṅ kuchh ṭaiksoṅ kī muāfī kā elān kiyā gayā aur faiyāzī se tohfe taqsīm kie gae. 19 Jab kuṅwāriyoṅ ko ek bār phir jamā kiyā gayā to Mardakī shāhī sahan ke darwāze meṅ baiṭhā thā. 20 Āstar ne ab tak kisī ko nahīṅ batāyā thā ki maiṅ Yahūdī hūṅ, kyoṅki Mardakī ne yih batāne se manā kiyā thā. Pahle kī tarah jab wuh us ke ghar meṅ rahtī thī ab bhī Āstar us kī har bāt māntī thī. 21 Ek din jab Mardakī shāhī sahan ke darwāze meṅ baiṭhā thā to do ḳhwājāsarā banām Bigtān aur Tarsh ġhusse meṅ ā kar Aḳhaswerus ko qatl karne kī sāzisheṅ karne lage. Donoṅ shāhī kamroṅ ke pahredār the. 22 Mardakī ko patā chalā to us ne Āstar ko ḳhabar pahuṅchāī jis ne Mardakī kā nām le kar bādshāh ko ittalā dī. 23 Muāmale kī taftīsh kī gaī to durust sābit huā, aur donoṅ mulāzimoṅ ko phāṅsī de dī gaī. Yih wāqiyā bādshāh kī maujūdagī meṅ us kitāb meṅ darj kiyā gayā jis meṅ rozānā us kī hukūmat ke aham wāqiyāt likhe jāte the.