Joshua 9 (UGV3)

1 In bātoṅ kī ḳhabar Dariyā-e-Yardan ke maġhrib ke tamām bādshāhoṅ tak pahuṅchī, ḳhāh wuh pahāṛī ilāqe, maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe yā sāhilī ilāqe meṅ Lubnān tak rahte the. Un kī yih qaumeṅ thīṅ: Hittī, Amorī, Kanānī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī. 2 Ab yih Yashua aur Isrāīliyoṅ se laṛne ke lie jamā hue. 3 Lekin jab Jibaūn Shahr ke bāshindoṅ ko patā chalā ki Yashua ne Yarīhū aur Aī ke sāth kyā kiyā hai 4 to unhoṅ ne ek chāl chalī. Apne sāth safr ke lie khānā le kar wuh Yashua ke pās chal paṛe. Un ke gadhoṅ par ḳhastāhāl boriyāṅ aur mai kī aisī purānī aur ghisī-phaṭī mashkeṅ ladī huī thīṅ jin kī bār bār marammat huī thī. 5 Mardoṅ ne aise purāne jūte pahan rakhe the jin par jagah jagah paiwand lage hue the. Un ke kapṛe bhī ghise-phaṭe the, aur safr ke lie jo roṭī un ke pās thī wuh ḳhushk aur ṭukṛe ṭukṛe ho gaī thī. 6 Aisī hālat meṅ wuh Yashua ke pās Jiljāl kī ḳhaimāgāh meṅ pahuṅch gae. Unhoṅ ne us se aur bāqī Isrāīlī mardoṅ se kahā, “Ham ek dūr-darāz mulk se āe haiṅ. Āeṅ, hamāre sāth muāhadā kareṅ.” 7 Lekin Isrāīliyoṅ ne Hiwwiyoṅ se kahā, “Shāyad āp hamāre ilāqe ke bīch meṅ kahīṅ baste haiṅ. Agar aisā hai to ham kis tarah āp se muāhadā kar sakte haiṅ?” 8 Wuh Yashua se bole, “Ham āp kī ḳhidmat ke lie hāzir haiṅ.”Yashua ne pūchhā, “Āp kaun haiṅ aur kahāṅ se āe haiṅ?” 9 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ke ḳhādim āp ke Ḳhudā ke nām ke bāis ek nihāyat dūr-darāz mulk se āe haiṅ. Kyoṅki us kī ḳhabar ham tak pahuṅch gaī hai, aur ham ne wuh sab kuchh sun liyā hai jo us ne Misr meṅ 10 aur Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ rahne wāle do bādshāhoṅ ke sāth kiyā yānī Hasbon ke bādshāh Sīhon aur Basan ke bādshāh Oj ke sāth jo Astārāt meṅ rahtā thā. 11 Tab hamāre buzurgoṅ balki hamāre mulk ke tamām bāshindoṅ ne ham se kahā, ‘Safr ke lie khānā le kar un se milne jāeṅ. Un se bāt kareṅ ki ham āp kī ḳhidmat ke lie hāzir haiṅ. Āeṅ, hamāre sāth muāhadā kareṅ.’ 12 Hamārī yih roṭī abhī garm thī jab ham ise safr ke lie apne sāth le kar āp se milne ke lie apne gharoṅ se rawānā hue. Aur ab āp ḳhud dekh sakte haiṅ ki yih ḳhushk aur ṭukṛe ṭukṛe ho gaī hai. 13 Aur mai kī in mashkoṅ kī ghisī-phaṭī hālat dekheṅ. Bharte waqt yih naī aur lachakdār thīṅ. Yihī hamāre kapṛoṅ aur jūtoṅ kī hālat bhī hai. Safr karte karte yih ḳhatm ho gae haiṅ.” 14 Isrāīliyoṅ ne musāfiroṅ kā kuchh khānā liyā. Afsos, unhoṅ ne Rab se hidāyat na māṅgī. 15 Phir Yashua ne un ke sāth sulah kā muāhadā kiyā aur jamāt ke rāhnumāoṅ ne qasam khā kar us kī tasdīq kī. Muāhade meṅ Isrāīl ne wādā kiyā ki Jibaūniyoṅ ko jīne degā. 16 Tīn din guzare to Isrāīliyoṅ ko patā chalā ki Jibaūnī hamāre qarīb hī aur hamāre ilāqe ke ain bīch meṅ rahte haiṅ. 17 Isrāīlī rawānā hue aur tīsre din un ke shahroṅ ke pās pahuṅche jin ke nām Jibaūn, Kafīrā, Bairot aur Qiriyat-yārīm the. 18 Lekin chūṅki jamāt ke rāhnumāoṅ ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī qasam khā kar un se wādā kiyā thā is lie unhoṅ ne Jibaūniyoṅ ko halāk na kiyā. Pūrī jamāt rāhnumāoṅ par buṛbuṛāne lagī, 19 lekin unhoṅ ne jawāb meṅ kahā, “Ham ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī qasam khā kar un se wādā kiyā, aur ab ham unheṅ chheṛ nahīṅ sakte. 20 Chunāṅche ham unheṅ jīne deṅge aur wuh qasam na toṛeṅge jo ham ne un ke sāth khāī. Aisā na ho ki Allāh kā ġhazab ham par nāzil ho jāe. 21 Unheṅ jīne do.” Phir faislā yih huā ki Jibaūnī lakaṛhāre aur pānī bharne wāle ban kar pūrī jamāt kī ḳhidmat kareṅ. Yoṅ Isrāīlī rāhnumāoṅ kā un ke sāth wādā qāym rahā. 22 Yashua ne Jibaūniyoṅ ko bulā kar kahā, “Tum ne hameṅ dhokā de kar kyoṅ kahā ki ham āp se nihāyat dūr rahte haiṅ hālāṅki tum hamāre ilāqe ke bīch meṅ hī rahte ho? 23 Chunāṅche ab tum par lānat ho. Tum lakaṛhāre aur pānī bharne wāle ban kar hameshā ke lie mere Ḳhudā ke ghar kī ḳhidmat karoge.” 24 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ke ḳhādimoṅ ko sāf batāyā gayā thā ki Rab āp ke Ḳhudā ne apne ḳhādim Mūsā ko kyā hukm diyā thā, ki use āp ko pūrā mulk denā aur āp ke āge āge tamām bāshindoṅ ko halāk karnā hai. Yih sun kar ham bahut ḍar gae ki hamārī jān nahīṅ bachegī. Isī lie ham ne yih sab kuchh kiyā. 25 Ab ham āp ke hāth meṅ haiṅ. Hamāre sāth wuh kuchh kareṅ jo āp ko achchhā aur ṭhīk lagtā hai.” 26 Chunāṅche Yashua ne unheṅ Isrāīliyoṅ se bachāyā, aur unhoṅ ne Jibaūniyoṅ ko halāk na kiyā. 27 Usī din us ne Jibaūniyoṅ ko lakaṛhāre aur pānī bharne wāle banā diyā tāki wuh jamāt aur Rab kī us qurbāngāh kī ḳhidmat kareṅ jis kā maqām Rab ko abhī chunanā thā. Aur yih log āj tak yihī kuchh karte haiṅ.

In Other Versions

Joshua 9 in the ANGEFD

Joshua 9 in the ANTPNG2D

Joshua 9 in the AS21

Joshua 9 in the BAGH

Joshua 9 in the BBPNG

Joshua 9 in the BBT1E

Joshua 9 in the BDS

Joshua 9 in the BEV

Joshua 9 in the BHAD

Joshua 9 in the BIB

Joshua 9 in the BLPT

Joshua 9 in the BNT

Joshua 9 in the BNTABOOT

Joshua 9 in the BNTLV

Joshua 9 in the BOATCB

Joshua 9 in the BOATCB2

Joshua 9 in the BOBCV

Joshua 9 in the BOCNT

Joshua 9 in the BOECS

Joshua 9 in the BOGWICC

Joshua 9 in the BOHCB

Joshua 9 in the BOHCV

Joshua 9 in the BOHLNT

Joshua 9 in the BOHNTLTAL

Joshua 9 in the BOICB

Joshua 9 in the BOILNTAP

Joshua 9 in the BOITCV

Joshua 9 in the BOKCV

Joshua 9 in the BOKCV2

Joshua 9 in the BOKHWOG

Joshua 9 in the BOKSSV

Joshua 9 in the BOLCB

Joshua 9 in the BOLCB2

Joshua 9 in the BOMCV

Joshua 9 in the BONAV

Joshua 9 in the BONCB

Joshua 9 in the BONLT

Joshua 9 in the BONUT2

Joshua 9 in the BOPLNT

Joshua 9 in the BOSCB

Joshua 9 in the BOSNC

Joshua 9 in the BOTLNT

Joshua 9 in the BOVCB

Joshua 9 in the BOYCB

Joshua 9 in the BPBB

Joshua 9 in the BPH

Joshua 9 in the BSB

Joshua 9 in the CCB

Joshua 9 in the CUV

Joshua 9 in the CUVS

Joshua 9 in the DBT

Joshua 9 in the DGDNT

Joshua 9 in the DHNT

Joshua 9 in the DNT

Joshua 9 in the ELBE

Joshua 9 in the EMTV

Joshua 9 in the ESV

Joshua 9 in the FBV

Joshua 9 in the FEB

Joshua 9 in the GGMNT

Joshua 9 in the GNT

Joshua 9 in the HARY

Joshua 9 in the HNT

Joshua 9 in the IRVA

Joshua 9 in the IRVB

Joshua 9 in the IRVG

Joshua 9 in the IRVH

Joshua 9 in the IRVK

Joshua 9 in the IRVM

Joshua 9 in the IRVM2

Joshua 9 in the IRVO

Joshua 9 in the IRVP

Joshua 9 in the IRVT

Joshua 9 in the IRVT2

Joshua 9 in the IRVU

Joshua 9 in the ISVN

Joshua 9 in the JSNT

Joshua 9 in the KAPI

Joshua 9 in the KBT1ETNIK

Joshua 9 in the KBV

Joshua 9 in the KJV

Joshua 9 in the KNFD

Joshua 9 in the LBA

Joshua 9 in the LBLA

Joshua 9 in the LNT

Joshua 9 in the LSV

Joshua 9 in the MAAL

Joshua 9 in the MBV

Joshua 9 in the MBV2

Joshua 9 in the MHNT

Joshua 9 in the MKNFD

Joshua 9 in the MNG

Joshua 9 in the MNT

Joshua 9 in the MNT2

Joshua 9 in the MRS1T

Joshua 9 in the NAA

Joshua 9 in the NASB

Joshua 9 in the NBLA

Joshua 9 in the NBS

Joshua 9 in the NBVTP

Joshua 9 in the NET2

Joshua 9 in the NIV11

Joshua 9 in the NNT

Joshua 9 in the NNT2

Joshua 9 in the NNT3

Joshua 9 in the PDDPT

Joshua 9 in the PFNT

Joshua 9 in the RMNT

Joshua 9 in the SBIAS

Joshua 9 in the SBIBS

Joshua 9 in the SBIBS2

Joshua 9 in the SBICS

Joshua 9 in the SBIDS

Joshua 9 in the SBIGS

Joshua 9 in the SBIHS

Joshua 9 in the SBIIS

Joshua 9 in the SBIIS2

Joshua 9 in the SBIIS3

Joshua 9 in the SBIKS

Joshua 9 in the SBIKS2

Joshua 9 in the SBIMS

Joshua 9 in the SBIOS

Joshua 9 in the SBIPS

Joshua 9 in the SBISS

Joshua 9 in the SBITS

Joshua 9 in the SBITS2

Joshua 9 in the SBITS3

Joshua 9 in the SBITS4

Joshua 9 in the SBIUS

Joshua 9 in the SBIVS

Joshua 9 in the SBT

Joshua 9 in the SBT1E

Joshua 9 in the SCHL

Joshua 9 in the SNT

Joshua 9 in the SUSU

Joshua 9 in the SUSU2

Joshua 9 in the SYNO

Joshua 9 in the TBIAOTANT

Joshua 9 in the TBT1E

Joshua 9 in the TBT1E2

Joshua 9 in the TFTIP

Joshua 9 in the TFTU

Joshua 9 in the TGNTATF3T

Joshua 9 in the THAI

Joshua 9 in the TNFD

Joshua 9 in the TNT

Joshua 9 in the TNTIK

Joshua 9 in the TNTIL

Joshua 9 in the TNTIN

Joshua 9 in the TNTIP

Joshua 9 in the TNTIZ

Joshua 9 in the TOMA

Joshua 9 in the TTENT

Joshua 9 in the UBG

Joshua 9 in the UGV

Joshua 9 in the UGV2

Joshua 9 in the VBL

Joshua 9 in the VDCC

Joshua 9 in the YALU

Joshua 9 in the YAPE

Joshua 9 in the YBVTP

Joshua 9 in the ZBP