Ezra 1 (UGV3)
1 Fāras ke bādshāh Ḳhoras kī hukūmat ke pahle sāl meṅ Rab ne wuh kuchh pūrā hone diyā jis kī peshgoī us ne Yarmiyāh kī mārifat kī thī. Us ne Ḳhoras ko zail kā elān karne kī tahrīk dī. Yih elān zabānī aur tahrīrī taur par pūrī bādshāhī meṅ kiyā gayā. 2 “Fāras kā bādshāh Ḳhoras farmātā hai, Rab āsmān ke Ḳhudā ne duniyā ke tamām mamālik mere hawāle kar die haiṅ. Us ne mujhe Yahūdāh ke shahr Yarūshalam meṅ us ke lie ghar banāne kī zimmedārī dī hai. 3 Āp meṅ se jitne us kī qaum ke haiṅ Yarūshalam ke lie rawānā ho jāeṅ tāki wahāṅ Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie ghar banāeṅ, us Ḳhudā ke lie jo Yarūshalam meṅ sukūnat kartā hai. Āp kā Ḳhudā āp ke sāth ho. 4 Jahāṅ bhī Isrāīlī qaum ke bache hue log rahte haiṅ, wahāṅ un ke paṛosiyoṅ kā farz hai ki wuh sone-chāṅdī aur māl-maweshī se un kī madad kareṅ. Is ke alāwā wuh apnī ḳhushī se Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar ke lie hadiye bhī deṅ.” 5 Tab kuchh Isrāīlī rawānā ho kar Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ko tāmīr karne kī taiyāriyāṅ karne lage. Un meṅ Yahūdāh aur Binyamīn ke ḳhāndānī sarparast, imām aur Lāwī shāmil the yānī jitne logoṅ ko Allāh ne tahrīk dī thī. 6 Un ke tamām paṛosiyoṅ ne unheṅ sonā-chāṅdī aur māl-maweshī de kar un kī madad kī. Is ke alāwā unhoṅ ne apnī ḳhushī se bhī Rab ke ghar ke lie hadiye die. 7 Ḳhoras Bādshāh ne wuh chīzeṅ wāpas kar dīṅ jo Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ Rab ke ghar se lūṭ kar apne dewatā ke mandir meṅ rakh dī thīṅ. 8 Unheṅ nikāl kar Fāras ke bādshāh ne Mitradāt ḳhazāṅchī ke hawāle kar diyā jis ne sab kuchh gin kar Yahūdāh ke buzurg Shesbazzar ko de diyā. 9 Jo fahrist us ne likhī us meṅ zail kī chīzeṅ thīṅ:sone ke 30 bāsan,chāṅdī ke 1,000 bāsan,29 chhuriyāṅ, 10 sone ke 30 pyāle,chāṅdī ke 410 pyāle,bāqī chīzeṅ 1,000 adad. 11 Sone aur chāṅdī kī kul 5,400 chīzeṅ thīṅ. Shesbazzar yih sab kuchh apne sāth le gayā jab wuh jilāwatanoṅ ke sāth Bābal se Yarūshalam ke lie rawānā huā.
In Other Versions
Ezra 1 in the ANGEFD
Ezra 1 in the ANTPNG2D
Ezra 1 in the AS21
Ezra 1 in the BAGH
Ezra 1 in the BBPNG
Ezra 1 in the BBT1E
Ezra 1 in the BDS
Ezra 1 in the BEV
Ezra 1 in the BHAD
Ezra 1 in the BIB
Ezra 1 in the BLPT
Ezra 1 in the BNT
Ezra 1 in the BNTABOOT
Ezra 1 in the BNTLV
Ezra 1 in the BOATCB
Ezra 1 in the BOATCB2
Ezra 1 in the BOBCV
Ezra 1 in the BOCNT
Ezra 1 in the BOECS
Ezra 1 in the BOGWICC
Ezra 1 in the BOHCB
Ezra 1 in the BOHCV
Ezra 1 in the BOHLNT
Ezra 1 in the BOHNTLTAL
Ezra 1 in the BOICB
Ezra 1 in the BOILNTAP
Ezra 1 in the BOITCV
Ezra 1 in the BOKCV
Ezra 1 in the BOKCV2
Ezra 1 in the BOKHWOG
Ezra 1 in the BOKSSV
Ezra 1 in the BOLCB
Ezra 1 in the BOLCB2
Ezra 1 in the BOMCV
Ezra 1 in the BONAV
Ezra 1 in the BONCB
Ezra 1 in the BONLT
Ezra 1 in the BONUT2
Ezra 1 in the BOPLNT
Ezra 1 in the BOSCB
Ezra 1 in the BOSNC
Ezra 1 in the BOTLNT
Ezra 1 in the BOVCB
Ezra 1 in the BOYCB
Ezra 1 in the BPBB
Ezra 1 in the BPH
Ezra 1 in the BSB
Ezra 1 in the CCB
Ezra 1 in the CUV
Ezra 1 in the CUVS
Ezra 1 in the DBT
Ezra 1 in the DGDNT
Ezra 1 in the DHNT
Ezra 1 in the DNT
Ezra 1 in the ELBE
Ezra 1 in the EMTV
Ezra 1 in the ESV
Ezra 1 in the FBV
Ezra 1 in the FEB
Ezra 1 in the GGMNT
Ezra 1 in the GNT
Ezra 1 in the HARY
Ezra 1 in the HNT
Ezra 1 in the IRVA
Ezra 1 in the IRVB
Ezra 1 in the IRVG
Ezra 1 in the IRVH
Ezra 1 in the IRVK
Ezra 1 in the IRVM
Ezra 1 in the IRVM2
Ezra 1 in the IRVO
Ezra 1 in the IRVP
Ezra 1 in the IRVT
Ezra 1 in the IRVT2
Ezra 1 in the IRVU
Ezra 1 in the ISVN
Ezra 1 in the JSNT
Ezra 1 in the KAPI
Ezra 1 in the KBT1ETNIK
Ezra 1 in the KBV
Ezra 1 in the KJV
Ezra 1 in the KNFD
Ezra 1 in the LBA
Ezra 1 in the LBLA
Ezra 1 in the LNT
Ezra 1 in the LSV
Ezra 1 in the MAAL
Ezra 1 in the MBV
Ezra 1 in the MBV2
Ezra 1 in the MHNT
Ezra 1 in the MKNFD
Ezra 1 in the MNG
Ezra 1 in the MNT
Ezra 1 in the MNT2
Ezra 1 in the MRS1T
Ezra 1 in the NAA
Ezra 1 in the NASB
Ezra 1 in the NBLA
Ezra 1 in the NBS
Ezra 1 in the NBVTP
Ezra 1 in the NET2
Ezra 1 in the NIV11
Ezra 1 in the NNT
Ezra 1 in the NNT2
Ezra 1 in the NNT3
Ezra 1 in the PDDPT
Ezra 1 in the PFNT
Ezra 1 in the RMNT
Ezra 1 in the SBIAS
Ezra 1 in the SBIBS
Ezra 1 in the SBIBS2
Ezra 1 in the SBICS
Ezra 1 in the SBIDS
Ezra 1 in the SBIGS
Ezra 1 in the SBIHS
Ezra 1 in the SBIIS
Ezra 1 in the SBIIS2
Ezra 1 in the SBIIS3
Ezra 1 in the SBIKS
Ezra 1 in the SBIKS2
Ezra 1 in the SBIMS
Ezra 1 in the SBIOS
Ezra 1 in the SBIPS
Ezra 1 in the SBISS
Ezra 1 in the SBITS
Ezra 1 in the SBITS2
Ezra 1 in the SBITS3
Ezra 1 in the SBITS4
Ezra 1 in the SBIUS
Ezra 1 in the SBIVS
Ezra 1 in the SBT
Ezra 1 in the SBT1E
Ezra 1 in the SCHL
Ezra 1 in the SNT
Ezra 1 in the SUSU
Ezra 1 in the SUSU2
Ezra 1 in the SYNO
Ezra 1 in the TBIAOTANT
Ezra 1 in the TBT1E
Ezra 1 in the TBT1E2
Ezra 1 in the TFTIP
Ezra 1 in the TFTU
Ezra 1 in the TGNTATF3T
Ezra 1 in the THAI
Ezra 1 in the TNFD
Ezra 1 in the TNT
Ezra 1 in the TNTIK
Ezra 1 in the TNTIL
Ezra 1 in the TNTIN
Ezra 1 in the TNTIP
Ezra 1 in the TNTIZ
Ezra 1 in the TOMA
Ezra 1 in the TTENT
Ezra 1 in the UBG
Ezra 1 in the UGV
Ezra 1 in the UGV2
Ezra 1 in the VBL
Ezra 1 in the VDCC
Ezra 1 in the YALU
Ezra 1 in the YAPE
Ezra 1 in the YBVTP
Ezra 1 in the ZBP