Ezekiel 23 (UGV3)

1 Rab mujh se hamkalām huā, 2 “Ai ādamzād, do auratoṅ kī kahānī sun le. Donoṅ ek hī māṅ kī beṭiyāṅ thīṅ. 3 Wuh abhī jawān hī thīṅ jab Misr meṅ kasbī ban gaīṅ. Wahīṅ mard donoṅ kuṅwāriyoṅ kī chhātiyāṅ sahlā kar apnā dil bahlāte the. 4 Baṛī kā nām Aholā aur chhoṭī kā nām Aholībā thā. Aholā Sāmariya aur Aholībā Yarūshalam hai. Maiṅ donoṅ kā mālik ban gayā, aur donoṅ ke beṭe-beṭiyāṅ paidā hue. 5 Go maiṅ Aholā kā mālik thā to bhī wuh zinā karne lagī. Shahwat se bhar kar wuh jangjū Asūriyoṅ ke pīchhe paṛ gaī, aur yihī us ke āshiq ban gae. 6 Shāndār kapṛoṅ se mulabbas yih gawarnar aur faujī afsar use baṛe pyāre lage. Sab ḳhūbsūrat jawān aur achchhe ghuṛsawār the. 7 Asūr ke chīdā chīdā beṭoṅ se us ne zinā kiyā. Jis kī bhī use shahwat thī us se aur us ke butoṅ se wuh nāpāk huī. 8 Lekin us ne jawānī meṅ Misriyoṅ ke sāth jo zinākārī shurū huī wuh bhī na chhoṛī. Wuhī log the jo us ke sāth us waqt hambistar hue the jab wuh abhī kuṅwārī thī, jinhoṅ ne us kī chhātiyāṅ sahlā kar apnī gandī ḳhāhishāt us se pūrī kī thīṅ. 9 Yih dekh kar maiṅ ne use us ke Asūrī āshiqoṅ ke hawāle kar diyā, unhīṅ ke hawāle jin kī shadīd shahwat use thī. 10 Unhīṅ se Aholā kī adālat huī. Unhoṅ ne us ke kapṛe utār kar use barahnā kar diyā aur us ke beṭe-beṭiyoṅ ko us se chhīn liyā. Use ḳhud unhoṅ ne talwār se mār ḍālā. Yoṅ wuh dīgar auratoṅ ke lie ibratangez misāl ban gaī. 11 Go us kī bahan Aholībā ne yih sab kuchh dekhā to bhī wuh shahwat aur zinākārī ke lihāz se apnī bahan se kahīṅ zyādā āge baṛhaī. 12 Wuh bhī shahwat ke māre Asūriyoṅ ke pīchhe paṛ gaī. Yih ḳhūbsūrat jawān sab use pyāre the, ḳhāh Asūrī gawarnar yā afsar, ḳhāh shāndār kapṛoṅ se mulabbas faujī yā achchhe ghuṛsawār the. 13 Maiṅ ne dekhā ki us ne bhī apne āp ko nāpāk kar diyā. Is meṅ donoṅ beṭiyāṅ ek jaisī thīṅ. 14 Lekin Aholībā kī zinākārānā harkateṅ kahīṅ zyādā burī thīṅ. Ek din us ne dīwār par Bābal ke mardoṅ kī taswīr dekhī. Taswīr lāl rang se khīṅchī huī thī. 15 Mardoṅ kī kamr meṅ paṭkā aur sar par pagaṛī bandhī huī thī. Wuh Bābal ke un afsaroṅ kī mānind lagte the jo rathoṅ par sawār laṛte haiṅ. 16 Mardoṅ kī taswīr deḳhte hī Aholībā ke dil meṅ un ke lie shadīd ārzū paidā huī. Chunāṅche us ne apne qāsidoṅ ko Bābal bhej kar unheṅ āne kī dāwat dī. 17 Tab Bābal ke mard us ke pās āe aur us se hambistar hue. Apnī zinākārī se unhoṅ ne use nāpāk kar diyā. Lekin un se nāpāk hone ke bād us ne tang ā kar apnā muṅh un se pher liyā. 18 Jab us ne khule taur par un se zinā karke apnī barahnagī sab par zāhir kī to maiṅ ne tang ā kar apnā muṅh us se pher liyā, bilkul usī tarah jis tarah maiṅ ne apnā muṅh us kī bahan se bhī pher liyā thā. 19 Lekin yih bhī us ke lie kāfī na thā balki us ne apnī zinākārī meṅ mazīd izāfā kiyā. Use jawānī ke din yād āe jab wuh Misr meṅ kasbī thī. 20 Wuh shahwat ke māre pahle āshiqoṅ kī ārzū karne lagī, un se jo gadhoṅ aur ghoṛoṅ kī-sī jinsī tāqat rakhte the. 21 Kyoṅki tū apnī jawānī kī zinākārī dohrāne kī mutamannī thī. Tū ek bār phir un se hambistar honā chāhtī thī jo Misr meṅ terī chhātiyāṅ sahlā kar apnā dil bahlāte the. 22 Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Ai Aholībā, maiṅ tere āshiqoṅ ko tere ḳhilāf khaṛā karūṅga. Jin se tū ne tang ā kar apnā muṅh pher liyā thā unheṅ maiṅ chāroṅ taraf se tere ḳhilāf lāūṅgā. 23 Bābal, Kasdiyoṅ, Fiqod, Shoa aur Qoa ke faujī mil kar tujh par ṭūṭ paṛeṅge. Ghuṛsawār Asūrī bhī un meṅ shāmil hoṅge, aise ḳhūbsūrat jawān jo sab gawarnar, afsar, rathsawār faujī aur ūṅche tabqe ke afrād hoṅge. 24 Shimāl se wuh rathoṅ aur muḳhtalif qaumoṅ ke muta'addid faujiyoṅ samet tujh par hamlā kareṅge. Wuh tujhe yoṅ gher leṅge ki har taraf chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ, har taraf ḳhod nazar āeṅge. Maiṅ tujhe un ke hawāle kar dūṅgā tāki wuh tujhe sazā de kar apne qawānīn ke mutābiq terī adālat kareṅ. 25 Tū merī ġhairat kā tajrabā karegī, kyoṅki yih log ġhusse meṅ tujh se nipaṭ leṅge. Wuh terī nāk aur kānoṅ ko kāṭ ḍāleṅge aur bache huoṅ ko talwār se maut ke ghāṭ utāreṅge. Tere beṭe-beṭiyoṅ ko wuh le jāeṅge, aur jo kuchh un ke pīchhe rah jāe wuh bhasm ho jāegā. 26 Wuh tere libās aur tere zewarāt ko tujh par se utāreṅge. 27 Yoṅ maiṅ terī wuh fahhāshī aur zinākārī rok dūṅgā jis kā silsilā tū ne Misr meṅ shurū kiyā thā. Tab na tū ārzūmand nazaroṅ se in chīzoṅ kī taraf dekhegī, na Misr ko yād karegī. 28 Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tujhe un ke hawāle karne ko hūṅ jo tujh se nafrat karte haiṅ, un ke hawāle jin se tū ne tang ā kar apnā muṅh pher liyā thā. 29 Wuh baṛī nafrat se tere sāth pesh āeṅge. Jo kuchh tū ne mehnat se kamāyā use wuh chhīn kar tujhe nangī aur barahnā chhoṛeṅge. Tab terī zinākārī kā sharmnāk anjām aur terī fahhāshī sab par zāhir ho jāegī. 30 Tab tujhe is kā ajr milegā ki tū qaumoṅ ke pīchhe paṛ kar zinā kartī rahī, ki tū ne un ke butoṅ kī pūjā karke apne āp ko nāpāk kar diyā hai. 31 Tū apnī bahan ke namūne par chal paṛī, is lie maiṅ tujhe wuhī pyālā pilāūṅgā jo use pīnā paṛā. 32 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tujhe apnī bahan kā pyālā pīnā paṛegā jo baṛā aur gahrā hai. Aur tū us waqt tak use pītī rahegī jab tak mazāq aur lān-tān kā nishānā na ban gaī ho. 33 Dahshat aur tabāhī kā pyālā pī pī kar tū madhoshī aur dukh se bhar jāegī. Tū apnī bahan Sāmariya kā yih pyālā 34 āḳhirī qatre tak pī legī, phir pyāle ko pāsh pāsh karke us ke ṭukṛe chabā legī aur apne sīne ko phāṛ legī.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai. 35 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Tū ne mujhe bhūl kar apnā muṅh mujh se pher liyā hai. Ab tujhe apnī fahhāshī aur zinākārī kā natījā bhugatnā paṛegā.’” 36 Rab mazīd mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, kyā tū Aholā aur Aholībā kī adālat karne ke lie taiyār hai? Phir un par un kī makrūh harkateṅ zāhir kar. 37 Un se do jurm sarzad hue haiṅ, zinā aur qatl. Unhoṅ ne butoṅ se zinā kiyā aur apne bachchoṅ ko jalā kar unheṅ khilāyā, un bachchoṅ ko jo unhoṅ ne mere hāṅ janm die the. 38 Lekin yih un ke lie kāfī nahīṅ thā. Sāth sāth unhoṅ ne merā maqdis nāpāk aur mere Sabat ke dinoṅ kī behurmatī kī. 39 Kyoṅki jab kabhī wuh apne bachchoṅ ko apne butoṅ ke huzūr qurbān kartī thīṅ usī din wuh mere ghar meṅ ā kar us kī behurmatī kartī thīṅ. Mere hī ghar meṅ wuh aisī harkateṅ kartī thīṅ. 40 Yih bhī in do bahnoṅ ke lie kāfī nahīṅ thā balki ādmiyoṅ kī talāsh meṅ unhoṅ ne apne qāsidoṅ ko dūr dūr tak bhej diyā. Jab mard pahuṅche to tū ne un ke lie nahā kar apnī āṅkhoṅ meṅ surmā lagāyā aur apne zewarāt pahan lie. 41 Phir tū shāndār sofe par baiṭh gaī. Tere sāmne mez thī jis par tū ne mere lie maḳhsūs baḳhūr aur tel rakhā thā. 42 Registān se Sibā ke muta'addid ādmī lāe gae to shahr meṅ shor mach gayā, aur logoṅ ne sukūn kā sāṅs liyā. Ādmiyoṅ ne donoṅ bahnoṅ ke bāzuoṅ meṅ kaṛe pahnāe aur un ke saroṅ par shāndār tāj rakhe. 43 Tab maiṅ ne zinākārī se ghisī-phaṭī aurat ke bāre meṅ kahā, ‘Ab wuh us ke sāth zinā kareṅ, kyoṅki wuh zinākār hī hai.’ 44 Aisā hī huā. Mard un behayā bahnoṅ Aholā aur Aholībā se yoṅ hambistar hue jis tarah kasbiyoṅ se. 45 Lekin rāstbāz ādmī un kī adālat karke unheṅ zinā aur qatl ke mujrim ṭhahrāeṅge. Kyoṅki donoṅ bahneṅ zinākār aur qātil hī haiṅ. 46 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un ke ḳhilāf julūs nikāl kar unheṅ dahshat aur lūṭ-mār ke hawāle karo. 47 Log unheṅ sangsār karke talwār se ṭukṛe ṭukṛe kareṅ, wuh un ke beṭe-beṭiyoṅ ko mār ḍāleṅ aur un ke gharoṅ ko nazar-e-ātish kareṅ. 48 Yoṅ maiṅ mulk meṅ zinākārī ḳhatm karūṅga. Is se tamām auratoṅ ko tambīh milegī ki wuh tumhāre sharmnāk namūne par na chaleṅ. 49 Tumheṅ zinākārī aur butparastī kī munāsib sazā milegī. Tab tum jān logī ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.”

In Other Versions

Ezekiel 23 in the ANGEFD

Ezekiel 23 in the ANTPNG2D

Ezekiel 23 in the AS21

Ezekiel 23 in the BAGH

Ezekiel 23 in the BBPNG

Ezekiel 23 in the BBT1E

Ezekiel 23 in the BDS

Ezekiel 23 in the BEV

Ezekiel 23 in the BHAD

Ezekiel 23 in the BIB

Ezekiel 23 in the BLPT

Ezekiel 23 in the BNT

Ezekiel 23 in the BNTABOOT

Ezekiel 23 in the BNTLV

Ezekiel 23 in the BOATCB

Ezekiel 23 in the BOATCB2

Ezekiel 23 in the BOBCV

Ezekiel 23 in the BOCNT

Ezekiel 23 in the BOECS

Ezekiel 23 in the BOGWICC

Ezekiel 23 in the BOHCB

Ezekiel 23 in the BOHCV

Ezekiel 23 in the BOHLNT

Ezekiel 23 in the BOHNTLTAL

Ezekiel 23 in the BOICB

Ezekiel 23 in the BOILNTAP

Ezekiel 23 in the BOITCV

Ezekiel 23 in the BOKCV

Ezekiel 23 in the BOKCV2

Ezekiel 23 in the BOKHWOG

Ezekiel 23 in the BOKSSV

Ezekiel 23 in the BOLCB

Ezekiel 23 in the BOLCB2

Ezekiel 23 in the BOMCV

Ezekiel 23 in the BONAV

Ezekiel 23 in the BONCB

Ezekiel 23 in the BONLT

Ezekiel 23 in the BONUT2

Ezekiel 23 in the BOPLNT

Ezekiel 23 in the BOSCB

Ezekiel 23 in the BOSNC

Ezekiel 23 in the BOTLNT

Ezekiel 23 in the BOVCB

Ezekiel 23 in the BOYCB

Ezekiel 23 in the BPBB

Ezekiel 23 in the BPH

Ezekiel 23 in the BSB

Ezekiel 23 in the CCB

Ezekiel 23 in the CUV

Ezekiel 23 in the CUVS

Ezekiel 23 in the DBT

Ezekiel 23 in the DGDNT

Ezekiel 23 in the DHNT

Ezekiel 23 in the DNT

Ezekiel 23 in the ELBE

Ezekiel 23 in the EMTV

Ezekiel 23 in the ESV

Ezekiel 23 in the FBV

Ezekiel 23 in the FEB

Ezekiel 23 in the GGMNT

Ezekiel 23 in the GNT

Ezekiel 23 in the HARY

Ezekiel 23 in the HNT

Ezekiel 23 in the IRVA

Ezekiel 23 in the IRVB

Ezekiel 23 in the IRVG

Ezekiel 23 in the IRVH

Ezekiel 23 in the IRVK

Ezekiel 23 in the IRVM

Ezekiel 23 in the IRVM2

Ezekiel 23 in the IRVO

Ezekiel 23 in the IRVP

Ezekiel 23 in the IRVT

Ezekiel 23 in the IRVT2

Ezekiel 23 in the IRVU

Ezekiel 23 in the ISVN

Ezekiel 23 in the JSNT

Ezekiel 23 in the KAPI

Ezekiel 23 in the KBT1ETNIK

Ezekiel 23 in the KBV

Ezekiel 23 in the KJV

Ezekiel 23 in the KNFD

Ezekiel 23 in the LBA

Ezekiel 23 in the LBLA

Ezekiel 23 in the LNT

Ezekiel 23 in the LSV

Ezekiel 23 in the MAAL

Ezekiel 23 in the MBV

Ezekiel 23 in the MBV2

Ezekiel 23 in the MHNT

Ezekiel 23 in the MKNFD

Ezekiel 23 in the MNG

Ezekiel 23 in the MNT

Ezekiel 23 in the MNT2

Ezekiel 23 in the MRS1T

Ezekiel 23 in the NAA

Ezekiel 23 in the NASB

Ezekiel 23 in the NBLA

Ezekiel 23 in the NBS

Ezekiel 23 in the NBVTP

Ezekiel 23 in the NET2

Ezekiel 23 in the NIV11

Ezekiel 23 in the NNT

Ezekiel 23 in the NNT2

Ezekiel 23 in the NNT3

Ezekiel 23 in the PDDPT

Ezekiel 23 in the PFNT

Ezekiel 23 in the RMNT

Ezekiel 23 in the SBIAS

Ezekiel 23 in the SBIBS

Ezekiel 23 in the SBIBS2

Ezekiel 23 in the SBICS

Ezekiel 23 in the SBIDS

Ezekiel 23 in the SBIGS

Ezekiel 23 in the SBIHS

Ezekiel 23 in the SBIIS

Ezekiel 23 in the SBIIS2

Ezekiel 23 in the SBIIS3

Ezekiel 23 in the SBIKS

Ezekiel 23 in the SBIKS2

Ezekiel 23 in the SBIMS

Ezekiel 23 in the SBIOS

Ezekiel 23 in the SBIPS

Ezekiel 23 in the SBISS

Ezekiel 23 in the SBITS

Ezekiel 23 in the SBITS2

Ezekiel 23 in the SBITS3

Ezekiel 23 in the SBITS4

Ezekiel 23 in the SBIUS

Ezekiel 23 in the SBIVS

Ezekiel 23 in the SBT

Ezekiel 23 in the SBT1E

Ezekiel 23 in the SCHL

Ezekiel 23 in the SNT

Ezekiel 23 in the SUSU

Ezekiel 23 in the SUSU2

Ezekiel 23 in the SYNO

Ezekiel 23 in the TBIAOTANT

Ezekiel 23 in the TBT1E

Ezekiel 23 in the TBT1E2

Ezekiel 23 in the TFTIP

Ezekiel 23 in the TFTU

Ezekiel 23 in the TGNTATF3T

Ezekiel 23 in the THAI

Ezekiel 23 in the TNFD

Ezekiel 23 in the TNT

Ezekiel 23 in the TNTIK

Ezekiel 23 in the TNTIL

Ezekiel 23 in the TNTIN

Ezekiel 23 in the TNTIP

Ezekiel 23 in the TNTIZ

Ezekiel 23 in the TOMA

Ezekiel 23 in the TTENT

Ezekiel 23 in the UBG

Ezekiel 23 in the UGV

Ezekiel 23 in the UGV2

Ezekiel 23 in the VBL

Ezekiel 23 in the VDCC

Ezekiel 23 in the YALU

Ezekiel 23 in the YAPE

Ezekiel 23 in the YBVTP

Ezekiel 23 in the ZBP