Jeremiah 38 (UGV3)

1 Safatiyāh bin Mattān, Jidaliyāh bin Fashhūr, Yūkal bin Salamiyāh aur Fashhūr bin Malkiyāh ko mālūm huā ki Yarmiyāh tamām logoṅ ko batā rahā hai 2 ki Rab farmātā hai,“Agar tum talwār, kāl yā wabā se marnā chāho to is shahr meṅ raho. Lekin agar tum apnī jān ko bachānā chāho to shahr se nikal kar apne āp ko Bābal kī fauj ke hawāle karo. Jo koī yih kare us kī jān chhūṭ jāegī. 3 Kyoṅki Rab farmātā hai ki Yarūshalam ko zarūr Shāh-e-Bābal kī fauj ke hawāle kiyā jāegā. Wuh yaqīnan us par qabzā karegā.” 4 Tab mazkūrā afsaroṅ ne bādshāh se kahā, “Is ādmī ko sazā-e-maut dīnī chāhie, kyoṅki yih shahr meṅ bache hue faujiyoṅ aur bāqī tamām logoṅ ko aisī bāteṅ batā rahā hai jin se wuh himmat hār gae haiṅ. Yih ādmī qaum kī bahbūdī nahīṅ chāhtā balki use musībat meṅ ḍālne par tulā rahtā hai.” 5 Sidqiyāh Bādshāh ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, wuh āp ke hāth meṅ hai. Maiṅ āp ko rok nahīṅ saktā.” 6 Tab unhoṅ ne Yarmiyāh ko pakaṛ kar Malkiyāh shāhzādā ke hauz meṅ ḍāl diyā. Yih hauz shāhī muhāfizoṅ ke sahan meṅ thā. Rassoṅ ke zariye unhoṅ ne Yarmiyāh ko utār diyā. Hauz meṅ pānī nahīṅ thā balki sirf kīchaṛ, aur Yarmiyāh kīchaṛ meṅ dhaṅs gayā. 7 Lekin Ethopiyā ke ek darbārī banām Abad-malik ko patā chalā ki Yarmiyāh ke sāth kyā kuchh kiyā jā rahā hai. Jab bādshāh shahr ke darwāze banām Binyamīn meṅ kachahrī lagāe baiṭhā thā 8 to Abad-malik shāhī mahal se nikal kar us ke pās gayā aur kahā, 9 “Mere āqā aur bādshāh, jo sulūk in ādmiyoṅ ne Yarmiyāh ke sāth kiyā hai wuh nihāyat burā hai. Unhoṅ ne use ek hauz meṅ phaiṅk diyā hai jahāṅ wuh bhūkā maregā. Kyoṅki shahr meṅ roṭī ḳhatm ho gaī hai.” 10 Yih sun kar bādshāh ne Abad-malik ko hukm diyā, “Is se pahle ki Yarmiyāh mar jāe yahāṅ se 30 ādmiyoṅ ko le kar nabī ko hauz se nikāl deṅ.” 11 Abad-malik ādmiyoṅ ko apne sāth le kar shāhī mahal ke godām ke nīche ke ek kamre meṅ gayā. Wahāṅ se us ne kuchh purāne chīthaṛe aur ghise-phaṭe kapṛe chun kar unheṅ rassoṅ ke zariye hauz meṅ Yarmiyāh tak utār diyā. 12 Abad-malik bolā, “Rasse bāndhne se pahle yih purāne chīthaṛe aur ghise-phaṭe kapṛe baġhal meṅ rakheṅ.” Yarmiyāh ne aisā hī kiyā, 13 to wuh use rassoṅ se khīṅch kar hauz se nikāl lāe. Is ke bād Yarmiyāh shāhī muhāfizoṅ ke sahan meṅ rahā. 14 Ek din Sidqiyāh Bādshāh ne Yarmiyāh ko Rab ke ghar ke tīsre darwāze ke pās bulā kar us se kahā, “Maiṅ āp se ek bāt dariyāft karnā chāhtā hūṅ. Mujhe is kā sāf jawāb deṅ, koī bhī bāt mujh se mat chhupāeṅ.” 15 Yarmiyāh ne etarāz kiyā, “Agar maiṅ āp ko sāf jawāb dūṅ to āp mujhe mār ḍāleṅge. Aur agar maiṅ āp ko mashwarā dūṅ bhī to āp use qabūl nahīṅ kareṅge.” 16 Tab Sidqiyāh Bādshāh ne alahdagī meṅ qasam khā kar Yarmiyāh se wādā kiyā, “Rab kī hayāt kī qasam jis ne hameṅ jān dī hai, na maiṅ āp ko mār ḍālūṅgā, na āp ke jānī dushmanoṅ ke hawāle karūṅga.” 17 Tab Yarmiyāh bolā, “Rab jo lashkaroṅ kā aur Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Apne āp ko Shāh-e-Bābal ke afsarān ke hawāle kar. Phir terī jān chhūṭ jāegī aur yih shahr nazar-e-ātish nahīṅ ho jāegā. Tū aur terā ḳhāndān jītā rahegā. 18 Dūsrī sūrat meṅ is shahr ko Bābal ke hawāle kiyā jāegā aur faujī ise nazar-e-ātish kareṅge. Tū bhī un ke hāth se nahīṅ bachegā.’” 19 Lekin Sidqiyāh Bādshāh ne etarāz kiyā, “Mujhe un hamwatanoṅ se ḍar lagtā hai jo ġhaddārī karke Bābal kī fauj ke pās bhāg gae haiṅ. Ho saktā hai ki Bābal ke faujī mujhe un ke hawāle kareṅ aur wuh mere sāth badsulūkī kareṅ.” 20 Yarmiyāh ne jawāb diyā, “Wuh āp ko un ke hawāle nahīṅ kareṅge. Rab kī sun kar wuh kuchh kareṅ jo maiṅ ne āp ko batāyā hai. Phir āp kī salāmatī hogī aur āp kī jān chhūṭ jāegī. 21 Lekin agar āp shahr se nikal kar hathiyār ḍālne ke lie taiyār nahīṅ haiṅ to phir yih paiġhām suneṅ jo Rab ne mujh par zāhir kiyā hai! 22 Shāhī mahal meṅ jitnī ḳhawātīn bach gaī haiṅ un sab ko Shāh-e-Bābal ke afsaroṅ ke pās pahuṅchāyā jāegā. Tab yih ḳhawātīn āp ke bāre meṅ kaheṅgī, ‘Hāy, jin ādmiyoṅ par tū pūrā etamād rakhtā thā wuh fareb de kar tujh par ġhālib ā gae haiṅ. Tere pāṅw daldal meṅ dhaṅs gae haiṅ, lekin yih log ġhāyb ho gae haiṅ.’ 23 Hāṅ, tere tamām bāl-bachchoṅ ko bāhar Bābal kī fauj ke pās lāyā jāegā. Tū ḳhud bhī un ke hāth se nahīṅ bachegā balki Shāh-e-Bābal tujhe pakaṛ legā. Yih shahr nazar-e-ātish ho jāegā.” 24 Phir Sidqiyāh ne Yarmiyāh se kahā, “Ḳhabardār! Kisī ko bhī yih mālūm na ho ki ham ne kyā kyā bāteṅ kī haiṅ, warnā āp mar jāeṅge. 25 Jab mere afsaroṅ ko patā chale ki merī āp se guftgū huī hai to wuh āp ke pās ā kar pūchheṅge, ‘Tum ne bādshāh se kyā bāt kī, aur bādshāh ne tum se kyā kahā? Hameṅ sāf jawāb do aur jhūṭ na bolo, warnā ham tumheṅ mār ḍāleṅge.’ 26 Jab wuh is tarah kī bāteṅ kareṅge to unheṅ sirf itnā-sā batāeṅ, ‘Maiṅ bādshāh se minnat kar rahā thā ki wuh mujhe Yūnatan ke ghar meṅ wāpas na bhejeṅ, warnā maiṅ mar jāūṅgā.’” 27 Aisā hī huā. Tamām sarkārī afsar Yarmiyāh ke pās āe aur us se sawāl karne lage. Lekin us ne unheṅ sirf wuh kuchh batāyā jo bādshāh ne use kahne ko kahā thā. Tab wuh ḳhāmosh ho gae. Kyoṅki kisī ne bhī us kī bādshāh se guftgū nahīṅ sunī thī. 28 Is ke bād Yarmiyāh Yarūshalam kī shikast tak shāhī muhāfizoṅ ke sahan meṅ qaidī rahā.

In Other Versions

Jeremiah 38 in the ANGEFD

Jeremiah 38 in the ANTPNG2D

Jeremiah 38 in the AS21

Jeremiah 38 in the BAGH

Jeremiah 38 in the BBPNG

Jeremiah 38 in the BBT1E

Jeremiah 38 in the BDS

Jeremiah 38 in the BEV

Jeremiah 38 in the BHAD

Jeremiah 38 in the BIB

Jeremiah 38 in the BLPT

Jeremiah 38 in the BNT

Jeremiah 38 in the BNTABOOT

Jeremiah 38 in the BNTLV

Jeremiah 38 in the BOATCB

Jeremiah 38 in the BOATCB2

Jeremiah 38 in the BOBCV

Jeremiah 38 in the BOCNT

Jeremiah 38 in the BOECS

Jeremiah 38 in the BOGWICC

Jeremiah 38 in the BOHCB

Jeremiah 38 in the BOHCV

Jeremiah 38 in the BOHLNT

Jeremiah 38 in the BOHNTLTAL

Jeremiah 38 in the BOICB

Jeremiah 38 in the BOILNTAP

Jeremiah 38 in the BOITCV

Jeremiah 38 in the BOKCV

Jeremiah 38 in the BOKCV2

Jeremiah 38 in the BOKHWOG

Jeremiah 38 in the BOKSSV

Jeremiah 38 in the BOLCB

Jeremiah 38 in the BOLCB2

Jeremiah 38 in the BOMCV

Jeremiah 38 in the BONAV

Jeremiah 38 in the BONCB

Jeremiah 38 in the BONLT

Jeremiah 38 in the BONUT2

Jeremiah 38 in the BOPLNT

Jeremiah 38 in the BOSCB

Jeremiah 38 in the BOSNC

Jeremiah 38 in the BOTLNT

Jeremiah 38 in the BOVCB

Jeremiah 38 in the BOYCB

Jeremiah 38 in the BPBB

Jeremiah 38 in the BPH

Jeremiah 38 in the BSB

Jeremiah 38 in the CCB

Jeremiah 38 in the CUV

Jeremiah 38 in the CUVS

Jeremiah 38 in the DBT

Jeremiah 38 in the DGDNT

Jeremiah 38 in the DHNT

Jeremiah 38 in the DNT

Jeremiah 38 in the ELBE

Jeremiah 38 in the EMTV

Jeremiah 38 in the ESV

Jeremiah 38 in the FBV

Jeremiah 38 in the FEB

Jeremiah 38 in the GGMNT

Jeremiah 38 in the GNT

Jeremiah 38 in the HARY

Jeremiah 38 in the HNT

Jeremiah 38 in the IRVA

Jeremiah 38 in the IRVB

Jeremiah 38 in the IRVG

Jeremiah 38 in the IRVH

Jeremiah 38 in the IRVK

Jeremiah 38 in the IRVM

Jeremiah 38 in the IRVM2

Jeremiah 38 in the IRVO

Jeremiah 38 in the IRVP

Jeremiah 38 in the IRVT

Jeremiah 38 in the IRVT2

Jeremiah 38 in the IRVU

Jeremiah 38 in the ISVN

Jeremiah 38 in the JSNT

Jeremiah 38 in the KAPI

Jeremiah 38 in the KBT1ETNIK

Jeremiah 38 in the KBV

Jeremiah 38 in the KJV

Jeremiah 38 in the KNFD

Jeremiah 38 in the LBA

Jeremiah 38 in the LBLA

Jeremiah 38 in the LNT

Jeremiah 38 in the LSV

Jeremiah 38 in the MAAL

Jeremiah 38 in the MBV

Jeremiah 38 in the MBV2

Jeremiah 38 in the MHNT

Jeremiah 38 in the MKNFD

Jeremiah 38 in the MNG

Jeremiah 38 in the MNT

Jeremiah 38 in the MNT2

Jeremiah 38 in the MRS1T

Jeremiah 38 in the NAA

Jeremiah 38 in the NASB

Jeremiah 38 in the NBLA

Jeremiah 38 in the NBS

Jeremiah 38 in the NBVTP

Jeremiah 38 in the NET2

Jeremiah 38 in the NIV11

Jeremiah 38 in the NNT

Jeremiah 38 in the NNT2

Jeremiah 38 in the NNT3

Jeremiah 38 in the PDDPT

Jeremiah 38 in the PFNT

Jeremiah 38 in the RMNT

Jeremiah 38 in the SBIAS

Jeremiah 38 in the SBIBS

Jeremiah 38 in the SBIBS2

Jeremiah 38 in the SBICS

Jeremiah 38 in the SBIDS

Jeremiah 38 in the SBIGS

Jeremiah 38 in the SBIHS

Jeremiah 38 in the SBIIS

Jeremiah 38 in the SBIIS2

Jeremiah 38 in the SBIIS3

Jeremiah 38 in the SBIKS

Jeremiah 38 in the SBIKS2

Jeremiah 38 in the SBIMS

Jeremiah 38 in the SBIOS

Jeremiah 38 in the SBIPS

Jeremiah 38 in the SBISS

Jeremiah 38 in the SBITS

Jeremiah 38 in the SBITS2

Jeremiah 38 in the SBITS3

Jeremiah 38 in the SBITS4

Jeremiah 38 in the SBIUS

Jeremiah 38 in the SBIVS

Jeremiah 38 in the SBT

Jeremiah 38 in the SBT1E

Jeremiah 38 in the SCHL

Jeremiah 38 in the SNT

Jeremiah 38 in the SUSU

Jeremiah 38 in the SUSU2

Jeremiah 38 in the SYNO

Jeremiah 38 in the TBIAOTANT

Jeremiah 38 in the TBT1E

Jeremiah 38 in the TBT1E2

Jeremiah 38 in the TFTIP

Jeremiah 38 in the TFTU

Jeremiah 38 in the TGNTATF3T

Jeremiah 38 in the THAI

Jeremiah 38 in the TNFD

Jeremiah 38 in the TNT

Jeremiah 38 in the TNTIK

Jeremiah 38 in the TNTIL

Jeremiah 38 in the TNTIN

Jeremiah 38 in the TNTIP

Jeremiah 38 in the TNTIZ

Jeremiah 38 in the TOMA

Jeremiah 38 in the TTENT

Jeremiah 38 in the UBG

Jeremiah 38 in the UGV

Jeremiah 38 in the UGV2

Jeremiah 38 in the VBL

Jeremiah 38 in the VDCC

Jeremiah 38 in the YALU

Jeremiah 38 in the YAPE

Jeremiah 38 in the YBVTP

Jeremiah 38 in the ZBP