Hebrews 11 (UGV3)

1 Īmān kyā hai? Yih ki ham us meṅ qāym raheṅ jis par ham ummīd rakhte haiṅ aur ki ham us kā yaqīn rakheṅ jo ham nahīṅ dekh sakte. 2 Īmān hī se purāne zamānoṅ ke logoṅ ko Allāh kī qabūliyat hāsil huī. 3 Īmān ke zariye ham jān lete haiṅ ki kāynāt ko Allāh ke kalām se ḳhalaq kiyā gayā, ki jo kuchh ham dekh sakte haiṅ nazar āne wālī chīzoṅ se nahīṅ banā. 4 Yih īmān kā kām thā ki Hābīl ne Allāh ko ek aisī qurbānī pesh kī jo Qābīl kī qurbānī se behtar thī. Is īmān kī binā par Allāh ne use rāstbāz ṭhahrā kar us kī achchhī gawāhī dī, jab us ne us kī qurbāniyoṅ ko qabūl kiyā. Aur īmān ke zariye wuh ab tak boltā rahtā hai hālāṅki wuh murdā hai. 5 Yih īmān kā kām thā ki Hanūk na marā balki zindā hālat meṅ āsmān par uṭhāyā gayā. Koī bhī use ḍhūnḍ kar pā na sakā kyoṅki Allāh use āsmān par uṭhā le gayā thā. Wajah yih thī ki uṭhāe jāne se pahle use yih gawāhī milī ki wuh Allāh ko pasand āyā. 6 Aur īmān rakhe baġhair ham Allāh ko pasand nahīṅ ā sakte. Kyoṅki lāzim hai ki Allāh ke huzūr āne wālā īmān rakhe ki wuh hai aur ki wuh unheṅ ajr detā hai jo us ke tālib haiṅ. 7 Yih īmān kā kām thā ki Nūh ne Allāh kī sunī jab us ne use āne wālī bātoṅ ke bāre meṅ āgāh kiyā, aisī bātoṅ ke bāre meṅ jo abhī deḳhne meṅ nahīṅ āī thīṅ. Nūh ne Ḳhudā kā ḳhauf mān kar ek kashtī banāī tāki us kā ḳhāndān bach jāe. Yoṅ us ne apne īmān ke zariye duniyā ko mujrim qarār diyā aur us rāstbāzī kā wāris ban gayā jo īmān se hāsil hotī hai. 8 Yih īmān kā kām thā ki Ibrāhīm ne Allāh kī sunī jab us ne use bulā kar kahā ki wuh ek aise mulk meṅ jāe jo use bād meṅ mīrās meṅ milegā. Hāṅ, wuh apne mulk ko chhoṛ kar rawānā huā, hālāṅki use mālūm na thā ki wuh kahāṅ jā rahā hai. 9 Īmān ke zariye wuh wādā kie hue mulk meṅ ajnabī kī haisiyat se rahne lagā. Wuh ḳhaimoṅ meṅ rahtā thā aur isī tarah Is'hāq aur Yāqūb bhī jo us ke sāth usī wāde ke wāris the. 10 Kyoṅki Ibrāhīm us shahr ke intazār meṅ thā jis kī mazbūt buniyād hai aur jis kā naqsh banāne aur tāmīr karne wālā ḳhud Allāh hai. 11 Yih īmān kā kām thā ki Ibrāhīm bāp banane ke qābil ho gayā, hālāṅki wuh buṛhāpe kī wajah se bāp nahīṅ ban saktā thā. Isī tarah Sārā bhī bachche janm nahīṅ de saktī thī. Lekin Ibrāhīm samajhtā thā ki Allāh jis ne wādā kiyā hai wafādār hai. 12 Go Ibrāhīm taqrīban mar chukā thā to bhī usī ek shaḳhs se beshumār aulād niklī, tādād meṅ āsmān par ke sitāroṅ aur sāhil par kī ret ke zarroṅ ke barābar. 13 Yih tamām log īmān rakhte rakhte mar gae. Unheṅ wuh kuchh na milā jis kā wādā kiyā gayā thā. Unhoṅ ne use sirf dūr hī se dekh kar ḳhushāmdīd kahā. Aur unhoṅ ne taslīm kiyā ki ham zamīn par sirf mehmān aur ārizī taur par rahne wāle ajnabī haiṅ. 14 Jo is qism kī bāteṅ karte haiṅ wuh zāhir karte haiṅ ki ham ab tak apne watan kī talāsh meṅ haiṅ. 15 Agar un ke zahan meṅ wuh mulk hotā jis se wuh nikal āe the to wuh ab bhī wāpas jā sakte the. 16 Is ke bajāe wuh ek behtar mulk yānī ek āsmānī mulk kī ārzū kar rahe the. Is lie Allāh un kā Ḳhudā kahlāne se nahīṅ sharmātā, kyoṅki us ne un ke lie ek shahr taiyār kiyā hai. 17 Yih īmān kā kām thā ki Ibrāhīm ne us waqt Is'hāq ko qurbānī ke taur par pesh kiyā jab Allāh ne use āzmāyā. Hāṅ, wuh apne iklaute beṭe ko qurbān karne ke lie taiyār thā agarche use Allāh ke wāde mil gae the 18 ki “Terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.” 19 Ibrāhīm ne sochā, “Allāh murdoṅ ko bhī zindā kar saktā hai,” aur majāzan use wāqaī Is'hāq murdoṅ meṅ se wāpas mil gayā. 20 Yih īmān kā kām thā ki Is'hāq ne āne wālī chīzoṅ ke lihāz se Yāqūb aur Esau ko barkat dī. 21 Yih īmān kā kām thā ki Yāqūb ne marte waqt Yūsuf ke donoṅ beṭoṅ ko barkat dī aur apnī lāṭhī ke sire par ṭek lagā kar Allāh ko sijdā kiyā. 22 Yih īmān kā kām thā ki Yūsuf ne marte waqt yih peshgoī kī ki Isrāīlī Misr se nikleṅge balki yih bhī kahā ki nikalte waqt merī haḍḍiyāṅ bhī apne sāth le jāo. 23 Yih īmān kā kām thā ki Mūsā ke māṅ-bāp ne use paidāish ke bād tīn māh tak chhupāe rakhā, kyoṅki unhoṅ ne dekhā ki wuh ḳhūbsūrat hai. Wuh bādshāh ke hukm kī ḳhilāfwarzī karne se na ḍare. 24 Yih īmān kā kām thā ki Mūsā ne parwān chaṛh kar inkār kiyā ki use Firaun kī beṭī kā beṭā ṭhahrāyā jāe. 25 Ārizī taur par gunāh se lutfandoz hone ke bajāe us ne Allāh kī qaum ke sāth badsulūkī kā nishānā banane ko tarjīh dī. 26 Wuh samjhā ki jab merī Masīh kī ḳhātir ruswāī kī jātī hai to yih Misr ke tamām ḳhazānoṅ se zyādā qīmtī hai, kyoṅki us kī āṅkheṅ āne wāle ajr par lagī rahīṅ. 27 Yih īmān kā kām thā ki Mūsā ne bādshāh ke ġhusse se ḍare baġhair Misr ko chhoṛ diyā, kyoṅki wuh goyā andekhe Ḳhudā ko musalsal apnī āṅkhoṅ ke sāmne rakhtā rahā. 28 Yih īmān kā kām thā ki us ne Fasah kī Īd manā kar hukm diyā ki ḳhūn ko chaukhaṭoṅ par lagāyā jāe tāki halāk karne wālā farishtā un ke pahlauṭhe beṭoṅ ko na chhue. 29 Yih īmān kā kām thā ki Isrāīlī Bahr-e-Qulzum meṅ se yoṅ guzar sake jaise ki yih ḳhushk zamīn thī. Jab Misriyoṅ ne yih karne kī koshish kī to wuh ḍūb gae. 30 Yih īmān kā kām thā ki sāt din tak Yarīhū Shahr kī fasīl ke gird chakkar lagāne ke bād pūrī dīwār gir gaī. 31 Yih bhī īmān kā kām thā ki Rāhab fāhishā apne shahr ke bāqī nāfarmān bāshindoṅ ke sāth halāk na huī, kyoṅki us ne Isrāīlī jāsūsoṅ ko salāmatī ke sāth ḳhushāmdīd kahā thā. 32 Maiṅ mazīd kyā kuchh kahūṅ? Mere pās itnā waqt nahīṅ ki maiṅ Jidāūn, Baraq, Samsūn, Iftāh, Dāūd, Samuel aur nabiyoṅ ke bāre meṅ sunātā rahūṅ. 33 Yih sab īmān ke sabab se hī kāmyāb rahe. Wuh bādshāhiyoṅ par ġhālib āe aur insāf karte rahe. Unheṅ Allāh ke wāde hāsil hue. Unhoṅ ne sherbabaroṅ ke muṅh band kar die 34 aur āg ke bhaṛakte sholoṅ ko bujhā diyā. Wuh talwār kī zad se bach nikle. Wuh kamzor the lekin unheṅ quwwat hāsil huī. Jab jang chhiṛ gaī to wuh itne tāqatwar sābit hue ki unhoṅ ne ġhairmulkī lashkaroṅ ko shikast dī. 35 Īmān rakhne ke bāis ḳhawātīn ko un ke murdā azīz zindā hālat meṅ wāpas mile.Lekin aise bhī the jinheṅ tashaddud bardāsht karnā paṛā aur jinhoṅ ne āzād ho jāne se inkār kiyā tāki unheṅ ek behtar chīz yānī jī uṭhne kā tajrabā hāsil ho jāe. 36 Bāz ko lān-tān aur koṛoṅ balki zanjīroṅ aur qaid kā bhī sāmnā karnā paṛā. 37 Unheṅ sangsār kiyā gayā, unheṅ āre se chīrā gayā, unheṅ talwār se mār ḍālā gayā. Bāz ko bheṛ-bakriyoṅ kī khāloṅ meṅ ghūmnā phirnā paṛā. Zarūratmand hālat meṅ unheṅ dabāyā aur un par zulm kiyā jātā rahā. 38 Duniyā un ke lāyq nahīṅ thī! Wuh wīrān jaghoṅ meṅ, pahāṛoṅ par, ġhāroṅ aur gaṛhoṅ meṅ āwārā phirte rahe. 39 In sab ko īmān kī wajah se achchhī gawāhī milī. To bhī inheṅ wuh kuchh hāsil na huā jis kā wādā Allāh ne kiyā thā. 40 Kyoṅki us ne hamāre lie ek aisā mansūbā banāyā thā jo kahīṅ behtar hai. Wuh chāhtā thā ki yih log hamāre baġhair kāmiliyat tak na pahuṅcheṅ.

In Other Versions

Hebrews 11 in the ANGEFD

Hebrews 11 in the ANTPNG2D

Hebrews 11 in the AS21

Hebrews 11 in the BAGH

Hebrews 11 in the BBPNG

Hebrews 11 in the BBT1E

Hebrews 11 in the BDS

Hebrews 11 in the BEV

Hebrews 11 in the BHAD

Hebrews 11 in the BIB

Hebrews 11 in the BLPT

Hebrews 11 in the BNT

Hebrews 11 in the BNTABOOT

Hebrews 11 in the BNTLV

Hebrews 11 in the BOATCB

Hebrews 11 in the BOATCB2

Hebrews 11 in the BOBCV

Hebrews 11 in the BOCNT

Hebrews 11 in the BOECS

Hebrews 11 in the BOGWICC

Hebrews 11 in the BOHCB

Hebrews 11 in the BOHCV

Hebrews 11 in the BOHLNT

Hebrews 11 in the BOHNTLTAL

Hebrews 11 in the BOICB

Hebrews 11 in the BOILNTAP

Hebrews 11 in the BOITCV

Hebrews 11 in the BOKCV

Hebrews 11 in the BOKCV2

Hebrews 11 in the BOKHWOG

Hebrews 11 in the BOKSSV

Hebrews 11 in the BOLCB

Hebrews 11 in the BOLCB2

Hebrews 11 in the BOMCV

Hebrews 11 in the BONAV

Hebrews 11 in the BONCB

Hebrews 11 in the BONLT

Hebrews 11 in the BONUT2

Hebrews 11 in the BOPLNT

Hebrews 11 in the BOSCB

Hebrews 11 in the BOSNC

Hebrews 11 in the BOTLNT

Hebrews 11 in the BOVCB

Hebrews 11 in the BOYCB

Hebrews 11 in the BPBB

Hebrews 11 in the BPH

Hebrews 11 in the BSB

Hebrews 11 in the CCB

Hebrews 11 in the CUV

Hebrews 11 in the CUVS

Hebrews 11 in the DBT

Hebrews 11 in the DGDNT

Hebrews 11 in the DHNT

Hebrews 11 in the DNT

Hebrews 11 in the ELBE

Hebrews 11 in the EMTV

Hebrews 11 in the ESV

Hebrews 11 in the FBV

Hebrews 11 in the FEB

Hebrews 11 in the GGMNT

Hebrews 11 in the GNT

Hebrews 11 in the HARY

Hebrews 11 in the HNT

Hebrews 11 in the IRVA

Hebrews 11 in the IRVB

Hebrews 11 in the IRVG

Hebrews 11 in the IRVH

Hebrews 11 in the IRVK

Hebrews 11 in the IRVM

Hebrews 11 in the IRVM2

Hebrews 11 in the IRVO

Hebrews 11 in the IRVP

Hebrews 11 in the IRVT

Hebrews 11 in the IRVT2

Hebrews 11 in the IRVU

Hebrews 11 in the ISVN

Hebrews 11 in the JSNT

Hebrews 11 in the KAPI

Hebrews 11 in the KBT1ETNIK

Hebrews 11 in the KBV

Hebrews 11 in the KJV

Hebrews 11 in the KNFD

Hebrews 11 in the LBA

Hebrews 11 in the LBLA

Hebrews 11 in the LNT

Hebrews 11 in the LSV

Hebrews 11 in the MAAL

Hebrews 11 in the MBV

Hebrews 11 in the MBV2

Hebrews 11 in the MHNT

Hebrews 11 in the MKNFD

Hebrews 11 in the MNG

Hebrews 11 in the MNT

Hebrews 11 in the MNT2

Hebrews 11 in the MRS1T

Hebrews 11 in the NAA

Hebrews 11 in the NASB

Hebrews 11 in the NBLA

Hebrews 11 in the NBS

Hebrews 11 in the NBVTP

Hebrews 11 in the NET2

Hebrews 11 in the NIV11

Hebrews 11 in the NNT

Hebrews 11 in the NNT2

Hebrews 11 in the NNT3

Hebrews 11 in the PDDPT

Hebrews 11 in the PFNT

Hebrews 11 in the RMNT

Hebrews 11 in the SBIAS

Hebrews 11 in the SBIBS

Hebrews 11 in the SBIBS2

Hebrews 11 in the SBICS

Hebrews 11 in the SBIDS

Hebrews 11 in the SBIGS

Hebrews 11 in the SBIHS

Hebrews 11 in the SBIIS

Hebrews 11 in the SBIIS2

Hebrews 11 in the SBIIS3

Hebrews 11 in the SBIKS

Hebrews 11 in the SBIKS2

Hebrews 11 in the SBIMS

Hebrews 11 in the SBIOS

Hebrews 11 in the SBIPS

Hebrews 11 in the SBISS

Hebrews 11 in the SBITS

Hebrews 11 in the SBITS2

Hebrews 11 in the SBITS3

Hebrews 11 in the SBITS4

Hebrews 11 in the SBIUS

Hebrews 11 in the SBIVS

Hebrews 11 in the SBT

Hebrews 11 in the SBT1E

Hebrews 11 in the SCHL

Hebrews 11 in the SNT

Hebrews 11 in the SUSU

Hebrews 11 in the SUSU2

Hebrews 11 in the SYNO

Hebrews 11 in the TBIAOTANT

Hebrews 11 in the TBT1E

Hebrews 11 in the TBT1E2

Hebrews 11 in the TFTIP

Hebrews 11 in the TFTU

Hebrews 11 in the TGNTATF3T

Hebrews 11 in the THAI

Hebrews 11 in the TNFD

Hebrews 11 in the TNT

Hebrews 11 in the TNTIK

Hebrews 11 in the TNTIL

Hebrews 11 in the TNTIN

Hebrews 11 in the TNTIP

Hebrews 11 in the TNTIZ

Hebrews 11 in the TOMA

Hebrews 11 in the TTENT

Hebrews 11 in the UBG

Hebrews 11 in the UGV

Hebrews 11 in the UGV2

Hebrews 11 in the VBL

Hebrews 11 in the VDCC

Hebrews 11 in the YALU

Hebrews 11 in the YAPE

Hebrews 11 in the YBVTP

Hebrews 11 in the ZBP