Joshua 6 (UGV3)

1 Un dinoṅ meṅ Isrāīliyoṅ kī wajah se Yarīhū ke darwāze band hī rahe. Na koī bāhar niklā, na koī andar gayā. 2 Rab ne Yashua se kahā, “Maiṅ ne Yarīhū ko us ke bādshāh aur faujī afsaroṅ samet tere hāth meṅ kar diyā hai. 3 Jo Isrāīlī jang ke lie tere sāth nikleṅge un ke sāth shahr kī fasīl ke sāth sāth chal kar ek chakkar lagāo aur phir ḳhaimāgāh meṅ wāpas ā jāo. Chhih din tak aisā hī karo. 4 Sāt imām ek ek narsingā uṭhāe ahd ke sandūq ke āge āge chaleṅ. Phir sātweṅ din shahr ke gird sāt chakkar lagāo. Sāth sāth imām narsinge bajāte raheṅ. 5 Jab wuh narsingoṅ ko bajāte bajāte lambī-sī phūṅk māreṅge to phir tamām Isrāīlī baṛe zor se jang kā nārā lagāeṅ. Is par shahr kī fasīl gir jāegī aur tere log har jagah sīdhe shahr meṅ dāḳhil ho sakeṅge.” 6 Yashua bin Nūn ne imāmoṅ ko bulā kar un se kahā, “Rab ke ahd kā sandūq uṭhā kar mere sāth chaleṅ. Aur sāt imām ek ek narsingā uṭhāe sandūq ke āge āge chaleṅ.” 7 Phir us ne bāqī logoṅ se kahā, “Āeṅ, shahr kī fasīl ke sāth sāth chal kar ek chakkar lagāeṅ. Musallah ādmī Rab ke sandūq ke āge āge chaleṅ.” 8 Sab kuchh Yashua kī hidāyāt ke mutābiq huā. Sāt imām narsinge bajāte hue Rab ke āge āge chale jabki Rab ke ahd kā sandūq un ke pīchhe pīchhe thā. 9 Musallah ādmiyoṅ meṅ se kuchh bajāne wāle imāmoṅ ke āge āge aur kuchh sandūq ke pīchhe pīchhe chalne lage. Itne meṅ imām narsinge bajāte rahe. 10 Lekin Yashua ne bāqī logoṅ ko hukm diyā thā ki us din jang kā nārā na lagāeṅ. Us ne kahā, “Jab tak maiṅ hukm na dūṅ us waqt tak ek lafz bhī na bolnā. Jab maiṅ ishārā dūṅgā to phir hī ḳhūb nārā lagānā.” 11 Isī tarah Rab ke sandūq ne shahr kī fasīl ke sāth sāth chal kar chakkar lagāyā. Phir logoṅ ne ḳhaimāgāh meṅ lauṭ kar wahāṅ rāt guzārī. 12 12-13 Agle din Yashua subah-sawere uṭhā, aur imāmoṅ aur faujiyoṅ ne dūsrī martabā shahr kā chakkar lagāyā. Un kī wuhī tartīb thī. Pahle kuchh musallah ādmī, phir sāt narsinge bajāne wāle imām, phir Rab ke ahd kā sandūq uṭhāne wāle imām aur āḳhir meṅ mazīd kuchh musallah ādmī the. Chakkar lagāne ke daurān imām narsinge bajāte rahe. 14 Is dūsre din bhī wuh shahr kā chakkar lagā kar ḳhaimāgāh meṅ lauṭ āe. Unhoṅ ne chhih din tak aisā hī kiyā. 15 Sātweṅ din unhoṅ ne subah-sawere uṭh kar shahr kā chakkar yoṅ lagāyā jaise pahle chhih dinoṅ meṅ, lekin is dafā unhoṅ ne kul sāt chakkar lagāe. 16 Sātweṅ chakkar par imāmoṅ ne narsingoṅ ko bajāte hue lambī-sī phūṅk mārī. Tab Yashua ne logoṅ se kahā, “Jang kā nārā lagāeṅ, kyoṅki Rab ne āp ko yih shahr de diyā hai. 17 Shahr ko aur jo kuchh us meṅ hai tabāh karke Rab ke lie maḳhsūs karnā hai. Sirf Rāhab kasbī ko un logoṅ samet bachānā hai jo us ke ghar meṅ haiṅ. Kyoṅki us ne hamāre un jāsūsoṅ ko chhupā diyā jin ko ham ne yahāṅ bhejā thā. 18 Lekin Allāh ke lie maḳhsūs chīzoṅ ko hāth na lagānā, kyoṅki agar āp un meṅ se kuchh le leṅ to apne āp ko tabāh kareṅge balki Isrāīlī ḳhaimāgāh par bhī tabāhī aur āfat lāeṅge. 19 Jo kuchh bhī chāṅdī, sone, pītal yā lohe se banā hai wuh Rab ke lie maḳhsūs hai. Use Rab ke ḳhazāne meṅ ḍālnā hai.” 20 Jab imāmoṅ ne lambī phūṅk mārī to Isrāīliyoṅ ne jang ke zordār nāre lagāe. Achānak Yarīhū kī fasīl gir gaī, aur har shaḳhs apnī apnī jagah par sīdhā shahr meṅ dāḳhil huā. Yoṅ shahr Isrāīl ke qabze meṅ ā gayā. 21 Jo kuchh bhī shahr meṅ thā use unhoṅ ne talwār se mār kar Rab ke lie maḳhsūs kiyā, ḳhāh mard yā aurat, jawān yā buzurg, gāy-bail, bheṛ-bakrī yā gadhā thā. 22 Jin do ādmiyoṅ ne mulk kī jāsūsī kī thī un se Yashua ne kahā, “Ab apnī qasam kā wādā pūrā kareṅ. Kasbī ke ghar meṅ jā kar use aur us ke tamām ghar wāloṅ ko nikāl lāeṅ.” 23 Chunāṅche yih jawān ādmī gae aur Rāhab, us ke māṅ-bāp, bhāiyoṅ aur bāqī rishtedāroṅ ko us kī milkiyat samet nikāl kar ḳhaimāgāh se bāhar kahīṅ basā diyā. 24 Phir unhoṅ ne pūre shahr ko aur jo kuchh us meṅ thā bhasm kar diyā. Lekin chāṅdī, sone, pītal aur lohe kā tamām māl unhoṅ ne Rab ke ghar ke ḳhazāne meṅ ḍāl diyā. 25 Yashua ne sirf Rāhab kasbī aur us ke ghar wāloṅ ko bachāe rakhā, kyoṅki us ne un ādmiyoṅ ko chhupā diyā thā jinheṅ Yashua ne Yarīhū bhejā thā. Rāhab āj tak Isrāīliyoṅ ke darmiyān rahtī hai. 26 Us waqt Yashua ne qasam khāī, “Rab kī lānat us par ho jo Yarīhū kā shahr nae sire se tāmīr karne kī koshish kare. Shahr kī buniyād rakhte waqt wuh apne pahlauṭhe se mahrūm ho jāegā, aur us ke darwāzoṅ ko khaṛā karte waqt wuh apne sab se chhoṭe beṭe se hāth dho baiṭhegā.” 27 Yoṅ Rab Yashua ke sāth thā, aur us kī shohrat pūre mulk meṅ phail gaī.

In Other Versions

Joshua 6 in the ANGEFD

Joshua 6 in the ANTPNG2D

Joshua 6 in the AS21

Joshua 6 in the BAGH

Joshua 6 in the BBPNG

Joshua 6 in the BBT1E

Joshua 6 in the BDS

Joshua 6 in the BEV

Joshua 6 in the BHAD

Joshua 6 in the BIB

Joshua 6 in the BLPT

Joshua 6 in the BNT

Joshua 6 in the BNTABOOT

Joshua 6 in the BNTLV

Joshua 6 in the BOATCB

Joshua 6 in the BOATCB2

Joshua 6 in the BOBCV

Joshua 6 in the BOCNT

Joshua 6 in the BOECS

Joshua 6 in the BOGWICC

Joshua 6 in the BOHCB

Joshua 6 in the BOHCV

Joshua 6 in the BOHLNT

Joshua 6 in the BOHNTLTAL

Joshua 6 in the BOICB

Joshua 6 in the BOILNTAP

Joshua 6 in the BOITCV

Joshua 6 in the BOKCV

Joshua 6 in the BOKCV2

Joshua 6 in the BOKHWOG

Joshua 6 in the BOKSSV

Joshua 6 in the BOLCB

Joshua 6 in the BOLCB2

Joshua 6 in the BOMCV

Joshua 6 in the BONAV

Joshua 6 in the BONCB

Joshua 6 in the BONLT

Joshua 6 in the BONUT2

Joshua 6 in the BOPLNT

Joshua 6 in the BOSCB

Joshua 6 in the BOSNC

Joshua 6 in the BOTLNT

Joshua 6 in the BOVCB

Joshua 6 in the BOYCB

Joshua 6 in the BPBB

Joshua 6 in the BPH

Joshua 6 in the BSB

Joshua 6 in the CCB

Joshua 6 in the CUV

Joshua 6 in the CUVS

Joshua 6 in the DBT

Joshua 6 in the DGDNT

Joshua 6 in the DHNT

Joshua 6 in the DNT

Joshua 6 in the ELBE

Joshua 6 in the EMTV

Joshua 6 in the ESV

Joshua 6 in the FBV

Joshua 6 in the FEB

Joshua 6 in the GGMNT

Joshua 6 in the GNT

Joshua 6 in the HARY

Joshua 6 in the HNT

Joshua 6 in the IRVA

Joshua 6 in the IRVB

Joshua 6 in the IRVG

Joshua 6 in the IRVH

Joshua 6 in the IRVK

Joshua 6 in the IRVM

Joshua 6 in the IRVM2

Joshua 6 in the IRVO

Joshua 6 in the IRVP

Joshua 6 in the IRVT

Joshua 6 in the IRVT2

Joshua 6 in the IRVU

Joshua 6 in the ISVN

Joshua 6 in the JSNT

Joshua 6 in the KAPI

Joshua 6 in the KBT1ETNIK

Joshua 6 in the KBV

Joshua 6 in the KJV

Joshua 6 in the KNFD

Joshua 6 in the LBA

Joshua 6 in the LBLA

Joshua 6 in the LNT

Joshua 6 in the LSV

Joshua 6 in the MAAL

Joshua 6 in the MBV

Joshua 6 in the MBV2

Joshua 6 in the MHNT

Joshua 6 in the MKNFD

Joshua 6 in the MNG

Joshua 6 in the MNT

Joshua 6 in the MNT2

Joshua 6 in the MRS1T

Joshua 6 in the NAA

Joshua 6 in the NASB

Joshua 6 in the NBLA

Joshua 6 in the NBS

Joshua 6 in the NBVTP

Joshua 6 in the NET2

Joshua 6 in the NIV11

Joshua 6 in the NNT

Joshua 6 in the NNT2

Joshua 6 in the NNT3

Joshua 6 in the PDDPT

Joshua 6 in the PFNT

Joshua 6 in the RMNT

Joshua 6 in the SBIAS

Joshua 6 in the SBIBS

Joshua 6 in the SBIBS2

Joshua 6 in the SBICS

Joshua 6 in the SBIDS

Joshua 6 in the SBIGS

Joshua 6 in the SBIHS

Joshua 6 in the SBIIS

Joshua 6 in the SBIIS2

Joshua 6 in the SBIIS3

Joshua 6 in the SBIKS

Joshua 6 in the SBIKS2

Joshua 6 in the SBIMS

Joshua 6 in the SBIOS

Joshua 6 in the SBIPS

Joshua 6 in the SBISS

Joshua 6 in the SBITS

Joshua 6 in the SBITS2

Joshua 6 in the SBITS3

Joshua 6 in the SBITS4

Joshua 6 in the SBIUS

Joshua 6 in the SBIVS

Joshua 6 in the SBT

Joshua 6 in the SBT1E

Joshua 6 in the SCHL

Joshua 6 in the SNT

Joshua 6 in the SUSU

Joshua 6 in the SUSU2

Joshua 6 in the SYNO

Joshua 6 in the TBIAOTANT

Joshua 6 in the TBT1E

Joshua 6 in the TBT1E2

Joshua 6 in the TFTIP

Joshua 6 in the TFTU

Joshua 6 in the TGNTATF3T

Joshua 6 in the THAI

Joshua 6 in the TNFD

Joshua 6 in the TNT

Joshua 6 in the TNTIK

Joshua 6 in the TNTIL

Joshua 6 in the TNTIN

Joshua 6 in the TNTIP

Joshua 6 in the TNTIZ

Joshua 6 in the TOMA

Joshua 6 in the TTENT

Joshua 6 in the UBG

Joshua 6 in the UGV

Joshua 6 in the UGV2

Joshua 6 in the VBL

Joshua 6 in the VDCC

Joshua 6 in the YALU

Joshua 6 in the YAPE

Joshua 6 in the YBVTP

Joshua 6 in the ZBP