Genesis 15 (UGV3)
1 Is ke bād Rab royā meṅ Abrām se hamkalām huā, “Abrām, mat ḍar. Maiṅ hī terī sipar hūṅ, maiṅ hī terā bahut baṛā ajr hūṅ.” 2 Lekin Abrām ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degā jabki abhī tak mere hāṅ koī bachchā nahīṅ hai aur Iliyazar Damishqī merī mīrās pāegā. 3 Tū ne mujhe aulād nahīṅ baḳhshī, is lie mere gharāne kā naukar merā wāris hogā.” 4 Tab Abrām ko Allāh se ek aur kalām milā. “Yih ādmī Iliyazar terā wāris nahīṅ hogā balki terā apnā hī beṭā terā wāris hogā.” 5 Rab ne use bāhar le jā kar kahā, “Āsmān kī taraf dekh aur sitāroṅ ko ginane kī koshish kar. Terī aulād itnī hī beshumār hogī.” 6 Abrām ne Rab par bharosā rakhā. Is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā. 7 Phir Rab ne us se kahā, “Maiṅ Rab hūṅ jo tujhe Kasdiyoṅ ke Ūr se yahāṅ le āyā tāki tujhe yih mulk mīrās meṅ de dūṅ.” 8 Abrām ne pūchhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?” 9 Jawāb meṅ Rab ne kahā, “Mere huzūr ek tīnsālā gāy, ek tīnsālā bakrī aur ek tīnsālā menḍhā le ā. Ek qumrī aur ek kabūtar kā bachchā bhī le ānā.” 10 Abrām ne aisā hī kiyā aur phir har ek jānwar ko do hissoṅ meṅ kāṭ kar un ko ek dūsre ke āmne-sāmne rakh diyā. Lekin parindoṅ ko us ne sālim rahne diyā. 11 Shikārī parinde un par utarne lage, lekin Abrām unheṅ bhagātā rahā. 12 Jab sūraj ḍūbne lagā to Abrām par gahrī nīnd tārī huī. Us par dahshat aur andherā hī andherā chhā gayā. 13 Phir Rab ne us se kahā, “Jān le ki terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā. 14 Lekin maiṅ us qaum kī adālat karūṅga jis ne use ġhulām banāyā hogā. Is ke bād wuh baṛī daulat pā kar us mulk se nikleṅge. 15 Tū ḳhud umrrasīdā ho kar salāmatī ke sāth intaqāl karke apne bāpdādā se jā milegā aur dafnāyā jāegā. 16 Terī aulād kī chauthī pusht ġhairwatan se wāpas āegī, kyoṅki us waqt tak maiṅ Amoriyoṅ ko bardāsht karūṅga. Lekin āḳhirkār un ke gunāh itne sangīn ho jāeṅge ki maiṅ unheṅ Mulk-e-Kanān se nikāl dūṅgā.” 17 Sūraj ġhurūb huā. Andherā chhā gayā. Achānak ek dhuāṅdār tanūr aur ek bhaṛaktī huī mashāl nazar āī aur jānwaroṅ ke do do ṭukṛoṅ ke bīch meṅ se guzare. 18 Us waqt Rab ne Abrām ke sāth ahd kiyā. Us ne kahā, “Maiṅ yih mulk Misr kī sarhad se Furāt tak terī aulād ko dūṅgā, 19 agarche abhī tak is meṅ Qīnī, Qanizzī, Kadmūnī, 20 Hittī, Farizzī, Rafāī, 21 Amorī, Kanānī, Jirjāsī aur Yabūsī ābād haiṅ.”
In Other Versions
Genesis 15 in the ANGEFD
Genesis 15 in the ANTPNG2D
Genesis 15 in the AS21
Genesis 15 in the BAGH
Genesis 15 in the BBPNG
Genesis 15 in the BBT1E
Genesis 15 in the BDS
Genesis 15 in the BEV
Genesis 15 in the BHAD
Genesis 15 in the BIB
Genesis 15 in the BLPT
Genesis 15 in the BNT
Genesis 15 in the BNTABOOT
Genesis 15 in the BNTLV
Genesis 15 in the BOATCB
Genesis 15 in the BOATCB2
Genesis 15 in the BOBCV
Genesis 15 in the BOCNT
Genesis 15 in the BOECS
Genesis 15 in the BOGWICC
Genesis 15 in the BOHCB
Genesis 15 in the BOHCV
Genesis 15 in the BOHLNT
Genesis 15 in the BOHNTLTAL
Genesis 15 in the BOICB
Genesis 15 in the BOILNTAP
Genesis 15 in the BOITCV
Genesis 15 in the BOKCV
Genesis 15 in the BOKCV2
Genesis 15 in the BOKHWOG
Genesis 15 in the BOKSSV
Genesis 15 in the BOLCB
Genesis 15 in the BOLCB2
Genesis 15 in the BOMCV
Genesis 15 in the BONAV
Genesis 15 in the BONCB
Genesis 15 in the BONLT
Genesis 15 in the BONUT2
Genesis 15 in the BOPLNT
Genesis 15 in the BOSCB
Genesis 15 in the BOSNC
Genesis 15 in the BOTLNT
Genesis 15 in the BOVCB
Genesis 15 in the BOYCB
Genesis 15 in the BPBB
Genesis 15 in the BPH
Genesis 15 in the BSB
Genesis 15 in the CCB
Genesis 15 in the CUV
Genesis 15 in the CUVS
Genesis 15 in the DBT
Genesis 15 in the DGDNT
Genesis 15 in the DHNT
Genesis 15 in the DNT
Genesis 15 in the ELBE
Genesis 15 in the EMTV
Genesis 15 in the ESV
Genesis 15 in the FBV
Genesis 15 in the FEB
Genesis 15 in the GGMNT
Genesis 15 in the GNT
Genesis 15 in the HARY
Genesis 15 in the HNT
Genesis 15 in the IRVA
Genesis 15 in the IRVB
Genesis 15 in the IRVG
Genesis 15 in the IRVH
Genesis 15 in the IRVK
Genesis 15 in the IRVM
Genesis 15 in the IRVM2
Genesis 15 in the IRVO
Genesis 15 in the IRVP
Genesis 15 in the IRVT
Genesis 15 in the IRVT2
Genesis 15 in the IRVU
Genesis 15 in the ISVN
Genesis 15 in the JSNT
Genesis 15 in the KAPI
Genesis 15 in the KBT1ETNIK
Genesis 15 in the KBV
Genesis 15 in the KJV
Genesis 15 in the KNFD
Genesis 15 in the LBA
Genesis 15 in the LBLA
Genesis 15 in the LNT
Genesis 15 in the LSV
Genesis 15 in the MAAL
Genesis 15 in the MBV
Genesis 15 in the MBV2
Genesis 15 in the MHNT
Genesis 15 in the MKNFD
Genesis 15 in the MNG
Genesis 15 in the MNT
Genesis 15 in the MNT2
Genesis 15 in the MRS1T
Genesis 15 in the NAA
Genesis 15 in the NASB
Genesis 15 in the NBLA
Genesis 15 in the NBS
Genesis 15 in the NBVTP
Genesis 15 in the NET2
Genesis 15 in the NIV11
Genesis 15 in the NNT
Genesis 15 in the NNT2
Genesis 15 in the NNT3
Genesis 15 in the PDDPT
Genesis 15 in the PFNT
Genesis 15 in the RMNT
Genesis 15 in the SBIAS
Genesis 15 in the SBIBS
Genesis 15 in the SBIBS2
Genesis 15 in the SBICS
Genesis 15 in the SBIDS
Genesis 15 in the SBIGS
Genesis 15 in the SBIHS
Genesis 15 in the SBIIS
Genesis 15 in the SBIIS2
Genesis 15 in the SBIIS3
Genesis 15 in the SBIKS
Genesis 15 in the SBIKS2
Genesis 15 in the SBIMS
Genesis 15 in the SBIOS
Genesis 15 in the SBIPS
Genesis 15 in the SBISS
Genesis 15 in the SBITS
Genesis 15 in the SBITS2
Genesis 15 in the SBITS3
Genesis 15 in the SBITS4
Genesis 15 in the SBIUS
Genesis 15 in the SBIVS
Genesis 15 in the SBT
Genesis 15 in the SBT1E
Genesis 15 in the SCHL
Genesis 15 in the SNT
Genesis 15 in the SUSU
Genesis 15 in the SUSU2
Genesis 15 in the SYNO
Genesis 15 in the TBIAOTANT
Genesis 15 in the TBT1E
Genesis 15 in the TBT1E2
Genesis 15 in the TFTIP
Genesis 15 in the TFTU
Genesis 15 in the TGNTATF3T
Genesis 15 in the THAI
Genesis 15 in the TNFD
Genesis 15 in the TNT
Genesis 15 in the TNTIK
Genesis 15 in the TNTIL
Genesis 15 in the TNTIN
Genesis 15 in the TNTIP
Genesis 15 in the TNTIZ
Genesis 15 in the TOMA
Genesis 15 in the TTENT
Genesis 15 in the UBG
Genesis 15 in the UGV
Genesis 15 in the UGV2
Genesis 15 in the VBL
Genesis 15 in the VDCC
Genesis 15 in the YALU
Genesis 15 in the YAPE
Genesis 15 in the YBVTP
Genesis 15 in the ZBP