Judges 20 (UGV3)

1 Tamām Isrāīlī ek dil ho kar Misfāh meṅ Rab ke huzūr jamā hue. Shimāl ke Dān se le kar junūb ke Bair-sabā tak sab āe. Dariyā-e-Yardan ke pār Jiliyād se bhī log āe. 2 Isrāīlī qabīloṅ ke sardār bhī āe. Unhoṅ ne mil kar ek baṛī fauj taiyār kī, talwāroṅ se lais 4,00,000 mard jamā hue. 3 Binyamīniyoṅ ko is jamāt ke bāre meṅ ittalā milī.Isrāīliyoṅ ne pūchhā, “Hameṅ batāeṅ ki yih haibatnāk jurm kis tarah sarzad huā?” 4 Maqtūlā ke shauhar ne unheṅ apnī kahānī sunāī, “Maiṅ apnī dāshtā ke sāth Jibiyā meṅ ā ṭhahrā jo Binyamīniyoṅ ke ilāqe meṅ hai. Ham wahāṅ rāt guzārnā chāhte the. 5 Yih dekh kar shahr ke mardoṅ ne mere mezbān ke ghar ko gher liyā tāki mujhe qatl kareṅ. Maiṅ to bach gayā, lekin merī dāshtā se itnī ziyādatī huī ki wuh mar gaī. 6 Yih dekh kar maiṅ ne us kī lāsh ko ṭukṛe ṭukṛe karke yih ṭukṛe Isrāīl kī mīrās kī har jagah bhej die tāki har ek ko mālūm ho jāe ki hamāre mulk meṅ kitnā ghinaunā jurm sarzad huā hai. 7 Is par āp sab yahāṅ jamā hue haiṅ. Isrāīl ke mardo, ab lāzim hai ki āp ek dūsre se mashwarā karke faislā kareṅ ki kyā karnā chāhie.” 8 Tamām mard ek dil ho kar khaṛe hue. Sab kā faislā thā, “Ham meṅ se koī bhī apne ghar wāpas nahīṅ jāegā 9 jab tak Jibiyā ko munāsib sazā na dī jāe. Lāzim hai ki ham fauran shahr par hamlā kareṅ aur is ke lie qurā ḍāl kar Rab se hidāyat leṅ. 10 Ham yih faislā bhī kareṅ ki kaun kaun hamārī fauj ke lie khāne-pīne kā band-o-bast karāegā. Is kām ke lie ham meṅ se har daswāṅ ādmī kāfī hai. Bāqī sab log sīdhe Jibiyā se laṛne jāeṅ tāki us sharmnāk jurm kā munāsib badlā leṅ jo Isrāīl meṅ huā hai.” 11 Yoṅ tamām Isrāīlī muttahid ho kar Jibiyā se laṛne ke lie gae. 12 Rāste meṅ unhoṅ ne Binyamīn ke har kunbe ko paiġhām bhijwāyā, “Āp ke darmiyān ghinaunā jurm huā hai. 13 Ab Jibiyā ke in sharīr ādmiyoṅ ko hamāre hawāle kareṅ tāki ham unheṅ sazā-e-maut de kar Isrāīl meṅ se burāī miṭā deṅ.”Lekin Binyamīnī is ke lie taiyār na hue. 14 Wuh pūre qabāylī ilāqe se ā kar Jibiyā meṅ jamā hue tāki Isrāīliyoṅ se laṛeṅ. 15 Usī din unhoṅ ne apnī fauj kā band-o-bast kiyā. Jibiyā ke 700 tajrabākār faujiyoṅ ke alāwā talwāroṅ se lais 26,000 afrād the. 16 In faujiyoṅ meṅ se 700 aise mard bhī the jo apne bāeṅ hāth se falāḳhan chalāne kī itnī mahārat rakhte the ki patthar bāl jaise chhoṭe nishāne par bhī lag jātā thā. 17 Dūsrī taraf Isrāīl ke 4,00,000 faujī khaṛe hue, aur har ek ke pās talwār thī. 18 Pahle Isrāīlī Baitel chale gae. Wahāṅ unhoṅ ne Allāh se dariyāft kiyā, “Kaun-sā qabīlā hamāre āge āge chale jab ham Binyamīniyoṅ par hamlā kareṅ?” Rab ne jawāb diyā, “Yahūdāh sab se āge chale.” 19 Agle din Isrāīlī rawānā hue aur Jibiyā ke qarīb pahuṅch kar apnī lashkargāh lagāī. 20 Phir wuh hamlā ke lie nikle aur tartīb se laṛne ke lie khaṛe ho gae. 21 Yih dekh kar Binyamīnī shahr se nikle aur un par ṭūṭ paṛe. Natīje meṅ 22,000 Isrāīlī shahīd ho gae. 22 22-23 Isrāīlī Baitel chale gae aur shām tak Rab ke huzūr rote rahe. Unhoṅ ne Rab se pūchhā, “Kyā ham dubārā apne Binyamīnī bhāiyoṅ se laṛne jāeṅ?” Rab ne jawāb diyā, “Hāṅ, un par hamlā karo!” Yih sun kar Isrāīliyoṅ kā hauslā baṛh gayā aur wuh agle din wahīṅ khaṛe ho gae jahāṅ pahle din khaṛe hue the. 24 Lekin jab wuh shahr ke qarīb pahuṅche 25 to Binyamīnī pahle kī tarah shahr se nikal kar un par ṭūṭ paṛe. Us din talwār se lais 18,000 Isrāīlī shahīd ho gae. 26 Phir Isrāīl kā pūrā lashkar Baitel chalā gayā. Wahāṅ wuh shām tak Rab ke huzūr rote aur rozā rakhte rahe. Unhoṅ ne Rab ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh karke 27 us se dariyāft kiyā ki ham kyā kareṅ. (Us waqt Allāh ke ahd kā sandūq Baitel meṅ thā 28 jahāṅ Fīnhās bin Iliyazar bin Hārūn imām thā.) Isrāīliyoṅ ne pūchhā, “Kyā ham ek aur martabā apne Binyamīnī bhāiyoṅ se laṛne jāeṅ yā is se bāz āeṅ?” Rab ne jawāb diyā, “Un par hamlā karo, kyoṅki kal hī maiṅ unheṅ tumhāre hawāle kar dūṅgā.” 29 Is dafā kuchh Isrāīlī Jibiyā ke irdgird ghāt meṅ baiṭh gae. 30 Bāqī afrād pahle do dinoṅ kī-sī tartīb ke mutābiq laṛne ke lie khaṛe ho gae. 31 Binyamīnī dubārā shahr se nikal kar un par ṭūṭ paṛe. Jo rāste Baitel aur Jibiyā kī taraf le jāte haiṅ un par aur khule maidān meṅ unhoṅ ne taqrīban 30 Isrāīliyoṅ ko mār ḍālā. Yoṅ laṛte laṛte wuh shahr se dūr hote gae. 32 Wuh pukāre, “Ab ham unheṅ pahlī do martabā kī tarah shikast deṅge!”Lekin Isrāīliyoṅ ne mansūbā bāndh liyā thā, “Ham un ke āge āge bhāgte hue unheṅ shahr se dūr rāstoṅ par khīṅch leṅge.” 33 Yoṅ wuh bhāgne lage aur Binyamīnī un ke pīchhe paṛ gae. Lekin Bāl-tamr ke qarīb Isrāīlī ruk kar muṛ gae aur un kā sāmnā karne lage. Ab bāqī Isrāīlī jo Jibā ke irdgird aur khule maidān meṅ ghāt meṅ baiṭhe the apnī chhupne kī jaghoṅ se nikal āe. 34 Achānak Jibiyā ke Binyamīniyoṅ ko 10,000 behtarīn faujiyoṅ kā sāmnā karnā paṛā, un mardoṅ kā jo pūre Isrāīl se chune gae the. Binyamīnī un se ḳhūb laṛne lage, lekin un kī āṅkheṅ abhī is bāt ke lie band thīṅ ki un kā anjām qarīb ā gayā hai. 35 Us din Isrāīliyoṅ ne Rab kī madad se fatah pā kar talwār se lais 25,100 Binyamīnī faujiyoṅ ko maut ke ghāṭ utār diyā. 36 Tab Binyamīniyoṅ ne jān liyā ki dushman ham par ġhālib ā gae haiṅ. Kyoṅki Isrāīlī fauj ne apne bhāg jāne se unheṅ Jibiyā se dūr khīṅch liyā thā tāki shahr ke irdgird ghāt meṅ baiṭhe mardoṅ ko shahr par hamlā karne kā mauqā muhaiyā kareṅ. 37 Tab yih mard nikal kar shahr par ṭūṭ paṛe aur talwār se tamām bāshindoṅ ko mār ḍālā, 38 38-39 phir mansūbe ke mutābiq āg lagā kar dhueṅ kā baṛā bādal paidā kiyā tāki bhāgne wāle Isrāīliyoṅ ko ishārā mil jāe ki wuh muṛ kar Binyamīniyoṅ kā muqābalā kareṅ.Us waqt tak Binyamīniyoṅ ne taqrīban 30 Isrāīliyoṅ ko mār ḍālā thā, aur un kā ḳhayāl thā ki ham unheṅ pahle kī tarah shikast de rahe haiṅ. 40 Achānak un ke pīchhe dhueṅ kā bādal āsmān kī taraf uṭhne lagā. Jab Binyamīniyoṅ ne muṛ kar dekhā ki shahr ke kone kone se dhuāṅ nikal rahā hai 41 to Isrāīl ke mard ruk gae aur palaṭ kar un kā sāmnā karne lage.Binyamīnī saḳht ghabrā gae. Kyoṅki unhoṅ ne jān liyā ki ham tabāh ho gae haiṅ. 42 42-43 Tab unhoṅ ne mashriq ke registān kī taraf farār hone kī koshish kī. Lekin ab wuh mard bhī un kā tāqqub karne lage jinhoṅ ne ghāt meṅ baiṭh kar Jibiyā par hamlā kiyā thā. Yoṅ Isrāīliyoṅ ne mafrūroṅ ko gher kar mār ḍālā. 44 Us waqt Binyamīn ke 18,000 tajrabākār faujī halāk hue. 45 Jo bach gae wuh registān kī chaṭān Rimmon kī taraf bhāg nikle. Lekin Isrāīliyoṅ ne rāste meṅ un ke 5,000 afrād ko maut ke ghāṭ utār diyā. Is ke bād unhoṅ ne jid'om tak un kā tāqqub kiyā. Mazīd 2,000 Binyamīnī halāk hue. 46 Is tarah Binyamīn ke kul 25,000 talwār se lais aur tajrabākār faujī māre gae. 47 Sirf 600 mard bach kar Rimmon kī chaṭān tak pahuṅch gae. Wahāṅ wuh chār mahīne tak ṭike rahe. 48 Tab Isrāīlī tāqqub karne se bāz ā kar Binyamīn ke qabāylī ilāqe meṅ wāpas āe. Wahāṅ unhoṅ ne jagah bajagah jā kar sab kuchh maut ke ghāṭ utār diyā. Jo bhī unheṅ milā wuh talwār kī zad meṅ ā gayā, ḳhāh insān thā yā haiwān. Sāth sāth unhoṅ ne tamām shahroṅ ko āg lagā dī.

In Other Versions

Judges 20 in the ANGEFD

Judges 20 in the ANTPNG2D

Judges 20 in the AS21

Judges 20 in the BAGH

Judges 20 in the BBPNG

Judges 20 in the BBT1E

Judges 20 in the BDS

Judges 20 in the BEV

Judges 20 in the BHAD

Judges 20 in the BIB

Judges 20 in the BLPT

Judges 20 in the BNT

Judges 20 in the BNTABOOT

Judges 20 in the BNTLV

Judges 20 in the BOATCB

Judges 20 in the BOATCB2

Judges 20 in the BOBCV

Judges 20 in the BOCNT

Judges 20 in the BOECS

Judges 20 in the BOGWICC

Judges 20 in the BOHCB

Judges 20 in the BOHCV

Judges 20 in the BOHLNT

Judges 20 in the BOHNTLTAL

Judges 20 in the BOICB

Judges 20 in the BOILNTAP

Judges 20 in the BOITCV

Judges 20 in the BOKCV

Judges 20 in the BOKCV2

Judges 20 in the BOKHWOG

Judges 20 in the BOKSSV

Judges 20 in the BOLCB

Judges 20 in the BOLCB2

Judges 20 in the BOMCV

Judges 20 in the BONAV

Judges 20 in the BONCB

Judges 20 in the BONLT

Judges 20 in the BONUT2

Judges 20 in the BOPLNT

Judges 20 in the BOSCB

Judges 20 in the BOSNC

Judges 20 in the BOTLNT

Judges 20 in the BOVCB

Judges 20 in the BOYCB

Judges 20 in the BPBB

Judges 20 in the BPH

Judges 20 in the BSB

Judges 20 in the CCB

Judges 20 in the CUV

Judges 20 in the CUVS

Judges 20 in the DBT

Judges 20 in the DGDNT

Judges 20 in the DHNT

Judges 20 in the DNT

Judges 20 in the ELBE

Judges 20 in the EMTV

Judges 20 in the ESV

Judges 20 in the FBV

Judges 20 in the FEB

Judges 20 in the GGMNT

Judges 20 in the GNT

Judges 20 in the HARY

Judges 20 in the HNT

Judges 20 in the IRVA

Judges 20 in the IRVB

Judges 20 in the IRVG

Judges 20 in the IRVH

Judges 20 in the IRVK

Judges 20 in the IRVM

Judges 20 in the IRVM2

Judges 20 in the IRVO

Judges 20 in the IRVP

Judges 20 in the IRVT

Judges 20 in the IRVT2

Judges 20 in the IRVU

Judges 20 in the ISVN

Judges 20 in the JSNT

Judges 20 in the KAPI

Judges 20 in the KBT1ETNIK

Judges 20 in the KBV

Judges 20 in the KJV

Judges 20 in the KNFD

Judges 20 in the LBA

Judges 20 in the LBLA

Judges 20 in the LNT

Judges 20 in the LSV

Judges 20 in the MAAL

Judges 20 in the MBV

Judges 20 in the MBV2

Judges 20 in the MHNT

Judges 20 in the MKNFD

Judges 20 in the MNG

Judges 20 in the MNT

Judges 20 in the MNT2

Judges 20 in the MRS1T

Judges 20 in the NAA

Judges 20 in the NASB

Judges 20 in the NBLA

Judges 20 in the NBS

Judges 20 in the NBVTP

Judges 20 in the NET2

Judges 20 in the NIV11

Judges 20 in the NNT

Judges 20 in the NNT2

Judges 20 in the NNT3

Judges 20 in the PDDPT

Judges 20 in the PFNT

Judges 20 in the RMNT

Judges 20 in the SBIAS

Judges 20 in the SBIBS

Judges 20 in the SBIBS2

Judges 20 in the SBICS

Judges 20 in the SBIDS

Judges 20 in the SBIGS

Judges 20 in the SBIHS

Judges 20 in the SBIIS

Judges 20 in the SBIIS2

Judges 20 in the SBIIS3

Judges 20 in the SBIKS

Judges 20 in the SBIKS2

Judges 20 in the SBIMS

Judges 20 in the SBIOS

Judges 20 in the SBIPS

Judges 20 in the SBISS

Judges 20 in the SBITS

Judges 20 in the SBITS2

Judges 20 in the SBITS3

Judges 20 in the SBITS4

Judges 20 in the SBIUS

Judges 20 in the SBIVS

Judges 20 in the SBT

Judges 20 in the SBT1E

Judges 20 in the SCHL

Judges 20 in the SNT

Judges 20 in the SUSU

Judges 20 in the SUSU2

Judges 20 in the SYNO

Judges 20 in the TBIAOTANT

Judges 20 in the TBT1E

Judges 20 in the TBT1E2

Judges 20 in the TFTIP

Judges 20 in the TFTU

Judges 20 in the TGNTATF3T

Judges 20 in the THAI

Judges 20 in the TNFD

Judges 20 in the TNT

Judges 20 in the TNTIK

Judges 20 in the TNTIL

Judges 20 in the TNTIN

Judges 20 in the TNTIP

Judges 20 in the TNTIZ

Judges 20 in the TOMA

Judges 20 in the TTENT

Judges 20 in the UBG

Judges 20 in the UGV

Judges 20 in the UGV2

Judges 20 in the VBL

Judges 20 in the VDCC

Judges 20 in the YALU

Judges 20 in the YAPE

Judges 20 in the YBVTP

Judges 20 in the ZBP