Genesis 26 (UGV3)

1 Us mulk meṅ dubārā kāl paṛā, jis tarah Ibrāhīm ke dinoṅ meṅ bhī paṛ gayā thā. Is'hāq Jirār Shahr gayā jis par Filistiyoṅ ke bādshāh Abīmalik kī hukūmat thī. 2 Rab ne Is'hāq par zāhir ho kar kahā, “Misr na jā balki us mulk meṅ bas jo maiṅ tujhe dikhātā hūṅ. 3 Us mulk meṅ ajnabī rah to maiṅ tere sāth hūṅgā aur tujhe barkat dūṅgā. Kyoṅki maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih tamām ilāqā dūṅgā aur wuh wādā pūrā karūṅga jo maiṅ ne qasam khā kar tere bāp Ibrāhīm se kiyā thā. 4 Maiṅ tujhe itnī aulād dūṅgā jitne āsmān par sitāre haiṅ. Aur maiṅ yih tamām mulk unheṅ de dūṅgā. Terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī. 5 Maiṅ tujhe is lie barkat dūṅgā ki Ibrāhīm mere tābe rahā aur merī hidāyāt aur ahkām par chaltā rahā.” 6 Chunāṅche Is'hāq Jirār meṅ ābād ho gayā. 7 Jab wahāṅ ke mardoṅ ne Ribqā ke bāre meṅ pūchhā to Is'hāq ne kahā, “Yih merī bahan hai.” Wuh unheṅ yih batāne se ḍartā thā ki yih merī bīwī hai, kyoṅki us ne sochā, “Ribqā nihāyat ḳhūbsūrat hai. Agar unheṅ mālūm ho jāe ki Ribqā merī bīwī hai to wuh use hāsil karne kī ḳhātir mujhe qatl kar deṅge.” 8 Kāfī waqt guzar gayā. Ek din Filistiyoṅ ke bādshāh ne apnī khiṛkī meṅ se jhāṅk kar dekhā ki Is'hāq apnī bīwī ko pyār kar rahā hai. 9 Us ne Is'hāq ko bulā kar kahā, “Wuh to āp kī bīwī hai! Āp ne kyoṅ kahā ki merī bahan hai?” Is'hāq ne jawāb diyā, “Maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅ ki yih merī bīwī hai to log mujhe qatl kar deṅge.” 10 Abīmalik ne kahā, “Āp ne hamāre sāth kaisā sulūk kar dikhāyā! Kitnī āsānī se mere ādmiyoṅ meṅ se koī āp kī bīwī se hambistar ho jātā. Is tarah ham āp ke sabab se ek baṛe jurm ke qusūrwār ṭhaharte.” 11 Phir Abīmalik ne tamām logoṅ ko hukm diyā, “Jo bhī is mard yā us kī bīwī ko chheṛe use sazā-e-maut dī jāegī.” 12 Is'hāq ne us ilāqe meṅ kāshtkārī kī, aur usī sāl use sau gunā phal milā. Yoṅ Rab ne use barkat dī, 13 aur wuh amīr ho gayā. Us kī daulat baṛhtī gaī, aur wuh nihāyat daulatmand ho gayā. 14 Us ke pās itnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ġhulām the ki Filistī us se hasad karne lage. 15 Ab aisā huā ki unhoṅ ne un tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar kar band kar diyā jo us ke bāp ke naukaroṅ ne khode the. 16 Āḳhirkār Abīmalik ne Is'hāq se kahā, “Kahīṅ aur jā kar raheṅ, kyoṅki āp ham se zyādā zorāwar ho gae haiṅ.” 17 Chunāṅche Is'hāq ne wahāṅ se jā kar Jirār kī Wādī meṅ apne ḍere lagāe. 18 Wahāṅ Filistiyoṅ ne Ibrāhīm kī maut ke bād tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar diyā thā. Is'hāq ne un ko dubārā khudwāyā. Us ne un ke wuhī nām rakhe jo us ke bāp ne rakhe the. 19 Is'hāq ke naukaroṅ ko wādī meṅ khodte khodte tāzā pānī mil gayā. 20 Lekin Jirār ke charwāhe ā kar Is'hāq ke charwāhoṅ se jhagaṛne lage. Unhoṅ ne kahā, “Yih hamārā kuāṅ hai!” Is lie us ne us kueṅ kā nām Isak yānī Jhagaṛā rakhā. 21 Is'hāq ke naukaroṅ ne ek aur kuāṅ khod liyā. Lekin us par bhī jhagaṛā huā, is lie us ne us kā nām Sitnā yānī Muḳhālafat rakhā. 22 Wahāṅ se jā kar us ne ek tīsrā kuāṅ khudwāyā. Is dafā koī jhagaṛā na huā, is lie us ne us kā nām Rahobot yānī ‘Khulī Jagah’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Rab ne hameṅ khulī jagah dī hai, aur ab ham mulk meṅ phaleṅ-phūleṅge.” 23 Wahāṅ se wuh Bair-sabā chalā gayā. 24 Usī rāt Rab us par zāhir huā aur kahā, “Maiṅ tere bāp Ibrāhīm kā Ḳhudā hūṅ. Mat ḍar, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur tujhe apne ḳhādim Ibrāhīm kī ḳhātir bahut aulād dūṅgā.” 25 Wahāṅ Is'hāq ne qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī. Wahāṅ us ne apne ḳhaime lagāe aur us ke naukaroṅ ne kuāṅ khod liyā. 26 Ek din Abīmalik, us kā sāthī Aḳhūzat aur us kā sipahsālār Fīkul Jirār se us ke pās āe. 27 Is'hāq ne pūchhā, “Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ? Āp to mujh se nafrat rakhte haiṅ. Kyā āp ne mujhe apne darmiyān se ḳhārij nahīṅ kiyā thā?” 28 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham ne jān liyā hai ki Rab āp ke sāth hai. Is lie ham ne kahā ki hamārā āp ke sāth ahd honā chāhie. Āie ham qasam khā kar ek dūsre se ahd bāndheṅ 29 ki āp hameṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchāeṅge, kyoṅki ham ne bhī āp ko nahīṅ chheṛā balki āp se sirf achchhā sulūk kiyā aur āp ko salāmatī ke sāth ruḳhsat kiyā hai. Aur ab zāhir hai ki Rab ne āp ko barkat dī hai.” 30 Is'hāq ne un kī ziyāfat kī, aur unhoṅ ne khāyā aur piyā. 31 Phir subah-sawere uṭh kar unhoṅ ne ek dūsre ke sāmne qasam khāī. Is ke bād Is'hāq ne unheṅ ruḳhsat kiyā aur wuh salāmatī se rawānā hue. 32 Usī din Is'hāq ke naukar āe aur use us kueṅ ke bāre meṅ ittalā dī jo unhoṅ ne khodā thā. Unhoṅ ne kahā, “Hameṅ pānī mil gayā hai.” 33 Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai. 34 Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī kī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se. 35 Yih aurateṅ Is'hāq aur Ribqā ke lie baṛe dukh kā bāis banīṅ.

In Other Versions

Genesis 26 in the ANGEFD

Genesis 26 in the ANTPNG2D

Genesis 26 in the AS21

Genesis 26 in the BAGH

Genesis 26 in the BBPNG

Genesis 26 in the BBT1E

Genesis 26 in the BDS

Genesis 26 in the BEV

Genesis 26 in the BHAD

Genesis 26 in the BIB

Genesis 26 in the BLPT

Genesis 26 in the BNT

Genesis 26 in the BNTABOOT

Genesis 26 in the BNTLV

Genesis 26 in the BOATCB

Genesis 26 in the BOATCB2

Genesis 26 in the BOBCV

Genesis 26 in the BOCNT

Genesis 26 in the BOECS

Genesis 26 in the BOGWICC

Genesis 26 in the BOHCB

Genesis 26 in the BOHCV

Genesis 26 in the BOHLNT

Genesis 26 in the BOHNTLTAL

Genesis 26 in the BOICB

Genesis 26 in the BOILNTAP

Genesis 26 in the BOITCV

Genesis 26 in the BOKCV

Genesis 26 in the BOKCV2

Genesis 26 in the BOKHWOG

Genesis 26 in the BOKSSV

Genesis 26 in the BOLCB

Genesis 26 in the BOLCB2

Genesis 26 in the BOMCV

Genesis 26 in the BONAV

Genesis 26 in the BONCB

Genesis 26 in the BONLT

Genesis 26 in the BONUT2

Genesis 26 in the BOPLNT

Genesis 26 in the BOSCB

Genesis 26 in the BOSNC

Genesis 26 in the BOTLNT

Genesis 26 in the BOVCB

Genesis 26 in the BOYCB

Genesis 26 in the BPBB

Genesis 26 in the BPH

Genesis 26 in the BSB

Genesis 26 in the CCB

Genesis 26 in the CUV

Genesis 26 in the CUVS

Genesis 26 in the DBT

Genesis 26 in the DGDNT

Genesis 26 in the DHNT

Genesis 26 in the DNT

Genesis 26 in the ELBE

Genesis 26 in the EMTV

Genesis 26 in the ESV

Genesis 26 in the FBV

Genesis 26 in the FEB

Genesis 26 in the GGMNT

Genesis 26 in the GNT

Genesis 26 in the HARY

Genesis 26 in the HNT

Genesis 26 in the IRVA

Genesis 26 in the IRVB

Genesis 26 in the IRVG

Genesis 26 in the IRVH

Genesis 26 in the IRVK

Genesis 26 in the IRVM

Genesis 26 in the IRVM2

Genesis 26 in the IRVO

Genesis 26 in the IRVP

Genesis 26 in the IRVT

Genesis 26 in the IRVT2

Genesis 26 in the IRVU

Genesis 26 in the ISVN

Genesis 26 in the JSNT

Genesis 26 in the KAPI

Genesis 26 in the KBT1ETNIK

Genesis 26 in the KBV

Genesis 26 in the KJV

Genesis 26 in the KNFD

Genesis 26 in the LBA

Genesis 26 in the LBLA

Genesis 26 in the LNT

Genesis 26 in the LSV

Genesis 26 in the MAAL

Genesis 26 in the MBV

Genesis 26 in the MBV2

Genesis 26 in the MHNT

Genesis 26 in the MKNFD

Genesis 26 in the MNG

Genesis 26 in the MNT

Genesis 26 in the MNT2

Genesis 26 in the MRS1T

Genesis 26 in the NAA

Genesis 26 in the NASB

Genesis 26 in the NBLA

Genesis 26 in the NBS

Genesis 26 in the NBVTP

Genesis 26 in the NET2

Genesis 26 in the NIV11

Genesis 26 in the NNT

Genesis 26 in the NNT2

Genesis 26 in the NNT3

Genesis 26 in the PDDPT

Genesis 26 in the PFNT

Genesis 26 in the RMNT

Genesis 26 in the SBIAS

Genesis 26 in the SBIBS

Genesis 26 in the SBIBS2

Genesis 26 in the SBICS

Genesis 26 in the SBIDS

Genesis 26 in the SBIGS

Genesis 26 in the SBIHS

Genesis 26 in the SBIIS

Genesis 26 in the SBIIS2

Genesis 26 in the SBIIS3

Genesis 26 in the SBIKS

Genesis 26 in the SBIKS2

Genesis 26 in the SBIMS

Genesis 26 in the SBIOS

Genesis 26 in the SBIPS

Genesis 26 in the SBISS

Genesis 26 in the SBITS

Genesis 26 in the SBITS2

Genesis 26 in the SBITS3

Genesis 26 in the SBITS4

Genesis 26 in the SBIUS

Genesis 26 in the SBIVS

Genesis 26 in the SBT

Genesis 26 in the SBT1E

Genesis 26 in the SCHL

Genesis 26 in the SNT

Genesis 26 in the SUSU

Genesis 26 in the SUSU2

Genesis 26 in the SYNO

Genesis 26 in the TBIAOTANT

Genesis 26 in the TBT1E

Genesis 26 in the TBT1E2

Genesis 26 in the TFTIP

Genesis 26 in the TFTU

Genesis 26 in the TGNTATF3T

Genesis 26 in the THAI

Genesis 26 in the TNFD

Genesis 26 in the TNT

Genesis 26 in the TNTIK

Genesis 26 in the TNTIL

Genesis 26 in the TNTIN

Genesis 26 in the TNTIP

Genesis 26 in the TNTIZ

Genesis 26 in the TOMA

Genesis 26 in the TTENT

Genesis 26 in the UBG

Genesis 26 in the UGV

Genesis 26 in the UGV2

Genesis 26 in the VBL

Genesis 26 in the VDCC

Genesis 26 in the YALU

Genesis 26 in the YAPE

Genesis 26 in the YBVTP

Genesis 26 in the ZBP