Exodus 39 (UGV3)
1 Bazliyel kī hidāyat par kārīgaroṅ ne nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā le kar maqdis meṅ ḳhidmat ke lie libās banāe. Unhoṅ ne Hārūn ke muqaddas kapṛe un hidāyāt ke ain mutābiq banāe jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 2 Unhoṅ ne imām-e-āzam kā bālāposh banāne ke lie sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā. 3 Unhoṅ ne sone ko kūṭ kūṭ kar warq banāyā aur phir use kāṭ kar dhāge banāe. Jab nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāyā gayā to sone kā yih dhāgā mahārat se kaṛhāī ke kām meṅ istemāl huā. 4 Unhoṅ ne bālāposh ke lie do paṭṭiyāṅ banāīṅ aur unheṅ bālāposh ke kandhoṅ par rakh kar sāmne aur pīchhe se bālāposh ke sāth lagāīṅ. 5 Paṭkā bhī banāyā gayā jis se bālāposh ko bāndhā jātā thā. Is ke lie bhī sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl huā. Yih un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 6 Phir unhoṅ ne aqīq-e-ahmar ke do patthar chun lie aur unheṅ sone ke ḳhānoṅ meṅ jaṛ kar un par Isrāīl ke bārah beṭoṅ ke nām kandā kie. Yih nām jauharoṅ par us tarah kandā kie gae jis tarah muhr kandā kī jātī hai. 7 Unhoṅ ne pattharoṅ ko bālāposh kī do paṭṭiyoṅ par yoṅ lagāyā ki wuh Hārūn ke kandhoṅ par Rab ko Isrāīliyoṅ kī yād dilāte raheṅ. Yih sab kuchh Rab kī dī gaī hidāyāt ke ain mutābiq huā. 8 Is ke bād unhoṅ ne sīne kā kīsā banāyā. Yih māhir kārīgar kā kām thā aur unhīṅ chīzoṅ se banā jin se Hārūn kā bālāposh bhī banā thā yānī sone aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se. 9 Jab kapṛe ko ek dafā tah kiyā gayā to kīse kī lambāī aur chauṛāī nau nau inch thī. 10 Unhoṅ ne us par chār qatāroṅ meṅ jawāhar jaṛe. Har qatār meṅ tīn tīn jauhar the. Pahlī qatār meṅ lāl, zabarjad aur zumurrad. 11 Dūsrī meṅ fīrozā, sang-e-lājaward aur hajrul-qamar. 12 Tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġhawānī. 13 Chauthī meṅ pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab. Har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛā huā thā. 14 Yih bārah jawāhar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī numāindagī karte the. Ek ek jauhar par ek qabīle kā nām kandā kiyā gayā, aur yih nām us tarah kandā kie gae jis tarah muhr kandā kī jātī hai. 15 Ab unhoṅ ne sīne ke kīse ke lie ḳhālis sone kī do zanjīreṅ banāīṅ jo ḍorī kī tarah gundhī huī thīṅ. 16 Sāth sāth unhoṅ ne sone ke do ḳhāne aur do kaṛe bhī banāe. Unhoṅ ne yih kaṛe kīse ke ūpar ke do konoṅ par lagāe. 17 Phir donoṅ zanjīreṅ un do kaṛoṅ ke sāth lagāī gaīṅ. 18 Un ke dūsre sire bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāth joṛ die gae. Phir sāmne kī taraf lagāe gae. 19 Unhoṅ ne kīse ke nichle do konoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagāe. Wuh andar, bālāposh kī taraf lage the. 20 Ab unhoṅ ne do aur kaṛe banā kar bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ par lagāe. Yih bhī sāmne kī taraf lage the lekin nīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī. 21 Unhoṅ ne sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh ke in nichle kaṛoṅ ke sāth bāndhe. Yoṅ kīsā paṭke ke ūpar achchhī tarah sīne ke sāth lagā rahā. Yih un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 22 Phir kārīgaroṅ ne choġhā bunā. Wuh pūrī tarah nīle dhāge se banāyā gayā. Choġhe ko bālāposh se pahle pahnanā thā. 23 Us ke garebān ko bune hue kālar se mazbūt kiyā gayā tāki wuh na phaṭe. 24 Unhoṅ ne nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se anār banā kar unheṅ choġhe ke dāman meṅ lagā diyā. 25 Un ke darmiyān ḳhālis sone kī ghanṭiyāṅ lagāī gaīṅ. 26 Dāman meṅ anār aur ghanṭiyāṅ bārī bārī lagāī gaīṅ. Lāzim thā ki Hārūn ḳhidmat karne ke lie hameshā yih choġhā pahne. Rab ne Mūsā ko yihī hukm diyā thā. 27 Kārīgaroṅ ne Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie bārīk katān ke zerjāme banāe. Yih bunane wāle kā kām thā. 28 Sāth sāth unhoṅ ne bārīk katān kī pagaṛiyāṅ aur bārīk katān ke pājāme banāe. 29 Kamarband ko bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se banāyā gayā. Kaṛhāī karne wāloṅ ne is par kām kiyā. Sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 30 Unhoṅ ne muqaddas tāj yānī ḳhālis sone kī taḳhtī banāī aur us par yih alfāz kandā kie, ‘Rab ke lie Maḳhsūs-o-Muqaddas.’ 31 Phir unhoṅ ne ise nīlī ḍorī se pagaṛī ke sāmne wāle hisse se lagā diyā. Yih bhī un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 32 Āḳhirkār maqdis kā kām mukammal huā. Isrāīliyoṅ ne sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā thā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 33 Wuh maqdis kī tamām chīzeṅ Mūsā ke pās le āe yānī muqaddas ḳhaimā aur us kā sārā sāmān, us kī hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aur pāe, 34 ḳhaime par menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāloṅ kā ġhilāf aur taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf, Muqaddastarīn Kamre ke darwāze kā pardā, 35 ahd kā sandūq jis meṅ sharīat kī taḳhtiyāṅ rakhnī thīṅ, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur us kā ḍhaknā, 36 maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ, 37 ḳhālis sone kā shamādān aur us par rakhne ke charāġh us ke sāre sāmān samet, shamādān ke lie tel, 38 baḳhūr jalāne kī sone kī qurbāngāh, masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr, muqaddas ḳhaime ke darwāze kā pardā, 39 jānwaroṅ ko chaṛhāne kī pītal kī qurbāngāh, us kā pītal kā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhnā thā, 40 chārdīwārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāze kā pardā, chārdīwārī ke rasse aur meḳheṅ, mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne kā bāqī sārā sāmān 41 aur maqdis meṅ ḳhidmat karne ke wuh muqaddas libās jo Hārūn aur us ke beṭoṅ ko pahnane the. 42 Sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā thā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. 43 Mūsā ne tamām chīzoṅ kā muāynā kiyā aur mālūm kiyā ki unhoṅ ne sab kuchh Rab kī hidāyāt ke mutābiq banāyā thā. Tab us ne unheṅ barkat dī.