Leviticus 13 (UGV3)
1 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, 2 “Agar kisī kī jild meṅ sūjan yā papaṛī yā safed dāġh ho aur ḳhatrā hai ki wabāī jildī bīmārī ho to use imāmoṅ yānī Hārūn yā us ke beṭoṅ ke pās le ānā hai. 3 Imām us jagah kā muāynā kare. Agar us ke bāl safed ho gae hoṅ aur wuh jild meṅ dhaṅsī huī ho to wabāī bīmārī hai. Jab imām ko yih mālūm ho to wuh use nāpāk qarār de. 4 Lekin ho saktā hai ki jild kī jagah safed to hai lekin jild meṅ dhaṅsī huī nahīṅ hai, na us ke bāl safed hue haiṅ. Is sūrat meṅ imām us shaḳhs ko sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe. 5 Sātweṅ din imām dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh dekhe ki muta'assirā jagah waisī hī hai aur phailī nahīṅ to wuh use mazīd sāt din alahdagī meṅ rakhe. 6 Sātweṅ din wuh ek aur martabā us kā muāynā kare. Agar us jagah kā rang dubārā sehhatmand jild ke rang kī mānind ho rahā ho aur phailī na ho to wuh use pāk qarār de. Is kā matlab hai ki yih marz ām papaṛī se zyādā nahīṅ hai. Marīz apne kapṛe dho le to wuh pāk ho jāegā. 7 Lekin agar is ke bād muta'assirā jagah phailne lage to wuh dubārā apne āp ko imām ko dikhāe. 8 Imām us kā muāynā kare. Agar jagah wāqaī phail gaī ho to imām use nāpāk qarār de, kyoṅki yih wabāī jildī marz hai. 9 Agar kisī ke jism par wabāī jildī marz nazar āe to use imām ke pās lāyā jāe. 10 Imām us kā muāynā kare. Agar muta'assirā jild meṅ safed sūjan ho, us ke bāl bhī safed ho gae hoṅ, aur us meṅ kachchā gosht maujūd ho 11 to is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī purānī hai. Imām us shaḳhs ko sāt din ke lie alahdagī meṅ rakh kar intazār na kare balki use fauran nāpāk qarār de, kyoṅki yih us kī nāpākī kā sabūt hai. 12 Lekin agar bīmārī jaldī se phail gaī ho, yahāṅ tak ki sar se le kar pāṅwoṅ tak pūrī jild muta'assir huī ho 13 to imām yih dekh kar marīz ko pāk qarār de. Chūṅki pūrī jild safed ho gaī hai is lie wuh pāk hai. 14 Lekin jab bhī kahīṅ kachchā gosht nazar āe us waqt wuh nāpāk ho jātā hai. 15 Imām yih dekh kar marīz ko nāpāk qarār de. Kachchā gosht har sūrat meṅ nāpāk hai, kyoṅki is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. 16 Agar kachche gosht kā yih zaḳhm bhar jāe aur muta'assirā jagah kī jild safed ho jāe to marīz imām ke pās jāe. 17 Agar imām dekhe ki wāqaī aisā hī huā hai aur muta'assirā jild safed ho gaī hai to wuh use pāk qarār de. 18 Agar kisī kī jild par phoṛā ho lekin wuh ṭhīk ho jāe 19 aur us kī jagah safed sūjan yā surḳhī-māyl safed dāġh nazar āe to marīz apne āp ko imām ko dikhāe. 20 Agar wuh us kā muāynā karke dekhe ki muta'assirā jagah jild ke andar dhaṅsī huī hai aur us ke bāl safed ho gae haiṅ to wuh marīz ko nāpāk qarār de. Kyoṅki is kā matlab hai ki jahāṅ pahle phoṛā thā wahāṅ wabāī jildī bīmārī paidā ho gaī hai. 21 Lekin agar imām dekhe ki muta'assirā jagah ke bāl safed nahīṅ haiṅ, wuh jild meṅ dhaṅsī huī nazar nahīṅ ātī aur us kā rang dubārā sehhatmand jild kī mānind ho rahā hai to wuh use sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe. 22 Agar is daurān bīmārī mazīd phail jāe to imām marīz ko nāpāk qarār de, kyoṅki is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. 23 Lekin agar dāġh na phaile to is kā matlab hai ki yih sirf us bhare hue zaḳhm kā nishān hai jo phoṛe se paidā huā thā. Imām marīz ko pāk qarār de. 24 Agar kisī kī jild par jalne kā zaḳhm lag jāe aur muta'assirā jagah par surḳhī-māyl safed dāġh yā safed dāġh paidā ho jāe 25 to imām muta'assirā jagah kā muāynā kare. Agar mālūm ho jāe ki muta'assirā jagah ke bāl safed ho gae haiṅ aur wuh jild meṅ dhaṅsī huī hai to is kā matlab hai ki choṭ kī jagah par wabāī jildī marz lag gayā hai. Imām use nāpāk qarār de, kyoṅki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. 26 Lekin agar imām ne mālūm kiyā hai ki dāġh meṅ bāl safed nahīṅ haiṅ, wuh jild meṅ dhaṅsā huā nazar nahīṅ ātā aur us kā rang sehhatmand jild kī mānind ho rahā hai to wuh marīz ko sāt din tak alahdagī meṅ rakhe. 27 Agar wuh sātweṅ din mālūm kare ki muta'assirā jagah phail gaī hai to wuh use nāpāk qarār de. Kyoṅki is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. 28 Lekin agar dāġh phailā huā nazar nahīṅ ātā aur muta'assirā jild kā rang sehhatmand jild ke rang kī mānind ho gayā hai to is kā matlab hai ki yih sirf us bhare hue zaḳhm kā nishān hai jo jalne se paidā huā thā. Imām marīz ko pāk qarār de. 29 Agar kisī ke sar yā dāṛhī kī jild meṅ nishān nazar āe 30 to imām muta'assirā jagah kā muāynā kare. Agar wuh dhaṅsī huī nazar āe aur us ke bāl rang ke lihāz se chamakte hue sone kī mānind aur bārīk hoṅ to imām marīz ko nāpāk qarār de. Is kā matlab hai ki aisī wabāī jildī bīmārī sar yā dāṛhī kī jild par lag gaī hai jo ḳhārish paidā kartī hai. 31 Lekin agar imām ne mālūm kiyā ki muta'assirā jagah jild meṅ dhaṅsī huī nazar nahīṅ ātī agarche us ke bāloṅ kā rang badal gayā hai to wuh use sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe. 32 Sātweṅ din imām jild kī muta'assirā jagah kā muāynā kare. Agar wuh phailī huī nazar nahīṅ ātī aur us ke bāloṅ kā rang chamakdār sone kī mānind nahīṅ hai, sāth hī wuh jagah jild meṅ dhaṅsī huī bhī dikhāī nahīṅ detī, 33 to marīz apne bāl munḍwāe. Sirf wuh bāl rah jāeṅ jo muta'assirā jagah se nikalte haiṅ. Imām marīz ko mazīd sāt din alahdagī meṅ rakhe. 34 Sātweṅ din wuh us kā muāynā kare. Agar muta'assirā jagah nahīṅ phailī aur wuh jild meṅ dhaṅsī huī nazar nahīṅ ātī to imām use pāk qarār de. Wuh apne kapṛe dho le to wuh pāk ho jāegā. 35 Lekin agar is ke bād jild kī muta'assirā jagah phailnā shurū ho jāe 36 to imām dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh jagah wāqaī phailī huī nazar āe to marīz nāpāk hai, chāhe muta'assirā jagah ke bāloṅ kā rang chamakte sone kī mānind ho yā na ho. 37 Lekin agar us ke ḳhayāl meṅ muta'assirā jagah phailī huī nazar nahīṅ ātī balki us meṅ se kāle rang ke bāl nikal rahe haiṅ to is kā matlab hai ki marīz kī sehhat bahāl ho gaī hai. Imām use pāk qarār de. 38 Agar kisī mard yā aurat kī jild par safed dāġh paidā ho jāeṅ 39 to imām un kā muāynā kare. Agar un kā safed rang halkā-sā ho to yih sirf bezarar papaṛī hai. Marīz pāk hai. 40 40-41 Agar kisī mard kā sar māthe kī taraf yā pīchhe kī taraf ganjā hai to wuh pāk hai. 42 Lekin agar us jagah jahāṅ wuh ganjā hai surḳhī-māyl safed dāġh ho to is kā matlab hai ki wahāṅ wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. 43 Imām us kā muāynā kare. Agar ganjī jagah par surḳhī-māyl safed sūjan ho jo wabāī jildī bīmārī kī mānind nazar āe 44 to marīz ko wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. Imām use nāpāk qarār de. 45 Wabāī jildī bīmārī kā marīz phaṭe kapṛe pahne. Us ke bāl bikhre raheṅ. Wuh apnī mūṅchhoṅ ko kisī kapṛe se chhupāe aur pukārtā rahe, ‘Nāpāk, nāpāk.’ 46 Jis waqt tak wabāī jildī bīmārī lagī rahe wuh nāpāk hai. Wuh is daurān ḳhaimāgāh ke bāhar jā kar tanhāī meṅ rahe. 47 Ho saktā hai ki ūn yā katān ke kisī libās par phaphūṅdī lag gaī hai, 48 yā ki phaphūṅdī ūn yā katān ke kisī kapṛe ke ṭukṛe yā kisī chamṛe yā chamṛe kī kisī chīz par lag gaī hai. 49 Agar phaphūṅdī kā rang harā yā lāl-sā ho to wuh phailne wālī phaphūṅdī hai, aur lāzim hai ki use imām ko dikhāyā jāe. 50 Imām us kā muāynā karke use sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe. 51 Sātweṅ din wuh dubārā us kā muāynā kare. Agar phaphūṅdī phail gaī ho to is kā matlab hai ki wuh nuqsāndeh hai. Muta'assirā chīz nāpāk hai. 52 Imām use jalā de, kyoṅki yih phaphūṅdī nuqsāndeh hai. Lāzim hai ki use jalā diyā jāe. 53 Lekin agar in sāt dinoṅ ke bād phaphūṅdī phailī huī nazar nahīṅ ātī 54 to imām hukm de ki muta'assirā chīz ko dhulwāyā jāe. Phir wuh use mazīd sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe. 55 Is ke bād wuh dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh mālūm kare ki phaphūṅdī to phailī huī nazar nahīṅ ātī lekin us kā rang waise kā waisā hai to wuh nāpāk hai. Use jalā denā, chāhe phaphūṅdī muta'assirā chīz ke sāmne wāle hisse yā pichhle hisse meṅ lagī ho. 56 Lekin agar mālūm ho jāe ki phaphūṅdī kā rang māṅd paṛ gayā hai to imām kapṛe yā chamṛe meṅ se muta'assirā jagah phāṛ kar nikāl de. 57 To bhī ho saktā hai ki phaphūṅdī dubārā usī kapṛe yā chamṛe par nazar āe. Is kā matlab hai ki wuh phail rahī hai aur use jalā denā lāzim hai. 58 Lekin agar phaphūṅdī dhone ke bād ġhāyb ho jāe to use ek aur dafā dhonā hai. Phir muta'assirā chīz pāk hogī. 59 Isī tarah phaphūṅdī se nipaṭnā hai, chāhe wuh ūn yā katān ke kisī libās ko lag gaī ho, chāhe ūn yā katān ke kisī ṭukṛe yā chamṛe kī kisī chīz ko lag gaī ho. Inhīṅ usūloṅ ke taht faislā karnā hai ki muta'assirā chīz pāk hai yā nāpāk.”