Ezra 4 (UGV3)

1 Yahūdāh aur Binyamīn ke dushmanoṅ ko patā chalā ki watan meṅ wāpas āe hue Isrāīlī Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie ghar tāmīr kar rahe haiṅ. 2 Zarubbābal aur ḳhāndānī sarparastoṅ ke pās ā kar unhoṅ ne darḳhāst kī, “Ham bhī āp ke sāth mil kar Rab ke ghar ko tāmīr karnā chāhte haiṅ. Kyoṅki jab se Asūr ke bādshāh Asarhaddon ne hameṅ yahāṅ lā kar basāyā hai us waqt se ham āp ke Ḳhudā ke tālib rahe aur use qurbāniyāṅ pesh karte āe haiṅ.” 3 Lekin Zarubbābal, Yashua aur Isrāīl ke bāqī ḳhāndānī sarparastoṅ ne inkār kiyā, “Nahīṅ, is meṅ āp kā hamāre sāth koī wāstā nahīṅ. Ham akele hī Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie ghar banāeṅge, jis tarah Fāras ke bādshāh Ḳhoras ne hameṅ hukm diyā hai.” 4 Yih sun kar mulk kī dūsrī qaumeṅ Yahūdāh ke logoṅ kī hauslāshiknī aur unheṅ ḍarāne kī koshish karne lagīṅ tāki wuh imārat banāne se bāz āeṅ. 5 Yahāṅ tak ki wuh Fāras ke bādshāh Ḳhoras ke kuchh mushīroṅ ko rishwat de kar kām rokne meṅ kāmyāb ho gae. Yoṅ Rab ke ghar kī tāmīr Ḳhoras Bādshāh ke daur-e-hukūmat se le kar Dārā Bādshāh kī hukūmat tak rukī rahī. 6 Bād meṅ jab Aḳhaswerus Bādshāh kī hukūmat shurū huī to Isrāīl ke dushmanoṅ ne Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāshindoṅ par ilzām lagā kar shikāyatī ḳhat likhā. 7 Phir Artaḳhshastā Bādshāh ke daur-e-hukūmat meṅ use Yahūdāh ke dushmanoṅ kī taraf se shikāyatī ḳhat bhejā gayā. Ḳhat ke pīchhe ḳhāskar Bishlām, Mitradāt aur Tābiyel the. Pahle use Arāmī zabān meṅ likhā gayā, aur bād meṅ us kā tarjumā huā. 8 Sāmariya ke gawarnar Rahūm aur us ke Mīrmunshī Shamsī ne shahanshāh ko ḳhat likh diyā jis meṅ unhoṅ ne Yarūshalam par ilzāmāt lagāe. Pate meṅ likhā thā, 9 Az: Rahūm Gawarnar aur Mīrmunshī Shamsī, nīz un ke hamḳhidmat qāzī, safīr aur Tarpal, Sippar, Arak, Bābal aur Sosan yānī Ailām ke mard, 10 nīz bāqī tamām qaumeṅ jin ko azīm aur azīz bādshāh Ashūrbanīpāl ne uṭhā kar Sāmariya aur Dariyā-e-Furāt ke bāqīmāndā maġhribī ilāqe meṅ basā diyā thā. 11 Ḳhat meṅ likhā thā,“Shahanshāh Artaḳhshastā ke nām,Az: āp ke ḳhādim jo Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ rahte haiṅ. 12 Shahanshāh ko ilm ho ki jo Yahūdī āp ke huzūr se hamāre pās Yarūshalam pahuṅche haiṅ wuh is waqt us bāġhī aur sharīr shahr ko nae sire se tāmīr kar rahe haiṅ. Wuh fasīl ko bahāl karke buniyādoṅ kī marammat kar rahe haiṅ. 13 Shahanshāh ko ilm ho ki agar shahr nae sire se tāmīr ho jāe aur us kī fasīl takmīl tak pahuṅche to yih log ṭaiks, ḳharāj aur mahsūl adā karne se inkār kar deṅge. Tab bādshāh ko nuqsān pahuṅchegā. 14 Ham to namak-harām nahīṅ haiṅ, na shahanshāh kī tauhīn bardāsht kar sakte haiṅ. Is lie ham guzārish karte haiṅ 15 ki āp apne bāpdādā kī tārīḳhī dastāwezāt se Yarūshalam ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kareṅ, kyoṅki un meṅ is bāt kī tasdīq milegī ki yih shahr māzī meṅ sarkash rahā. Haqīqat meṅ shahr ko isī lie tabāh kiyā gayā ki wuh bādshāhoṅ aur sūboṅ ko tang kartā rahā aur qadīm zamāne se hī baġhāwat kā mambā rahā hai. 16 Ġharz ham shahanshāh ko ittalā dete haiṅ ki agar Yarūshalam ko dubārā tāmīr kiyā jāe aur us kī fasīl takmīl tak pahuṅche to Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe par āp kā qābū jātā rahegā.” 17 Shahanshāh ne jawāb meṅ likhā,“Maiṅ yih ḳhat Rahūm Gawarnar, Shamsī Mīrmunshī aur Sāmariya aur Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ rahne wāle un ke hamḳhidmat afsaroṅ ko likh rahā hūṅ.Āp ko salām! 18 Āp ke ḳhat kā tarjumā merī maujūdagī meṅ huā hai aur use mere sāmne paṛhā gayā hai. 19 Mere hukm par Yarūshalam ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kī gaī haiṅ. Mālūm huā ki wāqaī yih shahr qadīm zamāne se bādshāhoṅ kī muḳhālafat karke sarkashī aur baġhāwat kā mambā rahā hai. 20 Nīz, Yarūshalam tāqatwar bādshāhoṅ kā dārul-hukūmat rahā hai. Un kī itnī tāqat thī ki Dariyā-e-Furāt ke pūre maġhribī ilāqe ko unheṅ muḳhtalif qism ke ṭaiks aur ḳharāj adā karnā paṛā. 21 Chunāṅche ab hukm deṅ ki yih ādmī shahr kī tāmīr karne se bāz āeṅ. Jab tak maiṅ ḳhud hukm na dūṅ us waqt tak shahr ko nae sire se tāmīr karne kī ijāzat nahīṅ hai. 22 Dhyān deṅ ki is hukm kī takmīl meṅ sustī na kī jāe, aisā na ho ki shahanshāh ko baṛā nuqsān pahuṅche.” 23 Jyoṅ hī ḳhat kī kāpī Rahūm, Shamsī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ko paṛh kar sunāī gaī to wuh Yarūshalam ke lie rawānā hue aur Yahūdiyoṅ ko zabardastī kām jārī rakhne se rok diyā. 24 Chunāṅche Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar kā tāmīrī kām ruk gayā, aur wuh Fāras ke bādshāh Dārā kī hukūmat ke dūsre sāl tak rukā rahā.

In Other Versions

Ezra 4 in the ANGEFD

Ezra 4 in the ANTPNG2D

Ezra 4 in the AS21

Ezra 4 in the BAGH

Ezra 4 in the BBPNG

Ezra 4 in the BBT1E

Ezra 4 in the BDS

Ezra 4 in the BEV

Ezra 4 in the BHAD

Ezra 4 in the BIB

Ezra 4 in the BLPT

Ezra 4 in the BNT

Ezra 4 in the BNTABOOT

Ezra 4 in the BNTLV

Ezra 4 in the BOATCB

Ezra 4 in the BOATCB2

Ezra 4 in the BOBCV

Ezra 4 in the BOCNT

Ezra 4 in the BOECS

Ezra 4 in the BOGWICC

Ezra 4 in the BOHCB

Ezra 4 in the BOHCV

Ezra 4 in the BOHLNT

Ezra 4 in the BOHNTLTAL

Ezra 4 in the BOICB

Ezra 4 in the BOILNTAP

Ezra 4 in the BOITCV

Ezra 4 in the BOKCV

Ezra 4 in the BOKCV2

Ezra 4 in the BOKHWOG

Ezra 4 in the BOKSSV

Ezra 4 in the BOLCB

Ezra 4 in the BOLCB2

Ezra 4 in the BOMCV

Ezra 4 in the BONAV

Ezra 4 in the BONCB

Ezra 4 in the BONLT

Ezra 4 in the BONUT2

Ezra 4 in the BOPLNT

Ezra 4 in the BOSCB

Ezra 4 in the BOSNC

Ezra 4 in the BOTLNT

Ezra 4 in the BOVCB

Ezra 4 in the BOYCB

Ezra 4 in the BPBB

Ezra 4 in the BPH

Ezra 4 in the BSB

Ezra 4 in the CCB

Ezra 4 in the CUV

Ezra 4 in the CUVS

Ezra 4 in the DBT

Ezra 4 in the DGDNT

Ezra 4 in the DHNT

Ezra 4 in the DNT

Ezra 4 in the ELBE

Ezra 4 in the EMTV

Ezra 4 in the ESV

Ezra 4 in the FBV

Ezra 4 in the FEB

Ezra 4 in the GGMNT

Ezra 4 in the GNT

Ezra 4 in the HARY

Ezra 4 in the HNT

Ezra 4 in the IRVA

Ezra 4 in the IRVB

Ezra 4 in the IRVG

Ezra 4 in the IRVH

Ezra 4 in the IRVK

Ezra 4 in the IRVM

Ezra 4 in the IRVM2

Ezra 4 in the IRVO

Ezra 4 in the IRVP

Ezra 4 in the IRVT

Ezra 4 in the IRVT2

Ezra 4 in the IRVU

Ezra 4 in the ISVN

Ezra 4 in the JSNT

Ezra 4 in the KAPI

Ezra 4 in the KBT1ETNIK

Ezra 4 in the KBV

Ezra 4 in the KJV

Ezra 4 in the KNFD

Ezra 4 in the LBA

Ezra 4 in the LBLA

Ezra 4 in the LNT

Ezra 4 in the LSV

Ezra 4 in the MAAL

Ezra 4 in the MBV

Ezra 4 in the MBV2

Ezra 4 in the MHNT

Ezra 4 in the MKNFD

Ezra 4 in the MNG

Ezra 4 in the MNT

Ezra 4 in the MNT2

Ezra 4 in the MRS1T

Ezra 4 in the NAA

Ezra 4 in the NASB

Ezra 4 in the NBLA

Ezra 4 in the NBS

Ezra 4 in the NBVTP

Ezra 4 in the NET2

Ezra 4 in the NIV11

Ezra 4 in the NNT

Ezra 4 in the NNT2

Ezra 4 in the NNT3

Ezra 4 in the PDDPT

Ezra 4 in the PFNT

Ezra 4 in the RMNT

Ezra 4 in the SBIAS

Ezra 4 in the SBIBS

Ezra 4 in the SBIBS2

Ezra 4 in the SBICS

Ezra 4 in the SBIDS

Ezra 4 in the SBIGS

Ezra 4 in the SBIHS

Ezra 4 in the SBIIS

Ezra 4 in the SBIIS2

Ezra 4 in the SBIIS3

Ezra 4 in the SBIKS

Ezra 4 in the SBIKS2

Ezra 4 in the SBIMS

Ezra 4 in the SBIOS

Ezra 4 in the SBIPS

Ezra 4 in the SBISS

Ezra 4 in the SBITS

Ezra 4 in the SBITS2

Ezra 4 in the SBITS3

Ezra 4 in the SBITS4

Ezra 4 in the SBIUS

Ezra 4 in the SBIVS

Ezra 4 in the SBT

Ezra 4 in the SBT1E

Ezra 4 in the SCHL

Ezra 4 in the SNT

Ezra 4 in the SUSU

Ezra 4 in the SUSU2

Ezra 4 in the SYNO

Ezra 4 in the TBIAOTANT

Ezra 4 in the TBT1E

Ezra 4 in the TBT1E2

Ezra 4 in the TFTIP

Ezra 4 in the TFTU

Ezra 4 in the TGNTATF3T

Ezra 4 in the THAI

Ezra 4 in the TNFD

Ezra 4 in the TNT

Ezra 4 in the TNTIK

Ezra 4 in the TNTIL

Ezra 4 in the TNTIN

Ezra 4 in the TNTIP

Ezra 4 in the TNTIZ

Ezra 4 in the TOMA

Ezra 4 in the TTENT

Ezra 4 in the UBG

Ezra 4 in the UGV

Ezra 4 in the UGV2

Ezra 4 in the VBL

Ezra 4 in the VDCC

Ezra 4 in the YALU

Ezra 4 in the YAPE

Ezra 4 in the YBVTP

Ezra 4 in the ZBP