Genesis 19 (UGV3)
1 Shām ke waqt yih do farishte Sadūm pahuṅche. Lūt shahr ke darwāze par baiṭhā thā. Jab us ne unheṅ dekhā to khaṛe ho kar un se milne gayā aur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā. 2 Us ne kahā, “Sāhibo, apne bande ke ghar tashrīf lāeṅ tāki apne pāṅw dho kar rāt ko ṭhahreṅ aur phir kal subah-sawere uṭh kar apnā safr jārī rakheṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Koī bāt nahīṅ, ham chauk meṅ rāt guzāreṅge.” 3 Lekin Lūt ne unheṅ bahut majbūr kiyā, aur āḳhirkār wuh us ke sāth us ke ghar āe. Us ne un ke lie khānā pakāyā aur beḳhamīrī roṭī banāī. Phir unhoṅ ne khānā khāyā. 4 Wuh abhī sone ke lie leṭe nahīṅ the ki shahr ke jawānoṅ se le kar būṛhoṅ tak tamām mardoṅ ne Lūt ke ghar ko gher liyā. 5 Unhoṅ ne āwāz de kar Lūt se kahā, “Wuh ādmī kahāṅ haiṅ jo rāt ke waqt tere pās āe? Un ko bāhar le ā tāki ham un ke sāth harāmkārī kareṅ.” 6 Lūt un se milne bāhar gayā. Us ne apne pīchhe darwāzā band kar liyā 7 aur kahā, “Mere bhāiyo, aisā mat karo, aisī badkārī na karo. 8 Dekho, merī do kuṅwārī beṭiyāṅ haiṅ. Unheṅ maiṅ tumhāre pās bāhar le ātā hūṅ. Phir jo jī chāhe un ke sāth karo. Lekin in ādmiyoṅ ko chhoṛ do, kyoṅki wuh mere mehmān haiṅ.” 9 Unhoṅ ne kahā, “Rāste se haṭ jā! Dekho, yih shaḳhs jab hamāre pās āyā thā to ajnabī thā, aur ab yih ham par hākim bananā chāhtā hai. Ab tere sāth un se zyādā burā sulūk kareṅge.” Wuh use majbūr karte karte darwāze ko toṛne ke lie āge baṛhe. 10 Lekin ain waqt par andar ke ādmī Lūt ko pakaṛ kar andar le āe, phir darwāzā dubārā band kar diyā. 11 Unhoṅ ne chhoṭoṅ se le kar baṛoṅ tak bāhar ke tamām ādmiyoṅ ko andhā kar diyā, aur wuh darwāze ko ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte thak gae. 12 Donoṅ ādmiyoṅ ne Lūt se kahā, “Kyā terā koī aur rishtedār is shahr meṅ rahtā hai, masalan koī dāmād yā beṭā-beṭī? Sab ko sāth le kar yahāṅ se chalā jā, 13 kyoṅki ham yih maqām tabāh karne ko haiṅ. Is ke bāshindoṅ kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho kar Rab ke huzūr pahuṅch gaī haiṅ, is lie us ne hameṅ is ko tabāh karne ke lie bhejā hai.” 14 Lūt ghar se niklā aur apne dāmādoṅ se bāt kī jin kā us kī beṭiyoṅ ke sāth rishtā ho chukā thā. Us ne kahā, “Jaldī karo, is jagah se niklo, kyoṅki Rab is shahr ko tabāh karne ko hai.” Lekin us ke dāmādoṅ ne ise mazāq hī samjhā. 15 Jab pau phaṭne lagī to donoṅ ādmiyoṅ ne Lūt ko bahut samjhāyā aur kahā, “Jaldī kar! Apnī bīwī aur donoṅ beṭiyoṅ ko sāth le kar chalā jā, warnā jab shahr ko sazā dī jāegī to tū bhī halāk ho jāegā.” 16 To bhī wuh jhijaktā rahā. Āḳhirkār donoṅ ne Lūt, us kī bīwī aur beṭiyoṅ ke hāth pakaṛ kar unheṅ shahr ke bāhar tak pahuṅchā diyā, kyoṅki Rab ko Lūt par tars ātā thā. 17 Jyoṅ hī wuh unheṅ bāhar le āe un meṅ se ek ne kahā, “Apnī jān bachā kar chalā jā. Pīchhe muṛ kar na deḳhnā. Maidān meṅ kahīṅ na ṭhaharnā balki pahāṛoṅ meṅ panāh lenā, warnā tū halāk ho jāegā.” 18 Lekin Lūt ne un se kahā, “Nahīṅ mere āqā, aisā na ho. 19 Tere bande ko terī nazar-e-karm hāsil huī hai aur tū ne merī jān bachāne meṅ bahut mehrbānī kar dikhāī hai. Lekin maiṅ pahāṛoṅ meṅ panāh nahīṅ le saktā. Wahāṅ pahuṅchne se pahle yih musībat mujh par ān paṛegī aur maiṅ halāk ho jāūṅgā. 20 Dekh, qarīb hī ek chhoṭā qasbā hai. Wuh itnā nazdīk hai ki maiṅ us taraf hijrat kar saktā hūṅ. Mujhe wahāṅ panāh lene de. Wuh chhoṭā hī hai, nā? Phir merī jān bachegī.” 21 Us ne kahā, “Chalo, ṭhīk hai. Terī yih darḳhāst bhī manzūr hai. Maiṅ yih qasbā tabāh nahīṅ karūṅga. 22 Lekin bhāg kar wahāṅ panāh le, kyoṅki jab tak tū wahāṅ pahuṅch na jāe maiṅ kuchh nahīṅ kar saktā.” Is lie qasbe kā nām Zuġhar yānī Chhoṭā hai. 23 Jab Lūt Zuġhar pahuṅchā to sūraj niklā huā thā. 24 Tab Rab ne āsmān se Sadūm aur Amūrā par gandhak aur āg barsāī. 25 Yoṅ us ne us pūre maidān ko us ke shahroṅ, bāshindoṅ aur tamām hariyālī samet tabāh kar diyā. 26 Lekin farār hote waqt Lūt kī bīwī ne pīchhe muṛ kar dekhā to wuh fauran namak kā satūn ban gaī. 27 Ibrāhīm subah-sawere uṭh kar us jagah wāpas āyā jahāṅ wuh kal Rab ke sāmne khaṛā huā thā. 28 Jab us ne nīche Sadūm, Amūrā aur pūrī wādī kī taraf nazar kī to wahāṅ se bhaṭṭe kā-sā dhuāṅ uṭh rahā thā. 29 Yoṅ Allāh ne Ibrāhīm ko yād kiyā jab us ne us maidān ke shahr tabāh kie. Kyoṅki wuh unheṅ tabāh karne se pahle Lūt ko jo un meṅ ābād thā wahāṅ se nikāl lāyā. 30 Lūt aur us kī beṭiyāṅ zyādā der tak Zuġhar meṅ na ṭhahre. Wuh rawānā ho kar pahāṛoṅ meṅ ābād hue, kyoṅki Lūt Zuġhar meṅ rahne se ḍartā thā. Wahāṅ unhoṅ ne ek ġhār ko apnā ghar banā liyā. 31 Ek din baṛī beṭī ne chhoṭī se kahā, “Abbū būṛhā hai aur yahāṅ koī mard hai nahīṅ jis ke zariye hamāre bachche paidā ho sakeṅ. 32 Āo, ham Abbū ko mai pilāeṅ. Jab wuh nashe meṅ dhut ho to ham us ke sāth hambistar ho kar apne lie aulād paidā kareṅ tāki hamārī nasl qāym rahe.” 33 Us rāt unhoṅ ne apne bāp ko mai pilāī. Jab wuh nashe meṅ thā to baṛī beṭī andar jā kar us ke sāth hambistar huī. Chūṅki Lūt hosh meṅ nahīṅ thā is lie use kuchh bhī mālūm na huā. 34 Agle din baṛī bahan ne chhoṭī bahan se kahā, “Pichhlī rāt maiṅ Abbū se hambistar huī. Āo, āj rāt ko ham use dubārā mai pilāeṅ. Jab wuh nashe meṅ dhut ho to tum us ke sāth hambistar ho kar apne lie aulād paidā karnā tāki hamārī nasl qāym rahe.” 35 Chunāṅche unhoṅ ne us rāt bhī apne bāp ko mai pilāī. Jab wuh nashe meṅ thā to chhoṭī beṭī uṭh kar us ke sāth hambistar huī. Is bār bhī wuh hosh meṅ nahīṅ thā, is lie use kuchh bhī mālūm na huā. 36 Yoṅ Lūt kī beṭiyāṅ apne bāp se ummīd se huīṅ. 37 Baṛī beṭī ke hāṅ beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Moāb rakhā. Us se Moābī nikle haiṅ. 38 Chhoṭī beṭī ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Bin-ammī rakhā. Us se Ammonī nikle haiṅ.