Hosea 12 (UGV3)
1 Isrāīl hawā charne kī koshish kar rahā hai, pūrā din wuh mashriqī lū ke pīchhe bhāgtā rahtā hai. Us ke jhūṭ aur zulm meṅ izāfā hotā jā rahā hai. Asūr se ahd bāndhne ke sāth sāth wuh Misr ko bhī zaitūn kā tel bhej detā hai. 2 Rab adālat meṅ Yahūdāh se bhī laṛegā. Wuh Yāqūb ko us ke chāl-chalan kī sazā, us ke āmāl kā munāsib ajr degā. 3 Kyoṅki māṅ ke peṭ meṅ hī us ne apne bhāī kī eṛī pakaṛ kar use dhokā diyā. Jab bāliġh huā to Allāh se laṛā 4 balki farishte se laṛte laṛte us par ġhālib āyā. Phir us ne rote rote us se iltijā kī ki mujh par rahm kar. Bād meṅ Yāqūb ne Allāh ko Baitel meṅ pāyā, aur wahāṅ Ḳhudā us se hamkalām huā. 5 Rab jo lashkaroṅ kā Ḳhudā hai aur jis kā nām Rab hī hai, us ne farmāyā, 6 “Apne Ḳhudā ke pās wāpas ā kar rahm aur insāf qāym rakh! Kabhī apne Ḳhudā par ummīd rakhne se bāz na ā.” 7 Isrāīl tājir hai jis ke hāth meṅ ġhalat tarāzū hai aur jise logoṅ se nājāyz fāydā uṭhāne kā baṛā shauq hai. 8 Wuh kahtā hai, “Maiṅ amīr ho gayā hūṅ, maiṅ ne kasrat kī daulat pāī hai. Koī sābit nahīṅ kar sakegā ki mujh se yih tamām milkiyat hāsil karne meṅ koī qusūr yā gunāh sarzad huā hai.” 9 “Lekin maiṅ, Rab jo Misr se tujhe nikālte waqt āj tak terā Ḳhudā hūṅ maiṅ yih nazarandāz nahīṅ karūṅga. Maiṅ tujhe dubārā ḳhaimoṅ meṅ basne dūṅgā. Yoṅ hogā jis tarah un pahle dinoṅ meṅ huā jab Isrāīlī merī parastish karne ke lie registān meṅ jamā hote the. 10 Maiṅ bār bār nabiyoṅ kī mārifat tum se hamkalām huā, maiṅ ne unheṅ muta'addid royāeṅ dikhāīṅ aur un ke zariye tumheṅ tamsīleṅ sunāīṅ.” 11 Kyā Jiliyād bedīn hai? Us ke log nākārā hī haiṅ! Jiljāl meṅ logoṅ ne sānḍ qurbān kie haiṅ, is lie un kī qurbāngāheṅ malbe ke ḍher ban jāeṅgī. Wuh bīj bone ke lie taiyārshudā khet ke kināre par lage patthar ke ḍher jaisī baneṅgī. 12 Yāqūb ko bhāg kar Mulk-e-Arām meṅ panāh lenī paṛī. Wahāṅ wuh bīwī milne ke lie mulāzim ban gayā, aurat ke bāis us ne bheṛ-bakriyoṅ kī gallābānī kī. 13 Lekin bād meṅ Rab nabī kī mārifat Isrāīl ko Misr se nikāl lāyā aur nabī ke zariye us kī gallābānī kī. 14 To bhī Isrāīl ne use baṛā taish dilāyā. Ab unheṅ un kī qatl-o-ġhārat kā ajr bhugatnā paṛegā. Unhoṅ ne apne āqā kī tauhīn kī hai, aur ab wuh unheṅ munāsib sazā degā.
In Other Versions
Hosea 12 in the ANGEFD
Hosea 12 in the ANTPNG2D
Hosea 12 in the AS21
Hosea 12 in the BAGH
Hosea 12 in the BBPNG
Hosea 12 in the BBT1E
Hosea 12 in the BDS
Hosea 12 in the BEV
Hosea 12 in the BHAD
Hosea 12 in the BIB
Hosea 12 in the BLPT
Hosea 12 in the BNT
Hosea 12 in the BNTABOOT
Hosea 12 in the BNTLV
Hosea 12 in the BOATCB
Hosea 12 in the BOATCB2
Hosea 12 in the BOBCV
Hosea 12 in the BOCNT
Hosea 12 in the BOECS
Hosea 12 in the BOGWICC
Hosea 12 in the BOHCB
Hosea 12 in the BOHCV
Hosea 12 in the BOHLNT
Hosea 12 in the BOHNTLTAL
Hosea 12 in the BOICB
Hosea 12 in the BOILNTAP
Hosea 12 in the BOITCV
Hosea 12 in the BOKCV
Hosea 12 in the BOKCV2
Hosea 12 in the BOKHWOG
Hosea 12 in the BOKSSV
Hosea 12 in the BOLCB
Hosea 12 in the BOLCB2
Hosea 12 in the BOMCV
Hosea 12 in the BONAV
Hosea 12 in the BONCB
Hosea 12 in the BONLT
Hosea 12 in the BONUT2
Hosea 12 in the BOPLNT
Hosea 12 in the BOSCB
Hosea 12 in the BOSNC
Hosea 12 in the BOTLNT
Hosea 12 in the BOVCB
Hosea 12 in the BOYCB
Hosea 12 in the BPBB
Hosea 12 in the BPH
Hosea 12 in the BSB
Hosea 12 in the CCB
Hosea 12 in the CUV
Hosea 12 in the CUVS
Hosea 12 in the DBT
Hosea 12 in the DGDNT
Hosea 12 in the DHNT
Hosea 12 in the DNT
Hosea 12 in the ELBE
Hosea 12 in the EMTV
Hosea 12 in the ESV
Hosea 12 in the FBV
Hosea 12 in the FEB
Hosea 12 in the GGMNT
Hosea 12 in the GNT
Hosea 12 in the HARY
Hosea 12 in the HNT
Hosea 12 in the IRVA
Hosea 12 in the IRVB
Hosea 12 in the IRVG
Hosea 12 in the IRVH
Hosea 12 in the IRVK
Hosea 12 in the IRVM
Hosea 12 in the IRVM2
Hosea 12 in the IRVO
Hosea 12 in the IRVP
Hosea 12 in the IRVT
Hosea 12 in the IRVT2
Hosea 12 in the IRVU
Hosea 12 in the ISVN
Hosea 12 in the JSNT
Hosea 12 in the KAPI
Hosea 12 in the KBT1ETNIK
Hosea 12 in the KBV
Hosea 12 in the KJV
Hosea 12 in the KNFD
Hosea 12 in the LBA
Hosea 12 in the LBLA
Hosea 12 in the LNT
Hosea 12 in the LSV
Hosea 12 in the MAAL
Hosea 12 in the MBV
Hosea 12 in the MBV2
Hosea 12 in the MHNT
Hosea 12 in the MKNFD
Hosea 12 in the MNG
Hosea 12 in the MNT
Hosea 12 in the MNT2
Hosea 12 in the MRS1T
Hosea 12 in the NAA
Hosea 12 in the NASB
Hosea 12 in the NBLA
Hosea 12 in the NBS
Hosea 12 in the NBVTP
Hosea 12 in the NET2
Hosea 12 in the NIV11
Hosea 12 in the NNT
Hosea 12 in the NNT2
Hosea 12 in the NNT3
Hosea 12 in the PDDPT
Hosea 12 in the PFNT
Hosea 12 in the RMNT
Hosea 12 in the SBIAS
Hosea 12 in the SBIBS
Hosea 12 in the SBIBS2
Hosea 12 in the SBICS
Hosea 12 in the SBIDS
Hosea 12 in the SBIGS
Hosea 12 in the SBIHS
Hosea 12 in the SBIIS
Hosea 12 in the SBIIS2
Hosea 12 in the SBIIS3
Hosea 12 in the SBIKS
Hosea 12 in the SBIKS2
Hosea 12 in the SBIMS
Hosea 12 in the SBIOS
Hosea 12 in the SBIPS
Hosea 12 in the SBISS
Hosea 12 in the SBITS
Hosea 12 in the SBITS2
Hosea 12 in the SBITS3
Hosea 12 in the SBITS4
Hosea 12 in the SBIUS
Hosea 12 in the SBIVS
Hosea 12 in the SBT
Hosea 12 in the SBT1E
Hosea 12 in the SCHL
Hosea 12 in the SNT
Hosea 12 in the SUSU
Hosea 12 in the SUSU2
Hosea 12 in the SYNO
Hosea 12 in the TBIAOTANT
Hosea 12 in the TBT1E
Hosea 12 in the TBT1E2
Hosea 12 in the TFTIP
Hosea 12 in the TFTU
Hosea 12 in the TGNTATF3T
Hosea 12 in the THAI
Hosea 12 in the TNFD
Hosea 12 in the TNT
Hosea 12 in the TNTIK
Hosea 12 in the TNTIL
Hosea 12 in the TNTIN
Hosea 12 in the TNTIP
Hosea 12 in the TNTIZ
Hosea 12 in the TOMA
Hosea 12 in the TTENT
Hosea 12 in the UBG
Hosea 12 in the UGV
Hosea 12 in the UGV2
Hosea 12 in the VBL
Hosea 12 in the VDCC
Hosea 12 in the YALU
Hosea 12 in the YAPE
Hosea 12 in the YBVTP
Hosea 12 in the ZBP