Genesis 10 (UGV3)

1 Yih Nūh ke beṭoṅ Sim, Hām aur Yāfat kā nasabnāmā hai. Un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue. 2 Yāfat ke beṭe Jumar, Mājūj, Mādī, Yāwān, Tūbal, Masak aur Tīrās the. 3 Jumar ke beṭe Ashkanāz, Rīfat aur Tujarmā the. 4 Yāwān ke beṭe Ilīsā aur Tarsīs the. Kittī aur Dodānī bhī us kī aulād haiṅ. 5 Wuh un qaumoṅ ke ābā-o-ajdād haiṅ jo sāhilī ilāqoṅ aur jazīroṅ meṅ phail gaīṅ. Yih Yāfat kī aulād haiṅ jo apne apne qabīle aur mulk meṅ rahte hue apnī apnī zabān bolte haiṅ. 6 Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aur Kanān the. 7 Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the. 8 Kūsh kā ek aur beṭā banām Namrūd thā. Wuh duniyā meṅ pahlā zabardast hākim thā. 9 Rab ke nazdīk wuh zabardast shikārī thā. Is lie āj bhī kisī achchhe shikārī ke bāre meṅ kahā jātā hai, “Wuh Namrūd kī mānind hai jo Rab ke nazdīk zabardast shikārī thā.” 10 Us kī saltanat ke pahle markaz Mulk-e-Sinār meṅ Bābal, Arak, Akkād aur Kalnā ke shahr the. 11 Us mulk se nikal kar wuh Asūr chalā gayā jahāṅ us ne Nīnwā, Rahobot-īr, Kalah 12 aur Rasan ke shahr tāmīr kie. Baṛā shahr Rasan Nīnwā aur Kalah ke darmiyān wāqe hai. 13 Misr in qaumoṅ kā bāp thā: Lūdī, Anāmī, Lihābī, Naftūhī, 14 Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī. 15 Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān zail kī qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī 16 Yabūsī, Amorī, Jirjāsī, 17 Hiwwī, Arqī, Sīnī, 18 Arwādī, Samārī aur Hamātī. Bād meṅ Kanānī qabīle itne phail gae 19 ki un kī hudūd shimāl meṅ Saidā se junūb kī taraf Jirār se ho kar Ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriq kī taraf Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm se ho kar lasā tak thīṅ. 20 Yih sab Hām kī aulād haiṅ, jo un ke apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ. 21 Sim Yāfat kā baṛā bhāī thā. Us ke bhī beṭe paidā hue. Sim tamām banī Ibar kā bāp hai. 22 Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the. 23 Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Mas the. 24 Arfaksad kā beṭā Silah aur Silah kā beṭā Ibar thā. 25 Ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā. 26 Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf, Hasarmāwat, Irāḳh, 27 Hadūrām, Ūzāl, Diqlā, 28 Ūbāl, Abīmāel, Sabā, 29 Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yih sab Yuqtān ke beṭe the. 30 Wuh Mesā se le kar Safār aur mashriqī pahāṛī ilāqe tak ābād the. 31 Yih sab Sim kī aulād haiṅ, jo apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ. 32 Yih sab Nūh ke beṭoṅ ke qabīle haiṅ, jo apnī nasloṅ aur qaumoṅ ke mutābiq darj kie gae haiṅ. Sailāb ke bād tamām qaumeṅ inhīṅ se nikal kar rū-e-zamīn par phail gaīṅ.

In Other Versions

Genesis 10 in the ANGEFD

Genesis 10 in the ANTPNG2D

Genesis 10 in the AS21

Genesis 10 in the BAGH

Genesis 10 in the BBPNG

Genesis 10 in the BBT1E

Genesis 10 in the BDS

Genesis 10 in the BEV

Genesis 10 in the BHAD

Genesis 10 in the BIB

Genesis 10 in the BLPT

Genesis 10 in the BNT

Genesis 10 in the BNTABOOT

Genesis 10 in the BNTLV

Genesis 10 in the BOATCB

Genesis 10 in the BOATCB2

Genesis 10 in the BOBCV

Genesis 10 in the BOCNT

Genesis 10 in the BOECS

Genesis 10 in the BOGWICC

Genesis 10 in the BOHCB

Genesis 10 in the BOHCV

Genesis 10 in the BOHLNT

Genesis 10 in the BOHNTLTAL

Genesis 10 in the BOICB

Genesis 10 in the BOILNTAP

Genesis 10 in the BOITCV

Genesis 10 in the BOKCV

Genesis 10 in the BOKCV2

Genesis 10 in the BOKHWOG

Genesis 10 in the BOKSSV

Genesis 10 in the BOLCB

Genesis 10 in the BOLCB2

Genesis 10 in the BOMCV

Genesis 10 in the BONAV

Genesis 10 in the BONCB

Genesis 10 in the BONLT

Genesis 10 in the BONUT2

Genesis 10 in the BOPLNT

Genesis 10 in the BOSCB

Genesis 10 in the BOSNC

Genesis 10 in the BOTLNT

Genesis 10 in the BOVCB

Genesis 10 in the BOYCB

Genesis 10 in the BPBB

Genesis 10 in the BPH

Genesis 10 in the BSB

Genesis 10 in the CCB

Genesis 10 in the CUV

Genesis 10 in the CUVS

Genesis 10 in the DBT

Genesis 10 in the DGDNT

Genesis 10 in the DHNT

Genesis 10 in the DNT

Genesis 10 in the ELBE

Genesis 10 in the EMTV

Genesis 10 in the ESV

Genesis 10 in the FBV

Genesis 10 in the FEB

Genesis 10 in the GGMNT

Genesis 10 in the GNT

Genesis 10 in the HARY

Genesis 10 in the HNT

Genesis 10 in the IRVA

Genesis 10 in the IRVB

Genesis 10 in the IRVG

Genesis 10 in the IRVH

Genesis 10 in the IRVK

Genesis 10 in the IRVM

Genesis 10 in the IRVM2

Genesis 10 in the IRVO

Genesis 10 in the IRVP

Genesis 10 in the IRVT

Genesis 10 in the IRVT2

Genesis 10 in the IRVU

Genesis 10 in the ISVN

Genesis 10 in the JSNT

Genesis 10 in the KAPI

Genesis 10 in the KBT1ETNIK

Genesis 10 in the KBV

Genesis 10 in the KJV

Genesis 10 in the KNFD

Genesis 10 in the LBA

Genesis 10 in the LBLA

Genesis 10 in the LNT

Genesis 10 in the LSV

Genesis 10 in the MAAL

Genesis 10 in the MBV

Genesis 10 in the MBV2

Genesis 10 in the MHNT

Genesis 10 in the MKNFD

Genesis 10 in the MNG

Genesis 10 in the MNT

Genesis 10 in the MNT2

Genesis 10 in the MRS1T

Genesis 10 in the NAA

Genesis 10 in the NASB

Genesis 10 in the NBLA

Genesis 10 in the NBS

Genesis 10 in the NBVTP

Genesis 10 in the NET2

Genesis 10 in the NIV11

Genesis 10 in the NNT

Genesis 10 in the NNT2

Genesis 10 in the NNT3

Genesis 10 in the PDDPT

Genesis 10 in the PFNT

Genesis 10 in the RMNT

Genesis 10 in the SBIAS

Genesis 10 in the SBIBS

Genesis 10 in the SBIBS2

Genesis 10 in the SBICS

Genesis 10 in the SBIDS

Genesis 10 in the SBIGS

Genesis 10 in the SBIHS

Genesis 10 in the SBIIS

Genesis 10 in the SBIIS2

Genesis 10 in the SBIIS3

Genesis 10 in the SBIKS

Genesis 10 in the SBIKS2

Genesis 10 in the SBIMS

Genesis 10 in the SBIOS

Genesis 10 in the SBIPS

Genesis 10 in the SBISS

Genesis 10 in the SBITS

Genesis 10 in the SBITS2

Genesis 10 in the SBITS3

Genesis 10 in the SBITS4

Genesis 10 in the SBIUS

Genesis 10 in the SBIVS

Genesis 10 in the SBT

Genesis 10 in the SBT1E

Genesis 10 in the SCHL

Genesis 10 in the SNT

Genesis 10 in the SUSU

Genesis 10 in the SUSU2

Genesis 10 in the SYNO

Genesis 10 in the TBIAOTANT

Genesis 10 in the TBT1E

Genesis 10 in the TBT1E2

Genesis 10 in the TFTIP

Genesis 10 in the TFTU

Genesis 10 in the TGNTATF3T

Genesis 10 in the THAI

Genesis 10 in the TNFD

Genesis 10 in the TNT

Genesis 10 in the TNTIK

Genesis 10 in the TNTIL

Genesis 10 in the TNTIN

Genesis 10 in the TNTIP

Genesis 10 in the TNTIZ

Genesis 10 in the TOMA

Genesis 10 in the TTENT

Genesis 10 in the UBG

Genesis 10 in the UGV

Genesis 10 in the UGV2

Genesis 10 in the VBL

Genesis 10 in the VDCC

Genesis 10 in the YALU

Genesis 10 in the YAPE

Genesis 10 in the YBVTP

Genesis 10 in the ZBP